• 5 months ago
Join us as we take to the skies, exploring how Airlines make money. We talk about the vast differences in airline offerings, from Emirates' luxurious private suites to RyanAir's unbeatable budget fares. We'll dive into why flight prices fluctuate, how airlines like Emirates can charge the price of a new car for a ticket, and the strategies behind RyanAir's success in keeping prices low. Discover the ins and outs of airline pricing, the battle between full-service and low-cost carriers, and how dynamic pricing and ancillary costs impact the cost of your ticket. Whether you're booking a domestic flight or planning an international adventure, this video will uncover the secrets behind airline pricing and help you navigate the complexities of booking your next flight

Category

🎵
Music
Transcript
00:00नमसकार दोस्तम, एकॉनॉमी क्लास में एक एवरिज फ्लाइट टिकेट दिली से मुंबई जाने के लिए आज के दिन करीब पाँच हजार रुपए कोस्ट करती है।
00:08लेकिन क्या आप गेस कर सकते हो, दुन्या की सबसे महेंगी फ्लाइट टिकेट आखिर कितनी महेंगी है।
00:13शायद आप सोचोगे पांच लाख, दस लाख या फिर बीस लाख, लेकिन फिर भी आप जवाब से बहुत दूर होगे।
00:20ये देखो एतिहाद एरवेज की फर्स्ट क्लास सीट, दे रेजिडेंस।
00:24ये सीट कम बलकि हवाई जहाज में एक होटेल का कमरा ज्यादा है।
00:28आपको अपना कुइन साइस्ड डबल बेड मिलता है सोने के लिए।
00:31साथ ही साथ अपना खुद का एक प्राइवेट बात्रों और बैठने की जगें जो है वो अलग दी जाती है।
00:36ये सीट एतिहाद एरवेज के हर प्लेइन पर मौझूद नहीं है बलकि सिर्फ कुछ ही फ्लाइट रूट्स पर अवेलेबल है।
00:41जैसे की न्यू यौर्क से जाने वाली आबुदाबी की फ्लाइट।
00:43इस 12.30 गंटे की फ्लाइट में आपको खुद का बटलर भी दिया जाता है।
00:47खाना सर्फ करते वक्त इतना सजा कर इस तरीके का खाना सर्फ किया जाता है
00:52कि आप भूल ही जाओगे कि आप एक एरोप्लेइन में बैठे हो।
00:55टोटल 125 स्कुएर फूट की जेगें ये सिर्फ आपके लिए प्राइवेटली मौजूद है।
01:00ये अल्मोस्ट एक होटेल के कमरे जितना बड़ा हो गया।
01:03इसलिए इसका नाम इन्होंने रखा है दे रेजिडेंस।
01:06और इसकी कॉस्ट पढ़ती है एक फ्लाइट के लिए पचपन लाक रुपे।
01:12इतने में आप पचास से ज़्यादा आईफोन 15 से खरीच सकते हो।
01:15या फिर एक बहुत ही लगशरी गाड़ी खरीच सकते हो।
01:17या फिर एक घर भी खरीदा जा सकता है कई जगाओं पर इस प्राइज में तो।
01:21सुनकर शौक लग रहा है तो इसका उपूजिट एक्जामपल सुनो वो भी उतना ही शौकिंग है।
01:25क्या आप गेस कर सकते हो दुनिया की सबसे सस्ती फ्लाइट टिकेट आकर कितनी सस्ती है।
01:29ये एक एरोपियन एरलाइन है रायन एर नाम से जो जानी जाती है अपनी सस्ती फ्लाइट टिकेट के लिए।
01:34और ये प्राइस सही माइनों में अंबिलीवेबिली सस्ता है क्योंकि हम यापर ये भी अकाउंट में लेना चाहिए कि एरोपियन देशों का पर कैपिटा एंकम ज्यादा होता है।
01:46तो वहाँ के लोगों की बाइंग पावर ज्यादा है।
01:48ये अगर इंडिया की एक्वाबिलेंड बनाना है तो इसे पांच गुणा कम कर लो।
01:52इमाजिन करो सो दो सो रुपे की फ्लाइट टिकेट होना।
01:55रायन एर और एतिहाद एरवेज ये दोनों एक्जांपल से एक दूसरे के बिल्कुल एक्स्ट्रीम हैं।
02:00इसका सही जवाब है रायन एर।
02:022022 के एर में एतिहाद ने अपना हाईएस्ट एवर प्रॉफिट रिकॉर्ड किया
02:06$296 मिलियन।
02:08सेम एर में रायन एर का प्रॉफिट था $1.5 बिलियन।
02:12आखिर ये कैसे पॉसिबल हो सकता है?
02:14एरलाइन्स पैसा कैसे कमाती है?
