• 2 months ago
Shaitan Insan Ko Nemaz Se kaun Roqta Hai||Tariq Jameel Bayan||#tariqjameel​


Your Queries:-


Namaz (Salah) is one of the five pillars of Islam and a fundamental aspect of a Muslim's daily life. It's a direct connection between the believer and Allah, a way to express gratitude, seek guidance, and cultivate a strong spiritual foundation.

Here are the five daily prayers in Islam, along with their respective times:

1. Fajr (Dawn Prayer): Before sunrise
2. Dhuhr (Noon Prayer): When the sun is at its highest point
3. Asr (Afternoon Prayer): Late afternoon
4. Maghrib (Sunset Prayer): Just after sunset
5. Isha (Night Prayer): Late evening

Each prayer has a specific number of units (Rak'ah) and involves specificmovements, recitations, and supplications.

Remember, Namaz is a powerful way to:

Express gratitude to Allah
Seek forgiveness and guidance
Cultivate self-discipline and focus
Connect with the Muslim community
Find peace and tranquility in a busy world

May Allah accept our prayers and guide us on our spiritual journeys!

#nemaz​ #tariqjameel​ #tariqjameelbayan​ #moalnatarijameel​ #moalnatariqjameelbayan​ #moulanatariqjameel​ #fridaybayan​ #sundaybayan

