Apple iPhone SE 2020 | Apple iPhone SE review | Best Budget Apple iPhone

  • 4 years ago
Iphone SE 2020 | iPhone SE 2020 Price | Apple iPhone SE 2020 review


ABOU THE VIDEO

To doston, Apple ne Apne latest handset iPhone SE 2020 ko launch kar diya hai. Kaha ja raha hai ki yeh Apple ka ab tak ka sabse sasta handset hai. Iss phone ki kya khubiyan hain aur is phone ki keemat bharat me kya hogi jaante hai iss video me. Mera naam hai Dhruv.

To doston, Apple के इस लेटेस्ट फोन के डिज़ाइन की बात करें तो यह दिखने में आईफोन 8 ( iPhone 8) जैसा लगता Hai. जो पिछले साल September me launch hua tha. बाकी सारे फीचर्स में भी यह iphone 8 की ही तरह है लेकिन iphone SE 2020 में A13 bionic chipset Ka istemal kiya gaya hai jise Apple ne Apne latest phones Jaise iPhone 11 series me used kiya hai jo is phone ki speed aur multitasking ko behtereen banati hai. Yeh Black Red aur White colours me available hai.

Body ki baat kare to doston, Apple iPhone SE 2020 me diya gaya hai glass front, glass back aur aluminium frame jo ki iss phone ko bahut hi sleek look deti hai.

Display ki baat kare to Apple iPhone SE 2020 me 4.7 inch ki retina hd LCD display hai jo haptic touch support ke saath aaata hai. Isme ek physical home button diya gaya hai jabki Apple ne apne saare latest phones me se ise hata diya hai. Yeh home button phone ke fingerprint sensor ka bhi kaam Karti hai.

Apple iPhone SE 2020 ke performance ki baat kare to latest A13 Bionic chipset ke saath ye phone aapke gaming aur multitasking experience ko aur behtar banayega.
Doston iski RAM hain3GB ki.

Connectivity ki baat kare to doston, Apple iPhone SE 2020 me 4g LTE,802.11 ax, gps/ agps aur lighting port shamil hai.

Ab baat karte hain iske camere ki, Apple iPhone SE 2020 me diya gaya hai sirf ek 1.8 aperture wala ek 12 megapixel rear camera.

Front camera ki baat kare to is phone me hai ek 7 megapixel ka selfie Camera. Iska aperture 2.2 hai.

Battery back up ki baat kare to Apple iPhone SE 2020 ki baterry is phone ke liye ek major letdown hai. 1800 mAh ki iski baterry agar company ki mane to fast charging supported hai jisme sirf adhe ghante me yeh 50 % charge ho jata hai. Ye Qi wireless charging ko support karta hai.

To doston agar aap Android se iOs par switch karna Chah rahe hain aur aapko classic iPhone models Jaise iPhone 678 pasand hai to yeh Apple iPhone SE 2020 aapk le sakte hain. India me iski price 42,500 hai jo ki baaki iPhone models se bahut kam hai.

ABOUT THE CREATOR

Hey guys, mera naam hai Dhruv. Mai ek teacher hu. Mujhe nayi nayi cheezon ke baare me jaanna aur share karna acha lagta hai. Mai abhi bhi seekh raha hu kyunki seekhne ki koi umar nahi hoti.

Follow me on
Instagram: https://www.instagram.com/rofl__news
Twitter: https://twitter.com/Dhruv_Axom
Facebook: https://www.facebook.com/dhruvnyk123

Subscribe to my blog: https://seekhoindiayt.blogspot.com


My channel https://www.youtube.com/channel/UClwbTgzXiv7MVGwq2Xm5pWw

Ghar Baithe Paise Kamaye
https://youtu.be/s7MoB-S_di4

WhatsApp Free Beer Scam https://youtu.be/DvR_iprNyiQ

How to download video from Twitter https://youtu

Recommended