• 8 years ago
K Chor Gaya
Ajeeb Shaks Tha Sapnay Dikha K Chor Gaya
Yeah Ujra Ghar To Usii Aik Ki Nishaani Hai
Tu Apne Naam Ki Takhti Laga K Chor Gaya

Hum To Tinkay Chun Rahay Thay Aashiynay K Liyeah
Aap Say Kiss Nai Kaha Bijli Giranay K Liyeah
Haath Thak Jain Gay Kiyoon Pees Rahay Ho Mehndi
Khoon Haazir Hai Hatheli Pay Laganay K Liyeah

Ishq Ko Dard E Sir Kehnay Walaoon Suno
Kuch Bhi Ho Hum Nai Yeah Dard E Sir Lay Liya
Woh Nigaahon Say Bach Ker Kahan Jain Gay
Ub To Un K Mohallay Mein Ghar Lay Lia

Aa'ye Bun Thun K Shehr E Khamooshaan Mein Wo
Qabr Daikhi Jo Meri To Kehnay Lagay
Aray Aaj Itni To Is Ki Taraqqi Howi
Aik Bayghar Nai Acha Sa Ghar Lay Lia

Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga
Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi
Qayamat Say Pehlay Qayamat Hai Yaaro
Mairay Samnay Meri Dunya Lutay Gi

Jawani Pay Meri Sitam Dhanay Waloon
Zara Sooch Lo Kia Kahay Ga Zamana
Idhar Miaray Armaan Kafan Pehn Lain Gay
Udhar Un K Haathon Pay Mehndi Lagay Gi

Woh Parday K Peechay Mein Parday K Aaagay
Na Woh Aain Aagay Na Mein Jaaon Peechay
Woh Aagay Barhein Gay To Kuch Bhi Na Hoga
Mein Peechay Hatoon Ga To Dunya Hasay Gi

Azal Say Mohabbat Ki Dushman Hai Dunya
Kaheen Do Diloon Ko Milnay Na Day Gi
Idhar Mairay Dil Per Khanjar Chalay Ga
Udhar Un K Maathay Per Bindiya Sajay Gi

Abhi Un K Hasnay K Din Hein Wo Hasn Lain
Abhi Mairay Ronay K Din Hein Mein Ro Loon
Magar Aik Din Un Ko Rona Paray Ga
K Jiss Din Bhi Meri Mayyat Uthay Gi

ashiaane ke liye
aap se kis ne kaha bijli ghirane ke liye

haath pak jaahye ge
kyun pees rahe ho mehndi
khoon hazir hein hatheli par lagane ke liye

ishaq ko ho darde sir kehne walo
kush be kaho hum ne jeh darde sir leh liya
woh nigaho se bach kar kaha jahe ge
abbh toh uhn ke mohale mein ghar leh liya

aaye ban than kar shere khamosha mein woh
kabar dekho jo meri to kehne lage
are aaj itni toh is ki taraki huvi
eik beghar ne ascha sa ghar leh liya
*.*
•♥••♥••♥••♥••♥••♥••♥••♥••♥••♥••♥••♥••♥•

idhar zindgi ka janaja uthe ga -2
udhar zindgi unki dulhan bane ge

meri maut pariyo ke
juhrmat mein ho ge
janajaa haseeno ke kaandhe peh ho ga
meri maut pariyo ke
juhrmat mein ho ge
janajaa haseeno ke kaandhe peh ho ga
kaandhe peh ho ga

kaffan mera ho ga
uhni ka dupata
kaffan mera ho ga
uhni ka dupata
bari dhoom se
meri mahiyat uthe ge

idhar zindgi ka janaja uthe ga -2
udhar zindgi unki dulhan bane ge

woh parde ke peesche
mein parde ke aage
na woh ahe aage
na mein jaahu peesche
woh parde ke peesche
mein parde ke aage
na woh ahe aage
na mein jaahu peesche

na mein jahu pessche

woh aage barre ge toh kuch be na ho ga
mein pessche hatu ga toh duniya hase ge
idhar zindgi ka janaja uthe ga -2

jawani par meri peh
sitam dhaane wale
zara soch lo
keya kahe ga zamaana
jawani par meri peh
sitam dhaane wale
zara soch lo
keya kahe ga zamaana
kahe ga zamaane

idhar mere armaan kafan pehn leh ge-2
udhar uhn ke hathon peh mehndi lage ge
idhar zindgi ka janaja uthe ga

ajal se mohabat ki dushman hein duniya
kahi do dilo ko milne na deh ge
ajal se mohabat ki dushman hein duniya
kahi do dilo ko milne na deh ge
milne na deh ge

idhar mere dil par khanjar chale ga-2
udhar uhn ke maathe par bindiya
saje ge

idhar mere armaan kafan pehn leh ge-2
udhar uhn ke hathon peh mehndi lage ge
idhar zindgi ka janaja uthe ga

Category

🎵
Music

Recommended