Justice Athar Minallah's note in elections case raises the most pertinent questions

  • last year
Justice Athar Minallah's note in elections case raises the most pertinent questions
Transcript
00:00 Chief Justice Qazi Faiz Issa Sahib ki sarbarahi mein Teen Rukni Bench ne jo election ke hawale se 90 rows me karwane ka faisla diya tha uske baad Justice Atar bin Allah sahib ka azafi note is waqt saamne aaya hai aur yeh bahut hi strong ek chart sheet hai ki ek ghair aayini amal hua hai aur kaun kaun usme zimmedaar hai unhi ke jo poora azafi note usme se hum aapko batate hain ki kya mandar jaat hai.
00:22 Pakistani voters ko intikhabi amal se baar rakhna, bunyadi haqook ke murafi hai. Aayin o kanoon ke bar khilaf, nigraan haqoomaton ke zariye umoor chalaya jaa rahe hain. Mukarrar waqt me intikhabat aayini takaza hai. Intikhabat na kara ke awaam ki haqook ki khilaf warzi saabit ho chuki.
00:38 Registered voters ko haqe raay dahi se mehroom rakha gaya. Qaumi assembly tehleel ke baad aam intikhabat 7 november tak hoona aayini takaza hai. Intikhabat ki tarikh dena article 48 shik 5 ke tahth sadr ka hi ikhtiyar hai. Sadr ki zimmedaari thi ki awaam vote ke haq se 90 din se zyada mehroom na rahein. Election commission aur sadr ne 8 farwari ki tarikh dekh kar khud ko aayini khilaf warzi ka murtakab thaira diya hai.
01:02 Intikhabat me taakhir ko rokne ke liye mustakbil me thos ikdamaat ki zaroorat hai. Sadr ya governor aayini zimmedaari poori na kare to election commission ko kirdar ada karna padta hai. Election commission ko aayin bachane ke liye apna kirdar ada karna chahiye tha. Election commission sadr ya governors ke action na lene par khamosh tamashaayi nahi bansakta.
01:22 Nigraan hakumat sirf aayin me di muddat tak ke liye hoti hai. Riyasat 90 din se zayad muntakheb namayandon ke bagayar nahi chalai jaasakti. Election me taakhir aayin ko muattal karne jaisa hai. Election commission ka kaam intikhabat ki baat khatam nahi hota. Election commission ne aayini intikhabat ki tayyari karna hota hai. Governor KPK ne 90 roz me intikhabat ki tarikh na dekar aayini khilaf warzi ki. KP aur Punjab ke dolo governors ne aayini zimmedaariyan poori nahi ki.
01:47 Lahore High Court apne faisle par amal dharamat ke liye karwai chala rahi thi. Supreme Court ne khud case chalana shuru kar diya. Sadr ne 2 February 2023 ko Punjab me intikhabat ki tarikh di jisse High Court ki karwai mutasir hui. Is amal se ayaan hota hai. Election commission aur governor ne baamani andaz me sadr se mushawarat nahi ki.
02:04 Chaar judges ne mutafiqa note me Supreme Court ka intikhab se mutaalik ascode notice mustarid kiya where muntakhib nigraano ke zariye haqumat chalana aayin ki khilaf warzi hai. Adalaton ki zimmedaari hai aayini khilaf warziyon par istasna ansar ko aade na aane deyen. Election commission ki zimmedaari hai ki intikhabat ko shippaaf banaye taake shikayat ka mauka na mile agar voters chahein toh apne aayini haq na milne se mutaalik kaanuni daawa kar sakte hain.
02:30 Yeh hum aapko batade ji ki is poore zaafi note ke ilawa jo faisla aaya hai isme kya kaanuni taur pe aage options maujood hai? Jaisa ki kaha gaya ki chahein koi isko challenge kar sakta hai toh kya wo bhi ek rasta hai? Isse ke ilawa mustakbil mein aayinda kabhi yeh na ho amal isko rokne ke liye kya tariqat aa raha hai?