02:17मोटे मोटे तौर पर देखा जाये तो दो टाइब की एवर प्रॉफिट रिकॉर्ड किया
02:20आखिर ये कैसे पॉसिबल हो सकता है?
02:22एरलाइन्स पैसा कैसे कमाती है?
02:24क्या राज है इनके बिज्ञस मॉडल के पीछे?
02:26और आपको किन ट्रिक्स को अपनाना चाहिए सबसे सस्ती फ्लाइट टिकेट्स पाने के लिए?
02:32आईए जानते हैं ये सारी चीज़े आज के इस वीडियो में
02:44मोटे मोटे तौर पर देखा जाये तो दो टाइब की एरलाइन्स होती हैं
02:47पहली फुल सार्विस एरलाइन्स
02:49और दोसरी लो कॉस्ट एरलाइन्स
02:51फुल सार्विस एराइन्स वो
02:53चैदिश्टनल एराइन्स हैं जहाँ पर, आपको इं-फलाइट खाना दिया जाता है
02:55इं-फलाइट एंटिैनमेंट मौजूद होता है
02:58कि टिकेट के प्राइज में आप चेक्ड इन बैगेज भी फ्री में ले जा सकते हो
03:01अच्छी कासी सीट की स्पेस भी होती है
03:04एतिहाद एर्वेज, एमिरेट्स और सिंगापूर एरलाइन्स
03:07ये कुछ फूल सर्विस एरलाइन्स के एक्जांपल्स हैं
03:09इंडिया में बात करी जाये तो एर-एंडिया और विस्तारा इस काटिगरी में आती हैं
03:12दूसरी तरफ है लोकोस्ट एरलाइन्स
03:14जहां बहुत सस्ती टिकेट आपको ओफर करी जाती है
03:17लेकिन उसके बढले बहुत सारी फैसिलिटीज भी आपसे छीन ली जाती है
03:20इंडिया में एर-डेकन करके एक एरलाइन्स हुआ करती थी
03:23जो इंडिया की पहली लोकोस्ट एरलाइन थी
03:25आज के दिन स्पाइस जेट और इंडिगो इसके बढ़े अच्छे उधारण है
03:28और इंटरनाशिनली देखा जाये तो अफकोर्स
03:31रायन एर इसका एक बड़ा च्छा एक्जांपल है
03:33अक्सर जिस तरीके के कॉस्ट कटिंग मेजर्स ये लोकोस्ट एरलाइन्स अपनाती है
03:37इन्हें काफी हेट भी जेलना पड़ता है
03:39ये इंडिगोगा वीडियो तो आपको याद ही होगा जो कुछ महिने पहले वाइरल गया था
03:50फ्लाइट डिले से तंग आकर एक पैसिंजर पाइलेट को मारने लग गया था
03:54एक दूसरा ये केस हुआ जहांपर फ्लाइट के अंदर कॉकरोचिस पाए गए
03:57अब मिस मैनेजमेंट अपना अलग इशु है लेकिन अकसर ये लोकोस्ट एरलाइन्स अपने आपको प्रॉफिटेबल बनाय रखने के लिए
04:03बड़ी उठपटांग चीजे करती हैं
04:05रायन एर का एक्जामपर लेकर देख लो उरिजिनल टिकट का प्राइज बहुत सस्ता होगा
04:08लेकिन एक बार ये आपने टिकट खरीद ली उसके बाद अगर आपको कुछ भी एक्श्टा सर्विस चाहिए
04:13और हर छोटी से छोटी चीज़ के लिए आपको एक्श्टा पैसे charge किये जाएंगे
04:17अपने साथ आपको बैगेज लेकर झाना है एक्श्टा पे करो
04:20प्लेयन में अपनी सीट सेलेक्ट करनी है एक्श्टा पे करो
04:24Flight me khana-khana ya drinks chahiye, extra pay karo.
04:27Online booking karte waqt aap credit card se pay kar rahe ho, to bhi extra pay karo.
04:31Airport par pahuchne se pehle aapne online check-in nahi kiya, to bhi extra pay karo.
04:36Ryanair ke CEO Michael O'Leary ne to ek bade-bade famously kaha tha,
04:40Hum chahate hain ki flight ke andar agar koi passenger toilet tak jaa raha hai,
04:44to toilet use karne ke bhi extra paise honge.
04:47Hala ki ye plan inone kabhi implement nahi kiya,
04:49kyuki saal 2010 me inone jab ye statement di to kaafi backlash face karna pada tha.
04:53Lekin isse aapko mindset pata chal jaata hai.
04:55Ek aur ek bari inka plan tha ki hum passengers ko seats me bithane ki jege
05:00hum standing seats laga de, log khade ho kar plane me travel kare.
