ARY News 12 AM Headlines | 14th August 2024 | Independence Day

  • last month
#independenceday #headlines #14thaugust #pmshehbazsharif #arshadnadeem #imrankhan #olympics2024

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Official Facebook: https://www.fb.com/arynewsasia

Official Twitter: https://www.twitter.com/arynewsofficial

Official Instagram: https://instagram.com/arynewstv

Website: https://arynews.tv

Watch ARY NEWS LIVE: http://live.arynews.tv

Listen Live: http://live.arynews.tv/audio

Listen Top of the hour Headlines, Bulletins & Programs: https://soundcloud.com/arynewsofficial
#ARYNews

ARY News Official YouTube Channel.
For more videos, subscribe to our channel and for suggestions please use the comment section.
Transcript
00:00Arshad Nadeem ki kamrani, qaum ne ki kadardani, fakhr-e-Pakistan, aaj bane hain Wazir-e-Azam
00:09ke mehman.
00:10PM House me Arshad Nadeem ki azaaz mein ishaya, Olympics gold medalist khususi tayyare mein,
00:15Ahle Khana ke saath Islamabad pohnche.
00:18Wifaqi Wazir-e-Azam ne istaqbaal kiya, Arshad Nadeem ko state protocol mein hotel laaya
00:22gaya.
00:23Jaha Amla qaumi hero ke istaqbaal ke liye maujood tha.
00:26Wazir-e-Azam ke khususi hidayat par Arshad Nadeem ko state guest ka darjah diya gaya.
00:30Wazir-e-Azam ne qaumi hero ko khiraj-e-tahseen peshkarte hui kaha, Arshad ne din raat mehnat
00:35ki, himmat nahi haari, jashn-e-azadi ki khushi tubbala kar di.
00:40Arshad Nadeem bhi khush, kaha jahan bhi gaya qaum ne sar aankhon par bithaya.
00:45Yaum-e-Azadi ki marqazi takreeb mein Wazir-e-Azam Shahbaz Shareef aur Arshad Nadeem milkar
00:50parcham kushai karenge.
00:56Wazir-e-Ala Punjab, Maryam Nawaz ki olympic gold medalist Arshad Nadeem ke ghar aamad.
01:03Arshad Nadeem ki waleda ko gale lagaya, shandaar kaamiyaabi par mubarak baat di.
01:08Gold medalist athlete ko 10 crore rupaih ka cheque aur gaadi ka tohfa diya.
01:13Wazir-e-Ala Punjab ki jaanab se di gayi gaadi ka number PAK 92.97 hai.
01:19Wazir-e-Ala Punjab ka Arshad Nadeem ke gaon mein gas, sewerage nizam aur sadke banane
01:24ka ailaan.
01:25Yaadgaar mauke par kaha, Arshad Nadeem ne qaum ko bemisaal khushi di hai, Maryam Nawaz
01:30ne Arshad Nadeem ke coach ko bhi 50 lakh ka cheque diya.
01:36Islamabad mein opposition jamaaton ki koofiya baithak footage saamne aagayi.
01:40Mushtarka platform par hukumat ke qilaaf tahreek chalane par ittifaq.
01:43Sabik Wazir Muhammad Ali Durrani ki bulai baithak mein, Chairman PTI Barrister Gauhar,
01:48DUI Sarbara Maulana Fazur Rehman, Pakhtunkhwa Milli Party ke Sarbara Mahmood Achakzai,
01:53Asad Umar, Umar Ayub, Shibli Faraz, Maulana Abdul Ghafoor Haidri, Barrister Saif aur Jamaat-e-Islami
02:00ke Ameer-ul-Azim sharik hua.
02:01Zaraay ne bataya, mulaqat mein ittifaq kiya gaya, ki ek mushtarka opposition ilaag bana
02:06kar hukumat ke qilaaf tahreek chalayegi.
02:08Bani PTI samit deegar siyasi qaidiyon ki rehai ke liye jadd-o-jahad ki jayegi.
02:12Aane wale dinon mein in jamaaton ki mazeed mulaqaton mein alliance ka naam aur deegar
02:16muamlaat final kiye jaane ka imkaan hai.
02:23Shand judgeon aur journalon ne ek anari mulaq par musallat kiya, ek ka naam kal TV par
