• 8 months ago
वैश्वानर ही द्वा-सुपर्णा

Category

🗞
News
Transcript
00:00 Namaskar, aaye aaj aapko sunate hain Rajasthan Patrikar ke Pradhan Sampadak Dr. Gulab Kothari
00:08 ka Sharir Hi Brahmand Shrinkhla mein Patrikayan mein Prakashit Aalein, iska shirshak hai Vaishwanar
00:14 Hi Dva Suparna.
00:15 Aham Vaishwanaro Bhutva Praninam Deham Ashtitah Prana Apan Sama Yuktah Pachammyannam Chatur
00:22 Vidham Gita 15.14.
00:24 Arthaat, main hi sab praniyon ke sharir mein rehne wala Prana Apan Yuktah Vaishwanar Agni
00:30 hu, chaaron prakaar ke annon ko pachata hu.
00:33 Is prakaar krishnu swayam ko Vaishwanar kahekar apni sarva vyapakta bata rahe hain.
00:38 Ayam Agnir Vaishwanarah Yoya Mantah Purushe, yehne dham annam pachyate roopme Shatpad
00:43 Brahman mein kaha gaya hai ki, thay huye annon ko pachane wali Prana Apan Yuktah shakti
00:48 pratyek sharir mein hai.
00:50 Yahi Vaishwanar Agni hai.
00:52 Yeh shakti vastu tah suriya se aati hai.
00:54 Suriya amritva martiya ki samashti hai.
00:56 Is brahman ki pran shakti ka pratham prakat roop suriya hai.
01:00 Vaishwanar Agni martiya srishti mein utpanna hota hai tatha aayu pariyant us srishti mein
01:05 rehta hai.
01:06 Har samay isme kuch na kuch ahoot hona aavishak hai.
01:09 Yadi isme annahoot nahi hota to yahi sharir ke dhaton ko jala dita hai.
01:13 Iska pratyeksh hum upwas ke samay kar sakte hai.
01:16 Upwas mein sharir krish hota jata hai.
01:18 Yeh krishtha bhojan ke abhav mein Vaishwanar Agni dwara sharir ke dhaton ke bhakshan ke
01:23 phalswaroop hi aati hai.
01:25 Vaishwanar ka swaroop teen prakaar se agni roopon ka sammishran hai.
01:30 Agni, Vayu aur Aditya.
01:32 Inhi ka sthool roop Vasu, Rudra aur Aditya hai.
01:35 Yeh hi pritwiki agni ke ghan, taral aur viral roop hai.
01:38 Sharir mein inhi ko pramashah, apan, vyand aur pran kehte hai.
01:42 In teenon ke aapsi sangharsh se Vaishwanar Agni peyda hota hai.
01:46 Yeh hi ann ko pachata hai.
01:48 Prithvi panch mahabhoot se banti hai.
01:50 Ann panch bhut bhi usi ki santan hai.
01:53 Sharir ann ki santan hai, artha panch mahabhoot se hi bana hai.
01:57 Aakash, Vayu, Jal aur prithvi roop chaaro mahabhoot agni ke ann bante hai.
02:02 Jiske bhal swaroop panch bhautik dehe ka nirman hota hai.
02:05 Agni pran, apan se yukta hokar hi ann ko pachata hai.
02:09 Ann Som ko kehte hai.
02:11 Ramanujacharya ne chaar prakaar ke ann bhochya atwa peya, bhakshya, lehya aur choshya kahe hai.
02:17 Jo chabaakar khaya jaye vah bhakshya, jo nigla jaye vah peya ya bhochya,
02:22 jo chaata jaye vah lehya aur jo choosa jaye vah choshya kaha jaata hai.
02:27 Yatha ande tatha pinde ke anusaar ye chaaro ann sabhi 84 lakh yonion par lagbhu hone chahiye.
02:33 Sabhi yonion mein ann ka pachan Vaishwanar Agni hi karta hai.
02:37 Sabhi aushidhiyon, annon ka poshak tattva Som hi hai.
02:41 Krishna bhi iska anumodan karte hue keh rahe hai ki,
02:44 "Main apne oj se prithvi mein pravisht hokar sampoorna bhuton ko dharan karta hu.
02:48 Rasatmak Som bankar sabhi aushidhiyon ko pusht karta hu.
02:52 Gama vishyachya bhutani dharayamya mojsa, pushnami chaushidhi sarvaha, Somo bhutva rasatmakah.
03:00 Gita 15.13
03:02 Srishti nirman tram mein Vaishwanar Agni ke teen vivarth bante hai.
03:06 Virarth, Hiranyagarbh aur Sarvagya.
03:08 Agni mein jab antariksh ke vayu tatha divya aditya ki aahuti hoti hai,
03:12 tab Vaishwanar hi virarth ban jata hai.
03:15 Virarth das ke sambho ko kehte hai,
03:17 chaar ved, Rig ved, yatra juh, yajur ved, saam ved, sabhi agni roop,
03:22 agni yam aditya evam apah vayu som,
03:25 in das tattvon ke sambho ko hi virarth kehte hai.
03:28 Isi prakaar jab antariksh ke vayu mein parthiv agni evam divya aditya ki aahuti hoti hai,
03:33 tab vahi Vaishwanar Hiranyagarbh keh rata hai.
03:35 Jab aditya mein agni aur vayu aahuti hote hai,
03:38 tab Vaishwanar Sarvagya ban jata hai.
