#petroldieselprice #petrol #pmshehbazsharif #headlines
-Supreme Court sends anti-smuggling law to Parliament for review
-Power tariff hiked by Rs 3.76/unit in Pakistan
-Naming of hospital depts after CM Maryam challenged in LHC
-Ramesh Kumar hints ‘Govt change’ bad conditions after budget
-Pakistan reports fourth polio case of 2024
Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY
Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP
ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.
-Supreme Court sends anti-smuggling law to Parliament for review
-Power tariff hiked by Rs 3.76/unit in Pakistan
-Naming of hospital depts after CM Maryam challenged in LHC
-Ramesh Kumar hints ‘Govt change’ bad conditions after budget
-Pakistan reports fourth polio case of 2024
Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY
Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP
ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.
Category
🗞
NewsTranscript
00:00Video Tanazibar PTI Randmoor ke mutazaat beyanat, Minister Gauhar Ali ne kaha, Bani PTI ko iska
00:07ilm hi nahi.
00:08Tarjuman Rao Hassan ka kehna tha, PTI ka social media bahar se operate hota hai.
00:12Ali Muhammad Khan ka kehna tha, aisa ghalat pehni ki buniyaan par hua, ainda nahi hoga.
00:17Sabik Saddar Dr. Arif Alvi ne Bani PTI ke tweet ki imayat kar di, kaha isme kya ghaddari
00:22hai?
00:31Bani PTI account se Sheikh Muzib ki video kaise upload hui?
00:36FIA ne Umar Ayub, Barrister Gauhar Khan aur Rao Hassan ko enquiry ke liye talab katiya.
00:41Mangal ko sub 11 baje talabi ka notice, account se ki gayi post se awaam mein khauf aur bechaini
00:46kherne ka khadisha hai.
00:47Notice ka mat.
00:48Aur Kat Putlio ka Badi Jamaat ko Muzakaraat ki daawat dena mujhe ka khez hai.
00:57Muzakaraat ki peshkash par PTI kar adhyamal.
00:59Tarjuman ne kaha, Jali Mandate ki haamil Jamaat se koi baat nahi hoga.
01:07Hukumat ki PTI ko phir Muzakaraat ki peshkash.
01:10Aayen baat cheez karein.
01:12Muzakaraat karenge to masaal ka hal niklega.
01:15Rifaqi Wazir Petroleum Musaddiq Malik ki press conference.
01:18Kaha kisi ko khaddaar nahi keh rahe.
01:20Hum kehte hain Muzakaraat karen.
01:22Wo kehte hain aap se baat nahi karenge.
01:24Hum se baat nahi karenge.
01:26To kya deewaro se baat karni hai?
01:28Mukti Bahini aur Kabhi Pakistan ke do lakht hone ka zikr karte hain.
01:31Aap kya chahate hain?
01:33Thoda tanao mein kami karein.
01:35Kamaz kam TV par aakar keh de.
01:36Hamara tweet se koi taaluk nahi.
01:38Khan nahi to Pakistan nahi.
01:40Ye kaisi muhim hai?
01:42Hum kehte hain Pakistan nahi to koi nahi.
01:45PTI maazi ki ghalatiyon par maafi maange to hum baat karne ke liye tayyar hain.
01:50Governor KP Faisal Kareem Kundi kehte hain.
01:52PTI Bani ke tweet se laqaaluk hai.
01:55Ye tweet ko own kar rahi hain na delete.
01:57Ye chori karte hain aur seena zori bhi.
01:599 Mai ke mulzimaan to KP ke Wazir-e-Ala bhi ban gaye.
02:02Adalaton se appeal hain 9 Mai ke mulzimaan ko sazaayin di jaye.
02:06Governor House kisi saazish ka ghar nahi hoga.
02:09Taliban bhi Bani PTI se achi hain.
02:11Jo kehte hain wo tasleem bhi karte hain.
02:14Azma Bukhari ki press conference.
02:16Kaha Hamood-ur-Rehman commission report ki baniyat par nai nasli ke zihin mein
02:20Fauj ke khilaf nafrat bhari ja rahi hain.
02:22Afwaz-e-Pakistan aur Chief Justice ke khilaf digital dahishatgardi ki ja rahi hain.
02:27Pakistan ke tukde karna Bani PTI ka agenda hain.
02:30Unka inkalab sirf itna hai ke NRO de diya jaye.
02:33Adiala jail mein desi murg ya mutton khaane se inkalab nahi aata.
02:37Apne bachon ko London se bulayen.
