• 3 months ago
Islamic and informative video
Transcript
00:00Jahannum mein pehla din. Bismillahirrahmanirrahim. Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu.
00:07Main hu Jamil Ahmed Jami. Yaqeenan tamam tarifein Allah ke liye hain. Hum usi ki tarif bayan
00:14karte hain. Usi se madad ke talabgaar hain. Main gawahi deta hun ki Allah ke sewa koi
00:20bhi ma'abood-e-barhaq nahin. Wo tanha hain. Uska koi shariq nahin. Aur Muhammad sallallahu
00:26alayhi wa alayhi wasallam. Allah ke bande aur uske rasool hain. Nazeen, dozakh ek aisa
00:33maqam hain jisse Allah ta'ala ne saza yaafta logon ke liye banaya hain. Yeh jagah gunahgaron,
00:39nafarmanon aur sarkashon ko saza dene ke liye hain. Ab yahan bahut se logon ke zain mein
00:45yeh sawal peyda hua hain ke jahannum ka pehla din kaisa hoga? Aur sabse pehle dozakh mein
00:51kise dala jaayega? Aur jahannum mein qayam ki muddat kya hogi? In sab sawalat par aaj
00:57tafseel se baat karenge. Aur video mein aapko ahadees ke mutaabik yeh bhi bataayenge ke
01:03dozakh jab mujrimon ko dekhegi to unka kya hal karegi. Aur haan video mein aap yeh bhi
01:09jaanenge ke wo kaunse aise logon honge jo imaan lana ke bawajood bhi jahannum mein jaayenge.
01:14Video mein aage chalne se pehle aap logon se guzarish hai ki video ko skip nahin karna
01:19aur aakhir tak lazmi dekhna hai. Aur agar aap humare channel par naye hain to sabse pehle
01:23humare channel ko subscribe kar lein.
01:25Nazim jahannum ek makaan hai ki uska haar aur jabbar ke jalal aur qahar ka mazhar hai.
01:30Jis tarah uski rahmat aur nehmat ki intiha nahi ki insani khayalat aur tasawurat jaha
01:35tak pohchein wo ek shamma hai. Isi tarah uske ghazab aur qahar ki koi had nahi.
01:40Ek adna hisa hai uske be intiha azaab ka. Quran-e-majeed aur ahadees mein uski
01:46sakhtiyan mazkoor hain unmein se kuch bayan karta hu.
01:49Ki musalmaan dekhen aur usse panah maange aur unamaal se bachein jinki jaza jahannum hai.
01:55Hadees mein hai ki jo banda jahannum se panah maangta hai, jahannum kehta hai,
02:00ay rab ye musse panah maangta hai, to usko panah de. Quran-e-majeed mein bakasrat irshaad hua
02:05ki jahannum se bacho, dozak se daro. Humare aqa maula sallallahu ta'ala
02:10alayhi wa alayhi wa sallam ko sikhane ke liye kasrat ke saath usse panah maangte.
02:15Nazian jahannum ki zindagi se mutaalik har insaan ka jaana zaruri hai,
02:19taake wo apni duniya aur aakhirat ki zindagi ko baithar bana sakein.
02:23Quran-e-karim mein ye baat roz-e-roshan ki tarah aaya hai,
02:26ki har jaandaar ko maut ka maza chakna hai, aur qayamat ke din har insaan ko ajar poore poore diye jaayenge.
02:32To jis insaan ko aag se bacha liya gaya aur jannat me daakhil kar diya gaya,
02:36to wo kamyab ho gaya aur duniya ki zindagi to sirf dhoke ka samaan hai.
02:41Balki nazian jahannum mein pehla din kaise hoga,
02:44iss hawaale se ek farzi kahani aapko sunate chalein, taake aap aaj ke mauzoo ko baithar tariqah se samajh sakein.
02:50To nazian ye kahani yun bayan ki jaati hai,
02:53ki Haris behoshi ki haalat se bedaar hua, to usko samajh nahi aa rahi thi ke wo kahan hai, aur usko kya hua hai.
03:00Apne aap ko samhalne ke baad usne idhar udhar nazar daudai,
03:03usse har shakhs khud mein masroof nazar aaya.
03:05Usne badi umar ke ek shakhs ko roka aur Haris ne ghabraate hui poocha,
03:09Babaji ye kaunsi jagah hai?
03:11To Babaji bole, abhi naye naye aaye ho tum.
03:14Kya matlab?
03:15Haris bola, kaun aaya?
03:17Aur usne ghabraate hui hi jawab diya.
03:19To ussi waqt ekdum ek khaufna kisam ka ailaan hua,
03:22jin ki naye aamad hai, wo hisaap ke liye us darwaze ki jaanib chal padein.
03:26Agar khud aayenge to behtar hoga,
03:28warna zabadasti wala tariqah bardaash nahi kar paayenge.
03:31Haris ke pehron tale se zameen nikal gayi,
03:34to sab dekha dekhi, bhaari kadamon ke saath sab ke peechhe us darwaze ki taraf chal pada.
03:39Darwaze kareeb jaate hi,
03:41wahan usse khaufnaag shakal ki ajeeb makhlook ne roka,
03:44aur roop se bola, naam batao.
03:46Haris bola, mera naam Haris hai.
03:48Ab wajeeb makhlook boli, wajah hai maud batao.
03:51Tumhari maud kaise hui thi?
03:53To Haris ne ghabraate hui jawab diya.
03:55Kya matlab?
03:56Matlab main mar gaya hu?
03:57Lao ji, ek aur hai, jisko maud ka nahi malum.
04:00Wo makhlook kisi aur ko mukhatib karke boli,
04:03idhar bhej do.
04:04Isko ek aur makhlook boli,
04:06aur pehli makhlook ne,
04:07Haris ko doosi taraf jaane ka ishaara kar diya.
04:10Wo bhaag kada hua,
04:11aur doosri jaanib chal diya.
04:12Aur doosri makhlook ke saamne jaag khada hua.
04:15Us makhlook ne Haris se pucha,
04:16ki tumhe kuch yaad hai?
04:17Aakhari baad tumhare saath kya hua tha?
04:19Tumhari maud kaise hui thi?
04:21Kya tum kabhi bimaar the?
04:23Ki lambi bimari kaat kar aaye ho?