02:36nashar hota raha.
02:37Rifaqi Wazir Ahsan Iqbal ka takreeb se khitab kaha, shayad in logon ne beevi bachon ke asar
02:42mein dimaag par taale daal liye.
02:44Atomi taqat ki tabiyan aise shaks ko deen jisne kabhi UC nahi chalayi.
02:49CPAC jaise mansube ka kabara kar diya gaya, maishat crash kar gayi.
02:53Aaj tak mehngi bijli aur mehngai bhugat rahe hain.
03:00500 arab arbaay ki saal ki bijli chori hoti aur yeh saari mili bhagat hai bilkul.
03:05Kis tariqe se bilon mein hera phiri ki jaati hai, kis tariqe se ek ka bil doosre mein daal
03:10diya jaata hai aur khaana phuri ki jaati hai, yeh aapke liye sabse bada challenge hoga.
03:17Har saal 500 arab ki bijli chori hoti hai, bilon mein hera phiri ki jaati hai, yeh saab
03:21mili bhagat se hota hai.
03:23Wazir-e-Azam Shahbaz Sharif ka Bijli ki takseem kaar companies ke chairman aur board arkaan
03:27se khatab, bole bijli ka gardishi karza 2300 arab tak pahunj gaya, kya karz ke bhaari barkam
03:33boj ke saath mult chal sakte hain?
03:35Mulki jadon ko khokla karne wale nizam ko milkar badalna hoga.
03:39Hukumat, SIFC aur tamam idare bijli ki keemton ko kam karne ke liye masroob hain.
03:44Kabina Ijlaas mein izhara khayal karte hui kaha, sanat aur tijara zaraat ko parogh dena
03:49hai to pehdawari lagat pe kam hi lana hogi aur bijli ki keemat ka bada kirtar.
03:54Power division ki mehnat ka qaum ko fayda pohchega.
04:19E-visa policy bhi mutarif karwai hai, yeh aaj raat se naafiz ul aamal hogi.
04:24Saiyahon ki security ke liye behtireen intizamat kar rahe hain.
04:49Sheher sheher shajar kaari muhim jaari, log jashan manane ke samaan ke saath paude bhi kharid rahe hain.
04:5414 August par ARY News ka hum vatno ke liye pehgaam,
04:58darak lagayen, mulk sarsabz banayen, green Pakistan muhim ka hisa banayen.
05:07Karl Azadi festival mein Atif Aslam samey deegar fankar perform karenge.
05:11Pehli baat jashan-e-azadi ke mauke par Atif Aslam sirf awaam ke liye perform karenge.
05:16Humne sirf awaam ke liye yeh sabh kiya, security khadishat ke baawajood yeh ihtimaam kiya.
05:22Gold medalist Arshad Nadeem bhi kal khususi daawat par Governor House aayenge.
05:26Governor House ke tamaam darwaze khule honge, 5 lakh afraad ki shirkat mutabaqe hai.
05:33Yeh azadi hume kurbaaniya dekar mili hai,
05:36is mulk ko azaad rakne ke liye aaj bhi jawan jaano ka nazrana bhi rahe hain.
05:40Yaum-e-azadi par Shodha ke Ali Khana ka pehgaam kaha,
05:43aaj agar hum khuli fiza mein saans le rahe hain,
05:45toh isme bohot bada kirdaar un jawano ka hai jo sarado par hamari khatir apne gharo se door hain.
05:51Aqliyati baradari ne pehgaam mein kaha, Pakistan wo neemat hai,
05:54jisme har rangonasla aur mazhab ke log ke guldaste ki tarah rahe hain.
05:59Aaj mulk ko fitnal khawarij ka saamna hai,
06:01aqliyati baradari afwaje Pakistan ke shana bashana khadi hai.
06:05Talba ne pehgaam diya, Allama Iqbal ke khwab ki taabeer aur Qaid-e-Azam ke azam ki takmeel ka naam Pakistan hai.
06:11Pak pojh ke jabaro ne is watan ki mitti ke liye laazawaal gurbaaniya diya hain,
06:15humein azaadi ki qadar karni chahiye.
06:24Bharat mein juhri taapkaar mawaad ki ghair qanooni farooqt par Pakistan ka izhaar-e-tashfeesh.
