• 8 years ago
One of My Favorites Patriotic Song
"Chahten Meri Saari Saare Arman
Bus Teri Hurmat pe kar doon Qurban
Hai Dharti meri Tu hi Pehchan hai "
Singer : Shiraz Uppal
Aik Khubsurat aur Riwaiti PurJosh Naghma jo 2005 mai released hua, Is Naghmay mai pehli baar "Jadeed zamana" dikhatay huwe Internet Chatting aur Cell Phone ka Istemal bhi filamaya gaya jo waqai jazbati noiyat ka tha ! Us waqt Facebook ya deegar Social Media nhi thay isi liye shayad woh MIRC ya Yahoo chat se baat kar rahe thay, nez Pakistan to kia berooni Mumalik mai bhi smat fone aam nhi tha isi liye Nokia ka Modle hi "Jadeed tareen" samjhte huwe dikhaya gya ke Beroon-e-Mulk Muqeem afraad ka bhi yahi "Standard" tha ! mazeed Love Letter aur love affection mai bhi Patriotism acha Idea hai k Gulab ki bajaye Pakistani Parcham ;)
Naghma choon ke 2005 mai Released hua jo Madar-e-Millat Fatima Jinnah ke saal ke tor par manaya ja raha tha isi liye Mohtarma Fatima Jinnah(Ra) ki tasaveer bhi shamil hain,.
Yeh Naghma Mujhe Intermediate ki yaad dilata hai jab Yeh released hua tha to FM 107 se record kiya tha jo bad-azan'n Sheraz Uppal ki Album se mila mgr Is ki Video Internet par Nayab ho rahi thi , Isi liye Maazi ko Yaad karte huwe Yeh Khubsurat Naghma Aap sab ki Nazr :)

Recommended