• 4 months ago
Discover the power of Islamic motivation and transform your life!

In this inspiring video, we delve into the core principles of Islam that fuel motivation and drive. Learn how the teachings of the Quran, the wisdom of Prophet Muhammad (peace be upon him), and the Five Pillars of Islam guide believers toward a life of purpose, discipline, and righteousness.

Category

📚
Learning
Transcript
00:00Sadh or sadhi aapke saath
00:03Aao seekh hai hadees
00:06Seekh hai hadees
00:07Shor na karo
00:09Shor na karo
00:14Shor na karo, shor na karo
00:16Don't make noise, don't make noise
00:18Shor na karo, shor na karo
00:21Don't make noise, don't, don't, don't make noise
00:23Hmm, maza aare sunne mein
00:25Bahut achi poyamein
00:27Mashallah
00:28Aapne sabko zagaane se
00:30Gali mein shor machaane se
00:32Ya Allah, itni tez awaaz
00:34Kisi ki bhi neet kharaab na karo
00:38Don't make noise, don't, don't, don't make noise
00:41Shor na karo
00:44Afia, itni tez awaaz mein TV dekhna achi baat nahi hai
00:48Kam kyu katti aapi, tez awaaz mein hi toh maza aata hai
00:51Waise kitni ajeeb baat hai na
00:53Ek taraf toh aap phone sun rahi hai
00:55Ke shor na karo
00:56Aur khudi itni tez awaaz mein
00:58TV chala kar shor macha rahi hai
01:00Chale, ab aap jaa kar hoover kar le
01:03Kyuki mujhe Kids Madni channel ka program
01:06Pyaari Kaliyan dekhna hai
01:12Pyaari Kaliyan toh mujhe bhi bahut acha lagta hai
01:15Lekin aapi mein poems dekh rahi hu
01:18Lekin aapi toh aakar Pyaari Kaliyan lagayengi
01:21Ab main kya karoon?
01:23Idea!
01:24Remote hi chhuba deti hu
01:26Remote ka bagaye toh aapi poem hata hi nahi paayengi
01:29Haan, yeh theek hai
01:32Taraas ho chhupa tu
01:36Nahi nahi, yaha se toh aasaan hi samil jayega
01:41Nahi, carpet ke niche toh
01:43Pairon ke niche aake hi toot jayega
01:46Nahi, yeh jagah bhi theek nahi hai
01:49Nice
01:53Aafia, abhi tak aap homework karne gayi nahi?
01:56Aapi woh, remote nahi mil raha
01:58Remote nahi mil raha?
02:00Areh, abhi toh mene awaaz halki karke yaha sofa pa rakha tha
02:04Ji, lekin pata nahi kaha chala gaya
02:06Aise kaha jaa sakta hai?
02:08Dekhe, yahi gayi hoga
02:12Nahi mil raha na?
02:13Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh
02:16Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh
02:19Waalaikumussalam warahmatullahi wabarakatuh
02:22Kya baat hai beta, aap itni prashan kyu lag rahi hai?
02:25Babajan, remote pata nahi kaha chala gaya
02:28Mujhe Pyaari Kaliya ka naya episode dekhna tha
02:32Kaha rakha tha aapne remote?
02:33Yaha sofa par, Aafia ke paas rakha tha
02:36Aafia, kaha rakha tha aapne remote?
02:39Hmm, pata nahi
02:46Aafia, idhar meri taraf dekhe
02:49Ji, Babajan
02:50Aafia, jhoot bolna bahut buri baat hai
02:53Chahe hamara kitna hi bada noosaan ho raha ho
02:56Hame jhoot nahi bolna chahiye
