• 7 years ago
Lyric/Poet: Hazarat Pir Sheikh Syed Naseer udin Naseer Gilani

allah ne kya bargahe ghaus e joli hai gardan ko jhukaye hue ek wali hai
har gam pe sajde ki tamanna hai jabeen ko yeh kiska dare naaz hai yeh kiski gali hai

aastan hai yeh kis shah e zeeshan ka marhaba marhaba
sajde jahan karte hain aake farishte malak sar jhukate hain wali ankhein bichchate hain

ae bargah e hazrat e ghausas saqlain ast na kade qamar e haider o nasle hasnain ast
madarsh hussaini nasab asto pidare oo zaulade hassan yani karim ul abawain ast
jhuki bahr e ibadat jab shah e baghdad ke dar par ajab taukeer e sajda apni paishani pe dekhi hai

alb haibat se larzan hai insan ka marhaba marhaba hai asar bazm pe kiske faizan ka marhaba marhaba
ghar basane meri chashme veeran ka marhaba marhaba chand nikla hassan ke shabistan ka marhaba marhaba

sar ki zeenat amaama hai irfaan ka marhaba marhaba jhukta tan phir muhammad ke ehsaan ka marhaba marhaba
rang aankhon mein zaara ke faizaan ka marhaba marhaba roop chehre pe aayaz e quran ka marhaba marhaba
saj ke baitha hai naushah jeelan ka marhaba marhaba

nagar nagar mein bara munaati hai shah e jeelan ki aaj shadi
saare waliyon ko mehmaan balaya gaya ghaus e aazam ko dulha banaya gaya

meera ke ghar hai shaadi aaye wali nabi sac taiba se mustafa bhi tashreef laa rahe hain
nazron ko shauk e deed hai mangton mein jashn e eid hai

bazm e kono makaan ko aaj sajaaya gaya aaj salle allah sayebaan rehmaton ka lagaaya gaya aaj salle allah
ambiya auliya ko bulaaya gaya aaj salle allah ibne zahra ko dulha banaaya gaya aaj salle allah
urs hai aaj mehboob e subhaan ka marhaba marhaba

aao deewanon muraadein apni apni mana lo jholiyan har sawaali ki baar jaayengi dar sakhi ka khula hai ata ke liye

aasmaan manzilat kiska aiwaan hai wah kya shaan hai aaj khalq e khuda kiski mehmaan hai wah kya shaan hai
latakhaf kiska mashhoor farmaan hai wah kya shaan hai bil yakeen wo shahenshah e jeelan hai wah kya shaan hai
haq diya jisko qudrat ne elan ka marhaba marhaba

har taraf aaj rehmat ki barsaat hai wah kya baat hai aaj khulne pe kufl emuhimaat hai kya baat hai
char su jalwa aarai e zaat hai kya baat hai koi bharne pe kashkole haajaat hai kya baat hai

aa fakeeron aao jholi ko apni bhat lo yeh waqt hai karam ka sarkaar karam farmaate hain
jagne ko mukaddar hai insaan ka marhaba marhaba

gulshan e mustafa ki phaban aur hai yeh chaman aur hai shah e abraar ki anjuman aur hai yeh chaman aur hai
koye guldista e panj tan aur hai yeh chaman aur hai shaan e aale hussain o hassan aur hai yeh chaman aur hai
sar madirang hai is gulistan ka marhaba marhaba

golre ki zameen kitni maskood hai khitta e jood hai peer mehar e ali jismein maujood hai khitta e jood hai
ik silsila e noor hai har saas ka rishta imaan mera hub e nabi mehar e ali

koi kisi ka koi kiss ka mere peer mehar e ali
majnu ko mili laila aur yusuf ko zulaikha aur mujhko peer mehar e ali khayaal apna apna pasand apni apni mere ton hain peer mehar e ali

kya haseen e manzar e shaan e mabood hai khitta e jood hai har aya iska hamdosh e mahmood hai khitta e jood hai
aaj paya hai dil jeeso kaaiwaan ka marhaba marhaba

sham e tauheed dil mein jala ke piyo dil lagakar pilo shah e batha ki khirat paki piyo dil lagakar piyo
shaikh ke aastane pe aakar piyo dil lagaakar piyoankh mehare ali se milakar piyo dil lagakar piyo
khud pilaane pe saaki hai jeelan ka marhaba marhaba

hai ajab husn ka bankpan samne ik chaman samare ehle takheer hain khaimazan samne panjtan samne
hai ye rooh e hassan ki phaban saamne ya hassan samne jalwa farma hai ghaus e zaman saamne zauf e gan samne
dekhiye kya banne chashme hairaan ka marhaba marhaba

shah e jeelan ki chaukhat salaamat rahe ta qayamat rahe nakshe paka chaman pur qaramat rahe ta qayamat rahe
alatein ijtiba zeb e kaamat rahe ta qayamat rahe sar pe waliyon ka taje imamat rahe ta qayamat rahe
silsila ghaus e aazam ke faizan ka marhaba marhaba

mazhare zate rab e kadeer aap hain dastgeer aap hain karwan e karam ke amir aap hain dastgeer aap hain
shah e baghdaad ki aan e peer aap hain dastgeer aap hain dastgeer aa tu kar mehar ali te tere baaj hai kaun allah aasiyan da
mehar hai saari ali di shak na reh gaya ik zara karam kita ghaus e aazam saada sardeyan waliyan
iss 'Naseer' e hazeen ke naseer aap hain dastgeer aap hain koi hamsar nahi aap ki shaan ka marhaba marhaba

Category

🎵
Music

Recommended