Meri Pehchan - Topic: Yateemon ke Sath Husn e Salook - 3 September 2024 - ARY Qtv

  • 2 weeks ago
Meri Pehchan

Topic: Yateemon ke Sath Husn e Salook || یتیم کے ساتھ حسنِ سلوک

Host: Syeda Zainab

Guest: Dr. Imtiaz Javed Khakvi, Alima Uzma Abu Bakar

#MeriPehchan #SyedaZainabAlam #ARYQtv

A female talk show having discussion over the persisting customs and norms of the society. Female scholars and experts from different fields of life will talk about the origins where those customs, rites and ritual come from or how they evolve with time, how they affect and influence our society, their pros and cons, and what does Islam has to say about them. We'll see what criteria Islam provides to decide over adapting or rejecting to the emerging global changes, say social, technological etc. of today.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00A'uzu Billahi Minash Shaitanir Rajeem, Bismillahir Rahmanir Raheem.
00:06Tamaam Tar Durood o Salaam Aqa wa Mawla Hazrat Muhammad-e-Mustafa Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam
00:12par Aapki Aal par Aapki Ashaab par.
00:16Allahumma Salli ala Sayyidina wa Mawlana Muhammadin wa ala Aali Sayyidina wa Mawlana
00:22Muhammadin.
00:23Wabarak wa Sallim wa Sallu alaih.
00:25Rabbish rahli sadri, wa yassir li amri, wa halul uqdatam milla sani, yafqahoo qauli.
00:31As-salamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
00:34Janab, aap dekh rahe hain program Meri Pehchaan aur Meri Pehchaan ke saath aapki mezbaan Sayyida
00:41Zainab hazir e khidmat hain.
00:43Janab, jab hum tarikh-e-aalam ka mutaala karte hain, mushahada karte hain, ya tarikh-e-aalam
00:49par nazar daalte hain, toh arabo mein choti-choti si baat par katlo-gharadgari aam sa maamool
00:55tha.
00:56Roz-baroz isi tarah se qatl kiye jaate the.
00:58Aur isi wajah se, isi sabab se wahapar yateemon ki kasrat bhi thi.
01:03Ab un yateemon ke saath bada hi narawa sulook rakha jaata tha aur uske saath-saath na unhe
01:09warasat mein haq diya jaata tha.
01:11Unke saath koi husn-e-sulook ka maamla nahi tha.
01:14Aap Sarwar-e-Duaalam, Rahmat-e-Duaalam Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam ki aamad hui aur aap ne wahan ke maahool
01:21ko badla, unki fiza ko badla, unki fitrat ko, unki soch ko badla.
01:25Aap Sarwar-e-Duaalam Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam unhe ne ye dars diya, ye ikhlaaqi tarbiyat
01:30ata farmai.
01:31Aur phir uske saath-saath jab hum makki ayaat par nazar daalte hain, toh us waqt khaas
01:36taur par yateemon ke hawalay se guftagu kiyi gayi aur hukum ehkamat naazil kiyi gayi,
01:42hidayat di gayi ki unko khaana kilaya jaye, unke saath husn-e-sulook se pesh aya jaye.
01:48Madinah mein aane ke baad phir uske baad bhi ye tamaam ikhlaaqi jo riwayaat thi, aur ye
01:54hidayat thi, ye ikhlaaqi tarbiyat thi, jari thi.
01:57Surah-e-Nisaa mein baqaida taur phir iska hukum aaya, yani yateemon ke huquk unke taaluk
02:03se hukum aaya, aur wirasat mein unka hisa diya gaya.
02:07Yani Allah Rabbul Izzat ne Surah-e-Nisaa mein ehkamat naazil farmaaye, wirasat ke taaluk
02:12se, yateemon ke hawalay se, ki yateemon ke maalon ko apne na paak maalon ke saath mila
02:17kar na khao, ya apne maalon ke saath unke maalon ko tabdeel na karo, aur yateemon ko
02:22wirasat ka haq diya karo.
02:24Ab janaab Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne ye tamaam jo hidayat hai, ye tamaam
02:31jo ikhlaa ki tarbiyat hai, Arab maashira ki ki, aur phir Arab maashira, yani Islam
02:37ye pehla deen tha, pehla mazhab tha, aur Arab wo pehli sarzameen thi, jahan par yateem
02:43khanu ki buniyat rakhi gayi, aur wahan par phir unki kifalat bhi ki gayi, unki tarbiyat
02:48ka samaan bhi muhiyah kiya gaya, taaleem ka samaan bhi muhiyah kiya gaya, aur ab hum
02:53dekhte hain ke poore Europe mein iski taqleed ki ja rahi hai.
02:57Aaj janaab hum Quran o Hadees ki roshni mein jaanenge ki yateemon ke saad husne sulook
03:02ki humein Islam kya taaleem deta hai, kis tarah taaleem deta hai.
03:07Is unwaan ke tahad humare saad jo shareeke guftabu mehman shaksiyat hain, aapki jaani
03:13pehchani shaksiyat hain, unkiya ek mudallal andaz hain, ek andaz jo fikr hain, juda gana
03:19hain, humare saad Dr. Imtiaz Javed Khakri sahiba maujood hain, aayiye milkar welcome
03:24karte hain, assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu.
03:28Wa alaikum assalam warahmatullahi wabarakatuhu.
03:30Aapka kaisi hain, aap khairiyat se hain?
03:32Ji, alhamdulillah.
03:33Aur unke saad uzma Abu Bakar, jo aaj humare pehli martaba humare is program ki raunak
03:38bani hain, unhe bhi salam pesh karte hain, assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu.
03:42Wa alaikum assalam warahmatullahi wabarakatuhu.
03:43Khairiyat se hain aap?
03:44Alhamdulillah.
03:45Meri pehchaan mein aapko khashamdeed kahte hain.
03:46Jazakallah.
03:47Aapka yeh ishaat farma deejay ki yateem ka jo zikr hain Quran-e-Majeed, Furqan-e-Hameed
03:52mein kis andaz se aaya hai, Dokt sahiba?
03:54Shukriya Zainab, Bismillah-e-Rahman-e-Rahim.
03:57Quran-e-Majeed mein aata hai, fa ammal yateem-e-fala takhar.
04:00Yateem kise kehte hain?
04:01Har wo na balik baccha ya bacchi, jiska walid faut ho jaye.
04:04Baccha jab duniya mein aata hain, toh wo apni tamam zaruraton ke liye maa-baap ka motaj
04:09hota hain.
04:10Aur agar maa-baap mein se koi ruksat ho jaye, toh wo bebas aur bekas hokar raha jaata hai.
