Ammu Bhi Gaye Baba Bhi Gaye Nadeem Sarwar 1983 (Lyrics in description)

  • 6 years ago
Jis dam jale kheyaam mein Shehenshahe behrobar
Ik Bacchi nikli khaime se us dam barehna sar
Jalta tha daman aag se kapre the khoon mein tar
Maqtal ki simt rukh kiye jaati thi noha gar
Sab ran mein jaa ke reh gaye tanha Hamein kiya
Adaa ne cheeni chadare khaima jala diya
Ammo bhi gaya Baba bhi gaye

Tahade nazar lashe hai paray
bande halka adaa hain kharay
Ghar jalta hai zar lutta hai
Waris na rehe
Ammo bhi gaye Baba bhi gaye

Luta zewar cheeni chadar
Hain Aale Muhammad s.a.w nanghe sar
Karte hain jafa ham par adaa
Koun ab rokay
Ammo bhi gaye Baba bhi gaye

Barwaqt Phuphi khaime mein geyi
Bistar hi jala bas khair hui
Tap hai aisa ghash mein bhaiyya
Abid a.s hain paray
Ammo bhi gaye Baba bhi gaye

Dam ghutta hai paila hai duwa
Ab jaye kahan jo paye ama
Hain koun yahan jo jaa ke wahan
Qasim a.s se kahay
Ammo bhi gaye Baba bhi gaye

Atara (18) baras yu paala tha
Pardes mein Akbar a.s ho'n ghe juda
Seena Kubi Karti Hai Phuphi Kar Ke Naalai
Ammo bhi gaye Baba bhi gaye

Naloon Se Kaleja Phat'ta Hai
Ek Dard Saa Dil Mein Uth'taa Hai
Maa Roti Hai Jaan Khoti Hai
Asghar a.s Na Rahe
Ammo bhi gaye Baba bhi gaye

Wo bain anees ho kaise raqam
Karti thi Sakina s.a jo purgham
Waqt e akhir Uske lab par naale yeh rahe
Ammo bhi gaye Baba bhi gaye

Recommended