02:39PTI mutfuddud wali jamaat hain.
02:41Aur jiske zihin mein ek aur 9 Mai jaisa plan nazar aata hain.
02:46Live adalati karwai zaati makasif ke liye istimaal karne ke imkaanat ko radh nahi kiya jaa sakta.
02:52Bani PTI naib tarmeem darkhas mein kabhi adalat ke saamne pesht nahi hua.
02:56Bani PTI ki namayandagi ki darkhas par unhe video link sahoolat ki ijazat di gayi.
03:01Achanak KP hukumat ki live dikhane ki darkhas samajh se balatar hain.
03:06Bani PTI ne bhi case mein Khyber Pashtun kha hukumat ko fareek nahi banaya.
03:10Awami Mufat ka mukadma na hone ke baayis live nashriyat ki darkhas mustard ki jaati hain.
03:16Naib tarameem case ka karwai barahiras nashir karne ki darkhas par samajh ka tehliri hukumnama jari.
03:21Supreme Court har mukadme ko barahiras nashir nahi kar sakti.
03:25Khususan aise mukadmat live nahi dikhaye jaa sakte jinn mein siyasi ya zaati makasit wabasta hu.
03:32Imkaan tha Supreme Court ko siyasi makasit point scoring ke liye istimaal kiya jaa sakta hain.
03:38Khadshah durast saavit hua.
03:40Bani PTI ne 8 February Intikhabat Inquiry Commission ka tazgira kiya.
03:48Hyderabad saanhe ne behno ke khwab ujaad diye.
03:5110 saal ke Abdul Rahim ki behen shiddat-e-gham se nidhal.
03:54Kehti hain socha tha bhai bada hokar engineer banega.
03:58Sab apne bachon ko nikal kar le jaa rahe the.
04:00Kisi ne mere bhai ko nahi bachaya.
04:02Hyderabad ki dokaan me cylinder dhamake ka ek aur zakhmi Karachi me dham tod gaya.
04:07Mujabahat afraat ki taadaat 9 ho gayi.
04:10Civil hospital mein 14 zakhmi ab bhi zair elaj.
04:138 ki haalat tashmeesh naag.
04:15Hyderabad mein azan ki namaz-e-janaza mein MQM rahnamaon ki shirkar.
04:18Hyderabad's rizvi ne kaha ghaflat aur laparvahi ki warah se bachon ki jaan chali gayi.
04:23Hyderabad ki hospital sirf refer centre ban gaye.
04:26Karachi me bhi zakhmiyon ki behtar dekhpaal nahi ki gayi.
04:29Petrol ki keemat mein 15 nahi, paure 5 rupee kami.
04:38Diesel 8 rupee ke wajahe 3 rupee 86 paise sasta.
04:42Wazir-e-Azam ki manzoori ke baad, Petroleum masuwaat mein kami ka notification jaani kar diya gaya.
04:47Petrol ki nahi keemat 268 rupee 36 paise.
04:50Diesel ki nahi keemat 270 rupee 22 paise.
04:55Mitti ka tel 171 rupee 61 paise ka ho gaya.
04:58Wazir-e-Azam house se petrol aur diesel zyada sasta karne ka ghalat ailaan kiya gaya tha.
05:03Awam ka kehna hai, hukumat ne Hatim tai ki kabar par laat maari hai.
05:07Uske bagle bijli mehngi kar di jaayegi.
05:12Mehngai ke maare awam par phir bijli gira di gayi.
05:15Bijli 3 rupee 76 paise maseed nahi di.
05:18Awam 46 arab 61 crore 30 lakh rupee apni jeb se izafi ada karenge.
05:23Izafa tisri se maahi fuel adjustment keemad mein kiya.
05:26NEPRA ne Wifa ki hukumat ko faisle se agah kar diya.
05:30June se August 2024 tak saarafeen se wasooliyan hongi.
05:33June mein 1 rupee 90 paise, July aur August mein 93-93 paise free unit ke hisaap se wasooli ki jayegi.
05:46Shadeed garni mein 18 ghante load shedding.
05:49Karachi ke shehri tap gaye.
05:51Mukhtalif alaakon mein load shedding ke khilaf ehtejaaj.
05:54Kaurangi Expressway par ehtejaaj.
05:56Muzahireen ne Baloch Colony tak ehtejaaj karke sadke band kar di.
06:00Traffic ka nizam darham barham.
06:02Safar karne wale bhi rul gaye.
06:04Mawaz Ghot mein bhi ehtejaaj.