05:18Ye saari chhoti-moti fees aaj ke din in low-cost airlines ke liye khajana ban chuki hain.
05:22Iss tarike se kamae gaye paise ko ancillary revenue kaha jaata hai.
05:26Aur zyadatar airlines ke liye pichle kuch saalon se ancillary revenue badta hi jaa raha hai.
05:30Saal 2019 me Ryanair ne jitna bhi revenue kumaya uska 28% revenue,
05:35sirf ye ancillary revenue tha.
05:36Ye company strategy ko chhupakar nahi rakhti,
05:39balki bade openly, proudly social media par show-off karte hai.
05:42Akshar jab log complain karte hain Twitter par inki airline ko lekar,
05:45to inki airline ka account bade sarcastically reply karta hai.
05:49Agli strategy hai dynamic pricing.
05:51Aur ye ek aesi strategy hai jiska dono full service aur low-cost airlines istimaal karte hain.
05:55Iska basically matlab hai ki aapki ticket ka jo price hai,
05:58wo koi static price nahi hai.
06:00Ek price par ticket nahi bechi jaati aaj ke din.
06:03Jab aap online kisi bhi flight ki ticket book karate ho,
06:05to wo price upar-neeche change hote rehta hai.
06:08Aur ye change hota hai bahot saare alag-alag factors ko dekh kar.
06:11Time ke basis par.
06:13Aap weekday pe travel kar rahe ho ya weekend pe travel kar rahe ho?
06:15Kis time par travel kar rahe ho?
06:17Aapki flight me kitne log travel karna chaha rahe hain aapke saath?
06:20Demand aur supply ko dekh kar price change hota hai.
06:22Baaki competitor airlines jo hain,
06:24unhone is route ke liye apni ticket ka price kya rakha hai?
06:27Hamara bhi ticket ka price uske competition me hona chahiye.
06:30Hamare koi special promotions chal rahe hain aah nahi chal rahe hain?
06:33Bade complex algorithms banaye gaye hain is cheez ko lekar.
06:36Airlines aaj ke din ek class ki seating ke liye bhi alag-alag prices charge karte hain.
06:40Maan lo 100 economy class ki seats free hai ek flight me.
06:4310 din baad is flight ko udhna hai.
06:45Example se samjha rahe ho, ye airlines kya karenge
06:47ye 100 seat ko 25-25 ki categories me divide kar denge.
06:51Pehli 25 seate sabse saste price me bikenge.
06:53Agli 25 seate thode aur mehenge price me bikenge.
06:56Usse agli 25 seate thode aur mehenge price me.
06:58Jaise-jaise demand badti jaari hai logon ki is flight me udhne ki,
07:01waise-waise ticket ka price bhi badh rahe hain.
07:03Lekin agar aisa hua ki flight ke udhne se ek din pehle,
07:06aade se jaada flight abhi bhi khaali padi,
07:08to wo tisri 25 seat ka price actually me kam kar denge.
07:12Demand kam hai to price bhi niche kar denge
07:14taaki zyada log is flight me aaye.
07:16Yaha ek bada complex algorithm banaya gaya hai
07:18data science ka istimal karke.
07:20Jiska maqsad hai, zyada se zyada profit kamana.
07:23Lekin at the same time, zyada se zyada seato ko bhi full karna.
07:26Agar seate hi full nahi hongi hamari flight me,
07:28to waise hi log nahi aayenge, to waise hi hamara nuksaan ho jayega.
07:31Bahot se log is system ko samjhte nahi hain,
07:33isliye abhi bhi kaafi outdated advice aksar logon ko diya jaata hai.
07:37To isi se hi related, aaye kuch myths ko debunk karte hain.
07:40Kuch logon kehte hain ki agar aap flight ko 2-3 mahine pehle book karaoge,
07:43to zyada sasta price milega.
07:45Doosi draf kuch logon kehte hain ki nahi last minute booking
07:47agar aap karaoge to zyada sasta price milega.
07:49Yeh dono hi baatein sahi bhi hain aur galat bhi.
07:52Kyuki airlines aaj ke din dynamic pricing par kaam karti hain.
07:55Price badalta rehta hai.
07:56To kuch logon ke liye depending upon demand,
07:58pehle book karana sasta padega,
08:00kuch logon ke liye last minute booking karana sasta padega.
08:03Sab kuch demand par matter karta hai.
08:05Exactly kya strategy aapko apnaani chahiye
08:07sabse sasta price paane ke liye,
08:10lekin doosri mith yaha par hai midnight booking ki.
08:13Kuch logon ko lagta hai ki agar raat ke 12 baje
08:15hum book karenge,
08:16to wo discount hour hota hai.
08:18Us ghante par book karne pe discount milta hai.