04:14Dono ki ek apni ahmiyat hai, maa ki bhi aur baap ki bhi.
04:18Aur walid jab chala jaata hai, toh uski kafalat aur uski maashi zimadariyan ek masala ban jaati
04:23hain.
04:24Islam ek mukammal nazam-e-hayat hai, jo har pehlo se humari raanumai bhi karta hai.
04:29Phir aap dekhen toh wo saare tabqaat jo mehroom the Islam se qabl, wo Arab maashara hai ya
04:35duniya bhar ke maasharaon par nigaar daal hain.
04:37Jinn mein ghulam the, orte the, yateem bachche the.
04:40Islam ne har ek ke hukook mukarrar kiye.
04:43Aur yateemon ke bhi hukook ko kaanoodi hasiyat di, qazi ki zimadari rakhi ki wo yateem ke
04:49maal ki ifaazat fahmar.
04:51Quran-e-Majeed me 23 maqamat par yateemon ka zikr aaya, mukhtalif andaaz se.
04:56Kahin taaqeer aa rahi hai, unke saath usne salook ki, kahin unper maal gharj karne ka
05:00hukam diya jaara hai.
05:02Fir aap dekhen toh rahmatul lil aalameen, Rasool-e-Akram sallallahu alaihi wa sallam.
05:07Allah ke mehboob duniya mein aate hain, toh waalid pehle faut ho chuke hote hain.
05:11Aur firmaaya Allah rabbul Izzat ne alam, yajid ka yateeman fa'awa.
05:15Taake aap yateemon ki un mushkilat se aaga ho sake, humne aapko baitareen thikana ata
05:21kiya.
05:22Toh aap toh Allah ke mehboob, Syed-ul-Mursaleen aur Imam-ul-Anbiya hain.
05:26Aap khud yateemon par shafqat parmate.
05:28Toh ek yateemon ka zikr aaya, baar baar, baar haar jagah par Quran-e-Majeed mein.
05:34Usko kanuni, maasharati, maashi taur par unki kafalat ki baqaida zimmadaariyan jo hain
05:40saunpi gayi.
05:41Fir aap dekhen ki agar yateem ghareeb hain, naadaar hain, uska waalid faut ho jata hain,
05:46koi bhi aisa baccha hiya bacchi hain.
05:48Toh us surat mein, zakat ke jaha masarif ka zikr aaya, maa yateemon ka zikr aaya.
05:54Sadaqat-e-Nafla ka zikr aaya, maal kharj karne ki baat aayi, toh bewa aur yateemon
05:59ka hukum diya gaya.
06:01Taake unka khayal rakha jaa sakay aur maasharat mein, woh beter tariqah se woh apni parvish
06:07paa sakay, zimmadaari unki beter ho sakay, unki nigdaash beter ho sakay aur unki salahiyat-e-betar
06:12andaaz se istamaal mein laayi jaa sakay.
06:15Fir doosri surat yeh thi, ke baap ne toh wirasat chhodi thi, maal chhoda tha.
06:20Magar ab yadeem bacha toh abhi utha nahi sakta, apni maal ki ifaazat nahi karsakta.
06:25Toh iss surat mein, Allah-ur-Rabbu-l-Izzat ne jaa bajaa hukum diya, ki unke maal ki ifaazat
06:30karo, unka maal unko do.
06:32Fir jaise aapne bhi kaha, ki baqaidat-e-Surah-e-Nisaa mein hukum aaya, ki ache maal aur kharab maal
06:37ko aapas mein milao nahi.
06:39Fir agar tum tangdast ho, toh usme itna hi leh sakte ho baqadr-e-zaroorat.
06:44Fir yaha tak hukum diya, ki unke maal ko tijarat mein lagao, ta ki wo badhe aur agar
06:50usme se sirf zakat di jaati rahe, toh kahin khatam na ho jaye, unke baalig hone tak.
06:55Yani unki ifaazat ka itamaam kiyaan.
06:58Fir aam dekhte hain, Quran-e-Majeed mein, Surah-e-Baqarah mein, jo gaai ka waqia hai,
07:03ki wo gaai jo Bani Israel ko chahiye thi, wo ek baap ne apne marne se pehle, apne bacche
07:09dekhiye, wo gaai ek jangal mein chodi, aur Allah-ur-Rabbul-Izzat ne us gaai ki ifaazat
07:13firmahi.
07:14Us yateem bacche ki khaatein, aur jab wo bada hua, toh chuke baap shalih tha, toh Allah
07:19ke sapurdh kiya gaya maal, Allah ne us yateem bacche ko wo wapas karwaya, aur baad mein
07:25usi ko sohne se bhar kar usse diya gaya.
07:28Toh ek maal jab Allah ki raah mein diya jata hai, is tarah sapurdh kiya jata hai, ki meri
07:32yateem bacche ke kaam aaye, toh Allah uski ifaazat firmata hai.
07:35Iski misaal sur-e-kaaf mein bhi milti hai, ki jahan Hazrat Moosa alaihissalam ki saath
07:39wo jatein, Hazrat Khizar alaihissalam, toh wo diwaar ko taameer kartein, toh diwaar ko
07:44taameer karne ka sabab kya hota hai, ki uske niche yateemon ka maal hota hai, jis ke liye
07:50Allah ne hukam diya, ki is diwaar ko taameer karo, Hazrat Moosa alaihissalam katein, basti
07:54waalon ne toh mehman nawazi bhi nahi ki, aur aap diwaarin taameer karne hai.
07:58Toh wajah kya thi, firmahi, kaana abu oma salihan, unke walid nek aur salih tha, toh
08:03Allah ne un yateem bachon ke liye us maal ki hifaazat firmahi.
08:07Fir issi tarah se aap dekhe toh Quran-e-Majeed mein hukam hua, ki jab yateem aaye, toh usko
08:12jhidko nahi, usko daanto nahi, uske saath bura salook mat karo, aur fir beshimar ahadees
08:18mein bhi hukam aaya, ki sabse baitreen ghar wo hai, ki jisme yateem ke saath acha salook
08:23kiya jaata hai, aur sabse bura ghar wo hai, ki jisme yateem ke saath bura salook kiya
08:28jaata hai.
08:29Salook kiya jaata hai, narawa salook kiya jaata hai.
08:32Yateem ke sarpar toh shafqat ka haath phir dena, yaani daste shafqat hi rakh dene ke
08:37hawale se itni khubsurat ahadees-e-mubarakah bhi maujood hai.