Category

🤖
Tech
Transcript
00:00This iman ko takhiyat ponchanay, Allah se jurne ke liye namaz hai
00:05ki namaz
00:07pehli ummaton ko do namaz hai, hume paanch
00:10pehli ummaton ki masjid koi nahi, humari masjid
00:13pehli ummaton ki azaan koi nahi, hume azaan mili
00:16aur azaan itna bada amal bana diya mere nabi ne
00:19ki aapne formaya
00:21ke azaan denewala kiamat ke din
00:23sabse unche maqam par khada hoka
00:25hazrat salih formaya karte the
00:27kash mai Allah ke nabi se Hasan Hussain ke liye
00:29masjid-e-nabawi ki azaan maang le ta
00:31ye hazrat ali formaya karte the
00:33aur jang-e-qadisiyah
00:35mein muazzin zakhmi ho gaya to
00:37azaan dene ke shok
00:39mein sardaar aapas mein ulaj gaye
00:41kahta mai dunga hai, kahta mai dunga
00:43phir qurra andazi hoi, jisse
00:45jiska naam nikla usne azaan di
00:47hazrat umar formaya karte the agar main ameer-ul-mumineen
00:49na hota, agar main khalifa-e-waqt
00:51na hota, to main masjid-e-nabawi
00:53ka muazzin banna pasand karta
00:55kisi ko azaan nahi mili, hume azaan
00:57pehla muazzin Bilal banna
00:59pehle muazzin Allah ne Bilal ko
01:01ye izzat ataab formayi
01:03duniya mein ye hai, aur aakhirat
01:05mein ye hai, ke mere nabi ne formaya
01:07ke jab jannat mein jaane ka waqt aayega na
01:09to jannat ki
01:11mere liye sawari laayi jayegi
01:13main us sawari pe bathunga, to iske jo
01:15wo rassi hogi na, wo aise neeche gire jayegi
01:17ye, neeche giregi
01:19is rassi ke, yaani uske jo lagam hoti hai na
01:21wo neeche girne ka matlab hai
01:23ye, ye aise neeche giregi
01:25ab neeche girne ka matlab hai
01:27ke iski driving mere nabi ne nahi karni
01:29koi
01:31aane wala hai, koi driver aane wala
01:33jo rassi pakad ke chalega
01:35koi coachman aane wala jo usko pakad ke chalega
01:37rassi ka girna ek
01:39indication hai, ke koi
01:41naseeb wala ab aayega
01:43jab aapki sawari khadi hogi, rassi neeche hai
01:45to ab sab ki gardan aise
01:47hongi, hon, kon
01:49sab kyaas kar rahe, kon
01:51kon, kon
01:53Allah ki taraf se ilan hoga, Bilal ko bulaya ja
01:55Bilal, Bilal
01:57to Bilal aapki sawari ki
01:59lagam pakadenge, aur aapne
02:01firmaaya, ke sabse pehle main jannat
02:03mein jaunga, aur Bilal mere saath hoga
02:05meri sawari ke lagam pakad ho jaayega
02:07to humein azaan mili
02:09kisi ummat ko azaan nahi mili
02:11humein paanch namaze mili
02:13kisi ummat ko namaze nahi mili, do namaze
02:15ek fajar ki do rakat, asar ki do rakat
02:17bajamaat hai nahi, unko apni
02:19kitab yaad nahi, humein Quran yaad hai
02:21mere madarse mein ek bacha, ab mashallah
02:23Amerika mein woh padha raha hai, usne
02:27tees din mein Quran yaad ki
02:29subah yaad karta tha, shaam ko tarawih mein suna
02:31tatha, mere madarse ka bacha hai
02:33subah baith ke maghrib tak poora hai
02:35sipara yaad karke, aur isha ko tarawih
02:37mein suna deta tha, Allah ne me aisa
02:39Quran de diya, ke ek mahine
02:41mein bhi yaad ho jata hai, teen din
02:43mein bhi ek buzurg ne yaad kiya
02:45teen din mein Quran yaad
02:47kiya, Allah ne humein Quran ki daulat
02:49hataa firmahi, padhne ke liye
02:51paanch namaze hataa firmahi
02:53tahajjud ki namaz hataa firmahi, awwabeen
02:55ki namaz di, ishraa ki namaz di,
02:57chasht ki namaz di
02:59namaz ke kitne darwaze kholdi
03:01aur mere nabi ki
03:03aakhri nasiah thi, mere ummat namaz na
03:05chhodna, namaz na chhodna
03:07namaz na chhodna, aur is chauda sadi
03:09mein koi maukah hai namaz chhodne ka
03:11to mere nabi ke nawase ki
03:13karbala ka hai, ke jab zulm
03:15bhi intiha par tha, aur mazloom
03:17bhi apni aakhri hadon par tha, aur
03:19kainat ne na aisa zulm dekha, na aise
03:21mazloom dekhe, na aise pakiza
03:23hassiyan dekhi, na aise darinde dekhe
03:25to surat
03:27dhala namaz ka waqt hua hai
03:29to aapne, subhanallah
03:31aapne zuhair se
03:33firmaya ke, shimr se kaho
03:35namaz padhne de, namaz
03:37padhne hai, ummat
03:39ko pegham dena hai
03:41ki ye kisi hal mein
03:43chhodne ka kaam nahi hai
03:45to unhone
03:47aage badh ke shimr se kaho, namaz padhne de
03:49unhone kaho, nahi namaz nahi padhne denge
03:51humari talwar chalegi, unhone
03:53wapas aakar kaha, ji wo keh rahe hain, hum
03:55jang nahi rokege, talwar chalegi
03:57to fir ye nahi, firmaya, achha chalo
03:59thik, sir de ho, firmaya
04:01achha, aade namaz padho, aade
04:03jang karo, aado ne namaz
04:05padhi, aado ne jang ki, fir unhone
04:07jang ki, aur pehlo ne namaz
04:09padhi, aur asar se pehle, sab ke
04:11nizam pe chad gaye, ye wo
04:13hastiyan hain
04:15jin ko mere
04:17nabi ne kaha, meri aankhon ki thandak
04:19Hasan Hussain, mere
04:21jigar ke tukde, mere jannat ke
04:23phool, padha nahi kya kya
04:25tashbihat di hain mere nabi ne
04:27ab jannat ke naujawanon ke
04:29sardar Hasan aur Hussain
04:31aur fir namaz
04:33nahi chhodi
04:35unko jannat ki bisharat
04:37to maa ke dood peete mil gayi thi, karbala
04:39ki wajah se nahi mili sardari unko
04:41wo to unko sarka
04:43sehra hai alak, unko
04:45sardari jannat ke mili maa ka dood peete
04:47hui, ke jannat ke naujawanon ke sardar
04:49hain Hasan aur Hussain, namaz nahi
04:51chhodi, mere azeez
04:53ho, namaz nahi chhodi
04:55Allah ka shukr hai, main aap bachon ko dekh
04:57mujhe apna college ka daur yaad aara hai
04:59humare daur mein, ek Naeem ud Din
05:01sahib, Govind College Lahore mein
05:03tabligh ka kaam karte the, aur
05:05wo akele hi namaz
05:07padhte the, koi namazi nahi hota tha
05:09aur
05:11kisi ladke ki daadi
05:13nahi thi, kisi
05:15ladki, siva se ek Naeem ud Din
05:17ab har college mein jaaye,
05:19daadiyon wale bachche nazar aate hain, topiyon
05:21wale bachche nazar aate hain, koi
05:23ladki ke sar pe dupatta nahi hota tha
05:25koi education thi, ab
05:27Lums jaisi university mein bhi, ladkiyan
05:29poore burke mein hoti hain, hijab mein
05:31hoti hain, naqab mein hoti hain, jahan
05:33burai ka graph upar gaya, to neki ka
05:35upar gaya, jahan burai ka
05:37level agar bada hai to neki ka level
05:39bhi bada hai, itna bada meri
05:41nasal ka majma Allah ki baat sun raha hai,
05:43yeh uss daur mein koi tasawur
05:45nahi kar sakta

Recommended