Yeh video Namaz e Haqeeqat Kya Hai? Namaz e Sourat Aur Haqeeqat Mein Kya Furq Hai k bare mein hai.murshid e pak Syedna Gohar Shahi madazila ul aali ki talbeen e haq k aik bohat bade Ijtamah se rohani khitab.jis mein apne namaz e haqeeqat aur namaz e sourat k hawaly se irshad furmaya k : “namaz e sourat ko har koi purta hai 72 firqon waly yehi namaz paurtay hain.yeh koi kamal nahin hai.quran mein is namaz ko tabahi aur dikhawa kaha gaya hai.hazrat mujadad alif sani r.a furmaty hain k Aam admi ki nazmaz,namaz e sourat hai,khasan e khuda ki namaz,namaz e haqeeqat hai,har admi ko chaeye k namaz e haqeeqat ki talash kare.aur jab tak haqeeqat na milay sourat namaz ko b na chorhy.phir apne mazeed irshad furmaya k aub woh namaz e haqeeqat kya hai?us k leye tumhain sub se pehlay allah allah seekhni ho gi,dil ki darkan ko allah allah mein lugana ho ga.phir jab tum namaz purho gay to sath sath dil b tasdeeq karta rahy ga.yani zuban zikr e mufasal mein aur dil zikr e mujamal mein.namaz e haqeeqat kya hai?is ka jawab hai k jis namaz mein dil shamil ho woh namaz e haqeeqat hai,jis namaz mein dil shamil nahin hai woh sourat namaz kehlati hai.
Category
📚
Learning