03:41 Teeno pramashah agni, vayu, aditya pradhan hai.
03:44 Teeno hi pramashah artha kriya gyan shakti ke pravartak,
03:47 sanchalak evam ukth hai.
03:49 Arthaat Vaishwanar hi vedagni som par pratishthit hokar
03:53 gyan kriya artha ka pravartak banta hai.
03:56 Adhiraiva tatha adhyatma ka sanchalan karta hai.
03:59 Adhyatma sanstha mein virarth, Hiranyagarbh, sarvagya hi pramashah,
04:03 Vaishwanar, Tejas aur Pragya keh late hain.
04:06 Inme virarth, Hiranyagarbh aur sarvagya ki samashti Ishwar
04:09 tatha Vaishwanar, Tejas aur Pragya ki samashti jeev keh late hai.
04:13 Mukta ann se prapt aatma tatva ko,
04:16 Vaishwanar hi Ishwar jeev roop me bhibhakt kar deta hai.
04:19 Jeev triguni hai, Ishwar mukta hai.
04:22 Rigveda me Ishwar aatma evam jeev aatma ke swaroopon ko
04:25 ek hi mantra me do pakshiyon ke madhyam se bataya hai.
04:28 Isme Ishwar roop supandh saakshi tatha jeev roop supandh bhukta hai.
04:32 Dva suparna sayuja sakhaya samanam vriksham parishasva jate,
04:37 tayor anyah pipalam svadh vatyan nashnan nanya abhichakash abhichakashiti.
04:43 Rigveda 1.164.20
04:46 Yahi Gita ka mamai vansho jeev loke jeev bhutah sanatana hai.
04:50 Jisme krishna samasth jeevon me swayam ki upasthiti ko ingit kar rahe hai.
04:54 Panchagni ke siddhant me bhi yagya ki yahi parampara rehti hai.
04:58 Ishwar aur jeev bhaav ki bhi yahi istithi rehti hai.
05:01 Bas ann badalta rehta hai.
05:03 Har ann som hai, Ishwar hai, beej vrat pita hai.
05:07 Pratham reht jo mehet brahmam me aakut hota hai,
05:10 wahan bhi vaishwanar hi pachane wala Ishwar hai.
05:13 Som bhi Ishwar, agni bhi Ishwar.
05:15 Yahi srishti ka maulik rahasya hai.
05:17 Srishti jaise jaise aage badhti hai, isme anya tatva bhi shamil hote jate hai.
05:22 Keval agni, som ko gyan kriya arth par hi bhanavta nahi tiksakti.
05:27 Atma ka swa swaroop bhi abhivyakta hona anivadhata hai.
05:31 Agni aur som pradhan jeev sarg hi bhutsarg kaha jata hai.
05:34 Agni ke teen vivart bante hai asangya, sasangya tatha antasangya.
05:39 Inme asangya aur antasangya ki apeksha sasangya jeevon me
05:43 paanch gyanendriyan, paanch kalmendriyan aur man ko mila kar kul yadahendriyan hote hai.
05:48 Som pradhan jeev sarg ko chandra jeev kaha jata hai.
05:51 Ye aath prakaar ki hote hai.
05:53 Yaksh, rakshas, pishach, gandharva, endra, prajapatya, paitra aur brahm.
05:58 Inme aath siddhi, naut ushti aur sasangya ki yadahendriyan mila kar kul atthais indriyan hote hai.
06:04 Asangya tatha antasangya trama pradhan hai.
06:07 Krami, keet, pakshi, pashu aur manushe ye paanch prakaar ke paarthiv prani rajas pradhan hai.
06:13 Pratha, yaksh aadi aath chandra jeev sattva pradhan hai.
06:16 Bhutsarg se aage pransarg ka sambandh swar agni tatha parmeshthi som se hai.
06:21 Som ghan taral aur vilal roop me ap vayu aur som kehlata hai.
06:25 Inse hi, tramashah, apya, vayavya tatha somya, teen prakaar ki srishti hoti hai.
06:30 Inme nanyanvya pran apya hai jo asur pran hai.
06:34 Vayavya pran gandharva hai, iske anek ved hai.
06:37 Somya pran pitar kehlata hai jo saag prakaar ke hai.
06:40 Iske aage swayambhu pran, maulik rishi pran ka sarg hai.
06:44 Rishi pran sath hai.
06:45 Pran me anya pran na hone se asath hote hai.
06:48 Athat, shuddha sath hai.
06:50 Brahma ki srishti kaamana se pran hi gatiman hota hai.
06:53 Rishati gachchati gatishilobhavti adhah pran ko rishi kaete hai.
06:57 Ye rishi pran bhi anant hai.
06:59 Sankshep me, yahi humari adhyatma santha ka swaroop hai.
07:03 Brahma ki kaamana, rajnan ki ichcha hi aage badhte badhte prithvi ka panch mahabhuta ka sharir dharan kar leti hai.
07:09 Adah is ichcha ke saath, brahma ka yog hona anivadi hai.
07:13 Kriya ka purvapaksh shuddha atma ke abhana roop prarthana ki parampara hai.
07:18 Iske baad me hi Vaishwanar agni me som ki aaputi di jati hai.
07:22 (gentle music)

Recommended