06:05Makinon ne Hub River Road gayi ghanto tak traffic ke liye band rakha.
06:09Ghair Alania load shedding ke khilaf.
06:11Parth House, Kaurangi par bhi ehtejaaj.
06:13Shehrio ne K Electric office ka ghirao karke naare lagaye.
06:17Muzahireen ne Ajmer nagri jaane wali sadak bhi kai ghante band rakhi.
06:25Cybercrime ki rog tham.
06:26Britannia ki National Crime Agency ke hukam Pakistani officeron ko tarbiyat denge.
06:31Wazir-e-Dakhla Mohsin Naqvi kehte hain,
06:33Cybercrime se nimatne ke liye Britannia ke taawun ka khair maktam karenge.
06:37Mohsin Naqvi ne London mein National Crime Agency,
06:40Foreign Commonwealth and Development Office
06:42aur Cabinet Office National Situation Centre ke ala hukam se mulaqate ki.
06:46Jismein Sadaad-e-Dahshad Gardi,
06:48Munazzam Jaraim ki rog tham aur Cyber Security mein maubinat par guftab hui.
06:52Insadaad-e-Munashiat, Cybercrime, Ghair Kanuni Immigration ki rog tham ke liye
06:57taawun badhane par bhi ittafaat.
07:08Hum chahte hain ke High Court mein, Supreme Court mein,
07:10judges aayein from minorities in Pakistan.
07:13Jo minority ka labz hain ko mujhe zyada pasand nahi hain.
07:15Minority sirf number hain aapka.
07:18Aapka haq utna hi hain jitna mera haq hai Pakistan mein.
07:21Please ye yaad rakhe, aayeen mein aap aur mere mein koi farq nahi hain.
07:26Humare liye Riyasat-e-Madina se badi koi aur misaal nahi ho sakti.
07:30Aayeen-e-Pakistan, aqliyaton ko tahafuz parham karta hain.
07:33Aayeen mein tamam shehriyon ko barabar hukum hasal hain.
07:36Justice Mansoor Ali Shah ka takreeb sakhatab kaha chahte hain,
07:39Aal-e-Adiya mein aqliyaton se bhi judge aayein.
07:42Pakistan ka wahid parcham hain, jismein aqliyaton ki namayandagi hain.
07:46Wazir-e-Qanun Azam Nazeer Tarar ne kaha,
07:48Mulk mein insaaf sab ke liye barabar hona chahiye.
07:51Adham bardaash ka culture bahot takleeb de hai.
07:54Ek parcham tale sab ikhatte hokar chale,
07:57toh behs aur mubaise ki zarurat nahi hogi.
08:00T20 World Cup ki party Amerika mein kal se shuru hogi.
08:09Mega event mein sharik teamon ki tayyariye mukamal.
08:11Fehla match, Mezban Amerika aur Canada ke darmayan,
08:14Pakistani waqt ki mutaabik, sub 5.30 baje Dallas mein khela jaayega.
08:18Doosra match, shaam 7.30 baje West Indies aur Papua New Guinea ke darmayan khela jaayega.
08:23Bharat aur Bangladesh ke darmayan, warm-up match New York mein jaari.
08:26Isi meydan par Pak-Bharat Takra, 9 June ko hoga.
08:29Pakistan apna pehla match, Jumraat ko Amerika ke isilab Dallas mein khelaega.
08:59Aur haalaat ko mai jaldi settle hote hui nahi dekh raha.
09:03Aur July mein aur zyada mujhe situation jo hai wo critical hote hui nazar aa rahi hai.
09:11Main nahi dekh raha. Jaldi jo hai ye issues badte jaayenge aur main aagi kaafi problem dekh raha hoon.
09:21Main ye dekh raha hoon.
09:24Haalaat bigarte aur isi saal hukumat ki tabdi nahi dekh raha hoon.
09:28Budget ke baad mazeed kharabi pehda hogi.
09:30People's Party ke rahnimaar Dr. Ramesh Kumar kehte hai,
09:33mujhe har cheez ka pata hai. Isliye Noon League ki hukumat qaim rahte nahi dekh raha.
09:38Mushkil haalaat ke baad aage game kis taraf jaata hai?
09:41September-October mein pata chalega.
09:43Dekhna hoga behtri dubara intikhabat se aati hai ya koi aur setup aata hai.
09:48Nawaz Sharif ko anti-establishment ki taraf new turn lete dekh raha hoon.
