Dil Ki Be Qaboo Dharkan Ke Liye
Is marz ko urfe aam mein zef qalab kaha jata ha, ye marz ziyada tar umar raseeda logo ko lahaq hota ha. Observation mein aaya ha ke is marz ka shikar darmiyani age ki ladies bhi hoti hein. Is mein dil buri tarah ghabrata ha, dharkan tez ho jati ha, nazuk mizaaj ladies ko chakkar aate hein or sar mein dard rehta ha, aksar ladies ko matli ki shikayat ho jati ha. Aesay mein tarbooz ka use mufeed hota ha. Tarbooz ka mosam na ho to is ke maghz se kaam lijiye. 10 gram maghz tarbooz lekar ise 1 glass pani mein achi tarah ghoten jab yakjan ho jaye to is mein misri mila kar din mein do bar piyen. Dil ki dharkan ko nafa hoga. Isi tarah tarbooz ka rus nikal kar is mein 1 lemon nichor kar bator iskanjabeen peena bhi is marz ko afaqa bakhshta ha.

Category
📚
Learning