04:24Ya tumhara kisi haadse mein intikal hua hai?
04:27Wo makhlook roop se boli,
04:28Haris se bola na gaya.
04:33Aur rohne ka koi faida nahi,
04:34jo pucha hai wo batao.
04:36Aur itne mein doosri taraf se
04:37ek shakhs nahi nahi karta hua,
04:39cheekha,
04:40aur achanak zameen khuli,
04:42sholay baahar nikle,
04:43aur uske andar dhakel diya gaya.
04:45Aur zameen phir se band ho gayi.
04:47Bachi kuchi himmat bhi Haris haar gaya,
04:49aur wo mazeer dhar gaya.
04:50Aur wo zameen par baith kar rohne laga.
04:52Khada ho jao,
04:53Allah ke naafarmaan bande?
04:55Makhlook ne ghusse se bola,
04:57Main naafarmaan nahi,
04:58main musalmaan hu,
05:00Main nabi kareem sallallahu alaihi wa sallam ka ummati hu,
05:03Main kalma go hu,
05:04Main kalma padhta hu,
05:05Main namaz padhta hu,
05:06Main roze rakhta hu,
05:07Aur main ne kaafi nekiya bhi ki hai,
05:09Haan kaafi dafah kotaye bhi ki,
05:11magar har baar muafi bhi maangi hai.
05:13Aur Haris zameen ko dekhte hue,
05:14rohte hue,
05:15ye sab bolta jaa raha tha.
05:17Oopar dekho,
05:18makhlook boli,
05:19aur Haris ne darte rarte,
05:20oopar dekha,
05:21to hairaan reh gaya.
05:22Wo makhlook bahut khubsurat parinda ka roop dhar chuki thi.
05:25Itna khubsurat parinda,
05:30Hairaan mat ho,
05:31tumne gunahon ka itaraaf kiya hai,
05:32to hum jaan gaye,
05:33ki tum mujrim nahi.
05:34Wo makhlook boli.
05:35Shukriya.
05:36Haris ne apne aansu saaf karte hue,
05:38jawab diya.
05:39Uske baad makhlook boli,
05:40lekin tumhara hisaab kitab jannatiyon wala nahi hai.
05:43Namaze bahut kam,
05:44jhoot bahut zyada,
05:45aur chote mote kaafi guna hai.
05:47Wo makhlook boli,
05:48magar Haris ghabra gaya.
05:50Chalo,
05:51tumhe kuch dikhaate hain.
05:52Mere panjo mein baith chao.
05:53Aur phir Haris uske panjo mein baith gaya.
05:56Aachanak zameen khuli,
05:57aur neeche ka manzar dekh kar Haris ke hosh ud gaye.
06:00Usne dekha ke kuch log aag ke patthar kha rahe the.
06:03Kuch log laave mein ubal rahe the.
06:05Kuch log apne aap ko kha rahe the.
06:07Kuch log apne bhaiyon ka gosht kha rahe hain.
06:10Kisi ke dimaag mein pigla hua seesa dala jaa raha hai.
06:13Kisi ke moon mein ubala hua paani dala jaa raha hai.
06:16Koi aag ke tandoor mein ulta latak raha hai.
06:18Aur kisi ke aankhon mein garam aag ke no keele sariye dala jaa rahe hain.
06:22In sab ke dimaag ubal rahe hain,
06:24hartaraf cheekh aur pukar thi,
06:26hartaraf ek aisa aalam hai,
06:28jisko bayan karna naa mumkin tha.
06:30Nazreen, Haris cheekha aur chillaya aur kehne laga,
06:33ke khuda ke waste mujhe yahan se le chalo.
06:35Khuda ke waste mujhe yahan se le chalo.
06:37Wo makhloog boli,
06:38jaanto in sab ko Allah ki taraf se saza mili hai.
06:41Nahi nahi, mera Allah taala itna zalim nahi.
06:43Usrab ne Quran mein firmaaya hai,
06:45ke wo rahman aur rahim hai
06:47aur hume sattar maaon se zyada pyaar karta hai.
06:50Aisa nahi ho sakta.
06:51Aur ye sab Haris bol raha tha.
06:53Us parinde ne ekdum parbaaz unchi ki
06:56aur usse jehannum se bahar laaya.
06:58Haris, tumhara waqt poora ho ke aaye.
07:00Wo makhloog boli,
07:01aur ekdum se Haris ko jhatka laga.
07:03Uske aankh kuli to wo kuch bol nahi paa raha tha,
07:06sirf sun sakta tha.
07:07Mubarakon Mrs. Haris,
07:08umeed nahi the ke Haris bach jayega.
07:10Chot bahut ghairi thi,
07:11Allah taala ne apna karam kiya
07:13aur inki jaan bach gayi hai.
07:14Ye sab doktor bol raha tha.
07:16Allah taala ka laak laak shukar hai,
07:17ke humne jab bhi maanga sirf aur sirf Allah taala se maanga hai.
07:21Usne humne diya bhi hai
07:22aur jab nahi deta to gila nahi karte,
07:24magar kabhi shirk nahi karte.
07:26Mrs. Haris rote hur boli.
07:28Bahut achchi soch hai, doktor sahab bole.
07:30Mrs. Haris mazeed boli ki
07:31ye sab mujhe Haris ne sikhaaya hai.
07:33Allah ko dost bana kar faayde bhi rahe hain aap log,
07:36doktor sahab muskur aakar bole.
07:38Itne mein Haris parishan ho gaya,
07:40usko samajh aa gayi thi ki
07:41ye sab ek khaab tha.
07:42Ab nazin agar hadith ka mutaaliyah kiya jaye
07:45ya Quran-e-karim ka mutaala kiya jaye
07:47ya Islam-e-kutub ka mutaala kiya jaye
07:49aur Jahannum ke jo haalaat
07:51hamare ulama ne bayan kiye hain
07:52unka mutaala kiya jaye
07:54shayad haqiqat kuch aisi hi hogi.
07:56Jinn mein Jahannum ke andar
07:57mukhtilif gunahgaaron ko
07:59mukhtilif tarahi ki sazaayin di jayengi
08:01jo aapne iss video mein mulaiza kiye.
