• 9 years ago
Wo Intehai Ishq Thi , Ya Noor E Be-Hisaab Tha
Main Qaid O Band Se Azaad Us Sadi Main Tha
Wo Dor E Mustafa Tha Main Madina E Nabi Main Tha

Aane Wale Dor Ka Hain Umati Gunahgaar
Hind Se Ye Hain Hazoor Hain Magar Sayaah Kaar
Muskra K Aapne Kaha Rokna Nahi
Umati Hain Wo Bhi Aane Wale Dor Ka
Te Huwa Asar K Baad Hogi Meri Haazri
Roh Ba Roh Nabi K Pass Hogi Meri Haazri

Tasawur e Adalate Nabi Kiya To Darr Gaya
K Jaa K Kiya Kahu Ga Main To Soch K Hi Marr Gaya

Sahabiye Rasool Ne Kaha K Beth Ja Yaha Mehfile Hazoor K Asool Seekh Le Zara

Bethna Sikha Rahe The Wo K Is Tarah
Chal K Bhi Dikha Rahe The Wo K Is Tarah

ye Bhi Keh Rahe The Khaam Kha Se Mu Na Kholna
Bol K Bata Rahe The K Is Tarah Se Bolna

Wo Khush Naseeb Log The Jo dor E Mustafa Main The
Fiza Bhi Khush Naseeb Thi Zameen Bhi Kush Naseeb Thi

Naya Naya Sa Khila Khila Sa Neela Asmaan Tha
Poorani Tarz Pe Bane Nae Nae Makaan The

Kahi Gharo Main Oont The Kahi Gharo Main Bakriya
Pak Raha Tha Kuch Jaha Pe Jal Rahi Thi Lakriyaa

Itne Main Azaan Hui To Rongte Khare Huwe
Dil K Jese Khul Gae Ho Taale Sab Pare Huwe

Wo Asmaan Ka Raag Tha Wo Dawat E Bilal Thi
Mere Liye To Dawate Wisaaliye Jamaal Thi

Dho Liya Nahaa K Maine Wuzu Bhi Bana Liya Nisbate Hazoor Maine Ood Bhi Laga Liya,Ghar Se Hum Nikal Pare Sahabiye Hazoor K

Ja Rahe The sab Hi Simt Masjid e Hazoor K
Wo Dharkane Ajeeb Thi
Wo Kapkapi Kamaal Thi
K Aankh Ashk Baar Thi Sarap E Malaal Thi

Rooh Thi K Deed Ki
Tarap Tarap
Tarap Tarap

Dil Mera
Dharak Dharak
Dharak Dharak

Har qadam Pe Ghat Raha Tha Faasla Hazoor Se
Har Qadam Pe Ghat Raha Tha Faasla Hazoor Se

Recommended