• last year
what is taqwa? (fearing allah! GOd consciousness) by dr israar ahmed #taqwa #islam #quran #deen #dr israar ahmed
Transcript
00:00Muminoo Allah se daroo jaisa ke usse darne ka haq hai aur marna to musalmaan hi marna aur sab milkar Allah ki hidayat ki rassi ko mazboot pakde rehna aur firqe firqe na ho jana
00:12Aur apne upar Allah ki uss mehrbani ko yaad rakhna jab tum ek doosre ke dushman the to usne tumhare dilon me ulfat daal di
00:19Aur tum uski mehrbani se bhai bhai ho gaye aur tum aag ke gade ke kanare tak pahuch chuke the to usne tumko usse bacha liya
00:27Is tarah Allah tumko apni ayatin khol khol kar sunata hai taake tum laah-e-rast par raho
00:33Irshad-e-baari taala hai ya ayyuhal-lazeena aamanu taqullaha haqqa tuqaate
00:40Wala tabootunna illa wa antum muslimoon
00:46Aay imaan walo, aay imaan ke daav-e-daaro, aay imaan ka ilan karne walo, Allah ka taqwa ikhtyaar karo
00:56Jitna ke uske taqwa ka haqq aur dekhna maut na aane paaye magar farmabardaari ki haalaj mein
01:08Yeh aayat mere nazdi Quran-e-Hakeem mein infiradi tadayyun taqwa deendari sahih aamaal ko ikhtyaar karne ki taqeed ke itibar se aham tarin aayat hai
01:24Sabse pehdi baad Allah ka taqwa ikhtyaar karo jitna ke uske taqwa ka haqq hai
01:32Sahaba-e-Ikram isme pareshan ho gaye
01:36Isliye ki hamara aur sahaba-e-ikram ka Quran-e-Majeed ko padhna aur sunna inme bohot farq hai
01:46Hum Quran padhte hai sawab ke husool ke liye
01:51Wo Quran padhte the amal ke niyat se
01:55Lihata jo bhi aayat nazil hoti thi wo tolte the apne aapko hum ismat poore utar sakte hai yeh nahi
02:02To jab yeh aayat nazil hoi
02:04Ya ayyuhal lazeen aamanu taqullah haqmatu qaatim
02:07Gabraah gaye huzoor ki khidmat mein hazir hua
02:11Allah ke rasool Allah ke taqwa ka haqq kaun ada kar sakta
02:17Yaha aap apne zihin ke pasbandar mein rakhiye
02:21Nabi-e-Ikram sallallahu alaihi wa sallam bhi kisi waqt ajeeb kaifiyat mein yeh firmaya karte the
02:28Allah ma abadna ka haqqa ibadatik
02:32Hum teri bandgi aur itaat na kar sake jaise ki us bandgi aur itaat ka haqq tha
02:38Wa ma arafna ka haqqa ma'rifatik
02:42Hum tujhe pehchaan na sake teri ma'rifat hasil na kar sake jaise ki teri pehchaan aur ma'rifat ka haqq tha
02:51Surah-e-Hajj ke aakhir mein aaya hai
02:55Wa ma qadarullaha haqqa qadrih
02:59Hu Allah ki quwwatun ka, khudratun ka andaza nahi kar sake jaisa ki uska haqq tha
03:06Aur usi aakhri rukoo mein Surah-e-Hajj ke yeh bhi aaya hai
03:10Jahidu fillahi haqqa jihadih
03:15Jihad karo Allah ke liye jaisa aur jitna ki uske jihad ka haqq
03:21Yeh hai chunki baat shuru ki ja rahi fardh se
03:26Zahir baat hai
03:29Ke ummat millat
03:32Yeh afraad hi se banti hai
03:36Badi se badi faseel ho
03:38Pichle zamane ki baat kar raha hoon eeton se hi banti thi
03:43Agar eet kamzor hai faseel kamzor hai
03:48Kisi jagah par eete kamzor lag gayi hai
03:52Wo dusman ke wali yeh mauka faraham karegi wo jagah ke wahan se wo andar daakhil ho jaye