09:52Agar karwat Bani PTI ki taraf gayi toh fir ye mul ke liye mazeed tabahi hogi.
09:56Hukumat chalana Bani PTI ke bas ki baat nahi hai.
09:59Wifaqi Mazeer Khalid Magul Siddiqui ne NAB ordinance ko riyasat ki naakami karar diya.
10:26Kaha iske khalaq Muslim League Noon ke andar se bhi awaze aa rahi hain.
10:29MKM samashti hain, ispar nazris aane ki zarurat hai.
10:32Ishrat-ul-Ibaad ki MKM me baapsi se mutaalik zawaal par kaha,
10:35pehle ye dekhna hoga ki unke liye Pakistan aane ke darwaze khule hain ya nahi.
10:41Shehar mein Iqba-Bara-e-Tawad mein CTD ahlkaaro ka mulawis hoona tashmeesh naak hai.
10:46Governor Singh Fazir Azam se baat karke shehriyon ko aitmaad milenge.
10:51Sindh Police ke ghair kanuni sargarmiyon me mulawis sola ahlkaar muatna.
10:57DIG Sakhar ka ahlkaaron ko B Company report karne ka hukum.
11:00Do inspectors, do ASI, do head constable aur das constable shamil.
11:06Taluk Khairpur Sakhar Ghotki se hain.
11:09Mulkhe beshtar alaakon me garmi ki shiddat barkaraar.
11:12Multan, Bahawalpur, Bhakkar aur Burewala mein para 45 degree tak pahunch gaya.
11:17Laya, Sahiwal, Sakoda, Gujrawala, Jhelum aur Jacobabad mein darjay hararat 44 degree centigrade record.
11:24Lahore aur Faisalabad mein 45.
11:26Peshawar, Rahim Yar Khan aur Rawabshah mein para 42 degree ko chhu gaya.
11:38Sindh mein nakal maafiya belagaan.
11:45Nushehro Feroz mein HMN Board Nawab Shah par hamla.
11:48Farooq Hussain ki gaadi par firing aur patrao kiya gaya.
11:51Farooq Hussain Shah ne bataya shikayat mausul hone par aaya to maafiya ne imtihani centre mein daakhle se roka aur hamla kiya.
11:5850 talaba ko nakal karte pakda.
12:00Ek usthaq ko bhi pakad liya.
12:01Na malum afraad ke khilab muqaddama darsh kara diya.
12:04Khairpur mein 11 Jamaat ka physics ka parcha out hu gaya.
12:07Whatsapp Brooks mein gardish karne laga.
12:09Karachi mein 12 Jamaat ka Angrezi ka parcha muqarrara waqt se pehle social media par viral.
12:15Imtihani Marrakesh mein Sarkariye Saatiza ke bajaye private afraad ke duty dene ka inkshar.
12:20Mulk mein polio ka ek aur case saamne aa gaya.
12:37Rawa saal polio cases ki taadaad 4 ho gaya.
12:40National Polio Testing Laboratory ki Shikarpur mein polio case ki tazdeek.
12:44Hukumat ka Eid-ul-Adha se kabar khususi insidade polio vahim jalane ka faisla.
12:48Rawa saal ki paanch bhi muhim ka aagaz 3 June se hoga.
12:52Khyber Pakhtunkhwa ke 23, Balochistan ke 20, Sindh ke 16 aur Punjab ke 6 isla aur Islamabad mein muhim chalaye jaayegi.
13:001 crore 65 lakh se zayad baccho ko vaccine philane ka hadar.
13:11Israel ki rafaah par shadeed bombari.
13:13Mazeed 60 palestini shaheed.
13:15Jabalia Panah Hussain camp ke malve se 20 baccho samej 70 palestiniyon ki lashen baramat.
13:2024 ghante mein mazeed 95 palestini shaheed kar diye.
13:24Majmuri taadaad 36,389 ho gayi.
13:30Qaza mein jangbandi ke liye Israel ka naya mansooba.
13:33American President Joe Biden ne tafsilat bata di.
13:36Kaha mujawidza mansooba 3 marahil par mushtamil hai.
13:40Pehla marhala 6 hafta tak idditaayi jangbandi ka hai.
13:44Jisme Israeli poch ghaza se nikal jaayegi.
13:46Qaidiyon ka tabatla hoga.
13:48Palestini shahedi ghaza wapas jaayenge.
13:50Doose marhale mein jang ke mustakil khatme ki sharaayt par baag cheeth hogi.
13:54Teez se marhale mein ghaza ki taamire nao hogi.