08:40Yaani humein kis qadar jo khushqabriyan di gayi hai, Rasool Allah sallallahu alaihi
08:45wa sallam ki taanib se bhi, Quran-e-Majeed, faqan-e-hameed mein bhi humein yeh tamaam
08:49baatein, yeh tamaam hidayat milti hain.
08:51Bas humein amal karne ki der hai, ki humin choti choti baaton par amal karein.
08:56Allah ta'ala mujhe aap ko amal ki taufiyah qataa firmaaye.
08:59Ujma, aap humaise saath maujood hai, yateemon ke haqook ke hawale se kya beyaan firmaayenge
09:03aap?
09:04Allah ta'ala Quran-e-Karim mein irshaad firmaata hai, ki tum apne waaldein ke saath toh neki
09:09karo, yaqeenan unke saath acha solook karo.
09:12Lekin unke saath saath, tumhare jo rishtidar hain, qarabat wale hain, aur phir yateemon
09:17ka zikar aaya, aur phir basakeen ka.
09:19Ki unke saath bhi tum apne maamlaat ko bohot acha rakho.
09:22Sawal hi hai ki haqook ki.
09:24Haqook, sabse pehle toh yeh hai ki haqook hain kya.
09:27Haqook, duniya ki, humare jo maashrah hai, uska taana baana, agar hum dekhen, toh banta
09:33hi haqook aur faraiz ke bunat se hai.
09:36Mera haq, agle ka fardh hai, aur uska haq, mera fardh hai.
09:41Main haq ada kar rahi hu, toh doosre ka, main apna fardh ada kar rahi hu, toh doosre
09:47ka haq uska ada ho raha hai.
09:49Toh yeh taaluk Allah taala ne har do insaanon ke darmian rakha hai, jinse kisi bhi taana
09:56humara bilwasa ya bilawasa koi taaluk hai.
09:59Pehle toh Allah taala ke haqook ki baat hoti hai, haqook Allah.
10:02Haqook Allah, Allah aur uske bande ka maamla hai.
10:05Yani ki Allah ki wahdaniyat par yaqeen rakhna, Allah, ibadat ka ada karna, wo Allah aur
10:11bande ka maamla hai.
10:12Aur Allah chuke ghufoor ur raheem hai, toh wo apni maghfirat se, apni maghfirat ke sadqe
10:19mein, wo in haqook ko maaf farma deta hai.
10:21Lekin jab baat aati hai haqook ul ibad ki, toh us maamle mein Allah taala bahut taqeeb
10:27farmata hai, ke haqook ul ibad ka maamla jo hai, wo tum duniya mein hi hal kar lo.
10:32Ab haqook ul ibad mein, jo humare erge rehne wale hain, humare rishtedar hain, humare bilkul
10:38ke rishtedar hain, aur humare jo hum jin se milte julte hain, wo sare log usme shamil
10:44ho jate hain.
10:45Lekin unke haq jinke paas Allah taala ne kisi bhi tarahan ki kuch bhi unko taaqat ya ada
10:52ki hai, wo apna haq le bhi lete hain.
10:55Yahaan sawal unke liye peyda hota hai, jo maashre ke kamzor tabqa hai.
11:02Ab us kamzor tabqa mein bewaahin hain, masakeen hain, yateen hain.
11:07In ke haqook ki zimmedaari kaun lega?
11:10Allah taala ne fiqah ke ittabaar se agar dekha jaye, toh in ke haqook ki zimmedaari jo hai,
11:15agar hum yateemo ki bil taqsees agar hum baat karein, toh yateemo ke haq ka jo zimmedaar
11:20hai, yaqeenan sbse pehle unke asbaat hain, unke zawil araham hain, aur uske agar, agar
11:27aisa na ho ke, yaani asbaat ka matlab jo unke qareebi rishtedar hain, aur unke rahim
11:33ke rishton se, jo unka taaluk banta hai.
11:36Lekin agar aisa ho, aisa bhi hota hai kisi surat mein, kabhi kabar aisi surat-e-haal
11:40bhi peyda hoti hain, ke unke direct relations maujood nahin hote, toh fir uske zimmedaari.
11:46Toh unke haqook ki zimmedaari jo hai, wo maashre par aati hai.
11:50Accha, ab unke haqook kya hain?
11:52Unke haqook ye hai, ke unke haqook ki hifazat ki jaye, unki dekhbhal ki jaye, aur unki
11:57behtareen parwarish ki jaye.
11:59Agar toh Allah taala ne unko maal diya hai, unke tasarruf mein maal hai, toh us maal ki
12:04hifazat ki jaye, jaise ke aapa ne bataya, ke yaqeenan wo isqabil toh nahin hai, ke wo
12:08apne maal ko khud samajh ke sambhal sake.
12:11Toh us surat mein, jo unke aqraba hain, wo unke us maal ko sambhalen, usko behtareen
12:17tariqah se, is tarahan se kharaj karein, ke wo agar zarurat hai, toh kharaj karein,
12:22agar nahin, toh koshish karke uska zimma khud apne oopar le le.
12:26Subhanallah.
12:27Aur agar toh unke paas maal nahin hai, wo muflis hai, ya miskeen hai, toh phir us surat
12:32mein, jo unke rishtedar hai, wo unko apni kifalat mile, unki dekhbhal karein.
12:38Sabse eham jo baat hai, haq jo hai, wo hum maaddi kifalat ki toh baat karte hain, lekin
12:45aise bachche jo hote hain, jinke walidayan nahin hote, wo ehsaas-e-mehrumi ka shikar
12:53hone ka unke khadshah hota hai.
12:55Toh jab kisi bachche ke andar ehsaas-e-mehrumi janam lena shuru karta hai, toh uski taraf
13:01wo dabaon mein aata hai, aur ho sakta hai ke wo maashray ke liye kuch behtar apna kirdaar
13:06adaar na kar sake.
13:07Toh is surat mein, humein sirf unke khaane peene aur dunyawi zaruriyat nahin, balke unki
13:13zehni, unki jasbaati zaruriyat ka bhi khayal hai, aur unki izzate naf.
13:19Sabse important hai unki izzate naf ki bhi, unki pindaar jisko hum kahte hain, usko thehs
13:25na pohchi.
13:26Subhanallah, bahut pyaara andaaz aapka, bahut pyaara jawab.
13:29Yani unke maal ki bhi hifazat ki jaye, unki talim aur tarbiyat ka bhi ehitmaam kiya jaye,
13:34aur unki jo jasbaati kaifiyat hai uska bhi ehitmaam kiya jaye.
13:38Ek waqfe par janaab hume jaana hai, hazir hote hain is muqtasar se waqfe ke baad.
13:42Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu.
