• 6 years ago
Question: bakra zibah krty waqt churi gardan k kis hisa par chalani chaye matlb shahrag ki hadi se agy ya pechy ya hadi k uper.

Answer: agar Janwar daeen(Right) ya baeen(Left) taraf laita ho tu zarori hay keh janwar k gala kaatne ki jagah or os ka pait qibla rukh ho or os k paon, hatho or monh ka qiblah rukh hona lazim nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzihul masael, edition#41, Mafhoom e Maslah #2557).
[Updated on 10-08-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Id:
99297
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Ali Hussaini Seestani
Print
Question: How many person have to do zabiha in a house where 6 person are on job

Answer:One animal is enough for them.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). Update on dated 08-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id:
99199
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Ali Hussaini Seestani
Print
Question: Bachry ki age kitni honi chahiay

Answer:Ehtiyaat e wajib ki bina par 2 saal mukammal kar chuka ho.(Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 06-08-19 .(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Id:
98899
Mujtahid:
Print
Question: Mera bhai dubai rahta hai or us k naam ki qurbani krni ha kya uska hath janwer ko lgana lazmi kyun k usy choti ni nil rhi wo ni askta to kya agr wo pas na howa to usky naam ki qurbani ni hoskti?

Answer: Qurbani ho jaey gi, qurbani k liay hath lagana zarori nahi hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ). Update on dated 06-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id:
99051
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Ali Hussaini Seestani
Print
Question: "Eid per janwar Zibah krny k bad janwar ki khaal baich sakty hain ya nahi"

Answer: jaiz hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). Update on dated 06-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id:
99121
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Ali Hussaini Seestani
Print
Question: ghr ma kitny paisy ya gold hu tu qurbni wajib h

Answer:Eid per qurbani karna wajib nahi hay, qurbani faqat os shaks per wajib hay jo hajj kar raha ho. ( Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ + https://www.sistani.org/urdu/book/62/2974/ ) . Update on dated 06-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Recommended