02:51 Toh program mein kaanuni hum raaye shamil karenge. Humare saath Hasan Reza Pasha sahab, sabhik chairman Pakistan Parliamentary Council maujood hai, Salman Akram Raja sahab, senior mahirik kaanun hai. Pasha sahab aapse aagas karte hain, iske andar jo saaf saaf governors dono subon ke, Sadr sahab aur Election Commission of Pakistan, un sab ko kaha hai ki wo apni aayini zimmedaari nahi kar paye aur Election Commission ko toh ne kaha ki ek koi apni aayini zimmedaari nahi ada kar raha tha toh aapka kaam tha navve din mein election karane ka.
03:17 So what do you make of it? Iske baad yeh jo poora tafseeli note hai?
03:21 Dekhein Maria, hum toh baar baar har program mein yehi kahte rahein ki Sadr-e-Mumlikat ki zimmedaari hai. Aur Sadr-e-Mumlikat ko jis din unhone cabinet se oath liya, usse agle din apni aayini zimmedaari poore karte hui ek date de deni chahiye thi ki falaan date hai.
03:41 Wo is baad ka kyun wait karte rahein ki Election Commission ke saath mashawarat karne hi hai. Jab ki section 57 of the Election Act 2017, usme unhone khud amendment jo ki gayi thi uspe sign kar kiye the, usme Sadr-e-Mumlikat aur Election Commission ki mashawarat ka khatam kar diya gaya tha. Aur Election Commission ko ikhtiyar diya gaya tha ki wo. Jiski wajah se aapne dekha hoga ki Election Commission bhi kehne laga, nahi humne announce karne hai.
04:09 Aur sir pehle se pehle se siyasi Jamaaton ne unko apna wajan bhi diya na. Siyasi ban gaya na hi mamla.
04:14 Hukumat bhi yeh kehti rahi ki humne. Lekin jiska ikhtiyar hai usko khud nahi pata ki maine kya karna hai. Unka apni ek team hai, President House mein Supreme Court ke retired judge, unke legal team ke head hai, baaki Fauj Zafar Mouj hai. Unko chahiye tha ki wahan se pooch lete.
04:34 Ab kya kiya half-heartedly unhone mashawarat ke liye bula liya Election Commission ko. No need of it. Phir unhone Law Ministry ko beh diya.
04:45 Sir, no need of it jab Supreme Court ne unko bheja unko mashawarat ke baad tarikh deni padhi sir. Supreme Court ne unko kaah ke bethe hai.
04:50 Main pehle Sadr sahab ki jo letters hai unki baad kar raho. Unko nahi likhne ki zaroorat thi. Unko Law Ministry mein bhi likhne ki koi zaroorat nahi thi. Unko straight away announce kar deni chahiye thi.
05:01 Ab hua ye, ye jo Supreme Court Pakistan ne ye kaha, ye Sadr Araf Alvi ke liye nahi kaha. Sadr ke mansab ke liye ye kaha, jab Sadr ne Election Commission Pakistan ko bulaya, to Election Commission Pakistan ne bhajaye iske ki wo aata,
05:19 waha aake bataa deta, ji nahi aapke paas ikhtiyar nahi hai. Unhone American Safeer ko milna zaroori samjha. Aur wo nahi aaye. To is mansab ki izzat aur takreem ke liye Supreme Court Pakistan ne Election Commission ko bheja ke jaye.
05:35 Aur wo gaye. Aur waha jaake, wo phir jab daskhaton ke bagayar ek leke hai, to unhe kaha, Sadr ke bhi daskhat kara ke lai. To ye saari cheezein apni jagah pe maujood hai.
05:45 Main ye samjhata hu, ke Sadr sahab ne aur Governors jo hai unhone. Sir Election Commission ki baat bhi kiya. Unhone, unhone, nahi, lekin, main ek cheezein karta hu.
05:55 Ke agar ghar aayini kaam ho raha hai, to Election Commission didn't step in. Election Commission ne schedule dena hai. But they didn't step in, jab aayini khilaf warzi ho rahi thi, unhone ne bet ke tamas ke dekht hai.
06:04 Main aarz karta hu, date announce karna hai President ne aur Governors ne. Aur schedule dena hai Election Commission aur Pakistan ne. Schedule President ne aur Governors ne nahi dena.
06:14 To baharaal ye ping pong khelte rahe. Aur aaj ye, aur main samjhata hu ki ye judgement badi alarming hai. Aur ye isliye zaroori hai, ke aayanda har paanch saal ke baad ye hi na hota rahe ji.
06:27 the world.

Recommended