13:44Aap dekh rahe hain program Meri Pehchaan, aur Meri Pehchaan mein ek martabah phir aap
13:50sabko khushaamdeed kahte hain.
13:52Janaab, yateemon ke saath husne sulook ke taaluk se aaj hum guftugu kar rahe hain.
13:57Aur humne jaana ki Quran-e-Majeed, Furqan-e-Hameed mein kis tarah ahkamat naazil kiye gaye hain
14:03yateemon ke hawale se, unki warasat ke hawale se, unke saath bahtar sulook, unki bahtrin
14:09tarbiyat ke taaluk se.
14:11Hum dekhte hain, janaab, tarikh ke auraag palatte hain.
14:14Toh badar mein jo shohda the aur unke baad jo unke yateem bachay the, unki kefaalat ka
14:20zimma, hazrat Ayesha Siddiqa R.A.
14:22Anha bhi apne ghar par unki kefaalat karte hain.
14:25Unki parwarish mein apna hissa unhone pesh pesh rakha.
14:28Aur unke saath saath unki taalim aur tarbiyat ka bhi ahtimam farmaya.
14:32Mazeed guftugu ka aage barate hain.
14:34Doktor sahiba maujood hain.
14:35Doktor sahiba, ishaat farma dijiye ki yateemon ke saath jo husne sulook ki baar baar deen-e-Islam
14:40taaqeet karta hain.
14:42Kya bayan farmaayengi sawale se?
14:44Shukriya Zainab.
14:46Rahmatullil alameen Rasool-e-Akram Sallallahu alaihi wa sallam ne apne aqwal-e-afaal,
14:51apne seerat-e-mubarka ke zariye, sahaba ki aisi tarbiyat ki, aur Islam ke liye aisi sunairi
14:56usool ata ke, ki jin mein doosron ko khayal rakhna Allah ki raza ka sabab bant hain.
15:01Khaas taur par yateem ke, uske sar par aap haath hi spakat rakh dete hain, toh ajr-o-sabab
15:07ata hota hain, aur haath rakhne ki baat aayi, toh itna sa bhi tum kaam karte ho, toh usper
15:12bhi ajr-o-sabab hain, jab tum uski zarooraton ka khayal rakhte ho, jab tum uski izzat-e-nafs
15:17ka khayal rakhte ho, jab tum usse pure tamad shiksiyat banate ho, usko samarte ho, usko
15:22ek zimmadaar shahri banate ho, ek accha saale musulman banate ho, toh ajr-o-sabab be-intihab
15:28barta chala jata hain.
15:30Nabi Kareem alaihissalatu wassalam ko farmaan-e-mubarak ki, jo yateem ka khayal rakhta hain, wo jannat
15:35mein mere saath aise hoga jaise yeh do ungliyan. Aap sallallahu alaihi wasallam ne apni shahadat
15:40ki ungli aur doosri ungli ko mila kar ishaara firmaaya, goya yateem ka khayal rakhne se
15:46jannat ata ho rahi hain, Sarkar-e-Duaalim Huzoor alaihissalatu wassalam ki farmaan-e-mubarak
15:50ke mutaabik. Phir aap dekheye toh Hazrat Jafar Tayyab shaheed ho jate hain, toh Aap sallallahu
15:55alaihi wasallam unke ghar jate hain, aur un bachon par shafqat karte hain, muhabbat karte
16:01hain, pyaar karte hain, unka bossa lete hain, unhe saath liptate hain. Isi tarah Aap sallallahu
16:06alaihi wasallam mein ek martaba Eid ka mauka hain, Aap ghar se nikalte hain, Hasnain, Karimain
16:11saath hain, sahaba saath hain, aur raste mein bachche khushi se aapke saath lipatte hain,
16:16toh ek bachcha udas khara hain, uske chehre par raunat nahin hain, toh Aap sallallahu
16:22alaihi wasallam ne poochha, ki aap kyun udas hain, toh us bachche ne jawab diya, ki main
16:27yateem hoon, mera baap nahin hain, toh main isliye udas hoon, toh Aap sallallahu alaihi
16:31wasallam ne usse saath liya, aur Aap ne firmaaya, kya yeh tumhe pasand nahin, ki Muhammad tumhare
16:35baap hoon, aur Ayesha tumhare maa hoon, sallallahu alaihi wasallam, beshak, toh Aap us bachche
16:42ko ghar lekar aaye, toh isi tariqaise Aap sallallahu alaihi wasallam ne, ek martaba,
16:47ek shaks ja raha tha, aur wo bachche khel rahe hain, aur unmein digar bachche jo the,
16:52wo yateem the, toh Aap sallallahu alaihi wasallam ne usse taqeed firmaayi, kya apne bachche
16:57ko naam se bulana, beta kah kar bhi na bulana, ki tumhe beta kah kar bulaya, toh doosron
17:03ko aisaasin mahrumi hoga, iskadar khayal mere aaka Rasul-e-Ikram sallallahu alaihi wasallam
17:09ko, ki aap itni baareek baat ka bhi aapko dhyaan hain, khayal hain, ki wo bachche mehsoos
17:15karenge, ki humein koi beta kah kar bulana wala nahin, toh Aap sallallahu alaihi wasallam
17:21ki farameen, aapki seerat-e-taheeba se, usne saloob ki taqeed milti hain, yehi cheez, phir
17:27aap aage dekhen toh salihin mein milti hain, hazrat Siddi Sakti rahmat-ul-alaih firmaate
17:32hain, ki maine dekha ek din, hazrat Ma'ruf Karkhi rahmat-ul-alaih, khujurein chun rahein,
17:37toh maine unse pucha, ki aap ye khujurein kyu chun rahein, toh firmaate hain, ek yateem
17:41bachcha hain, toh main ye chahata hun, ki ye khujurein mein jama karke, toh isse bej
17:46ke uske liye kuch akhrot kharidun, kuch cheezein kharidun, taake wo khelein aur uska dil khush
17:50ho, toh firmaate hain, ki maine arz kiya, ki aap rehne de, main khayal rakhta hun, main
17:55uske liye karta hun, toh kehte hain, jom maine us bachche ko akhrot le kar diye, toh mera
18:00dil aise roshan ho gaya, jaise usme noor aa gaya, ki ek yateem bachche ka khayal rakhne
18:07isse, wo firmaate hain, ki mera baatin ki duniya roshan ho gaya, jo ibadat se roshan
18:12nahin ho rahi thi, toh aap yateem ka khayal rakhte hain, uske saath usne salook karte hain,
18:18toh Allah rabbul Izzat aapko maadi bhi fawaid ata farmata hai, aur ruhani fawaid bhi ata
