• last year
Song: Mere Ram
Rap & Lyrics: Narci
Singer: Vipin Aneja
Music & Arrangement: Narci
Mixing & Mastering: XZEUS
Visuals: Shrimad Ramayan

ORIGINAL CREDITS
Song: Sukh Ke Sab Saathi
Album: Gopi
Artist: Mohammed Rafi
Music Director: Kalyanji-Anandji
Lyricist: Rajendra Krishan

LYRICS
Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Mere Ram mere Ram
Tera naam ek sacha dooja na koi
Sukh ke sab saathi

Dil ka to hai kya, ye kab raha salamat hai
Dil to ab ye bole jaa tujh pe bhi to laanat hai
Prabhu karun dil ki kya shikayat
Toota itni baari hai ki ab to isko aadat hai
Mangi thi Deewali, prabhu mile mujhko maatam hai
Khud ko saga kehne waale, asliyat mein ghatak hai
Chehro pe naqaab dekh khud hi na main jaanu
Jee raha hoon zindagi ya zindagi hi natak hai
Niyati ke khel mein na mera prabhu vash
Niyati ke aage tera praani bhi vivash
Tajurbe to kamaaye par fir hoon nadan hi
Jooth koi bole wo bhi lagta mujhko sach
Ram tere naam se umeedein ab to paali
Aansu jab bhi gire dekh duniya maare taali
Kahani suni saaro ki jab aayi meri baari
Sunane laga dardon ko to kursiya thi kaali
Khel jazbaaton se kyun praani tera sota hai?
Dil se jo nibhaate dil unhi ka to rota hai
Aansu na dikhata hoon par Ram tum ye jaano
Main bhi tera praani, dard mujhe bhi to hota hai
Khushi dene auron ko khud ko hi dhakele hum
Khushi hum bhi chahte hai par hote na andhere kam
Chaaro aur dekha meri baari mein hai koi nahi
Paaya maine Ram khade fir se hai akele hum
Khade hai akele hum, naam leke tera hi
Tu hi hai dagar, prabhu tu hi hai basera bhi
Tu hi meri raina prabhu, tu hi hai savera bhi
Tum hi to mitaaoge peeda ka andhera bhi
Jo bhi mila diya usne dil ko mere noch
Lakho gunehgaar hai main kitno ko doon dosh
Aise hi na gaanon mein baatein karun Treta ki
Ye kaal bana kshaap aur Ram hi hai moksh

Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Mere Ram mere Ram
Tera naam ek sacha dooja na koi
Sukh ke sab saathi
#shreeram #ram #hindirap

Recommended