• 7 years ago
Lyrics:
Khiza ke phool pe aati
Kabhi bahaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi ..

Aankh dhoka hai.. Kya bharosa hai
Aankh dhooka hai kya bharosa hai suno
Doston shak dosti ka dushman hai
Apne dil me ise ghar banane na do

Kal tadapna pade yaad me Jin ki
Rok lo rooth kar unko jaane na do
Baad me pyaar ke chahe bhejo hazaroon salaam
Woh phir nahi aate .. Woh phir nahi aate ..

Phool khilte hain, Log milte hain
Phool khilte hain, Log milte hain magar
Patjhad main jo phool murjha jate hain
Woh baharon ke aane se khilte nahin

Kuch log ek roz jo bichad jate hain
Woh hazaron ke aane se milte nahin
Umer bhar chahe koi pukara kare unka naam
Woh phir nahin aate .. Woh phir nahin aate ..

Sindagi ke safar mein,
guzar jate hain jo makam
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate!

uzair, shajar, sad hindi song, hindi song, heart touching songs, Khiza ke Phool pe, zindagi ke safar, kishor kumar songs, old hindi songs,

Category

🎵
Music

Recommended