18:24farmata hai, aap dekhe qiyamat tak ke liye wo ayat-e-mubalaka zeenat ban gayi Quran-e-paqi,
18:29wa yut'imun at-taam ala hubbi, ki ahl-e-bait mein jab khaana kilaya, Allah ki muhabbat
18:34mein, aur kisko khaana kilaya tha, ek yateem ko, miskeen ko, aur aseer ko, toh Allah rabbul
18:41Izzat ne usse Quran-e-paqi zeenat banaakar goya sabko tarheeb di, ki yateemon ka khayal
18:46rakhein, aur yateemon ki khayal rakhne se itni izzat aur ikraam bhi, aur ajr aur sawab
18:51bhi ata hoga. Aapko main ye abhi aapki guftagu se ye soch rahi thi, ki waqeet jab hum itne
18:57bade hokar, jab mere wali sahab ki death hui, toh humein aisa malum hua aur hum abhi ki
19:02baat hai, kuch saalon pehle ki, toh humein aisa laga, jaise duniya mein humara koi hai
19:07nahi, poori duniya khaali hai, aur hum tan-tanha kharein hai, toh main abhi ye soch rahi thi,
19:12ki dar haqiqat, jo bache, bachpan mein apne walid ko khod dete hain, unki kaifiyat kya
19:18hogi, yaani unke sar par walid nahi, unke ird-gird aisa mehsoos hota hai, ki bilkul poori
19:24duniya hi unki jo hai, wo viraan hogayi, lekin agar us waqt, us andhere mein, us tanhai
19:30mein, us akele pan mein, koi unke saath shariq ho jata hai, dast-e-shafqat rakta hai, unke
19:35saath baith kar, sirf yeh kehta hai, ki beta mein tumhare saath hoon, toh us bache ke dil
19:41par kya beeti hogi, aur kis tarah se uska dil, jo hai, wo bada ho jata hoga, toh isliye
19:46itne fazail beyaan kiye gaye hain, yateemon ke hawale se, unki madad ke hawale se, aap
19:52se mein yeh kehna chahungi, ki uzma sahiba, ki yateem ke jo madad karne ke fazail hain,
19:59kuch aap beyaan farhaiye.
20:02Yateem ki madad karne ke fazail beyaan karne se, pehle mein ek cheez aur bhi yahan par
20:08add karna chahungi, add kya karoon, balke sabse important baat hi yeh yeh, ki hum yeh
20:13dekhte hain, ki humare aqa-o-mawla hazrat abiy-e-kareem sallallahu alaihi wa sallam,
20:18yateemi ka dardaish apni wiladat se qabal hi, joh hain, apne walide garami se mehroon
20:23hoi, yateemi ka darja.
20:26Yeh mere nazdi, mein kahun toh, jo cheez huzoor se nisbat pa gayi, wo ala ho gayi, wo afzal
20:33ho gayi. Yateemi ko nukhs ke taur par, hum aam maashire mein, uz zamane mein, samjha
20:39jaata tha, ki iska baap nahi hai, ki koi dekhne wala. Allah ta'ala ne, is yateemi ko jo
20:45hain, usko nukhs ke darja se nikaal diya, usko fazal ke darja pe le aaye, ki dekho,
20:51mera jo nabi hain, mera jo sabse pyaara hain, jo meri, jo sardaar-ul-anbiya hain, wo bhi
20:57yateemi hain, toh isme toh koi aar nahi hain.
21:00Ab Allah ta'ala ke nabi, hume baariha, baariha apne ishaadaat se, hume bata rahi hain, ki
21:07jin logon ne, yateemon ki madad ki, unke hukook ki hifadat ki, unke kifalat ka beera uthai,
21:15unke liye kya kya fazal Allah ta'ala ne, sambhal ke rakhe ho hain.
21:19Subhan Allah, subhan Allah.
21:20Allah ta'ala ek jagah, Huzoor nabi kareem sallallahu alaihi wa sallam ne, ek jagah
21:24firmaaya hai, ki jin shakhs ne, teen yateemon ki parwarish kari, wo istara, wo aisa hai,
21:31jaisa ke wo abid, jaisa ke wo mujahid, jaisa ki jisne raat bar ibadat ki, jisne din bar
21:38roza rakha, jisne jihad kiya, usko wo sawab diya jayega.
21:43Tasabur karein, alatareen hai jihad, raat bar ki ibadat aur roza.
21:49Is tamam aamaal ka sawab jo hai, wo yajah karke us ek shaft ko de diya jayega, jisne
21:55yateem ki kifalat ka beera uthaya, aur yahi par bas nahi ki, aage firmaaya, ki qayamat
22:01ke dir, wo mujhse itna khareeb hoga, aur apni shahadat ki ungli ko, dono ungliyon ko, jaisa
22:07yeh do ungliyan.
22:08Subhanallah.
22:09Yani ki huzoor, ab isme mufasireen jo sharaheen hai hadees ke, wo iske baare mein yahan par
22:17sharah mein yeh aate hain, ki isse hum isko majazi usme na le, balke usko haqeeqi ki
22:22taraf jayen, to yani ki jannat mein Allah ta'ala huzoor nabi kareem sallallahu alaihi
22:28wa sallam ka qurbata firmaayenge.
22:30Subhanallah.
22:31Iss se zyada kisi momin ke liye aur kya hoga.
22:34Ab yahan par mein ek cheez aur add karna chahungi, ki jab hum kifalat ki baat karte
22:40hai, to sabse pehle jiske upar zimma aata hai, yateem ki kifalat ka, wo hoti hai maa, jo
22:47bewa hoti hai, uske liye kya fazal hai, uske liye bhi be intiha fazal hai.
22:52Sallallahu alaihi wa sallam.
23:22Subhanallah.
23:52Aur aap firmaayega kuch hai iss hawaale se.
23:54Dekhein fazilat, ek taraf to ukhar bhi inamaat ki baat ho rahi hai, jo daimi zindagi hai,
24:00usme jannat ki basharat di ja rahi hai, aap sallallahu alaihi wa sallam ki qurbat aur
24:05rafaqat ki, iss se bad kar kya fazilat hogi, aur duniya mein, uske liye maal mein khair
24:10aur barkat ki baat ki ja rahi hai, usko baitareen ghar karar diya ja raha hai, usko baitareen
24:15zimmadaar shafz karar diya ja raha hai.
24:17Phir aap dekhein to ek husn-e-salook mein hamza har tarah se lete hain, maashi bhi hukook,
24:21maasharti bhi hukook, siyasi hukook, uske deeni hukook, uski shaksiyat ke hukook, matlab
24:27har tarah se usko wo haqq ata kiya, taake wo maashari mein ek betar zimmadaar shahri
24:33ki hasiyat se saamne aa sakein.
