ARY News 12 AM Headlines | 8th August 2024 | Prime Time Headlines

  • 2 months ago
#headlines #toshakhanacase #imrankhan #pmshehbazsharif #weathernews #bangladesh #olympics2024 #supremecourt

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Official Facebook: https://www.fb.com/arynewsasia

Official Twitter: https://www.twitter.com/arynewsofficial

Official Instagram: https://instagram.com/arynewstv

Website: https://arynews.tv

Watch ARY NEWS LIVE: http://live.arynews.tv

Listen Live: http://live.arynews.tv/audio

Listen Top of the hour Headlines, Bulletins & Programs: https://soundcloud.com/arynewsofficial
#ARYNews

ARY News Official YouTube Channel.
For more videos, subscribe to our channel and for suggestions please use the comment section.
Transcript
00:00Bani PTI ka 9 Mai par mashroot maafi maangne ka alaan, kaha 9 Mai waqiat ki CCTV saamne
00:09laaye, mulzimaan PTI ke nikle to party se nikaalunga, maafi bhi maangunga, suboodh
00:15kyun chhupa rahe hain, mulzimaan ki shunak karke kaifre kirdar tak pohchaya jaye, Bani
00:20PTI ki adhiyala jail me sahafiyon se guftugu, kaha 9 Mai ki mutasreen hum hain, insaaf diya
00:26jaye.
00:27Bani PTI se darta to judicial commission ka mutalba na karta, mere ighwa par mujhse maafi
00:32maangi jaye, fauj qaumi idara hai uska tahafuz hum sabki zimmedaari hai, mul ke khaatir baat
00:37karne ko tayyaar hu, nag raha hai kuch bada hone ja raha hai, Shaibaz, Dawaaz, Zardari
00:43aur Mohsin Naqvi ke naam ECL me daale, Haseeda Majid ki tarah faraar ke raste band kiye jaye,
00:48sahafi ne poocha, Sheikh Mujib ke mujasme tode gaye, wo ab bhi aapke hero hain, jawab
00:54diya, Sheikh Mujib par jo bhi baat kiye wo Hamudur Rehman Commission ki findings hain,
00:59meri nahi.
01:13Ek mujassama kya gira, aapne to imaan hi badal liya, aap Sheikh Mujib ko hero maante
01:17the, Wifaqi Wazir-e-Tilaat Atta Tarar ki press conference kaha, PTI wale ab Haseena
01:22Wajid ki baat kar rahe hain, Sheikh Mujib ne taqseem peyda ki thi, aap bhi taqseem peyda
01:27karne ke hi qaail hain, Taral Chaudhry bole, Saniha-e-Naumei ka itraf-e-jurum karne wala
01:32ab suboot maang raha hai, Corps Commander House ke bahar Bani PTI ki behne, bhanja aur
01:37party rahanuma maujood the, CCTV footage me Corps Commander House ke bahar inke leader
01:42dekhe ja sakte hain, inki siyasat hamesha se jalao gherao par mabni rahi, mashrood muafi
01:47se behtar hai, ghair mashrood muafi maang li jaaye.
01:52Dekhiye yeh Wazirat-e-Islam ka vision hain ki humne Bijli ki keemat kam karni hain har
02:07haal mein, taas koth ka qiyam amal mein aa chuka, yeh saare itamaat diye jaa rahe hain,
02:12kaafi cheezon par itifaq bhi hua hain, kaafi cheezon par mazeed itifaq hona hain, kal shaam
02:16mein mazeed ek press isp hogi, umeed hain ki yeh maamla jo hain kusht 20 saal.
02:20Jamaat-e-Islami aur Hukoobti Committee ke muzaqraat mein peshraab, Wazir-e-Azam ki hidayat par
02:25task force kaim kar di gayi, Wafaqi Wazir Atataran ne waft ko yaqeen dihaan hi kara di.