08:03Muhtarim nazin, jaisa ke abhi
08:04humne aap ko farzi kirdar ke zariye
08:06Jahannum ke pehle din ke mutaalik bataya
08:08lekin haqiqat mein jo teen log
08:10Jahannum me sabse pehle jayenge
08:11yaani ki Jahannum ki aag bhadkaane wala
08:13eendhan banenge
08:14unke mutaalik aap sunkar heraan reh jayenge.
08:17Nazreen, rooz-e-mahshar jab Allah Rabb-ul-Izzat
08:19hisaab ke baad logon ko unke haath
08:21mein naama-e-aamaal pakdaayenge
08:23jis shas ko daaye haath mein naama-e-aamaal
08:25diya jayega, wo jannat mein jayega
08:27aur jisse baaye haath mein diya jayega
08:29wo Jahannum ki aag ka eendhan banega.
08:31Qayamat ke din pehle jinn teen logon
08:33ko Jahannum mein bheja jayega
08:35unmein ek aalim, ek shaheed
08:37aur ek maaldaar aadmi hoga.
08:39Hazrat Abu Hurairah R.A. anhu se
08:41ek hadith riwayat hai jiska maf'oom hai
08:43ki Rasulullah s.a.w.
08:45ne firmaaya, Allah Ta'ala
08:47sabse pehle uss aadmi ko bulayenge
08:49jisne Quran seekha aur uss aadmi ko
08:51jo bazaahir Allah ki raham-e-qatl
08:53yaani shaheed kiya gaya aur ek bohot
08:55maaldaar aadmi ko, to Allah Ta'ala
08:57uss aalim se firmaayega, kya main tumhe
08:59iska ilm nahi diya tha, jo kuch
09:01maine apne Rasul s.a.w.
09:03par nazil kiya, wo kahega
09:05ke beshak tune diya tha, aye mere Rabb
09:07Allah firmaayega, to tumhe
09:09jo ilm diya gaya, tumne
09:11uss ke zariye kya kiya, wo shahks
09:13kahega, main din raat tilawat kata raha
09:15aur uss par amal karta raha, Allah
09:17firmaayega, ke tune jhoot bola aur farishte
09:19bhi kahenge, ke tune jhoot bola, Allah
09:21uss aalim se kahega, ke nahi, balke
09:23tumhe chaha, ke tumhe qari aur aalim
09:25kaha jaye, aur logon ki taraf se ye keh
09:27diya gaya, aur firmaaldaar aadmi ko
09:29bulaya jayega, wo kahega, ke
09:31wo Allah ke liye maal se sadqa karta raha
09:33aur istidharon ka khayal rakta raha
09:35lekin Allah firmaayega, ke tune
09:37jhoot bola, balke tumne ye chaha
09:39ke tumhe sakhi aur rahim dil kaha jaye
09:41aur logon ki taraf se ye keh diya gaya
09:43iske baad shaheed ko bulaya
09:45jayega, aur Allah usse kahega, ke
09:47tum kis wajah se qatl kiye gaye, wo kahega
09:49mujhe, aapki raham e jihad
09:51karne ka hukum diya gaya, tumhne qattal
09:53kiya, yahan tak ke main teri raham e
09:55qatl kar diya gaya, usse Allah kahega
09:57ke tune jhoot bola, balke tumhe ye
09:59chaha, ke tumhe bahadur kaha jaye, aur
10:01logon ki taraf se ye keh diya jayega
10:03Hazrat Abu Hurairah r.a. nuh firmaate
10:05hain, ke uske baad Rasulullah s.a.w.
10:07ne mere dono ghutno par
10:09apne mubarak haaton se zarb lagayi, aur
10:11irshaad firmaaya, aye Abu Hurairah
10:13Allah ki makhlook me se wo teen
10:15log hain, jin se qayamat walidin
10:17jahannum ki aag bhadkaayega
10:19Allah hum sab ko riyakari se bachne
10:21ki himmat dey, aur deen ke saare
10:23kaam khalisatan Allah ki raza ki
10:25husool ke liye hi karne walon me se banaye
10:27Nazeen aapko jahannum ki sakhti aur
10:29jahannum ki taklif ka andaaza
10:31Nabi Kareem s.a.w.
10:33ke is waqe se laga sakte hain
10:35ki ek baad Jibreel s.a.w.
10:37Nabi Kareem s.a.w.
10:39ke paas aaye, to aap s.a.w.
10:41ne dekha, ki Jibreel kuch
10:43parashaan hain, aap s.a.w.
10:45ne firmaaya, Jibreel
10:47kya maamla hain, ke aaj main aap ko
10:49gham zada dekh raha hun, Jibreel s.a.w.
10:51ne arz ki, aye mehboob s.a.w.
10:53kal main
10:55Allah paak ki hukum se jahannum ka nazara
10:57karke aaya hun, usko dekhne se
10:59mujh par gham ke aasaar namudaar hua hain
11:01Nabi Kareem s.a.w.
11:03ne firmaaya, Jibreel mujhe
11:05bhi jahannum ke haalaat batao, Jibreel s.a.w.
11:07ne arz ki, ki jahannum ke kul saad
11:09darja hain, un mein jo sabse diche
11:11wala darja hain, Allah usme munafiqon
11:13ko rakhega, usse upar wale
11:15darja mein Allah taala mushrikon ko daalenge
11:17usse upar wale paanch mein
11:19darja mein Allah taala sooraj aur chaand
11:21ki prastish karne walon ko daalenge
11:23chauthe darja mein Allah paak aatish paraston
11:25ko daalenge, teesre darja mein Allah paak
11:27yahoodiyon ko daalenge, doosre darja
11:29mein Allah paak eesaiyon ko daalenge
11:31ye kahkar Jibreel s.a.w. khamosh ho gaye
11:33to nabi kareem s.a.w.
11:35ne poochha, Jibreel
11:37aap khamosh kyon ho gaye, mujhe
11:39batao ke pehle darja mein kaun hoga
11:41Jibreel s.a.w. ne arz kiya, ki
11:43Allah ke rasool s.a.w.
11:45pehle darja mein Allah paak aapki
11:47ummat ke gunahgaaron ko daalega
11:49jab nabi kareem s.a.w.
11:51ne ye suna, ki meri ummat ko bhi
11:53jahannum mein daala jaayega, to aap
11:55s.a.w. behut ghamgeen hua
11:57aur aap s.a.w.