08:20Aisa bilkul bhi nahi hai,
08:21inke dynamic pricing ka jo algorithm hota hai,
08:23wo 24x7 kaam karta rehta hai.
08:25Koi office me betha banda nahi hai
08:27jo decide kar raha hai peechhe peechhe se ki dekho,
08:29is wali flight ke liye ab mai ye ticket ka price kar deta hu,
08:31us ticket ka ab mai itna price badha deta hu,
08:33aise nahi hota hai.
08:34Teesri ek mith hai,
08:35logon ko lagta hai ki agar incognito mode use kiya,
08:38browser me private browsing on karke
08:40agar humne search results ko dekha,
08:42to price yada sasta milega.
08:44Iske peechhe reasoning ye di jati hai ki
08:46airline aapki demand ko dekhti hai.
08:48Agar unhe lagta hai ki demand badh rahi hai,
08:50to wo price bhi badha denge.
08:52Ye baat sach hai,
08:53lekin wo individual users ki demand ko nahi dekhti.
08:55Unka algorithm generally dekhta hai ki
08:57kisi bhi flight ke liye overall demand kitni hai.
08:59Jo log in algorithms ko banane ka kaam karte hai,
09:02unhe data scientists kaha jaata hai.
09:04Aur data science aaj ke din,
09:06one of the most lucrative careers banta jaa raha hai duniya mein.
09:09Kyuki iska istimal aaj ke din,
09:10dher saari alag-alag industries mein kiya jaata hai.
09:13Airline industry ke lawa,
09:14algorithms ka istimal kiya jaata hai,
09:16deep sea exploration mein,
09:17finance mein,
09:18healthcare mein,
09:19travel mein.
09:20Agar aap soch rahe hain ki
09:21is data science ki field mein
09:22apne aapko kaise upskill kiya jaye,
09:23to aaj ke video ke sponsor,
09:24scalar.com,
09:25aapke liye bahut helpful honge.
09:27Scalar ek online tech learning platform hai,
09:29jo aapko programs deta hai,
09:30software development,
09:31data science aur machine learning mein.
09:33Badi-badi tech companies ke industry experts,
09:35yaha learners ko guide aur mentor karne ka kaam karte hain.
09:38Aur as learners,
09:39aapko 80 se jaada real world case studies ka bhi access milta hai.
09:42Ye cheez bhi badi interesting hai dekhne ki,
09:44zyadatar scalar ke learners ko placements mili hain,
09:46top tech companies mein,
09:47jaise ki Google,
09:48Facebook,
09:49Flipkart,
09:50Myantra,
09:51Amazon aur Zomato.
09:52Aur ye ek easy EMI ka option bhi dete hain,
09:532 saal ke liye with 0% interest.
09:55To agar aapko lagta hai ki,
09:56scalar aapke career ko boost karne mein,
09:58aapki madad kar sakta hai,
09:59to inki website jaakar check out kijiye,
10:01link description mein mil jayega.
10:02Aap uss link ke zariye,
10:05sign up karke dekh sakte hain,
10:06aur khud hi judge kar sakte hain,
10:07ki kitni value hai isme aapke liye.
10:09Ab apne video par wapas aate hain.
10:11Airlines mein 4 tarikhe ki seete hoti hain.
10:13Economy,
10:14Premium Economy,
10:15Business,
10:16aur First.
10:17Ye low cost airlines hain,
10:18unmein business first jaisa kuch nahi hota,
10:19sirf saari economy seating bari hoti hain.
10:21Lekin full service airlines mein,
10:23ye jo upar ki classes hoti hain,
10:25inki ticket ka price zyada hota hai.
10:27Business class,
10:28first class ke tickets ka price,
10:29aksar lakhon me jaata hai,
10:30aur jaisa maine aapko video ke shuru mein udharan bhi bataya tha,
10:3350 lakh tak bhi jaa sakta hai.
10:35Ye sunkar aapko lagega,
10:36ki badi obvious si baat hai,
10:37ki full service airline,
10:38apna zyadatar profit,
10:40business class aur first class,
10:41passengers se kamati ho.
10:43Lekin ye baat bhi,
10:44shockingly sach nahi hai.
10:46Is chart ko dekhiye,
10:47Michigan Journal of Economics,
10:48ne ek ye badi interesting analysis kari.
10:50Isme aap dekh sakte hain,
10:51alag alag airlines ka,
10:52average price kya hai,
10:54economy, premium economy,
10:55business aur first class.
10:57Jo sabhi airlines ka average ban raha hai,
10:59wo niche dekh sakte hain,
11:00$1,443,
11:02economy class ka price.
11:04Obviously,
11:05long distance flights ki baat kari jaa rahi hai,
11:07isliye economy ka ticket ka price bhi,
11:09itna mehenga dikh raha hai.