02:29Aaj muzaqraat ka hatmi daur hoga, muzaqraat ke baad media se guftagu mein Wafaqi Wazir
02:35Atataran ne kaha, Jamaat-e-Islami ke saath kaafi cheezon par itifaq hua hain, Bijli sasti
02:40karna aur Wazir-e-Azam kabhi agenda hai, saare kaam chod kar muzaqraat kar rahe hain to
02:45matlab hal chahate hain, 1300cc tak ki gaadi istimaal karni chahiye, isme ghalat kya hain,
02:51sarkari officer se gaadi lena bhi ghalat hain, ek system ke tahad chal rahe hain, Jamaat-e-Islami
02:56ka DE chowk tak jaane ka irada nahin.
02:58Liaqat Baloch ne kaha, hukoobat ne humare mutaalbaat se ikhtilaf nahi khiya, qayyadat
03:02se baad karke hukoobat ko aagah karenge, dharne mein kaarkund maujood hain, ailaan
03:07ke mutaabik march hoga.
03:15Jamaat-e-Islami ne is baad ka faisla kiya, ki is qaum ko hum maayus nahi hone denge,
03:24balke isko ek maqsad se hum aang karenge, aur uske baad ek padi tehreek ko barba karenge.
03:31Ye dharna Pakistaniyon ki umeedon ka markaz ban gaya hai.
03:35Jamaat-e-Islami qaum ko maayus nahi hone degi, Hafiz Naeem ur Rehman ka tehreek shuru
03:41karne ka ailaan, dharne se khitab mein kaha, tehreek ka har marhala pur aamn hoga, pur
03:46aamn rehna hi humari kaamiya bhi hogi.
03:4810-15% logon ko bunyadi hukook hasil hain, baaki sab pareshan hain, ye poora nizam zulm
03:54ka nizam hain, aur hum iske khiraaf hain.
03:57Ye nizam mazdoor, kisaan aur khawateen workers ko hukook nahi deta, aise bhi jagirdar hain
04:03jinhe ghaddari ke silah mein zameene mili, form 47 walon se jaan chudana hogi, siyasi
04:08qaidiyon ko azaad hona chahiye, har jamaat ko jalsa ki ijazat honi chahiye, nafrat aur
04:13intishar ki siyasat se gurez karna chahiye.
04:16Liaquat Bagh, Rawalpindi mein Jamaat-e-Islami ka dharna chaudh mein roz mein daakhil, Karachi
04:21mein Governor House par bhi Jamaat-e-Islami ka dharna jariye.
04:24Israel's ongoing war against the people of occupied Palestinian territory is manifestly
04:41engulfing the whole region.
04:43Assassination of Ismail Hania in Tehran, where he was a guest, has surely escalated the tensions.
04:52Ismail Hania ki shahadat ne kashid ki ko badhaya, Pakistan is katil ki muzzammat karta hai.
04:57Israel ne hazaron beguna palestini bachon aur khawateen ko shaheed kiya.
05:01Schoolon, hospitalon, imdaadi kaaflon aur panagahon ko bhi nishana banaya.
05:06Insani buniyadon par samaan aur jaan bachane wali imdaad bhi rog di.
05:09Wazir-e-Kharjah is aagdaar ka Jaddaab-e-OIC ki Executive Committee ke ghair maamuli ijlaas
05:14se khatab, kaha duniya ko is waqt jang nahi amn ki zarurat hai.
05:18Hummat-e-Muslima ko OIC se booz zyada tawakat hai.
05:22Israeli mazalim rokne ke liye sabko apna kirdar ada karna chahiye.
05:26Israel ko iske mazalim par jawab de banana hoga.
05:29Pakistan palestini bhaiyon ke saath hai.
05:31Ijlaas ke niqaat par Saudi Qiyadat ke shukar guzaar hai.
05:35Iran-e-Sadr ne khabardaar kiya ki kisi bhi qism ki jarhiyat ke saamne khamosh nahi rahenge.