11:59Allah ke huzoor duaay karna shuru ki
12:01teen din aise guzre ke Allah ke mehboob
12:03masjid mein namaz padhne ke liye tashreef laaye
12:05namaz padh kar hujre mein tashreef le jaate
12:07aur darwaza band karke Allah ke huzoor
12:09ro ro kar faryaat karte
12:11sahaba hairaan the ke nabi kareem s.a.w.
12:13par ye kaisi kaifiyat
12:15taari hai, masjid se hujre jaate hain
12:17ghar bhi tashreef le kar nahi jaa rahe
12:19jab teesra din hua to Syedna
12:21Abu Bakr s.a.w. se raha na gaya
12:23to darwaza par aaye, dastak di
12:25aur salaam kiya, lekin salaam ka
12:27kabab nahi aaye, to unhone hazrat Umar
12:29Farooq s.a.w. ko bataaye, to wo bhi
12:31nabi kareem s.a.w. ki
12:33is kaifiyat ki wajah na pata chala sake
12:35to phir istara jab hazrat Fatima
12:37Zahra s.a.w. ko
12:39nabi kareem s.a.w. ke paas
12:41bhija gaya, to nabi kareem s.a.w.
12:43ne kaha, ki
12:45Fatima beti, mujhe apni ummat ke gunahgaaron
12:47ka gham khaaye jaa raha hai, aur main
12:49apne maalik se duaay kar raha hoon, ki
12:51Allah inko muaaf kar, aur jahannum se
12:53bari kar, ye kah kar aap fir sajde mein
12:55kar gaye, aur rohna shuru kar diya
12:57ya Allah meri ummat ke gunahgaaron par rahim kar
12:59unko jahannum se azad kar, ki itne mein
13:01hukum aa gaya, ey mere mehboob gham
13:03na kar, main tumko itna ata karunga
13:05ki aap razi ho jayenge
13:07main aapko itna razi karunga ki aap razi ho jayenge
13:09aap khushi se khil uthe
13:11aur firmaaya, logon Allah ne
13:13mujhe wada kar diya hai, ki wo roz ye qayamat mujhe
13:15meri ummat ke muaamle mein, khub razi karega
13:17aur main us waqt tak razi nahi hona
13:19jab tak, mera aakhri ummat hi bhi
13:21jannat mein na chala jaye, to nazin hame
13:25ki talimat par amal karein
13:27taake ham jahannum ki sakhtiyon se
13:29khud ko mehfooz kar sakein
13:31nazin jahannum ke hawale se ye bhi waazay kar du
13:33ki jahannum ke pul ke 8
13:35darjaat hain, awal darja mein
13:37banday se, imaan e billah ke
13:39mutaalik sawal kiya jayega, imaandaar
13:41hua, to baaghaat pa jayega
13:43warna dozakh mein gir jayega
13:45do se darja mein wudhu aur namas ke mutaalik
13:47poosha jayega, aur agar banday ne koi
13:49kotahi ki hogi, to aag mein gir padega
13:51agar wudhu aur ruku aur sujood
13:53ki takmeel ki hogi, to nijaat paayega
13:55teesre darja mein zakat ki
13:57baabat sawal kiya jayega, agar ada ki
13:59to baj jayega, chauthe darja mein
14:01pohachka roze ke mutaalik pooch gach hogi
14:03agar takmeel-e-sayaam ki hogi
14:05to nijaat mil jayega, paanchve
14:07darja mein haj aur umre ki
14:09baabat poocha jayega, agar dono
14:11ada ki honge to dozakh se baj jayega
14:13chhate darja mein amanat ke mutaalik pooch gach
14:15hogi, aur amanat mein khiyanat na
14:17karne wala nijaat pa jayega
14:19saathme darja mein ghibat, chugli
14:21aur tahmat tarashi ki baabat sawal
14:23hoga, ghibat na karne wala
14:25dozakh se mehfooz rahega, aathme
14:27darja mein haram maal khaane ka sawal
14:29hoga, haram maal nahi khaya hoga
14:31to rehaye mil jayegi, warna
14:33dozakh mein gir jayega. Nazreen
14:35yaad rakhiye, azaab-e-dozakh
14:37ek haqiqat hai, iski asliyat se
14:39inkaar karna Islam ke manafi aur
14:41kufr mein shamil hai. Hazrat Abu Musa
14:43Ashari R.A.
14:45Ta'idaar-e-Madina S.A.W.
14:47se riwayat karte hain ki agar
14:49ek patthar dozakh mein dala jaye, to dozakh
14:51ki tahme pohoshne se pehle, sattar
14:53saal tak girta chala jayega.
14:55Balk Hazrat Abu Huraira R.A. se
14:57riwayat hai, ki ek martab hum Rasoolullah
14:59S.A.W. ki khidmat-e-baabarkat
15:01mein baitha huye the, ki hum
15:03ne kisi cheez ki girne ki aawaz suni, to
15:05Ta'idaar-e-Madina S.A.W.
15:07ne firmaaya, ki tum jaante ho
15:09ki ye aawaz kaisi hai.
15:11Hum ne arz kiya, Allah aur iske Rasool
15:13hi khoob jaante hain. Irshad firmaaya,
15:15ek patthar hai, jisko Khudaan-e-Jahannum
15:17ke muh par tahme girne ke liye chhoda tha.
15:19Aur wo sattar saal tak
15:21girte girte ab dozakh ki tahme pohucha
15:23hai. Ye us patthar ki girne ki
15:25aawaz hai. Ta'idaar,
15:27Ta'idaar-e-Madina S.A.W.
15:29ne irshad firmaaya,
15:31dozakh ko chaar deewaarein gheere huye
15:33hain, jinme har deewaar ka arz,
15:35jinme har deewaar ka arz
15:3740 saal chalne ki musafat rakhta hai.
15:39Yani dozakh ki deewaarein itni
15:41moti hain ki sirf, ek deewaar ki
15:43chhodaayi tay karne ke liye 40 saal
15:45kharch honge. Ta'idaar-e-Madina
15:47S.A.W. ne irshad
15:49firmaaya, ki dozakh ko
15:511000 saal tak dhehkaya gaya, to uski aag
15:53surkh ho gayi. Phir 1000 saal tak
15:55dhehkaya gaya, to uski aag safaid ho gayi.