11:10Business class on average,
11:11$5,000,
11:12aur first class,
11:13$9,000 se upar ki.
11:14Airline ke perspective se,
11:15hume yaha dekhna hoga,
11:16ki ek seat,
11:17kitni space occupy kar rahi hai,
11:19flight me.
11:20Ek economy class ki seat,
11:21on average,
11:22sirf 5.5 square feet ke aas paas ki space leti hai,
11:24business class ki seat,
11:2520 square feet,
11:26first class ki seat,
11:2730 square feet se zyada hai.
11:29Ye jo price aur space ka ratio hai,
11:31ye almost similar hai.
11:32First class ki seat me jab aap baithte ho,
11:34toh aap 6 economy class ki seato,
11:36jitni space occupy kar rahi hai.
11:38Aur price bhi,
11:39on average,
11:40kareep kareep,
11:416 guna zyada aap pay kar rahi hai.
11:42In fact,
11:43thoda sa zyada hi price pay kiya jaata hai,
11:45first class passengers ke duara.
11:46Kyunki agar ye chart aap dekhoge,
11:48average revenue per square foot,
11:50alag-alag cabins me kitna earn kiya jaa raha hai.
11:52Toh first class aur business class,
11:54$302 per square foot ka revenue,
11:56airline ko de rahe hai,
11:57aur economy se sirf,
11:58$270 per square foot ka revenue mil raha hai.
12:01Lekin kharcha bhi hume yaha par dekhna hoga.
12:03First class ke passengers ko sirf karte hain,
12:05aur jo khaane ki quality aur woh kahi zyada hai,
12:07uska price bhi zyada aayega.
12:09Jo amenity kit aapko di jaa rahi hai,
12:11aksar night suit diya jaata hai,
12:12business class aur first class me.
12:14Saath hi saath,
12:15jo cabin crew members maujood hote hain,
12:16per passenger,
12:17zyada air hostess hoti hain,
12:19first class aur business class me.
12:20Unka bhi zyada kharcha aata hai.
12:22Isliye,
12:23is table me aap kharche ki calculation dekh sakte hai,
12:25aur dekhta hai ki,
12:26first class ka kharcha,
12:28kareeb $1000 ka pad raha hai,
12:29jaha economy class ka kharcha,
12:31airline ko sirf $31 ka padta hai.
12:33Iska matlab yeh hua,
12:35agar hum profit earned per square feet dekhe hain,
12:37alag-alag classes ka.
12:39Ek first class seat aur economy class seat ki profitability,
12:42almost same hai.
12:43In fact,
12:44first class seat ki profitability,
12:45thodi kam hi hai economy class se.
12:47Business class,
12:48inn dono se zyada hai,
12:49$280 per square feet,
12:50aur sabse zyada hai premium economy,
12:52jaha airline ko profit milta hai,
12:54$322 per square feet ka.
12:56Iski wajah se,
12:57ek naya trend,
12:58duniya bhar ki airlines me dekhne ko mil raha hai.
13:00Airlines,
13:01apni first class ki seating ko hi khatam kar de rahi hai.
13:03Airline companies ko jab dikhta hai,
13:05ki hume sabse kam profit,
13:06actually mein first class seat aur se milta hai,
13:08toh kya fayada hai,
13:09inn seat aur plane me rakhne ka.
13:10Yine hatao,
13:11aur inn ke jegah business class ki seating daalo.
13:13Kyuki waha pe thoda aur zyada profit hai.
13:15American Airlines,
13:16Air New Zealand,
13:17South African Airways,
13:18Malaysian Airlines,
13:19Turkish Airlines,
13:20United Airlines,
13:21yeh sab unhai airlines ke examples hain,
13:23jinhone apne planes se first class hi hata di hai.
13:26Singapore jaisi airlines,
13:27jo first class offer bhi karti hai,
13:28unhone apni first class ki seats,
13:30aadhe me kaat di hai.
13:31Aur iske saath saath,
13:32ek doosra naya trend dekhne ko mil raha hai,
13:34sabhi airlines.
13:35Premium economy seat ka rise.
13:37Kyunki aapne is chart me dekha,
13:39sabse yada profitability,
13:40actually mein premium economy ki seat aur se milti hai,
13:42per square foot.
13:43Toh zyada se zyada airlines,
13:44aap keh rahi hai ki,
13:45actually,
13:46hume aur premium economy ki seating daalne chahiye,
13:49apni flights me.
13:50Ab yeh premium economy,
13:51kyun itni zyada profitable hai,
13:52airlines ke liye,
13:53yeh bhi badi obvious si cheez hai.