05:49Francis Yehamansab se chalafon-e-guftagu me kaha, qaumi salamati ke khilaf jarhiyat
05:53par khamosh nahi raha jaayega.
05:55Iran-e-Army Chief ne bhi Israel ko khabardaar kar diya, bole jald Ismail Haniya ki shahadat
06:01ka badlaa lehenge.
06:31Bangladesh me Talba Inqilab ke baad zindagi maamool par aane lagi.
06:34Talba Tehreek ki dhaka me safai muhim, naujawan jhaadu aur boriya lehkar sarko par jama kachra
06:40thikkaane lagane lage.
06:42Kai dino ki hangamon ke baad is jaga-jaga kachre ke dher lage the.
06:46Bangladesh me aaj bhi aam taateel hai.
06:49Mafroor Haseena Wajid, America aur Britannia se mayoos, sabikh Bangladeshi Wazir-e-Azam
07:00siyasi panah ke liye mutabadil raste talaash karne lagi.
07:04Bharati media ne bataya, dono mulko me siyasi panah lene me naakami par Haseena Wajid ab
07:09Muttahidda Arab Emirat, Saudi Arab aur Finland jaane par ghor kar rahi hain.
07:14Haseena Wajid ko Bharat faraar huye 48 ghante guzar chuke, lekin abhi tak hatmi manzil ka
07:18taayun na ho saka.
07:20Peer ki Sob, Bangladesh ke Wazir-e-Azam House me kya hua, Ameriki akhbar ne bata diya.
07:25New York Times ke mutabik, Peer ki Sob, Barri, Behri, Fazaiyya aur Police ke sarbara Wazir-e-Azam
07:30House pohnche.
07:31Haseena Wajid ne muzahireen par crackdown ki baat ki, toh Fauj ne ise naamumkin karar
07:36diya.
07:37Haseena Wajid iktidar chodna nahi chahati thi.
07:40Dopehar 1 baje ke qareeb, Haseena Wajid ki takhreer ki tayyari jaari thi, lekin live
07:45nashriyat ke liye aane wala truck, Wazir-e-Azam House ke bajaye Army Chief ke daftar pohnch
07:50gaya.
08:15Ab tak istighasa ke 34 gawahan par jiraa mukammal ki gayi, aakhri gawa par jiraa aaj
08:21mukammal hogi.
08:22Ehtisab Adalat ne 14 gawahan ki shahadaton ko ghair zaruri karar dete hui, samaat multavi
08:27kardi.
08:28Bushra Bibi ne bariat ki darkhaaz daayar kardi, Adalat ne fariqain ko notice jaari kardiye.
08:45Bani PTI ne kaha hai pehle CCTV footages saamne laayen, uske baad muafi ka dekhenge.
09:03Opposition leader Umar Ayub kehte hain, Bani pehle din se hi footages ki baat kar rahe
09:08hain, hume pata hai wo log humare karakun nahi the.
09:11Jinn logon ne CCTV footages ghaayab ki, unse poocha jaaye.
09:15Qaima Committee baray Khazana ke ijlaas se walkout ke baad media se guftubu mein kaha,
09:19Bangladesh mein Haseena Wajid ka haal dekh lein, yehi yahan bhi hoga.
09:23Jo marzi kar lein PTI ka raasta nahi rok sakenge.
09:36Tehreek-e-Insaf ne Election Act me Tarmeem Supreme Court me challenge kardi.
09:41Siddharth Sherman, PTI, Barrister Gauhar ne ayani darqaaz daayar ki, Election Commission
09:46ko maqsoos nishiste doosri siyasi jamaaton ko allot karne se rokhne aur nishiste PTI
09:52ka allot karne ka hukum dene ki bhi istida Tehreek-e-Insaf fahriste Election Commission
09:57me jama kara chukhi.
09:5812 July ke faisle ke baad maqsoos nishiste Tehreek-e-Insaf ka haq hai.
10:03Election Act Tarmeem-e-Bill 2024 tausik ke liye Sadr ko irsaal.
