• 9 years ago
Saib kay faide (Apple benefits in urdu):
1 - Saib(Apple) koshish kar kay chehre par 10 minute lagaiye. Is se jild mai chamak aur khubsurti paida hoti hai.
2 - Saib(Apple) chehre ka rang nikharta hai aur ye khoon mai surkh seal paida karta hai.
3 - Agar rozana do saib(Apple) khakar ek pao doodh subah nihar mun pia jae to 6 hafto mai insani sehat qabil-e-rashk hojati hai.
4 - Raat ko sote waqt 3 saib(Apple) khana qabz kasha asar rakhta hai.
5 - Dimaghi kam karne walo kay saib(Apple) qudrat ka ek tohfa hai.
6 - Saib(Apple) ka murabba bhook barhane kay liye ek behtreen nuskha hai.
7 - Chehre ka rang nikharta hai. Ma'ada ko taqat deta hai.
8 - Kamzor mareezon ko be had faida deta hai.
9 - Saib(Apple) dil ko shagufta aur dimagh ko tar-o-taza banata hai. Is waja se pareshani wagera ki soorat mai insani jism mai quwat mada'afat barhata hai.
10 - Saib ki chilko ki chae mai agar leemu aur shehed ka izafa karlia jae petchis aur bukhar ki kamzoriyon ko door karta hai.
11 - Saib(Apple) danton ko mazboot karta hai.Is kay ajza danton aur masoorhon mai jazb hokar inhen mazboot hone mai madad karte hain.
12 - Bache ki paidaish se pehle agar saib(Apple) ka sahi istemal kia jae to bacha khoobsurat paida hota hai aur haamla aurat mukhtalif beemariyon se mehfooz rehti hai.
13 - Agar bache ko saib(Apple) ki kashe tarash kar di jae aur bacha isko chaba kar khae to is kay dant ba asani ajate hain.
14 - Saib(Apple) ko khoob chaba kar khana chahiye ta kay is kay mufeed ajza danton aur masoorhon ko mazboot karen.
15 - Saib(Apple) kay musalsal istemal se badan mai phurti aur jism mai chusti ati hai.

Saib kay juice Apple juice, Saib ka murabba kay istemal aur is kay faide benefits.

http://www.urdutotke.com/15-health-benefits-and-uses-of-apple-in-urdu-and-hindi/

http://www.urdutotke.com/
https://www.youtube.com/c/Urdutotke
https://plus.google.com/b/100927372262927696594/100927372262927696594/posts
https://twitter.com/urdu_totke
http://www.folkd.com/user/urdutotke
https://www.pinterest.com/urdutotke/
https://www.reddit.com/user/urdutotke/
https://www.tumblr.com/blog/urdutotke
https://www.flickr.com/photos/142662295@N06/
http://tune.pk/user/urdutotke
https://vimeo.com/user54749661
http://www.dailymotion.com/urdutotke
https://www.facebook.com/UrduTotke-1630406227270100/

Recommended