Urdu kahaniyan

  • 2 days ago
Kids stories
Transcript
00:00Maachis Wali Ladki
00:08Yeh kahaani kuch hi arse purani hai.
00:12Ek shher mein khubsurat si ladki rehati thi.
00:15Wo ek nai saal ki shaam thi.
00:18Aur ladki sadak ki kinare maachis ke dabbe apne haath me liye chal rahi thi.
00:22Usne kuch dabbe apne kapdo ki jeb me bhi rakhe hue the.
00:27Baraf baari ho rahi thi.
00:29Jisne uske baalo ko dhak diya tha.
00:31Aur gardan ke erdgir khubsurat ghoongrele baalo ko bhi.
00:34Wo soba se chal rahi thi.
00:36Lekin ek bhi maachis ka dabbe na bej sakhi.
00:39Wo sadak pe kaafi logon ke paas gayi.
00:41Lekin kisi ne bhi usse ek bhi maachis nahi khariji.
00:45Kyunke har koi wahaan shaam se look indos ho raha tha.
00:51Footpath ke kinare chalte hue ladki ne bausi dukaane dekhi.
00:55Jinme cake aur mukhtalif khaane the.
00:57Usne bautse restaurants dekhe.
00:59Jisme log mukhtalif khaane kha rahe the.
01:02Aur saath hi unke mej pe moombattiye chal rahi thi.
01:05Ladki bhi baut bhooki thi.
01:07Kyunke usne soba se kuch bhi nahi khaaya hua tha.
01:10Wo manzar ko nazar andaas karte hue aage chal padi.
01:14Wo kap kapa rahi thi.
01:16Kyunke raat ho gayi thi.
01:17Aur thand baut badh gayi thi.
01:19Wo theek tara chal bhi nahi pa rahi thi.
01:21Kyunke wo nange paon thi.
01:23Din ke waqt wo ghar par apni bimaar dadi maa ke parapar beti hui thi.
01:29Mary, kya tum aaj bahar jaakar kuch maachisein bech sakti ho?
01:33Hum kuch khaana kha sakenge agar tum kuch bech sako.
01:37Nahi ammi, bahar bahot thand hai.
01:40Jaa bewaqoof ladki.
01:42Jaa aur shaam tak saari maachisein bech kar aa.
01:45Ghar mat aana jab tak saari maachisein bikh na jaaen.
01:49Jaa beta.
01:51Warna wo dubaara se tumhe maarega.
01:54Mujhe bahot afsoos hai ke Meera itna zaalim beta hai.
02:00Roi nahi dadi amma.
02:02Main jaati hu.
02:04Mary ne kuch maachise ke dabbe apne kapdo mein rakhe.
02:07Apni ammi ki chaple pehni aur nikal gayi.
02:10Usne apni poori kojish ki maachise bechne ki.
02:13Kaafi logon ke paas bhi gayi.
02:15Lekin kisi ne bhi nahi kharida.
02:17Ab andhera ho raha tha aur Mary bahot bhooki thi.
02:20Fir usko apne baap ka ravaiyya yaad aaya.
02:23Usne phir se chalna shuru kar diya.
02:25Sadak ke kinare pe wo kuch logon se takda gayi.
02:29Are maazrat.
02:31Main deek hoon.
02:32Kya aap kuch maachise kharina jaahenge?
02:35Maaf karna choti gudiya.
02:37Mujhe zaroorat nahi.
02:41Aur wo chal diye.
02:42Mary ko achanak andaza hua ke wo nange pair hai.
02:46Usko aisaas hua ke uski ek chappal toot gayi thi.
02:49Usne doosi dhoondna shuru ki aur wo usko ghatar mein mili.
02:53Wo usko waha se nikal na sakhi.
02:58Mary ne faisla kiya ki wo nange pair hi chali jayegi.
03:01Aage badhne se pehle usne yatmanan kiya ki uski maachise mehfooz hai ke nahi.
03:06Wo kaafi logon se mili.
03:08Lekin kisi ne bhi maachis na kharidi.
03:10Dhaki haari wo do gharon ke darmiyan ek kone mein baith gayi.
03:13Aur kuch der waha aaraam gharne ka socha.
03:17Thand mazeed dodh rahi thi.
03:19Ladki apne haate maachis liye sochne lagi.
03:22Agar main ek maachis jala loon toh kuch garmaish mil jayegi.
03:26Ek aur khayal uske zahin mein aaya.
03:30Agar abbu ko iske baare mein pata chala toh wo bahot naraz honge.
03:34Lekin tabkafahat ne usko phir sochne par majboor kar diya.
03:38Unko kaise pata chalega agar main sirf ek maachis jala hoon toh?
03:43Usne himmat karke ek maachis nikaali aur kareep padhi ek lakdi jalai.
03:49Are achanak hi wo maachis ki teeli ek choole mein tabdeel ho gayi.