13:54Reason iske peeche bada obvious hai,
13:56kyunki premium economy mein,
13:57space zyada deni nahi hoti,
13:58airlines ko logon ko.
13:59Bas wo food service,
14:00thodi bhaithar kar dete hain,
14:01amenity kit provide kar dete hain,
14:03aur thodi si bhaithar seat bana dete hain.
14:05Premium economy ke liye,
14:06jo price aap pay kar rahe ho,
14:07wo comparatively zyada hai,
14:09as compared to jo value aapko mil rahi hai.
14:11Ekin agar hum wapas low cost airlines par aaye hain,
14:13toh yeh sawal toh abhi bhi answer nahi hua,
14:15ki low cost airlines,
14:16zyada profit kaise kamaa leti hain,
14:18full service airlines se.
14:20Iske beeche,
14:21kayi saare aur chhote chhote kaaran hai.
14:22Ek tarika hai,
14:23paise bachane ka,
14:24ki ek hi type ka plane istimaal kiya jaye.
14:26Ryanair aur SpiceJet,
14:27yeh bade famously karte hain.
14:28SpiceJet ke paas,
14:29sirf Boeing 737 ka hawai jahas hai.
14:31Inke paas,
14:3290 se zyada aircrafts ki fleet hai,
14:34lekin sirf isi specific type ki airplane ka,
14:37yeh istimaal karte hain.
14:38Isse operating aur maintenance cost,
14:40bach jati hain.
14:41Pilots ko alag alag planes ke liye,
14:42training nahi deni padegi.
14:44Sirf ek hi type ka plane hain maare paas.
14:46Hame sirf isi plane ke spare parts
14:47rakhne ki zaroort padegi.
14:48Upar se yeh jo specific plane type hai,
14:51yeh kaafi fuel efficient hai.
14:52Fuel par bhi bahot saara kharcha bachega humaar.
14:54Ryanair bhi sirf Boeing 737 ke planes
14:57apni fleet me rakhta hai.
14:58Aur koi bhi plane nahi.
14:59In-flight bhi cost reduce karne ke bahot tariqe hain.
15:01Jo bhi unnecessary weight,
15:02plane me carry kiya jaa raha hai,
15:04usse kam se kam kiya jaye.
15:05Faltu ke beverages,
15:06snacks,
15:07yeh sab rakhne ki jagah hain,
15:08sirf ek type ki drink offer kari jaye.
15:11Jaise ki Indigo me,
15:12sirf paani maujood hota hai,
15:14chhoti flights me.
15:15Aur jo bhi electronic tariqe hote hain,
15:16seat ko aage peechhe le jaane ke,
15:18wo saare controls bhi,
15:19in low-cost airlines ki seato me maujood nahi hote.
15:22Kyuki uss electrical equipment ko install karne me
15:25zyada bhajan lagta hai.
15:26Teesra tariqa hai,
15:27seato ke peechhe TV lagane ke jagah hain.
15:29Agar hum ads chhaap de to,
15:30wo ek naya revenue source ban jayega.
15:32Yeh low-cost airlines yeh hi karti hain.
15:34Jo magazines tak plane ki seato me rakhi hoti hain,
15:37un magazine me chhapi ad ke bhi,
15:38advertisers paise dete hain.
15:41Advertisers ke unusar,
15:42ek-ek ad jo chhapti hain,
15:43un magazines me,
15:44uski cost,
15:4570,000 se lekar 6,00,000 rupee ke beechme ho sakti hain.
15:47Aur kuch airlines to,
15:48boarding passes ke peechhe bhi ads chhaap deti hain.
15:50Ek aur revenue source mil gaya.
15:52Lekin Ryanair ki agar specifically baat kari jaye,
15:54to uske billions of dollars profit ke peechhe,
15:57do aur badi innovative strategies hain.
15:59Pehla inki airport trick.
16:01Yeh kya karenge,
16:02apne planes ko popular airports par land nahi karwaenge.
16:05Balki jo chote-chote secondary airports hote hain,
16:07un airports ko yeh chunenge.
16:09Online Ryanair ki website par,
16:10agar aap London se Frankfurt ki ticket book karaoge,
16:12to likha hoga ki yeh flight,
16:14aapko London ke shahar se Frankfurt ke shahar tak le jayegi.
16:16Lekin in dono shahron me,
16:18yaha ke main airports ka istimal nahi kiya jayega.
16:21Yeh flight udegi London ke Stansted Airport se,
16:23jo ki actually me London se 70 km door hain.
16:26Aur land karegi,
16:27Hanh naam ke ek chote se town me.
16:29Jo ki Frankfurt se,
16:31karib 125 km door hain.
16:33In bagal ke chote-chote airports ko use karne hi cost,
16:36kaafi kam hoti hain,
16:37popular airports ke comparison me.