03:58Ek ek eet mukhta ho ni chahiye
04:01Aur phir usne eeton ke darmeyan rabdh bada muhkam ho na chahiye
04:05Cement substance unka jo hai
04:08Jo unhe jode hua hai wo bhi bahut mazmood ho na chahiye
04:11To pehli aayat mein insani shakhsiyat ki pukhtgi ka zikr ho raha hai
04:16Ya ayyuhallazeena amanoo taqullah haqqa tuqati
04:21Ab yaha par hume ghaur karna hoga ki taqwa ki haqiqat kya hai
04:26Aam tauba jo tarjuma kiya jaata hai laah se daroo
04:31Yeh achha tarjuma nahi hai
04:35Aur chunki aksaro beshtar logon ne yehi tarjuma kiya
04:38Aur Quran mein baar baar aata hai
04:40Ittaqullah, Ittaqullah, Ittaqullah
04:43To isaiyo ko yeh kehne ka mauka mila
04:47Ki Quran zyada Allah ke khauf par zor deta hai
04:51Jabki Masih ne aur jo Bible hai wo Allah ki mohabbat par zor deta hai
04:56Yeh itras karne ka unhe mauka mila hai
05:01Khauf ka lafz Quran ka khud Arabi zabaan ka lafz hai
05:04Quran-e-Majeed mein bhi aaya hai
05:05Fala takhaahoon wa thaafooni
05:09Tum unn se na daroo, apne dushmanon se na daroo, mujh se daroo
05:13Khauf ka lafz bhi hai
05:16Ya khaafoona yawman tatakallabu feehil quloobu walabsar
05:22Wo darte rehte hai us din ke tasboor se
05:24Jis din ke nigahe aur dil ulat jayenge
05:26Qiyamat ka din, hashr ka din
05:28To khaaf ka lafz Quran mein hai
05:30Arabi zabaan ka lafz hai
05:33Taqwa ke baani khaaf nahi hai
05:37Taqwa ke lafz bhi baani bachna
05:42Dekhiye waqayqi waqayatan
05:45Jisse kehte hai salasi mujarrat
05:49Us bhi baani hai waqayqi waqayatan
05:51Ke kisi ko bachana
05:56Khodi asani se yaad rak sekenge
05:58Ke jo hamaari dua hai
06:01Jo surah Baqarah mein haj ki duaon ke ziman mein
06:04Ahamtareen dua ki hasiyat se mazkoor hai
06:08Tabana aatinaa fid duniyaa hasanatahum
06:10Wa fil aakhirati hasanatahum
06:12Waqinaa azaaban naar
06:15Allah mein bachaa, aag ke azaab se
06:20To waqayqi waqayatan ke baani hai kisi ko bachana
06:25Iftiqaa
06:27Waaw
06:28Ta
06:29Ittaqaa
06:33Ittaqaa maani khud bachna
06:38Bachna Allah ki naafar maani se
06:43Bachna Allah ki naaraaz ki se
06:47Ek bachna out of love hota hai
06:50Out of reverence, out of respect
06:55Ek salim ul fitrat beta chahega
06:58Ki main koi aisi harkat mein karoon
07:00Ki meri walid ko usse dukh pohache
07:02Ye bhi bachna hai
07:04Zahir baat hai ki walid ka khawf nahi hai usse
07:08Ye uski ravish out of love hai
07:12Wal lazeena aamanu ashadduh hibban lillah
07:17Wah sahib-e-imaan hai, wah shadeed kareen mohabbat karte hai Allah ke saad
07:21Balki hamne jo haqiqat-e-jihaad ka mazmoon jo hai
07:25Usper ghor kiya, uske ziwan mein ek aayat
07:27Ja badi azeem aayat miss hai Quran ke
07:30Qul in kaana aabaaukum, waabnaaukum, wa ikhwanukum
07:34Wa azwaajukum, wa asheeratukum
07:38Wa amwaalun ittaraf tamuha
07:40Wa tijaratun takhshauna kasadaha
07:42Wa masakinun tardaunaha
07:44Aqba ilaikum minallahi wa rasoolihi
07:46Wa jihadin fee sabeelihi
07:48Fatarabbasu hatta yaati allahu bi amreeh
07:50Wallahu laa yahdil qauman faaseqeen