03:54Ladki ko gharmaish mili.
03:56Usne choole ke paas apne haath kar diya aur gharmaish lene lagi.
04:01Wo bahot khush thi.
04:03Lekin kuch hi der mein ek baraf maachis ki teeli pe giri aur aag bhuj gayi.
04:09Wo bahot mayoos hui.
04:12Kuch hi der mein wo phir se kap kapane lagi.
04:15Usne thod der socha aur maachis ka dabba pahar nikaala.
04:19Usne ek aur maachis ki teeli nikaali aur kareep hi ek diwaar se usko jalaya.
04:24Wah! Achanak hi us diwaar se aar paar nazar aane laga.
04:28Wo ab diwaar ke paar dekh sakti thi.
04:31Ghar bahot usurat tha aur achcha sajha hua tha.
04:34Wahan ek aatish daan tha aur bahot saari moombatiyan jal rahi thi.
04:39Us ghar mein rehne wale log khaana kha rahe the.
04:42Usko kaafi khaane aur kek khaane ki maes par rakhe nazar aa rahe the.
04:47Jahan us ghar ke log maes ke gird baite baate kar rahe the.
04:51Mary ne wahan maes par ek bhuni hui murgi plate mein rakhi hui dekhi.
04:55Achanak hi murgi Mary ko ghurne lagi.
04:59Wo phir se hairaan ho gayi.
05:01Agle hi lama usne plate apni taraf aate hui dekhi.
05:06Jaisa ke wo bahot bhooki thi,
05:08wo plate apni jaanab aate hui dekh kar bahot khush hui.
05:12Murgi diwaar ke paas aa gayi.
05:14Mary apna haath diwaar mein daal kar murgi ko pakarne hi wali thi.
05:18Usi waqt maachis ki theeli pe lagi aag guj gayi.
05:21Aur sab kuch ekdum ghayab ho gaya.
05:24Ab koi aar paar dikhne wali diwaar nahi thi.
05:28Mary bahot mayoos hui.
05:31Ae khuda, meri in haalaat mein madad farma.
05:35Ushi waqt usne ek kooptahua taara dekha.
05:38Uske zain mein khayal aaya.
05:44Log kehte hai, jab taara tootta hai toh koi fauth ho jata hai.
05:48Meri daadi amma bahot bimaar hai.
05:51Kya iska matlab hai ke maine apni daadi amma khodi?
05:55Oh, wo toh much se bahot pyaar karti thi.
05:59Rote hua usne ek aur maachis ki theeli nikaali aur jalai.
06:03Daadi amma ko saamne dekhkar usko koi hairani nahi hui.
06:07Are, daadi amma, aap yahaan?
06:09Haan, meri bachhi.
06:10Main tumhare liye yahaan hu.
06:12Mary daadi amma ko dekhkar khush hui.
06:15Lekin agle hi lamay wo dar gayi.
06:17Usne socha ki uski daadi amma bhi ghayab ho jayengi.
06:21Usne mazeed kuch maachis ki theeliyan dabbe se nikaali
06:24aur jalti hui theeli pe rakh di.
06:26Aur phir roshni ho gayi.
06:28Roshni wo bhi sooraj ke barabat.
06:30Raat ke is pehar,
06:32Mary aur daadi amma ke kirr bahot tez roshni thi.
06:36Mary ne apni daadi amma ki taraf dekha.
06:39Wo apne naye sufayt kapdo mein bahot khubsurat lag rahi thi.
06:43Daadi amma Mary ki taraf dekhkar muskara rahi thi.
06:46Daadi amma, mujhe yahaan rukne mein bahot dar lag raha hai.
06:50Please mujhe apne saath le chale.
06:52Please.
06:53Haan beta, main tumhare apne saath le chalti hu.
06:56Mujhe apna haan do.
06:58Daadi amma ne Mary ka haath pakda aur apni godh mein utha liya.
07:03Wo dhono upar ke taraf urne lage.
07:06Mary itni khush thi ki wo taaliyan bajane lagi.
07:10Ab tumhe kaisa lag raha hai,
07:12meri choti gudiya.
07:14Ab daadi amma, mujhe na toh bhoog lag rahi hai,
07:17na hi thand, aur na hi koi dar lag raha hai.
07:20Main bahot halka mehsoos kar rahi hu.
07:22Daadi amma uski taraf dekhkar muskara rahi.
07:25Aur wo dhono baadlo ki taraf udh gaye.
07:28Mary ki chahre pe maasumana muskaraat di.
07:31Jaise sooraj ki kinno ne uske chahre ko soba mein roshan kar diya.
07:35Wahaan bahot se log uske paas jamaa the.
07:38Sab Mary ko dekh rahe the.
07:40Kone mein liti hui, do gharon ke darmiyan.
07:43Sabko us par bahot afsoos hua.