Hindi Urdu Shayari "Seema Gupta on BBC 21st oct 2012"

  • 12 years ago
Hindi Urdu Shayari "Seema Gupta on BBC 21st oct 2012"

Seema gupta ghazals and nazm on BBC Aap ki Pasand Musical programe "with " Mr. Mohammed Mahmood"
1. wahi furqat ke andhere wahi angnaai ho
teri yaadoN ka ho mela shab-e-tanhai ho

main usey jaanti hooN sirf usey janti hooN
kya zuroori hai zamane se shanasaai ho

Itni shiddat se koi yaad bhi aaya na kare
Hosh mein aauon to dunya hi tamashai ho

meri aankhoN mein kai zakhm hain mahroomi ke
Mere tootey huey khwaaboN ki maseehaai ho

vo kisi aur ka hai mujh se bichar kar seema
koi aisa bhi zamane mein na harjaai ho

2. Is tarah dil pe musallat hai rifaqat uski
band aankhoN se bhi karti huN ziarat us ki

Wo talabgaar nahiN mera to harjaayi sahi
maine har haal meiN chahi thi mohabbat uski

Dushmane-jaan hai wo kehne ko hamara lekin
achchi lagti hai hameiN dil se adavat uski

kya ajab baat hai wo mujh ko nahiN mil paya
phir bhi sansoN mein mehakti hai hararat uski

maine us shakhs ko palkoN pe bithaya "seema"
or khud se bhi nahiN ki hai shikayat uski
3. NAZM
Shab-E-Firaq me
qatra qatra chashm-e-tar
sehmi sehmi tishngi
KhawahishoN ke chaak girebaaN
hastroN ke dehkte allaw
karb e tanhai ka samaN hua krte haiN
kabhi to qurbat se kahiN
koi ummid ki datstak utre
faraib karti dil ke ruksaroN se
koi chirag jale madham madham
ki raat ke saye pe kuchh aaftab
Muntazir hua karte haiN.......

Recommended