24:35Subhanallah.
24:36To ek yeteem ko main kehtiyon ki, agar hum in cheezon ko samjhte hain, aur phir to hamme
24:42dhoondne nikal parna chahiye ki koi yeteem milein, jiske sar par kamaskam daste shafqat
24:46hi raktein.
24:47Ki aap sirf daste shafqat raktein hain, mohabbat ka haath raktein hain, to jitne baal neeche
24:52aarein, nekiyan hi nekiyan hain.
24:54Ajro sawab hi sawab hain.
24:56To phir plus agar aap uska khayal raktein.
24:58Ek aur tha ki, farishte duaayin kartein hain, us shahs ke liye.
25:02Kaunsa shahs jo ghar se nikalta hain, to apne ehle ayaal ke bhi khayal rakta hain, phir
25:07ghar se nikalta hain, to usse khayal hain ki main bewa ko, yeteem ko, uski madad karta
25:11hua chala jaun.
25:12To ghar se nikalta hua, jaise aaj kai gharon mein maine dekha hai, wo baayar nikalta hain,
25:17to kehte hain ki sadqa dete hua jaayin.
25:19To agar aap apne muhalle par nigaar rakhenge, apne rishtadaro mein nigaar rakhenge, ki
25:23koi yeteem to nahi hain.
25:25Khaas toh par sila rehmi mein, sabse pehle hain, yeteem rishtadar ka aata hain.
25:29Ki wo rishtadar bhi hain, aur yeteem bhi hain.
25:32To aap usse dete hui chale jaate hain, to aapka saara din khair aur barkat se bhar jaata
25:37hain.
25:38Frishte doaayin karte hain, wo nurani makhloog wo jab doa karte hain, to wo doa zaroor kabool
25:42hoti hain.
25:43Aap wo humne padha na, ki Hazrat Abdullah ibn-e-Umar R.A. anhuma farmate hain, ki wo
25:48jabtak khaana tanawal nahi farmate hain, jabtak aapke dastarkhaan pe koi yeteem nahi
25:53ho.
25:54Allahu Akbar.
25:55Yani yeh tamam baatein humare seekhne ke liye, humare deen mein maujood hain.
25:58Mazeed kalam karenge, waqfe par jaana hain, hazir hotein.
26:01Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu.
26:03Waqfe ke baad ek martaba phir qair magdam hain.
26:06Janab, yeteemon ke saath husne sulook ke taalluk se aaj hum baat kar rahe hain.
26:10Aur kitni khushkhabriyan di gayi Allah Rabbul Izzat ki jaanib se, ki jisne yeteem ke sar
26:16par shafqat ka haath phaira ya kifalat ki, uske liye kitni saari jo naveede hain, wo
26:22bhi sunayi gayi.
26:23Ab hum baat kar lete hain, mazeed guftagon ko aagey barate hain.
26:26Janab, jis tarahan se humne khushkhabriyon ke hawaale se baat ki, agar koi shaks yeteemon
26:32ki haq talfi kar raha hain, toh kya waheedaat hain, aap zarar tasboor kar liye ke uske saath
26:37kya maamla hoga.
26:38Doctor sahiba, is hawaale se kya ishaad firmaengi, ki yeteemon ke haqook ko ghazab karna, unki
26:43haq talfi karna, kya kya waheedaat aayi hain, ishaad firma dijiye.
26:47Shukriya jaanib.
26:48Dekhiyein, haq talfi aur haqook ki paamaali kya hain.
26:53Uska baap fot ho jata hain, aur baap ne virasat mein maal chhoda hain, toh aap us maal par kabza
26:57kar lete hain.
26:58Kyunke aap galib hain, aur aap mein taqat hain, aur bacha kamzor hain, aur bebas hain,
27:03aur bekas hain.
27:04Toh yeh zain me rakhein.
27:05Ek uske maal par kabza karna, doosra jo aaj kal dekha jaara hain, usko ghar se, jaydaat
27:10se, property se, zameen se mehrum kar dena.
27:13Yaad rakhein ki agar ek balisht bhar bhi li gayi, toh wo saath zameeno ke tauk gardan
27:19me dala jayenge ek din aayega.
27:21Toh isliye yeh khayal rakhein ki yateem bache ki property usse door rahein, ya agar aap
27:27uske papers ki ifaazat kar sakte hain, tayah hain, chacha hain, jo bhi uske sarparasna hain,
27:32mamu hain, toh aapko chahiye ki sarparasti is andaaz se karein, ki uske haq talfi na
27:38ho, ghaasib mat banein.
27:40Quran-e-Majeed mein, Surah-e-Nisa mein aata hai, jo zulman, yateem ka maal khaata hain,
27:46toh firmaaya, yaakununa feebutunim naara, wo apne pehto mein aag ka rahein hain, aag
27:51ko bhar rahein hain, aur fir firmaaya, wo ankareeb badakti hoyi aag mein dala jayenge.
27:56Aap usse andaaza lagaye, ki unhone wo jo maal khaya, khaane peene mein laga hain, uska matlab
28:02kya hai, ki unhone angaarey dalaye apne pehto mein.
28:05Aur fir nabi karim alaihissalatu wassalam ka firmaanein mubarak hai, ki wo mehraaj ki
28:09raat takheef le gaye, aur aapne dekha, ki ek aisi jamaat hai, ki jin ke hooth, oothon
28:15ke hoothon jaise.
28:17Aur kuch log unper aise mukarran hain, ki jo angaarey unke moos mein daal rahe the.
28:24Toh aap isse andaaza lagaye, wo jo qurani ayat-e-mubarakah hain thi, ki wo apne pehto
28:29mein aag bhar rahe hain.
28:31Nabi karim alaihissalatu wassalam ne apne uss chashmaane mubarakah se uska mushahida
28:36kiya mehraaj ki raat, ki hooth unke itne bade ho gaye, aur unthon ki jaise, aur unmein
28:42baqaida log unper mukarran hain, ki jo angaarey baqaida unke moos mein daal rahe the.
28:48Issi tariqah se aap sallallahu alaihi wasallam ke ek firmaanein mubarak hai, ki chaar aise
28:53log hai, ki jo na janat ko dekh sakenge, na janat ki neematon ka zayiqa unko milega.
28:58Aur wo chaar aapne jo beyaan firmaaye, unmein ek sharab ka jo aadi shaks hain, ek sood
29:04khaane wala, aur ek yatim ka maal khaane wala, aur ek waldain ka na firmaan.
