• last year
Discover the power of Islamic motivation and transform your life!

In this inspiring video, we delve into the core principles of Islam that fuel motivation and drive. Learn how the teachings of the Quran, the wisdom of Prophet Muhammad (peace be upon him), and the Five Pillars of Islam guide believers toward a life of purpose, discipline, and righteousness.

Category

📚
Learning
Transcript
00:00As-salamu alaykum ki barkat, ek dafa ka zikar hai ek chote se gaon mein Ahmed naam ka ek
00:07chota ladka rahta tha, Ahmed bahut shararti tha aur aksar gaon mein logon se baate karte
00:12hue salaam nahi karta tha, wo bas jaldi jaldi bhagta hoon aur apne kaam mein laga rahtha,
00:17ek din Ahmed apni ammi ke saath bazaar gaya, wahan isne dekha ek buzurg aadmi bazaar ke
00:23kone mein baithe hain, inke paas zyada samaan nahi tha lekin wo muskura rahe the aur har
00:29aane wale ko bade adab se keh rahe the as-salamu alaykum, Ahmed ko hairat hui, isne apni ammi
00:35se poocha, ammi ye buzurg har kisi ko salaam kyun kar rahe hain, iski ammi ne muskurate
00:41hue kaha, beta as-salamu alaykum kehna humare deen ka ek aham isa hai, jab hum kisi ko
00:48salaam karte hain toh hum ise aman aur khushi ki dua dete hain aur jawab mein humein bhi
00:54ye mohabbat aur bhaichare ka pegham deta hai, Ahmed ko ammi ki baat samajh mein aayi lekin
01:00phir bhi iska dil mutmai nahi hua tha, ise lagta tha ke salaam sirf alfaaz hain, iska
01:05koi khaas asar nahi hota, isi duran ek aadmi buzurg ke paas aaya aur kaha, walekum as-salam
01:12kya aapko kuch chahiye, buzurg muskurate hue bole, nahi beta Allah ka shukar hai sab kuch
01:18theek hai, bas dil ko sakoon hai kyuki main har ek ko salaam karta hu aur jawab mein duaayin
01:23leta hu, ye baat sunkar Ahmed hiraan reh gaya, usne dil mein socha kitni biaari baat hai,
01:29salaam karne se dil mein mohabbat aur sakoon peyda hota hai, agle din Ahmed ne faisla kiya
01:34wo bhi har kisi ko salaam karega, wo jaise hi ghar se bahar nikla, isne pehli baar gaon
01:40ke chacha ko bade adab se kaha as-salamu alaykum chacha jaan, chacha jaan ne muskurate hue jawab
01:45diya, walekum as-salam beta, khush raho, Ahmed ka dil khushi se bhar gaya, isne dekha
01:51salaam karne se chacha jaan bhi bahut khush hua hai, aur uske dil ko bhi ek ajeeb si raahat
01:57mili hai, is din ke baat Ahmed ne har ek ko salaam karna shuru kar diya, wo jaan gaya,
02:03salaam karna sirf alfaaz nahi hai, balke ek dua aur mohabbat ka peygaam hai, uske dost
02:09bhi uske saath zyada se zyada mohabbat se pesh aane lage, aur uska gaon mein bhi ihtaraam
02:14bad gaya, kahaani ka sabak, as-salamu alaykum kahna na sirf ek islami fareeza hai, balke
02:21ye dilon ko jodne, mohabbat aur sakoon philane ka zariya bhi hai, salaam karne se hum doosron
02:26ke dilon mein apne liye ihtaraam aur mohabbat peyda karte hain, agar aapko aaj ki kahaani
02:31achi lage, channel ko subscribe karein, share karein, bell icon zaroor dabayein, taaki nahi
02:35aane wali kahaani ka notification aapko mil jaye, aap sab ke dekhne ka bahut shukriya.

Recommended