15:57Phir 1000 saal tak dhehkaya gaya,
15:59to uski aag siyaah ho gayi.
16:01Chunaach ab dozakh ki aag siyaah
16:03aur andhere wali hai.
16:05Bukhari-e-Muslim ki ek riwayat mein hai,
16:07ki Ta'idaar-e-Madina S.A.W.
16:09ka irshad hai, ki tumhari ye
16:11dozakh ki aag, jisko tum jalaate ho,
16:13dozakh ki aag ka sattarma hisa hai.
16:15Sahaba-e-Kiram A.H. Rizwan
16:17ne arsh ki, jalane ko to
16:19yehi kaafi hai. Aap S.A.W.
16:21ne firmaaya, haan,
16:23iske ba wajood duniya ki aag se
16:25dozakh ki aag 69 darje
16:27badhi hui hai. Ek riwayat mein, ki
16:29agar dozakh hi ko dozakh ki aag se nikal kar
16:31duniya ki aag me daala jaye, to usko
16:33need aa jaye. Kyunke
16:35banizbatan dozakh ki aag ke
16:37duniya ki aag bahut hi kam zyada
16:39karam hai. Lihaza usme us dozakh
16:41ke mukabale mein aaraam maalum hoga.
16:43Ek riwayat mein, ki duniya ki aag
16:45Allah se dua karti hai, ki ya Allah, usko
16:47jahannum ki aag me wapas mat le jaana.
16:49Yani, aag usse panah maang
16:51rahi hai. Lekin ye insaan
16:53kitna kamzor aur naathwaan hai, ki ye
16:55aag se aakhir kyun nahi darta. Balki
16:57ye to aage badhkar apni zaad ko us aag ke
16:59aage kar raha hai. Ki jis aag se
17:01khud aag bhi darti hai.
17:03Namaaz ko jaanboosh kar zaya kar dena,
17:05kya apne aap ko jahannum ki
17:07hawale karna nahi hai. Isi tarah
17:09jhoot bolna, gaaliyan bakna,
17:11gheebat, chughli karna, waghera waghera, jitne
17:13bhi gunah hai. Ham sab ko maalum hai, ki un
17:15gunahon par jahannum ka azaab hai.
17:17Lekin phir bhi, gunah ka irada karke
17:19aur khushi khushi karna, kis
17:21qadar himaqat aur nadani hai.
17:23Huzoor alaihi s-salatu wa s-salam ka farmaan
17:25alishan hai, ki dozakh ka sabse halka
17:27azaab ye hai, ki paon me aag
17:29ki jootiyan pehna di jaayengi, jis ki
17:31wajah se uska dimaag haandi ki tarah
17:33kholta hua hoga. Woh samjhega
17:35ki mujhe hi sabse zyada azaab ho raha hai.
17:37Haana ki usko sabse kam azaab hoga.
17:39Sabse halke darje ka
17:41jis par azaab hoga.
17:43Usse Allah zujal poochega, ki agar
17:45sari zameen teri ho jaye to kya
17:47is azaab se bachne ke liye
17:49tu sab fidye me de dega? Arz karega
17:51haan. Farmaega, jab
17:53tu puchte adam me tha, to hamne
17:55isse bahut aasaan cheez ka hukum
17:57diya tha. Ki kufur na karna,
17:59magar tune na maana. Jahannum ke
18:01sharaare, oonche oonche mehlo ki
18:03barabri udenge. Goya zard
18:05oonton ki qataar ke paham aate
18:07rahenge. Ek riwayat ke mutaabik
18:09Jibreel alaihissalam ne, nabi
18:11sallallahu alaihi wa alaihi wasallam se qasam
18:13khaakar arz ki, ki agar jahannum se
18:15sui ke naake ke barabar
18:17khol diya jaye, to tamam zameen wale
18:19sab ke sab uski garmi se mar jaye.
18:21Aur qasam khaakar kaha, ki agar
18:23jahannum ka koi daroga, ahle duniya
18:25par zahir ho, to zameen ke rehne wale
18:27kul ke kul uski haibat se mar jaye.
18:29Aur baqasam bayan kiya, ki agar
18:31jahannumiyon ki zanjeer ki
18:33ek kadhi duniya ke pahadon par rag di jaye,
18:35to wo kaafne lagen, aur hone
18:37qaraar na ho, yaha tak ke
18:39neeche ki zameen tak dhas jaye.
18:41Ye duniya ki aag, jiski garmi wo teji se
18:43kaun waqif nahi, baaz mausam
18:45me to uske qareeb jaana shaak hota hai,
18:47phir bhi ye aag khuda se dua karte hai,
18:49ke usse jahannum me phir na le jaye.
18:51Magar taajub hai insaan se,
18:53ke jahannum me jaane ka irada karta hai,
18:55ke jahannum me jaane ka kaam karta hai,
18:57aur usse aag se nahi dharta,
18:59jisse aag bhi dharti aur panha maangti hai.
19:01Dozak ki gehraai ko khuda hi jaane
19:03ki kitni gehri hai.
19:05Hadees mein, ke agar patthar ki chataan
19:07jahannum ke kinaare se usse phenki jaye,
19:09to sattar baras me bhi tahay tak na pohnchegi,
19:11aur agar insaan ke sar barabar
19:13seesa ka gola aasmaan se zameen ko
19:15phenka jaye, to raat aane se pehle
19:17zameen tak pohnch jayega.
19:19Haala ki ye paanso baras ki raah hai,
19:21phir usme mukhtalif tabqaat aur waadi aur
19:23kuain hai. Baaz aisi waadi hai
19:25ke jahannum bhi har roh sattar martaba
19:27ye zyada usse panha maangta hai.
19:29Ye khud uske makaan ki haalat hai.
19:31Agar usme aur kuch azaab na hota,
19:33to yehi kya kam tha.
19:35Magar kuffaar ki sar zanish ke liye
19:37aur tarah tarah ke azaab mohiyya kiye.
19:39Lohe ke aise bhaari gurzo se
19:41farshte maarengi ki agar koi gur zameen par
19:43rak diya jaye, to tamam jinno ins
19:45jamaa hokar usko utha nahi sakta.