29:09Toh goya yeh jo aaj duniya ki lazzaton ke liye, duniya ki ayashiyon ke liye, aapne uske
29:15saath yatim bache ke saath ziyaati kar di, aapne uske saath zulm kar diya, toh dare
29:20uss waqt se, ki jab aapse poochha jaayega, purshish hogi, toh phir koi jawab nahi de
29:26sakenge.
29:27Phir aap dekhe toh surat ul ma'oon mein aata hai, arayi tallazi yukas yubbidi, kya
29:31tumne dekha, ki jo deen ko jhutlata hai, ab yahan ghaur karein, deen ko jhutlana ki
29:37koi baat aayi toh foran hi firmaaya, ki woh shahz jo yatim ko dhakke deta hai, goya
29:42yatimon ko dhakke dena, yatimon ka khayal na rakhna, yatimon ki khabargeeri na karna,
29:48unke maali madad na karna, unke sawal karne par unko jhidakna, Allah ne isse qizb-e-deen,
29:54yaani deen ko jhutlana se tabir kiya hai, ki agar tumhare andar koi aisaas nahi hai,
29:59insaniyat ka aisaas nahi, yatimon ka aisaas nahi, toh tumhari kaun se namaz roze.
30:05Kyunke issi mein aage firmaaya jaara hai, issi surah-e-mubarakah mein, ki fawayl-ul-lil-musallim,
30:11tabai hai, barbaadi hai, halakat hai, unn namaziyon ke liye, jo apni namazon ko bulaye
30:15baite hain, yaani woh tumhara zahiri qayam, rukoo, sa'ida, Allah ki bargaam-e-kabool nahi
30:20hai, agar tum yatim aur miskeen ka khayal nahi rakte hai, toh iss se andaza lagaayen
30:26ki kitni sakt wa'idat hain, toh yatimon ka khayal rakhein, khabargeeri karein, aur
30:32Allah ki taraf se ajr-o-sabaab ke musahik karte hain.
30:35Hum uss waqt yeh soch lete hain, ki yeh toh abhi chote hain, na samajhein, inhe toh
30:39pataayi nahi chalega, humne inke saath jo bhi kuch karna hai, ya inke sarparast jo
30:44walid hain, woh kuch bhi chhod kar gaye hain, yeh toh abhi inhe pataayi nahi hain, hum
30:48inko istamaal bhi kar lenge, inko ek side pe laga lenge, bazo qatat unhe ghar se hi
30:52nikaal diya jaata hai, aur phir woh dar-dar ki thokrey kaate hain, yeh bhi mushaida
30:56kiya, astaghfirullah humne apne society mein dekha, toh Allahu akbar, Allah ke qahir
31:01se, Allah ke ghazab se darein, aur yateemon ke sarpar shafqat ka haath phirein, unki
31:05kifalat karein, khudara Allah se darein.
31:08Aap ki jaane badhungi uzma sahiba, yeh ishyaat firma dijiye, ki yateemon ki, jo kifalat ki
31:13zimmedaari hain, haqiqat hai kis par?
31:16Shukriya Zainab, yateemon ki kifalat ki zimmedaari, yaqeenan sabse pehle jo hai, agar hum dekhein
31:25toh sabse pehle toh unke qareeb tani nishtidaron par hi aayid hoti hain.
31:29Aur sabse pehle maa hain, phir dada hain, phir chacha hain, chacha zaad bhai hain, yani
31:36ke isme asbaat aur phir zawil arham ka darja bar darja aata hain.
31:41Lekin, iska matlab yeh nahi hain, ke sirf bas un yateemon ki zimmedaari jo hai, unke
31:46aqraba par hi hain.
31:48Unki zimmedaari hum poore maashre par hai.
31:51Aur aaj, agar hum aadaad o shumaar ki baat karein, toh duniya bhar mein 14 crore se zyada
31:56yateem hain.
31:57Aur sirf Asia ki agar baat karein, toh yeh taadaad 6 crore se bhi kahin zyada ho jati
32:02hain.
32:03Pakistan mein, yaqeenan, kudrati aafaat hain, aur mukhtalif haadisaat hain.
32:08Toh aise bohot saare hote hain, aise bohot saare bacche humein irgird apne nazar aayenge,
32:13jinke waled ya dono waldein hi duniya mein nahi hain.
32:19Toh unn baccho ki zimmedaari jo hai, wo maashre ke har fard par aayid hoti hain.
32:24Hum yeh nahi keh sakte, ke acha iska rishtedaar hain, wo dekh lega, ya fala.
32:29Humein aage badkar khud unki khabar geeri karne ki zadoorat hain.
32:33Ek falahi maashre ki tashkeel ussi surat mumkin hain, jismein har kamzor, maashre ke kamzor
32:40jo afraad hain, unko unka haq unke, unko muhaiya kiya jaye.
32:46Poore adlo insaaf ke saath.
32:48Na ki yeh, ke wo dar dar apne haq ke husool ke liye idhar udhar bhatakte rahein.
32:53Aur iske liye tariqah yeh hai, ke baqaat ab ismein riyasat ki bhi zimmedaari aayid hoti
32:58hain, falahi riyasat ki zimmedaari bhi hain.
33:01Ke wo aise baccho ko aur aise afraade maashre ko unko unke haq ada kare.
33:07Unki behtar dekhbhal, unki parwarish, unke buniyadi jo zaruriyaat hain, wo usko poora
33:13kiya jaye.
33:14Jaisa ke hum yeh dekhte hain, ke Imam Abdul Razzaq Sanani jo hain, unka yeh ek qaul hain,
33:21Hazrat Dawood alaihis salaam ka qaul unhone marwi hai unse, ke kun lil yataama ka ubil
33:28raheem.
33:29Ke tum yateemon ke liye aise ban jao, jaisa ke ek raheem baap, ek mehrbaan baap.
33:34Jaisa aulaad ab baap se apne naaz uthwati hain, apne farmaish karti hain, usi tarahan
33:41tum unke liye mehrbaani aur yeh sab ke liye hain.
33:44Subhanallah, subhanallah.
33:45Yeh sab.
33:46Weshak, weshak.
33:47Aur hum toh yeh apne society mein yeh bhi dekhte hain, ke jo behan ya bhai, agar walid
33:54ki sarparasti se mehrum hota hai, uske saath jo unke bade behan bhai hain, wo bhi chote
34:00behan bhaiyon ki haq talfi kar lete hain.
34:02Is baat ko bhi peshe nazar rakhna chahiye.
