• 4 years ago
Title: पेट दर्द किस वजह से होता है ?? | पेट दर्द से बचने के लिए इन 5 घरेलू नुस्खों को अपनाएं

namaskar dosto mera naam akshay suryawanshi hai, aur swagat hai aapka mere is youtube channel (stay healthy at home) par. Dosto aaj ki is video mein maine [पेट दर्द] (pet dard) kis vajah se hota hai yeh bataya hai aur meine [पेट दर्द] (pet dard) se bachne ke "gharelu nuskhe" bataye hai jinka upyog karke aap [पेट दर्द] (pet dard) se humesha ke liye rahat pa sakte hai.

dekhiye dosto kabhi-kabhar oont-patang khane ki vajah se ya fir pet mein bahut jyada gas banane se hume [पेट दर्द] (pet dard) jaisi samasya se samna karna padta hai, lekin yadi hume [पेट दर्द] (pet dard) bahut dino se pareshan kar raha ho toh hume ise bilkul bhi najar andaj nahi karna chaiye. aapko turnat kisi bhi najdiki doctor ki salah jarur leni chaiye.

meine is video mein 5 karan bataye he, yadi in 5 karano mein se koi bhi karan aapke [पेट दर्द] (pet dard) se juda ho toh aapko turant doctor ke pas jarur jana chaiye.

1. yadi aapko pet mein baye aur dard mehsoos hota hai aur yeh kabhi kabhar nahi balki aksar hota hai hai, toh aap sawadhan ho jaye kyonki yeh kidni sambandhi ya fir kidni mein pathari banane ka ekmev sanket ho sakta hai, toh is situation mein aap jitna ho sake utna pani pijiye.

2. yadi aapke pet mein dahine aur dard hota hai toh aap samajh jayiye ki yeh "appendicitis" ka ek karan ho sakta hai, iske alava mahilaon mein niche ki aur yeh dard garbhashay ki samasya ka ek karan ho sakta hai.

3. yadi aapke pet mein beecho-beecho dard ho toh "ulcer" jaisi ghatak bimari ka sanket deta hai, iske alava "gas" ya "acidity" ka bhi karan ho sakta hai, isiliye yeh jaruri hai ki aap doctor ki salah jarur le.

4. yadi aapke pet mein pet ke upar aur chati se theek niche [पेट दर्द] (pet dard) ho toh yeh "acidity" ki vajah se ho sakta hai, is situation mein aap ek glass thanda doodh jarur piye, thanda dood ek ramban ilaj ki tarah "acidity" se bachne ka kam karta hai, yadi [पेट दर्द] (pet dard) fir bhi rukne ka naam nahi leta toh aap doctor ki advice jarur le sakte hai.

5. yadi aapke pet mein dard niche ki aur ho toh yeh mutrashya yani ki peshab se judi ek samasya ho sakti hai. iske alava yeh mutra nali mein infection ka ek karan bhi ho sakta hai.

[पेट दर्द] (pet dard) se bache ke 5 "gharelu nuskhe"

1. dosto agar gas ke karan [पेट दर्द] (pet dard) ho toh aap anar ke dano ko kale namak ke sath le aapko [पेट दर्द] (pet dard) se rahat milegi

2. aap thoda sa adrak khiskar chai mein dale aur fir chai ko ache se ubalne de aur fir us chai mein galka doodh milake us chai ko piye, aisa karne se aapko [पेट दर्द] (pet dard) se rahat milegi

3. dosto pudine ke patto ko chabane se
[पेट दर्द] (pet dard) se rahat milti hai, ya fir aap 4 se 5 pudine ki pattiya ek cup pani mein dalkar aap fir us pani ko ubale aue halka gun guna hone ke baad fir us pani ko piye, aisa karne se aapko [पेट दर्द] (pet dard) ss jald rahat milegi

4. yadi dosto aapko gas, "kabj" ki bahut samasya ho toh aap 1/2 cup aloe vera

Recommended