19:47Hadees-e-mubarka mein irshaad hai ke
19:49jahannum mein oont ki gardan ki tarah
19:51mote-mote saab hai. Har saab ki lambai
19:53ek maha ki musafat ke barabar hai.
19:55Hadees-e-mubarka mein irshaad hai ke jahannum
19:57mein oont ki gardan ki tarah mote-mote
19:59saab hai. Har saab ki lambai
20:01ek maha ki musafat ke barabar hai.
20:03Jab ye saab dasega, to iska zahir
20:05uske jisim mein sattar saal tak
20:07josh maate rahega. Doosi
20:09riwayat mein hai ke jahannum mein kaale khachchar
20:11ki maanind bichchu hai, aur unke sattar
20:13dang hai. Aur har dang mein
20:15zahir ki thaili hai. Jab wo bichchu
20:17dang maarega, to uska zahir
20:19aadmi ke saare jisim mein saraiyat kar jayega
20:21aur uske zahir ki garmi
20:23ek hazaar saal tak raheti hai.
20:25Uske baad uski hadiyon par gosh chadta hai
20:27aur uski sharamga se peep baine
20:29lagti hai. Aur tamaam jahannum mein
20:31uspe laanat bhejte hain. Do zakhiyon
20:33ko khaulte hui chashme ka paani milega
20:35aur siwaye jhaad kaanto
20:37wale khaane ke unke liye
20:39kuch khaana na hoga. Jo na taaqat
20:41dega, na bhoog door karega.
20:43Beshak unki ghaza pigle hui taambe
20:45jaisa zaqaum ka darght hai. Jo
20:47piton mein garam paani ki tarah khaulega.
20:49Darsal zaqaum ek darght hai,
20:51jo dozak ki jadme se nikalta hai.
20:53Uske phal aise hain, jaisa saapon
20:55ke phan. Zaqaum ka tarjuma
20:57sand kiya jaata hai. Jo
20:59mashoor, karwa darght hai. Lekin
21:01ye sirf samjhane ke liye hai. Kyunke
21:03bhaa ki har cheez karwahat aur badbu mein
21:05yaha ki cheezon se kahin zyada badtar
21:07hai. Aur kya hi bura manzar hoga
21:09jab us darght se khaenge
21:11aur phir upar se khaulta hua paani
21:13piyenge. Aur wo bhi thoda
21:15khawat nahi, balke piyaase
21:17oonto ki tarah khoob bhi piyenge.
21:19Taajdaar-e-Madina s.a.w.
21:21ka farman-e-alishan hai.
21:23Agar zaqaum ka ek qatra bhi duniya me
21:25tapka diya jaye, to wo yaqeenan
21:27tamam duniya walon ki ghazaain bigar
21:29daale. Yani sab karwi ho jaye.
21:31Ab batao ki uska kya haal hoga?
21:33Jiski khuraa ki zaqaum hogi.
21:35Hazrat Hassan Basri r.a.n
21:37se manqool hai ke dozakiyon ko
21:39rozana sattar hazaar martaba
21:41aag jalaegi. Har martaba jab aag
21:43jalaegi to kaha jaayega, jaise the
21:45waise hi ho jao, chunaache wo har baar
21:47waise hi ho jaayenge.
21:49Nazin Jahannumiyon ke badan se jo peep bahegi,
21:51wo pilai jaayegi. Khaar, daar, thohar
21:53khaane ko diya jaayega. Wo aisa hoga ki
21:55agar uska ek qatra duniya me aaye,
21:57to uski sozish aur badbu
21:59tamam hale duniya ki maishat barbaat karde.
22:01Aur wo gale me jaakar phanda daalega.
22:03Uske utaadne ke liye paani maangenge.
22:05Unko wo khaulta paani diya jaayega.
22:07Ki muh ke qareeb aate hi,
22:09saari khaal gal kar uske gale me gir
22:11padegi. Aur peht me jaate hi aate
22:13ke tukde tukde kardegi. Aur wo
22:15shorbi ki tarah bahekar kadamon ki taraf se
22:17niklenge. Pyaas is bala ki hogi ki us
22:19paani par aise girenge,
22:21jise tauns ke maare hue oont.
22:23Phir kuffaar jaan se aajiz aakar
22:25baham mashwara karke, daarog
22:27jahannum ko pukaarenge.
22:29Ae malik alayhi salatu was salam,
22:31tera rab hamara qissa tamam karde.
22:33Malik alayhi salatu was salam,
22:35hazaar baras tak jawab na denge.
22:37Hazaar baras ke baad firmaenge,
22:39muj se kya kehte ho?
22:41Us se kaho jiski na firmani ki hai.
22:43Hazaar baras tak Allah rabbul izzat ko
22:45uski rahmat ke naamon se pukaarenge.
22:47Wo hazaar baras tak jawab na denge.
22:49Uske baad firmaega,
22:51tu ye firmaega, door ho jao.
22:53Jahannum me pade raho, muj se
22:55baat na karo. Us waqt kuffaar har
22:57kisim ki khair se naumeed ho jaenge.
22:59Aur gadhi ki awaaz ki tarah chilla kar
23:01roenge. Ibtidaayi aansu niklenge.
23:03Jab aansu khatm ho jaenge, to khoon
23:05roenge. Rote rote gaalon me
23:07khandakon ki misal gadhe pad jaenge.
23:09Rone ka khoon aur peep isqadar
23:11hoga ki usme kashtiyan daali jaayen
23:13to chalne lagein. Jahannumiyon ki
23:15shakne aisi hongi ki agar duniya
23:17me koi jahannumi usi surat
23:19me laaye jaaye, to tamaam log uski
23:21badsoorti aur badbu ki wajah se mar jaaye.
23:23Aur jisim unka aisa bada kar diya
23:25jaayega, ki ek shana se doodh se shana
23:27tak tez sawaar ke liye
23:29teen din ki raha hai. Ek ek
23:31daad Uhud ke pahad ke baraabar
23:33hogi. Khaal ki motai bialis
23:35zaraay ki hogi. Zabaan ek
23:37kos, do kos tak
23:39mooh se bahar ghaseetti hogi.
