• 4 years ago
iss kahani mai hazrat Adam a.s Kay do beton habil aur qabil ka qissa bayan kia gia hai. Wo Aik Aurat Kay tanaza say mutaliq hai. hazrat adam ki shariat mai kia jaiz tha .qabeel nay habeel say tab hasad aur nafrat mehsoos ki jab jab uss kay sath paida honay wali behen ki shadi habeel say teh pae. yad rahay kay Hazrat Adam ki sheariyat mein yeah tareeqa tha keh jo behen bhai aik waqt mein paida hotay un ko ki apas mein shadi na ho sakti jabke dosray waqt kay peda honay walay behen bhai ki shadi pehlay walay jorhay say hona jaiz thee. habeel ki behen badsorat aur qabeel ki behen khobsorat thee.qabeel nay chaha kay wo khod apni hi behen say shadi karay.Tu Hazrat Adam nay un dono ko qurbani ka hukam diya.unhon nay qubani ki habeel ki bakriyan theen uss nay aik bayeab khobsorat bakree Allah kay hazoor peash ki Qabeel ki fasal thee uss nay aik raddi fasal ka tukrha peash kiya Asman say aag aee aur habeel ki qurbani kha gye aur qabeel ki qurbani ko choorh diya.Iss tarah habeel ki shadi qabeel ki behen say tah pa gye . qabeel hasad mein aa giya Aur uss nayy jo kiya wao dekhean iss video mein. Iss video mein kuch zaroori modification ker kay dubara say rthorhay new andaz mein mein nay yeah video dubara banaee hai. jis ka link mein neachay deay rahi hon ab ap wo bhi dekheay ga aur batayay ga kea video keasi lagi ap ko.
https://www.youtube.com/watch?v=uOTrdvJVEBM
https://www.facebook.com/maryam.awan.77770
https://twitter.com/maryamawan42

Recommended