02:58Aapko pata hai, hamare Pyaar-e-aaka
03:00Sallallahu ta'ala alaihi wa alihi wa sallam ne farmaya
03:03Iyyakum wal-qadeeba
03:05Fa innal-qadeeba yahdi ilal-fujoor
03:08Yani, jhoot se bacho
03:10Kyunke jhoot guna ki taraf le jata hai
03:12Astaghfirullah
03:14Dekhen, agar aapko lag raha hai
03:16Ke aap log koi ghalati karenge
03:18Aur baad mein sach bol kar uss ghalati ko maan lenge
03:21Toh main aapar ghusa karunga
03:23Aisa bilkul bhi nahi hai
03:24Lekin ye baat zarur hai
03:26Agar aapne remote chhupaya hai
03:28Toh sach bol den
03:29Koi bhi aapko kuch nahi kahega
03:30Babajan, mainne Maddini channel par
03:32Ameer-e-Ilahi-Sunnat ka bhi
03:34Ek aisa hi bayan suna tha
03:36Jisne aap farma rahe the
03:38Ke chhote bachon ko unki ghalati par
03:40Bahut Pyaar se samjhana chahiye
03:42Ji, haan aisa hi hai
03:43Jis tarah badon ko bachon ki ghalati par
03:45Unhe Pyaar se samjhana chahiye
03:47Isi tarah bachon ki bhi chahiye
03:49Ke agar unse koi ghalati ho jaye
03:51Toh sabse pehle apne badon ko aakar bataye
03:53Taake badon unki islah kar sakey
03:56Mujhe Ghosh-e-Paak Rahmatullah-e-Taala le ka
03:58Wo waqia yaad aara hai
03:59Aapko daakon ne pakad liya tha
04:01Aur aap se pucha ke tumhare paas kya hai
04:03Toh aapne bina dhare
04:05Sach-sach bata diya
04:06Ke mere paas itne-itne paise hain
04:08Jab ke wo paise jo Ghosh-e-Paak ke paas the
04:11Daakon ko dhoondne se kabhi bhi nahi mil sakte the
04:14Phir toh baba jaan Ghosh-e-Paak Rahmatullah-e-Taala le ka
04:18Kaafi nukhsan ho gaya hoga
04:20Beta nukhsan ke dar se jab hum jhoot bolte hain
04:23Toh ho sakta hai
04:24Ke waqti tohr par, zahiri tohr par
04:26Humme koi fayda bhi ho jaye
04:27Lekin end result nukhsan hi hota hai
04:30Aur aapko malom hai
04:31Ke Ghosh-e-Paak ke ishtara sach bolne se
04:33Un daakon par itna asar hua
04:35Ke unhone apne gunaon se tohba kar li
04:38Aur sab ko unka samaan wapis karke chod diya
04:40Yeh hai sach ki taaqat
04:42Ji baba jaan, maine hi chhupaya toh remote
04:45Lekin aapi ko bhi dekhe na
04:47Yeh mujhe poem nahi dekhne de rahi thi
04:50Kahaan chhupaya hai?
04:51Yeh le, yeh raha
04:53Shabbaash, ki aapne sach bola
04:56Lekin beta, ishtara sofa mein remote ya koi bhi cheez chhupane se
05:00Sofa kharab bhi ho sakta hai
05:02Aur agar wo cheez us gap se andar chali jaati
05:05Toh humme sofa khulwa kar usse nikalwana padta
05:07Jisme paise bhi lagte aur parashaani bhi hoti
05:10Sorry baba jaan
05:12Koi baat nahi beta
05:13Ainda kabhi bhi jhoot mat boliyega
05:16Ji, inshallah
05:18Baba jaan, yeh jo hadith abhi aapne sunayi hai
05:21Wo humme bhi yaad karwaadein
05:22Ji beta, kyu nahi?
05:23Pehle main padta hun
05:25Phir aap bhi mere saath saath dohrayen
05:27Aur jhoot se bachon
05:29Aur jhoot se bachon
05:31Kyunke jhoot guna ki taraf le jaata hai
05:33Kyunke jhoot guna ki taraf le jaata hai

Recommended