23:41Aur log usko rondenge. Baitne
23:43ki jagah itni hogi, jaise Makkah se
23:45Madina tak. Aur jahannum mein
23:47mooh sakude hongi. Aur upar ka
23:49hot simat kar, beech sar ko
23:51pahod jaayega. Aur neeche ka latak
23:53kar naaf ko aa lagega. Nazreen
23:55in rawaayat se malum hota hai, ki
23:57kuffaar ki shakal jahannum mein
23:59insani shakal na hogi, balki ye shakal
24:01ehsan-e-taqweem hai. Aur ye Allah
24:03zujal ko mahabb. Nazeen, in rawaayat
24:05se malum hota hai, ki kuffaar ki shakal
24:07jahannum mein insani shakal na hogi.
24:09Jahannum ka wo huliya, jiske
24:11mutaalik aapko bata diya gaya.
24:13Phir aakhir mein kuffaar ke liye ye hoga,
24:15ki unki qad ke baraabar aag ke sundook
24:17mein usse band karenge. Phir usme aag
24:19bhadkaayenge. Aur aag ka qufl lagaye
24:21jaayega. Phir ye sundook aag ke doosre
24:23sundook mein rakha jaayega. Aur un
24:25dono ke darmian aag jalaye jaayegi. Aur
24:27usme bhi aag ka qufl lagaye jaayega. Phir
24:29isi tarah usko ek aur sundook mein rakha
24:31aur aag ka qufl laga kar aag mein
24:33daal diya jaayega. Toh har kafir ye
24:35samjhega, ki uske sewaab koi aag
24:37mein na raha. Aur ye azaab baala
24:39ya azaab hai. Aur ab hamesha uske liye
24:41azaab hai. Jab sab jannati jannat
24:43mein daakhil honge, aur jahannum mein sirf
24:45wohi rah jaayenge, jinko hamesha ke liye
24:47usi mein rehna hai. Uswaq jannat wo dozak
24:49ke darmian, maut ke mehnde ko
24:51laakar khada karenge. Phir
24:53naadi jannat waalon ko pukaarega.
24:55Woh darte hui jhaakenge, kahin aisa
24:57na ho ki yahan se nikalne ka hukum ho.
24:59Phir jahannumiyon ko pukaar a jaayega.
25:01Woh khush hote hui jhaakenge, ki shayad is
25:03mooseebat se rehaye ho jaaye. Phir un sab se
25:05poochega, ki ise pehchaante ho.
25:07Sab kahenge, haan ye maut hai.
25:09Woh zibah kar di jaayegi, aur kahega,
25:11Ae ahle jannat, hamesh gi hai.
25:13Ab marna nahin aur
25:15Ae ahle naar, hamesh gi hai.
25:17Ab maut nahin. Uswaq unke liye
25:19khushi par khushi hai. Aur
25:21Uswaq unke liye gham baala-e-gham.
25:23Allah hum sab ko dozak ke azaab se bachaaye.
25:25Aur hame woh kaam karne ki
25:27tawfiqata farmaye. Jisse hum
25:29dozak ke azaab se mehfooz rahe sakhein.
25:31Hum musulman kitne beparwa ho gayein.
25:33Kis kadar sakht aur khaufnaak
25:35azaabon se bhi nahi darte. Aur gunah
25:37par jurrat karte hain. Aaye yaha
25:39milkar Allah ta'ala se dua karte hain.
25:41Ki Allah hum sab ko jahannum ke
25:43azaab se bacha liyega. Aur hame
25:45baghar hisaab kitab ke jannat me daakhal
25:47farmaayega. Aur jab tak hum duniya me
25:49hain, hame Islam par zinda rakheyega.
25:51Aur jab hame maut aaye,
25:53aye Allah, hame imaan par kaamil
25:55maut naseeb farmaayega. Ameen.
25:57Summa Ameen.
25:59Nazim ye thi hamaari aaj ki video. Hum umeed karte
26:01hain ki aapko hamaari aaj ki ye video
26:03zarur pasand aayi hogi. Agar aapko hamaari
26:05aaj ki ye video pasand aayi hai, to aap se guzaarish
26:07karte hain ki aap hamaari channel ko
26:09zarur subscribe kar lein. Aur saath hi
26:11lage bell ke button ko bhi press kar lein.
26:13Taake aapke paas hamaari aane baali
26:15mazeed malumati videos ka notification
26:17bar waqt milta rahe. Subscribe
26:19ke saath hamaari videos ko like bhi karein.
26:21Aur apni qeemti raaye ka izhaar comments mein
26:23zarur karein. Comments mein aap apne sawalat
26:25bhi ham tak pahuncha sakte hain. Allah ta'ala
26:27aapko apne hifz omaan mein rakhe. Ameen.
26:29Aakhir mein pyare dosto,
26:31har video ki ikhtitam mein,
26:33humne ek dua ka salsala shuru kiya hua hai.
26:35Jo bhi is dua mein
26:37shamil hoga, mera dawa hai ki
26:39Allah paak uske tamam
26:41jaaiz haajat ko poora karenge.
26:43Apni dua ka aghaaz durood-e-Ibrahimi
26:45se karte hain. Aap sab
26:47dost aur behne pehle mere saath
26:49milkar durood-e-paak padh lein
26:51aur comments mein aameen laazmi
26:53likhega. Allah paak
26:55us aameen ko likhne ki barkat se
26:57aapki aur meri tamam
26:59jaaiz haajat ko poora farmayenge.
27:01Dua ka aghaaz karte hain.
27:05Bismillahirrahmanirrahim.
27:07Allahumma
27:09salli ala
27:11Muhammadiyoon wa ala
27:13aali Muhammadin
27:15kama sallayta
27:17ala Ibrahim
27:19wa ala
27:21aali Ibrahim
27:23innaka hamidun majeed.
27:25Allahumma barik
27:27ala Muhammadiyoon
27:29wa ala aali
27:31Muhammadin kama
27:33barakta ala Ibrahim
27:35wa ala
27:37aali Ibrahim
27:39innaka hamidun majeed.
27:41Tamaam hamd-o-sana
27:43Rabb-e-zul-jalal ke liye hain
27:45jiski rahmat se
27:47na-umeedi nahi
27:49jiski neematon se daaman khaali nahi
27:51jiski maghfirat se
27:53mayoosi nahi
27:55aur jiski rahmaton ka payzaan
27:57kabhi nahi rukta.