10:13Senate Secretariat ne Tarmeem-e-Bill Sadr Asif Ali Zardari ko irsaal kiya.
10:17Senate aur Qaum-e-Assembly ne gudashta roz bil ki manzoori di thi.
10:20Sadr Asif Ali Zardari ki tausik se bil qanuni shakal ikhtyaar kar lega.
10:33Election Commission ne maqsoos nishisto ke case me nazri saani appeal daair kar di.
10:47Supreme Court se 12 July ka faisla wapas lene ki istida darqaas me kaha Election Commission
10:53ne kisi adalati faisli ki ghalat tashreed nahi ki.
10:56Aayin aur kaanoon ke mutaabik zimmedaari nibhai.
10:59Supreme Court aayin ke article 218 me mudaakalat nahi kar sakti.
11:03Aayin ki ghalat tashreed par muaamla aayini idarae ko remand kiya jaana chahiye.
11:07Election Commission ne 49 arkaan ki had tak faisle par amal daraamat kar diya.
11:12Tehreek-e-Insaf case me fareek nahi thi usko relief diya gaya.
11:15Azaad arkaan ne bhi Supreme Court se ruju nahi kiya.
11:18Sunni Ittihad Council ne election me hissa liya na maqsoos nishisto ki fairness jama kharay.
11:29Governor Khyber Pakhtunkhwa Faisal Karim Kundi ki wifaqi Wazir-e-Daakhla Mohsin Naqvi se mulaqat.
11:37Wazir-e-Daakhla ki Peshawar aur Abbottabad me Cricket Academies
11:40aur deegar sahulaton ke qayam ki yaqeen dehaani.
11:43Mohsin Naqvi ne kaha, doosre marhale me D.I. Khan aur Malakand me Cricket Academies qaim ki jaayengi.
11:49Puri Qaum ki nazre Arshad Nadeem par.
11:57Paris Olympics me Pakistan ke liye medal ki wahid ummeed.
12:01Arshad Nadeem javelin throw ke final me aaj action me hunge.
12:05Mukabala Pakistani waqt ke mutaabik raat 11 bachkar 25 minute par shuru hoga.
12:09Defi Champion Bharat Ke Neeraj Chopra se kaate ke mukabali ki tawakko.
12:13Kya Arshad 32 saal baad Pakistan ko medal dila paayenge?
12:17Star Javelin thrower ne Qaum se mazeed duaon ki appeal kar di.
12:21Mia Chunnu me Arshad Nadeem ke coach Rashid Ahmed Sakhi kahte hain
12:25Arshad mukamal fit hain, final me 95 meter ki throw karenge.
12:35Pakistani talba ka ek aur shandaar karnama
12:37Philpine me pehle Benalapommi Nuclear Science Olympiad me Chandi aur Kansi ke tamghe jeet liye.
12:43Suleman Numan aur Subhan Kashif ne silver medal hasil kiya,
12:46Ehbaan Awan aur Qasim Salaam ne Kansi ka tamgha jeeta.
12:54Hukumat me Rashid Langdial ko naya chairman FBR tayinat kar diya.
12:57Establishment Division ne tayinati ka notification jari kiya.
13:00Grade 21 ke Rashid Langdial is waqt Secretary Power Division tayinat the.
13:05Sabir Chairman FBR Majeed Zubair qablaz waqt retirement ki darkhaaz de chuke the.
13:18Karachi ke Joharabad me firing se Police Ahlqar qatl waqe ki video saamne aa gayi.
13:22Dakeet ko Police Ahlqar Shabbir Ahmed se asla cheente dekha jaa sakta hai.
13:27Zakhmi Shabbir Ahmed aakhri dam tak ladta raha.
13:31Mulzim Ahlqar ki motorcycle aur asla le gaya, apni bike chod gaya.
13:35Police ke mutaabik Ahlqar par 9mm se 10 goliyan barsai gayen.
13:44Karachi ke alaqe Defence me 2 groupon ke darmian musallah tasadum ki tahqeeqaat me peshraft.
