mere rashk-e-qamar tu ne pehli nazar, jab nazar se milaaii maza aa gay barq si gir gaii kaam hi kar gaii, aag aisi lagaaii maza aa gaya jaam mein ghol kar husn ki mastiyaan, chaandni muskuraaii maza aa gaya chaand ke saaey mein ae mere saaqiya, tu ne aisi pilaaii maza aa gaya nasha sheeshe mein angraaii lene laga, bazm-e-rindaan mein saaghar khanakne lage maikade pe barasne lagiin mastiyaan, jab ghata ghir ke chaaii maza aa gaya behijaabana woh saamne aa gae, aur jawaani jawaani se takra gaii aankh un ki lari yuun meri aankh se, dekh kar yeh laraaii maza aa gaya aankh mein thi hayaa har mulaaqaat par, surkh aariz hue wasl ki baat par us ne sharma ke mere sawaalaat pe, aise gardan jhukaaii maza aa gaya shaikh saahib ka eemaan mit hi gaya, dekh kar husn-e-saaqi pighal hi gaya aaj se pehle ye kitne maghroor the, lut gaii paarsaaii maza aa gaya ae Fana shukar hai aaj baad-e-fana, us ne rakhli mere pyaar ki aabroo apne haathon se us ne meri qabar par, chaadar-e-gul charhaaii maza aa gaya
Category
🎵
Music