27:59Ay Allah paak, Ay Allah
28:01tu paak hai, tera shukr
28:03ada karte hain. Is ikraar
28:05ke saath ki tere siwa
28:07koi maabood nahi.
28:09Tu sabse bada hai,
28:11tera koi shareek nahi
28:13aur nahi koi hamsar hai.
28:15Zameen-o-aasman par
28:17jitne bhi makhluqaat hain,
28:19tu sabka maalik hai
28:21aur tu hi sabka paal ne paala
28:23hai. Ay Allah paak,
28:25bila shuba tu hamse
28:27mohabbat karta hai.
28:29Yahi wajah hai ki tu ne hame
28:31imaan ki daulat se nawaza
28:33aur hame apne mehboob
28:35sallallahu alaihi wa alaihi
28:37wasallam ka ummati banaya.
28:39Ya Allah, apne
28:41pyaar-e-habib-e-paak
28:43sallallahu alaihi wa alaihi
28:45wasallam ke sadqe, hamari zindagiyon
28:47ko pur sukoon aur aasaan bana de.
28:49Ya Ilahi, ham sabke
28:51gunah moab farma de.
28:53Ham sabko abid aur sahar
28:55khees bana de. Ham par
28:57raaz-e-shoq aashqaar karte.
28:59Hame ghulami-e-mustafa
29:01sallallahu alaihi wa alaihi
29:03wasallam se sarfaraz farma de.
29:05Hamare dilon ki viran-basti
29:07ko apni rahmat se abaat karte.
29:09Aur hame
29:11uss raaste par hamesha qaim
29:13rak jo nabi-e-paak
29:15sallallahu alaihi wa alaihi
29:17wasallam ne batlaya hai.
29:19Ya Allah paak, ham sabko
29:21sach-e-dil se tauba karne ki
29:23taufiq ataar farma de.
29:25Ay Rabb-e-Raheem, ham gunahon
29:27ki daldal me doob gaye hain.
29:29Ham badkaariyon ki mastiyon
29:31me gir pade hain.
29:33Hume ki andheron me bhatak rahe hain.
29:35Rahmat-e-Ilahi se khud hi root gaye hain.
29:37Ay Allah,
29:39ham nidamat ke aansuon se naa
29:41ashna hain. Ham ek sach-e-tauba
29:43ki talabgaar hain.
29:45Ay Allah paak, apni rahmat
29:47se hame wo sach-e-tauba
29:49ataar farma.
29:51Ay Parvardikar,
29:53hame hamare baalidayn ko,
29:55hamare ahl-o-ayal ko,
29:57hamare aba-o-ajdaad aur
29:59hamari aanewali naslon ko
30:01ataar farma.
30:03Ham sabko behisab rizq ataar farma.
30:05Ham sabko hasidon ki hasad se
30:07bacha. Dono jahanon ke
30:09malik, jab ham thak chayein,
30:11toh hume aaraam pohchana.
30:13Jab mushkilein bhar jayein,
30:15toh aasani banchana.
30:17Jab ham kamzor par jayein,
30:19toh hamari taakat banchana.
30:21Jab ham dukh aur takleef mein hoon,
30:23toh hamara marham banchana.
30:25Jab ham mayoos ho jayein,
30:27toh hamara bharosa aur yaqeen
30:29jayein, toh teri yaad hi hamari ghiza
30:31banchayein. Jab har taraf
30:33bechainiyan bhar jayein, toh
30:35aye paak parvartikaar, hamara
30:37sukoon banchana. Jab hamare
30:39andar mayoosi
30:41ka andhera bharne lage,
30:43toh umeed ki roshni banchana.
30:45Jab har cheez hamare liye
30:47namumkin ho jayein, toh har cheez
30:49ko apne khaaz fazl aur karam se mumkin
30:51bana dena. Aye arz-o-sama
30:53ke malik, toh ghafoor hai,
30:55toh rahim hai,
30:57ham sab ki tauba kabool karna.
30:59Hamare sagheera kabheera gunaahon
31:01ko dho de, hamare dilon
31:03ko hidayat ata farma. Hamare
31:05zubaan ko durstgi aur narmi ata
31:07farma. Ham sab ko gunaahon
31:09se bacha aur nek amaal
31:11karne ki taufeeq ata farma.
31:13Aye Allah, jis tarah tu baarish
31:15barsaakar, sookhi zameen
31:17ki pyaas bujhata hai,
31:19usi tarah apni rahmat se,
31:21hamare dilon ko bhi sairaab karte.
31:23Beshak, tu bada
31:25meherbaan aur nihayat
31:27rahim karne pala hai. Aye
31:29parvardigaar, ham sab ko
31:31aur us nehmat se sarfaraaz
31:33farma, jisme hamare liye
31:35khair aur barkat ho, izzat
31:37aur bakaar ho, rahat aur
31:39sukoon ho, sehat aur tan
31:41dursti ho, tarakki ho,
31:43khushaali ho, aur duniya
31:45aur aakhrat ki bhalai ho. Aye
31:47hamare Allah, hamari
31:49zindagion ko mohabbat ka unmaan bana
31:51de, ki ham sab se zyada
31:53tujh se mohabbat kare,
31:55tujh ko fauqiyat de, teri
31:57ibadat kare, tera hukm
31:59maane, tere bataye huye
32:01raste par chalte rahe,
32:03yaha tak ki hamari zindagi tamam
32:05ho chaye, aur tu hame
32:07apne noor se dhaap le,
32:09wo noor jo hamare seene ko
32:11munawar karte, wo noor
32:13jo qabr ko roshan karte, wo
32:15noor jo pul-e-siraat par roshni
32:17ban chaye. Aye hamare
32:19Rabb, ham ko bhi un khush naseebo
32:21shamil farmaan, jin ki tauba
32:23tu kabool karta hai, jin ke gunahon
32:25ko tu apne fazl-o-karam
32:27aur rahmat se nekiyon me tabdeel
32:29karta hai. Ya Allah,
32:31hamare paas koi amal nahi hai,
32:33hame sirf teri rahmat ka
32:35aasra hai. Aye parvardigaar,
32:37hame apni rahmat me dhaap le,
32:39Aye bulandiyon ke baadshah,
32:41Aye Rabb-e-kainat,
32:43hamare dil aur hamare
32:45kadam apni raza ki taraf
32:47phed de.

Recommended