07:53Hai nabiyyin se keh dijiye
07:56Hai logon
07:58Agar tumhe apne baap
08:00Aur apne bete
08:02Aur apne bhai
08:04Aur apne zauj
08:07Mard ke liye biwi, biwi ke liye shahad
08:10Aur apne rishtedar
08:13Aur apne wo maal
08:15Jo tumhe bade mehnat se jama kiye
08:18Aur apne wo kaarobar
08:20Jinnme kasad ka, sard bazaari ka
08:22Tumhe khauf laahik rahta hai
08:25Manda na ho jaye
08:28Aur tumhare wo makaan
08:30Jo tumhe bahut mehboob hai, bahut sanjaya hai
08:32Bahut umda furnish kiya hai
08:34Aala tareen makaan banaya hai
08:37Agar ye 8 cheeze
08:39Zyada mehboob hai Allah se
08:41Aur uske rasool se
08:43Aur Allah ki rahmein jihad se
08:45Fatarabbasoo jaaho
08:47Dafa ho jaaho
08:49Hatta yaati allahu bi amri
08:51Yaha tak ki Allah apna faisla suna de
08:53Wallahu laa yahdil qauman faaseqeen
08:55Allah aise faaseekon ko hidayat nahi de
09:01Toh dar haqiqati Allah ta'ala ki muhabbat ke tahd hai
09:06Ki Allah aur Allah ke saad jo ahde wafa ustawaar kiya hai
09:10Iyyaka na'budu wa iyyaka nasta'een
09:13Ki aadmi phook phook kar qadam rakhe
09:16Kahin meh Allah ki kisi had se tajabuz na kar jaaho
09:20Allah ki qaim karda kisi had ko phalaan na jaaho
09:25Kahin aisa na ho ke shariat ka koi hukum
09:28Meh paabal kar do
09:31Phook phook kar qadam rakha
09:34Noo saans bhi ahista ki nazuk hai bahut kaam
09:36Afaak ki iskaar gahe sheesha garee ka
09:40Is ravish ka naam taqwa hai
09:43Ek defa hazrat-e-Umar-e-Farooq r.a.
09:48Ki majlis-e-shura mein yeh bahas chal nikli taqwa kise kahte hai
09:51How to define taqwa
09:55Sab hazarat ne apni apni raaye di hai
09:59Hazrat-e-Ubayy ibn Ka'b r.a.
10:02Ek ansari sahabi hai
10:05Jinn ke baare mein huzoor ne firmaaya hai
10:07Ki akrauhum Ubayy ibn Ka'b
10:11Mere sahaba mein Quran ka sabse bada jaanne wala
10:14Ubayy ibn Ka'b hai
10:17Wo khamosh baitha huye sun rahe the baatein
10:19Hazrat-e-Umar-e-Farooq r.a. ne khaas toh par kaha
10:21Ubayy aapne kuch nikah firmaaye
10:25Ab unhone kaha ki ameer-ul-mu'mineen
10:28Dekhiye idhar kabhi aapko kisi aise jandal me se guzarna la pade
10:34Isme koi pakdandi nahi hai
10:36Badi unchi-unchi ghaas hai
10:38Aur kadam-kadam par khaardar jhaadiyan hai
10:42Toh aap kaise guzrenge
10:44Jisse main baar-baar keh rahe hain
10:46Phoon-phoon kar kadam rakhna
10:48Dekhlo kahin is ghaas ke andar yaha
10:50Koi saam jo hai
10:52Woh kundli baare baitha ho
10:54Tumhara paon saam par jaa pade
10:56Ya kisi aur moozi jaanwar ke bil me paon jaa pade
10:59Ya kahin tumhare kapde jo hai
11:01Woh kisi jhaadi ke kaaton me ulat jaye
11:04Bach-bach kar nikalna
11:07Yeh taqwa hai
11:10Yeh zindagi ek safar hai
11:13Humari manzil aakhirat hai
11:15Jaise Huzoor ne farbaaya
11:17Innamad duniya khuliqat lakum
11:19Wa antum khuliqtum lil aakhirah
11:22Yeh duniya tumhare liye banayi gayi hai
11:24Tumhare liye baratne ka saamaan hai
11:27Dekhin tumhe aakhirat ke liye banaya gaya hai
11:29Yeh tumhara ghar nahi hai
11:31Toh yeh hai taqwa
11:36www.mooji.org

Recommended