Shadeed Kaan K Dard K Liye

  • 9 years ago
Shadeed Kaan K Dard K Liye
Kaan ke tamam jumla amraz ke liye ye amal akseer ka darja rakhta hai. Amal ye hai, Awal o Akhir 3 martaba Durood Sharif Ibrahimi darmiyan mein 7 martaba Surah Qadr.
7 colour ke dhage lekar 7 girah lagani hein.
Har gira par upar wala amal kar ke parh ke phoonk marni hai or girah ko band karna hai. Is tarika se 7 girah lagani hein. Phir dhage ko taweez mein daal kar gale mein pehan lein. Kuch hi arse mein in tamam amraz se nijat mil jaye gi. Taweez ko ta zindagi gale se nahi utarna.