16:39Aur Ryanair bahot saara paisa yaha bacha leta hai.
16:41Doosri strategy,
16:42Ek plane ek din me,
16:44jitni zyada flights lega,
16:45utna hi zyada profit milega.
16:47To Ryanair apni flight ki durations ko kam rakhta hai,
16:49jo time chahiye hota hai,
16:50ek se doosri flight ke beech me,
16:51usse bhi kam rakhta hai.
16:53Aur ek-ek din me,
16:54is tarike se,
16:555-5-6-6 flights kar leta hai,
16:56ek hi plane inka.
16:58Ek Ryanair ke plane ki average route length,
17:00sirf 1200 km hoti hai,
17:02aur on average,
17:03yeh sirf 1.8 hours hawa me rehta hai.
17:06Yeh hi kaaran ki,
17:07Ryanair duniya ki top 3 airlines me se hai,
17:09in terms of passengers served.
17:11Ek saal me,
17:12160 million se zyada passengers,
17:14iske through fly karte hain.
17:15Kai baar yeh cost cutting measures,
17:16lekin controversial ki category me bhi chale jaate hain,
17:19jaise ki,
17:20Flap 3 landings ka istimaal karna.
17:22Flap 3 aur Flap 4,
17:23do alag-alag type ki landings hain.
17:25Flap 3 me,
17:26fuel bachta hai.
17:27Karib 6 kg fuel bachta hai,
17:28ek landing me.
17:29Lekin Flap 3 landing karna,
17:31har situation me suitable nahi hota.
17:33To kuch situations me,
17:34yeh unsafe bhi ho sakta hai.
17:36Flap 4 me,
17:37fuel zyada kharch ho raha hai,
17:38lekin safety bhi zyada hai.
17:39Isliye experts hamesha kehte hain,
17:41ki kabhi bhi airlines,
17:42pilots ko force na karein,
17:43ki sirf Flap 3 hi landing karo.
17:45Mint ki report ke anusaar,
17:47ek recent survey hua tha,
17:48jisme 88% air passengers maante hain,
17:51ki Indian Airlines ne,
17:52compromise kiya hai,
17:53passenger comfort par,
17:55cost cutting measures karne ke liye.
17:57Iski wajah se,
17:58kai issues ubhar kar aaye hain.
17:59Flights ke delays ho jana,
18:01luggage ka gum ho jana,
18:02ya boarding me problems hona.
18:03To chalo,
18:04yeh to hoyi strategies,
18:05dosto,
18:06airlines ke perspective se.
18:07Lekin aap,
18:08consumer ke perspective se dekhte hain.
18:09Aapko kaunsi strategies,
18:10apnaani chahiye,
18:11apni ticket ko,
18:12saste se saste daam par,
18:14kharidne ke liye.
18:15Weekends par price,
18:16hamesha weekdays se,
18:17zyada mehenga hota hai.
18:18Statistically,
18:19Tuesday aur Wednesday ke din,
18:20jo flights hoti hain,
18:21wo sabse zyada sasti hoti hain.
18:22Kyuki zyadatar log,
18:23jo chutti manane jaate hain,
18:24wo weekends par travel karte hain,
18:25aur zyadatar business travellers,
18:27week ke shuru me,
18:28ya week ke end me,
18:29travel karte hain,
18:30to Monday aur Fridays ko.
18:31Lekin ek cheez,
18:32yaad rakhiye,
18:33Tuesdays aur Wednesdays ka,
18:34koi hard and fast rule nahi hai,
18:35kyuki algorithms,
18:36ultimately,
18:37demand aur supply ke basis par,
18:38chalte hain.
18:39To kuch exceptional cases me,
18:40aisa ho sakta hai,
18:41ki hamesha,
18:42wo do din,
18:43sabse saste na nikle.
18:44To doosri suggestion,
18:45yaha sahi me,
18:46apni flights ke liye,
18:47sabse saste dates dhundne ke liye,
18:48Google flights me jaakar,
18:49unka grid mode check kijiye.
18:51Jaisi ki,
18:52agar aapko Delhi se Bangkok jaana hai,
18:53apni dates choose kar lo,
18:54un specific dates ke liye,
18:55Google flights aapko,
18:56sabse saste flights dikha dega.
18:57Lekin,
18:58aur dates par,
18:59sabse saste flights dhundne ke liye,
19:00date grid ka option milta hai.
19:01Isko aap,
19:02upar,
19:03niche karke,
19:04aisi dates dhund sakte ho,
19:05jaha par,
19:06sabse saste prices mil rahe hain.
19:07Isse bhi,
19:08bada overview paane ke liye,
19:09yaha par,
19:10aap any dates ka option,
19:11enable kar sakte ho.
