• 5 years ago
Presenting one more song.....
This song is all about unemployment and pain that people feel in the condition when they are not able to full fill their basic needs.


Berozgaar (Unemployed) : Condition of helplessness |Rudraksh ASV| Hindi Rap song



Credits

Artist , Lyrics, Voc. Mix , Master & Video - Rudraksh ASV
Prod.- Svn
Video Footage- BBC , INTERNET

#BEROJGAR
#UNEMPLOYMENT



LYRICS GIVEN BELOW

Mujhko Tum samajh na paoge, sab kuchh Hun Main jaanta
Afsane gadhhe Hain tumne, sacchai toh hai lapata
Sawal jo maine poochh liya, toh Doge aakhir kya Bata
Sab ko khud se fursat nahin, bas batt jaate Hain khamkha

Majbur hun jarur magar, lekin sunne wala Koi nahin
Jin se kehta main apna dard, kehte Hain Kismat soyi Hui
Parchhai mein ghar ki ban jaaoun, aise sapne mein dekha karoon
Jimma kaiyo ki khushiyon ka, bas aansuon mein sameta karoon
Main padh likh kar naukari ke, aas mein dar dar bhatku ab
Inse se mangu bas Ek chij, vaadon se pet nahin bharta ab
Kuchh bol diya to kahte, aur doshi jaisa banate hain
Aur jo Sach ke sathi bane, voh aankh moond chale jaate Hain

Haan main berojgar hunX4S

Khwab gadun mein bade bade, par jeb mein footi kodi na
Nalayak ladka ho jata, vishad mein jita hamesha
Kehne ko toh bade Aziz par, cheez se kam hai mol mera
Jo bol do haq ki awaaz, yeh kaan band kar dete hata
Yah baath rahe hain tabke mein, aur kahate Hain Ham sabke Hain
Ham kam per bas yoon gaur Karen, na chahte Koi lafde Hain
Do waqt ki roti khatir, awaaz uthate Hain Ham to
Ham Na Koi bade aadami, na hi koi buzdil log
To kyon rok rahe humko, jab bhi mang ki aas karo
Ham sath mein sabke khade Hain, aur sab par hai vishwas jo
Lekin waqt ki ghadiyan, bas kahane se yoon badhati nahin
Hamme rojgar to bas kahun, aur prathna hai Koi nahin

Haan main berojgar hun x6


Recommended