13:57Hamas ne tajawiz ko muzbat karar de diya.
14:02Bharat mein intiqabat ka aakhri marhala mukamal.
14:04Nataich ka ailaan 4 June ko hoga.
14:06Bharat mein Lok Sabha intiqabat ka aakhri marhale mein exit poll ke mutaabek.
14:10543 mise 109 nashiston par hukmaran ittihad aage hai.
14:14Bharati media ke mutaabek Modi ki Jamaat, BJP ittihad ko 75 nashiston par bartari hasil hai.
14:19Jabke opposition ittihad ko 34 nashiston par bartari hasil hai.
14:23Bharati media ke mutaabek BJP aur ittihadiyon ko 543 mise 350 seate milne ki tabakko hai.
14:30Opposition ittihad 120 seato par kamyaabi hasil kar sakegi.
14:34Saada aksariyat ke liye 272 nashiston darkaar hai.
14:40Bharat mein shadeed garmi intiqabi amle ke 25 sahilkaaro samay 87 afraad heat stroke se halak.
14:45Hazaro afraad bimaariyo mein mubtila.
14:47Delhi, Punjab, Haryana, Chandigarh, UP, Madhya Pradesh, Bihar, Odisha aur Jharkhand heat wave ki lapet mein hai.
14:55Mashriki Bharat mein garmi ki leher mazeed 2 din tak jaari rehne ka imkaan.
15:00Delhi mein ab takka sabse zyada darjay hararat 52 record kiya gaya.
15:05Rweda mein IT company ke AC mein garmi se aag bhadak uthi.
15:09Poori Bharat lapet mein aa gayi.
15:11Log apni madad aapke tehad chole bhujane ki naakaam ko usrish karte rahe.
15:17Germany ke junubi alaakon mein shadeed baarishon ke baad salaabi surat-e-haad,
15:20nadi naalo mein tokyani, nashabi alaake doop gaye,
15:23salaab ka paani gharon mein daakhil,
15:25traffic ka nizam darham-barham hu gaya,
15:27mutasira alaakon mein imdaadi karwaiyan jaari ki.
15:33Naras hokar ghar chhodne wali,
15:34toh Afghan khawateen ki vatan baapsi,
15:36Khawateen 80 home mein muqeen thi,
15:38Afghan hukam ke hawale kiya gaya.
15:40Nargis ne bataya,
15:41gharwalon se ladai hui,
15:42toh main Pakistan aa gayi thi.
15:44Rahila ne kaha,
15:45200 mein quarter paar kiya,
15:47bheek maang kar Karachi pauchi,
15:49dolo vatan baapsi par khush hai.
15:53Chairman PCB Mohsin Naqvi ki English cricket board ke
15:55sarbara Richard Thompson se London mein mulaqat,
15:58October mein scheduled Park England test series par baachi,
16:01Mohsin Naqvi ne Champions Trophy ke naqaat ke intizamat se bhi aagah kiya,
16:05kaha Pakistan mein cricket teamon ke liye fool-proof intizamat kiye jaayenge,
16:09Richard Thompson ko Park England series par daur hai Pakistan ki daavat di.
16:14Yakeen hai T20 World Cup mein,
16:16dinterst mukabde dekhne ko bilenge,
16:18Amriki Sapir Donald Bloom kyate hain,
16:20World Cup ke liye ravangi se kabar,
16:22Pakistan team ki Miss Bani ki,
16:24Kaptaan Babar Azam aur team ke liye re khahishaat hain,
16:27Pakistani team se batting aur bowling tips bhi liye hain.
16:33Aur football ke shaukeen,
16:35Saudi Waliyehid Shehzada Mohammed Bin Salman,
16:37Jeddah mein Kings Cup dekhne pahunch gaye,
16:39match ke ikhtitam par Fateh Al Hilal team ko trophy di,
16:42Al Hilal aur Al Nassar ka final match,
16:45Mimliqat ki taarikh mein pehli baad cinema halls mein barah-e-raaz dikhaya gaya,
16:48Al Hilal ne Al Nassar ke khilaf penalty par paan-chaar se kamyaabi hasi di.
16:54www.Facebook.com
16:56Facebook.com
16:58Facebook.com
17:00Facebook.com
17:02Facebook.com
17:04Facebook.com
17:06Facebook.com
17:08Facebook.com
17:10Facebook.com
17:12Facebook.com
17:14Facebook.com
17:16Facebook.com
17:18Facebook.com
17:20Facebook.com