19:12Isme,
19:13Google aapko,
19:14email ke zariye,
19:15notify kar dega,
19:16jab is route ke liye,
19:17sabse saste se saste price mila.
19:18Aur isi ke side me,
19:19ek price graph ka bhi option hai,
19:21alag-alag dates par,
19:22alag-alag mahino mein,
19:23price kaise fluctuate karte hain,
19:24is route ke liye.
19:25Teesri ek strategy hai,
19:26aas paas ke airports ko consider karna.
19:28Jaise,
19:29maine Ryanair ke example se samjhaya tha,
19:30agar airlines ko,
19:31popular airports pe jaana mehenga padta hai,
19:33to iska matlab hai ki,
19:34aapko bhi,
19:35popular airports par,
19:36flight lena mehenga padega.
19:37To aas paas ke airports,
19:38consider karo,
19:39agar aapko Mumbai se Delhi jaana hai,
19:4110,000 rupee ke ticket pad rahi hai,
19:43Mumbai se Jaipur jaoge,
19:44to 8,000 rupee ke ticket pad sakti hai.
19:46Aise cases mein,
19:47aapko yeh sochna hoga ki,
19:48jo baaki ka distance,
19:49aap road se cover karoge,
19:50wo kitna mehenga padega,
19:51aur kitna time consuming hoga.
19:53Kya wo aapke liye,
19:54worth it hoga ya nahi?
19:55Chautha,
19:56isi se hi ek related strategy hai,
19:57stop over flights karwane ki.
19:59Agar aap London se Delhi ki,
20:00direct flight le rahe ho,
20:01Air India ke through,
20:02screen par dekho,
20:03iski cost padegi,
20:04543 pounds.
20:05Lekin agar aap,
20:06yahi flight lete ho,
20:07aur apni end destination,
20:08Delhi ki jegah Bangalore bana lete ho,
20:10to is flight ki cost,
20:11sasti ho jati hai,
20:12sirf 522 pounds,
20:14543 pounds ki jegah.
20:15Bahot saari airlines,
20:16aisa karte hai,
20:17iska matlab yeh hai ki,
20:18ek extra destination,
20:19travel karna,
20:20aapke liye,
20:21zyada sasta padta hai,
20:22kahi baari.
20:23Aur iske bhiche,
20:24karan bhi bada interesting hai,
20:25wahi demand supply wala reason hai.
20:26Jo log Delhi se London jaate hai,
20:27unki ek certain buying power hai.
20:29Lekin jo log,
20:30Bhubaneshwar se London jaana chahate hai,
20:31unki buying power,
20:32thodi kam hai.
20:33Itni demand nahi hai,
20:34Bhubaneshwar se London jaane ki.
20:35Isliye,
20:36Air India,
20:37Bhubaneshwar to Delhi to London ka,
20:38jo route hai,
20:39usse sasta bana deta hai,
20:40as compared to,
20:41direct Delhi to London jaane ka route.
20:43Yeh ek aesi trick hai,
20:44jiska personally,
20:45main bahot istimaal karta hu,
20:46agar mujhe kabhi bhi,
20:47Delhi aana hua,
20:48to main sirf Delhi ki ticket nahi karata.
20:49Main Delhi se aage,
20:50India mein ek aur,
20:51destination ki ticket kara leta hu,
20:52aur ek tarike se,
20:53free ticket mil jati hai,
20:54uss nahi destination me,
20:55ghoomne ki.
20:56Paanch bhi strategy,
20:57alag alag websites try karo.
20:58Kahi baari aesa hota hai,
20:59ki kuch websites par,
21:00kuch routes,
21:01zyada sasta hote hain.
21:02To sirf Google flights hi nahi,
21:03balki,
21:04Kayak,
21:05Skyscanner,
21:06Kiwi,
21:07aur Ace Air,
21:08yeh kuch aesi websites hai,
21:09jo ek overview deti hain.
21:10In sabhi websites ko check karna,
21:11acha option rehta hai.
21:12Baaki agar,
21:13puri travel planning,
21:14aap sabse effective tarike se,
21:15karna chahate ho,
21:16to aap ChatGPT ka,
21:17istimaal kar sakte ho.
21:18Main apne ChatGPT wale course me,
21:19pura ek lesson banaya hai,
21:20travel planning ke upar.
21:21Course ka link,
21:22aur scaler ka link,
21:23dono niche description me,
21:24mil jayenge.
21:25Baaki agar yeh video,
21:26pasand aaya hai,
21:27to yeh wala video bhi,
21:28kyunki Air India ke upar ki gayi,
21:30puri case study hai.
21:31Yaha click karke dekh sakte hain.
21:32Bahot bahot dhanyawal.

Recommended