• 10 years ago
Woh be Reya Mujahid Paband thay Wafa ke
Bhatka jo Yeh Safeena thay Jurm Na Khuda ke
( Jamil-ud-Din Aali )
Mashriqui Pakistan ki Yaad mai .1965 ki Jang ke Doran Joan Aliya ka Tehreer karda Nayaab Tarana jo Radio Pakistan Karachi ne Tayyar kiya.
Sunheray Reshay ki Sarzameen jo Humaray Na Ahl aur Khud Gharz Hukumranon ki Hawis-e-Iqtidaar ke baais Hum se Juda ho gyee lekin Wahan par Shaheed aur Ghazi Hamari Tareekh ka Ahm Hissa hain jinhe Na Bhool Saktay hain Na Bhoolen ge , Jinhon ne Apne Khoon ke Qatron se Is Arz-e-Pak ki Aabyaari ki, Jo Aaj bhi wahan Jaanon ke Nazranay pesh kar rahe hain, jo Aaj bhi Camps mai Sabz Hilali Parcham Lehratay hain, Tareekh Shahid hai Hum Woh Jang Nahi Haare Han Nahi Haare , Hilli ka Mahaz ho ya SaidPur ka, Jaysore ho ya KamalPur har Jaga Pak Fauj aur RazaKaaron ne Khoon-e-Athar de kar Sabit Qadmi Dikhayee han Jise Shikast kehte hain Woh Na Ahli thi Hukumranon ki jis ne Hathyaar dalwaye, Mgr Wahan Amr Honay Wala Khoon Hamesha Tabinda Reh kar Nishan-e-Fatah Dikhata Rahe ga.
Yeh Post Aaj is liye ki hai ke 17 Dec ko Maghribi Pakistan mai Pak Fauj ne Jang Bandi ke Bawajood Jab Bhaarat ne Khabasat karte huwe Mahaz Khola to Pak Fauj ne Usay Naakon Chanay Chubewayw, Salam ho Mashriqui Pakistan mai Afwaj-e-Pak aur Razakaron ko, Salam ho Fazaiyyah aur Bahria ko Jinhon ne Aik Keel bhi wahan na Chhori aur Watan-e-Pak ki Tamam Jangi Tanseebat Mushil Tareen Halaat ke bawajood Yahan Le Aaye.
Salam Aye Dhaka o Chatgaam ke Ghazi Nigehbano !
Salam Aye Silhat-o-Jaysore ki Mazboot Deewaro !
( Gramophone se Muntaqil karda Yeh Tarana Aap Sab ki Nazr )

Recommended