34:04Abhi tak toh hum rishidaron par nazre saani kar rahe the, lekin apne ghar mein bhi yeh
34:09haq talfiyon ho jati hain, ke jo bade behan bhai hain, jo us waqt qabiz hain un cheezon
34:14ke upar, lekin woh kahin na kahin apne chote behan bhai, jo kam sinh behan bhai hain, unki
34:19haq talfi karte hain.
34:20Doktor sahiba, main chahungi aap bhi is par kuch kalam kijega, aur jo humare mehmaan,
34:25jo humare behne, jo humare bachiyan is program ko dekh rahe hain, wo samjhein apne haq ko
34:30aur apne farz ko bhi.
34:32Farmayega.
34:34Dekhi zainab, ek toh koshish karein ki wirasat ki jal se jal takseen, aur munsifana takseen.
34:39Agar apne late bhi kar diya, toh tab bhi insaaf goya nahi mila.
34:43Toh jo bhi bada bhai hain, ya bada tayah hain, ya jo bhi hain, usse chahiye ki woh decision
34:49lete hue, aur yeteem bache ka maal aisi tijarat mein lagaye, ki jisse uska kharch bhi, ek
34:55sar utha kar woh jee sake mohashire mein.
34:57Usko woh kharch aise mile, ki uska apna haq hai, koi uspar ehsaan nahi kar raha.
35:02Humare hain kya karte hain, ki woh ussi ka maal uspe thoda se kharch karenge, aur ehsaan
35:06bhi rakhenge.
35:07Toh khuda ke liye isse baaz a jayein.
35:09Doosa, jaise inno ne baat ki na, zimmadari ki.
35:11Dekhi main samjhti hun ki, islami riyasatein jahan jahan hain, wahaan masajid zarur hain
35:16har gali, mahale mein.
35:18Masajid mein, ahima-e-masajid, ulama ki yeh zimmadari agar woh apni samjhein, ki ahle
35:23mahala mein jab koi aadmi foht ho jata hai, toh uska record rakhein, ki ab falaan ghar
35:28mein yateem bachay hain, ya bewa hain, aur mukhayyar azraat ko batayein, ki woh unke
35:33liye rashan ka bandobas karein.
35:35Kyuki amoomin ab ek ghar, doosar ghar ka nahi pata hota, ki kaun reh rahein, aur kis tariqe
35:40se wahaan guzara ho rahein.
35:42Toh masajid mein toh sabko pata hota hai, ahlanaat hota hai, jab koi foht hota hai.
35:46Toh agar ahima-e-karam, ulama-e-karam, iss baat ko samjhein, ki moaashira mein ek khubsurat
35:51rawayat ka agaaz kiya jayein, ki wahaan andar record ho, ki yeh yeh bewa hain, yeh yateem
35:58koi mukhayyar azraat karna chahein, baghair unke kahein, baghair unke sawal daraaj kiyein.
36:05Kyuki humein bikari nahi banaana kaun ko.
36:08Humein toh itna zimmadaar banaana hai, ki har fard uss process mein aayein, ki jismein
36:14woh doosre haath ko khabar na ho, aise de, aur subha de, shaam de, ahlaniya de, chhupa
36:21kar de.
36:22Toh agar iss tarah ki committee-yan bana di jayein, jo mukhayyar azraat se leyin, un
36:26ka khafalat paunchayen, khafalat ke intazamat ho aise, jaha unki feesin khud ba khud paunch
36:31jaya karein unke schoolon mein, toh ek khubsurat moaashira tashkeel diya jaa sakta hain.
36:35Bahut pyaara aapne mashfara bhi diya, aur yeh jo masajid hoti hain na, zahir-e-waha par
36:40jo bhi azraat jaate hain, wo apne ahle-mahalla ke jo log hain, jo apne azeez-o-qarib se
36:46hatkar hote hain, lekin wo zahir-e-unke maamlaat se, unke gharelu maamlaat se, bohot zyada
36:52unko jaante hain, kyunki wo zahir-e-apne ek hi mahalla mein rahte hain, toh unko bohot
36:57zyada qarib se wo dekhte bhi hain, unke ghar mein kya parishani hain, yeh bhi jaante hain,
37:01kya cheez karne wali hain, kaunse kaam karne wale hain, aur kaunse nahin karne wale hain,
37:06yeh sab wahapar jaana jaata ho, pehchaana jaata hain, toh humein is cheez ko bohot zyada
37:10dekhne ki zaroorat hain.
37:11Doktor sahiba, main chahungi, koi last message aap dena chahein.
37:16Allah karein ki hum sab is qabil ho jayein, ki ek-ek yatim bachay ki kafalat hum apne
37:20zimmi le le.
37:21Ilahi Ameen, Ilahi Ameen.
37:22Toh yeh meri dua bhi hain, aur ek message bhi hain, ki aap ghor karein, aur le lein,
37:26ek ki kafalat.
37:27Allah hu Akbar, Allah ta'ala humein is qabil karein, Allah parvardikar humsein yeh kaam
37:32le le.
37:33Ji Uzma sahiba.
37:34Shukriya zainab, main yahan par mera ek chota sa paigam hain, wo yeh hain ki humein apne
37:40qurbo jawar mein, apne qareeb tani nishtidaron mein sabse pehle nazar rakhni chahiye, ki
37:44sabse pehla haq humare upar, humare qareeb tani nishtidaron ka hain.
37:48Agar humare qareeb tani nishtidaron mein aise bachay maujood hain, jo apne liye khud kuch
37:54nahi kar sak rahein, ya phir unka maal hain, jiski wo khud hifazat nahi kar pa rahein,
38:00toh unke us maal ki hifazat ka intizam kiya jaye, aur unki behtareen dekhbhal ka intizam
38:06kiya jaye, mera aaj ke liye yeh paigam hain.
38:09Jazakallah.
38:10Bahut shukriya aap dono mehman shahsiyat ki aamat ka.
38:14Doktor sahiba aap tashreef laayen, aapki janak se bahut achi guftug hui.
38:17Uzma Abu Bakar sahiba aap tashreef laayen, aapki bhi aamat ka bahut shukriya da karte
38:22hu.
38:23Bas aakhir mein yeh zarur kehna chahungi, ki hum Allah se darne wale ho jayein.
38:27Kaash hum Allah rabbul Izzat se us tarah darein, jaisa ki darne ka hukum hai, aur jaisa ki
38:33darne ka haq hai.
38:34Aur hum wo tamaam kaam, wo tamaam cheezein jo mana ki gayi hain humare liye, unse bachne
38:40ki humein Allah rabbul Izzat taufiq ata farmayein.
38:43Mujhe yaani Syeda Zainab ko deejega ijazat.
38:45Fiamanillah.

Recommended