13:48Police ne mazeed shawahid aur CCTV footage jama karni.
13:51Nawabzada Mir Ali Bugti ko shamle tafteesh kiye jaane ka imkaan.
13:55Ek group ke musallah afraad Fahad Bugti ki rehaishgah ke qareeb bohnte.
13:59Nawabzada Mir Ali Bugti group ki sarparasti kar raha hai.
14:02Firing me Fahad Bugti samayet 5 afraad jaan se gaye the.
14:13Punjab ke mukhtalif shehro me baarish.
14:15Nashibi alaqe Zeriab, Islamabad aur Rawalpindi me rain emergency.
14:19Baarishon ka silsila 2 din tak jaari rehne ki peshgoi.
14:23Gujrat aur Wazirabad me bhi jal thal ek ho gaya.
14:26Karachi be baarishon ke baad mausam khushgawar lekin sadke taba ho gayi.
14:30Nata Khan pul par ek baar phir gadha pad gaya.
14:33Markazi shahra pe toot poot ke baayis traffic ki rawani buri tara mutasir.
14:37Musafro ko shadeed mushkilat ka saamna.
14:40Minto ka safar ghanto me tay karne par majboor.
14:42Sakhi Hassan ke kareeb bhi sadak dhas gayi.
14:453 din baad bhi murammat ka kaam mukamal na ho sakha.
14:49Bangladesh ka bharataraf intelligence chief Behroon-e-Mulk faraar hote hue tayyare se pakda gaya.
15:16Major General Zia-ul-Ahsan ko tayyara rokkar ghariftaar kiya gaya.
15:20Al-Jazeera Investigation Unit ke rukun ka kehna hai,
15:23Major General Zia-ul-Ahsan par mawra-e-adalat qatl aur jabri gumshudgiyon ke ilzamat the.
15:29Social media accounts ki nigrani aur phone calls ki recording,
15:32Major General Zia-ul-Ahsan ki zimmedaari thi.
15:35Unhe Haseena Wajid ke intahai kareeb samjha jaata tha.
15:38Haseena Wajid ka takhta ulatne ke baad,
15:40Saabik Wuzra aur Afsaraan ki pakad dhakad bhi shuru ho gayi.
15:43Wazir-e-Kharjah Hassan Mahmood aur Wazir-e-Mumlikat Baraib-e-Waslah Junaid Ahmed Palak ko ghariftaar kar riya gaya.
15:49Opposition leader ne teen baame election karane ka mutalaba kar diya.
16:03Pakistani hukumat aur awam Bangladesh ke awam ke saath khade hain.
16:06Umeed hai Bangladesh ke halaat tezi se maamul par aayenge.
16:10Bangladesh ki surat-e-hal par Pakistan ne pehla bazabata bayan jari kar diya.
16:14Wizarat-e-Kharjah ka kehna hai,
16:16Yaqeen hai Bangladesh ke awam ka jazba aur ittihad,
16:19Unhe hum ahang mustaqbil ki taraf le jaayega.
16:29Jo Bangladesh me ho raha hai, Bharat me bhi ho sakta hai.
16:33Saabik Bharti Wazir-e-Kharjah Salman Khursheed ne Modi Sarkar ko kabardar kar diya.
16:38Kaha Bharat me badamni sar utha sakti hai.
16:41Maujooda surat-e-hal ke Bangladesh par bure hasraab padege.
17:08Bangladesh ke khilaf test series ke liye Qaumi Squad Thailand shaan Masood ka yaadat karenge.
17:17Shaheen Shah Afridi ki jagah, Saur Shakeel Naib Kaptaan mukarrar.
17:21Domestic me shandaar performance par Kamran Phulam, Mohammad Huraira aur Mohammad Ali Squad me shamil.
17:26Imam ul Haq, Drop, Bhabar Azam, Sarfaraz, Rizwan, Shaheen Afridi, Naseem Shah aur Saim Ayub Squad ka hissa.
17:34Pehla test 21-25 August tak Rawalpindi, Doosra 30-3 September tak Karachi me khela jaayega.

Recommended