06:29Tarjuman daftar-e-khaarija ka kehna hai,
06:31intihai taapkaar aur zehreela maada ek gang ke qabze mein paya gaya.
06:36Mawaad ki maaliyat 100 million dollar hai.
06:382021 mein bhi bharat mein taapkaari mawaad ki chori ke 3 waqiyat report hua the.
06:43Waqiyat nahi Delhi ki taraf se kiye gaye hafazati ikdamaat par sawaliya nishan hain.
06:48Bharat mein hassas mawaad ka ghalat haaton mein jaana khatarnak hai.
06:51Waqiyat ki mukam...
06:52Saab-e-Qais-e-Achief-e-Sameed ke khilaf-e-daara karwai kar raha hai.
06:56Report aayegi to sab cheeze saamne aaj aayengi.
06:59Sindh ke senior wazir, Sharjir-e-Naam Memon kahte hain,
07:02Sadr Asif Zardari aur Bilawal Bhutto ne Bijli ke bilo ka muaamla Bipak se utha diya hai.
07:06Umeed hai bahot jal Dawam ko khushqabri milegi.
07:16Muslim League Noon aur People's Party ikhtiyaraat par naag band kar baith jate hain.
07:20Hafiz Naeem ur Rehman kehte hain, hukmaran ko ayyashiyon ke liye maraat hasil hain.
07:25Awam par taxon ka boj, Bijli aur gas ke bil mehnge, petrol par levy lagi hain.
07:30FBR ko naib jaisi taqat de rahe hain, isse baramadaat mutaasir hongi.
07:34Awam se wada hai, hukumat se muaahede par amal zarur karwaayenge.
07:38Hafiz Naeem ur Rehman ka solo flight ka ayalaan bole,
07:42aayinda kisi siyasi alliance ka hisa nahi banenge.
07:44MQM ko Karachi walon ne mustarad kiya, unhe zabardasti musallat kiya gaya.
07:49Bijli bilon meh relief ke liye, Wajidwala Punjab ke hum faisle,
08:02Punjab bhar mein 100 unit tak protected sarfeen ko solar home solution param kiya jaayega.
08:07Kabina Ijlaas mein Maryam Nawaz ne kaha,
08:09aayinda 2 maa me awam ko Bijli ke bilon me relief dene ke liye,
08:13ek aur bahot bada project la rahe hain.
08:15Ijlaas mein chief minister, roshan gharana program,
08:19apna ghar apni chhat ke model ki manzoori,
08:21shahar mein 5 barle aur dehaat mein 10 barle tak plot par ghar banane ke liye 15 lakh rupee milenge.
08:35Pakistan mein internet service mutaasir, sarfeen ke shikayat,
08:39kahi roz se online karubaar karne walon ko bhi mushkilat,
08:42whatsapp par rabita bhi mushkil ho gaya, online kharidari mein bhi rukawat,
08:46internet service providers se shikayat karein, toh kehte hain hamari taraf se sab theek hai.
08:58Sarkari aur awami muqamat par sign boards aur ishtaharaat lagane ka case,
09:02supreme court ke ahkaamat par amal daramat na karne par,
09:04Sindh high court mayor Karachi Murtaza Wahab par barham.
09:07KMC, KDA aur digar ko shahar bhar se sign boards hatane ka hukum,
09:11adalati ahkaamat par amal daramat karke report pesh karne ki hidayat remarks diye,
09:15chaar hafton mein amal daramat na kiya gaya toh mayor Karachi,
09:19DG, KDA aur digar ke khilaf tauheen-e-adalat ki karwai ki jayegi,
09:24adalat ka ghair kaanuni sign boards lagane walon ke khilaf muqadmat darj karane ka hukum.
09:35Punjab mein monsoon baarishon ka naiya spell,
09:37kal shaam aur balochistan mein 15 august se shuru hoga,
09:41baarishon ka salsala 18 august tak jaari rehne ka imkaan hain,
09:44Quetta, Khuzdar, Qalat, Masnoong aur digar shehro mein moonsaladhar baarish ki tawakho,
09:49Karachi mein 16-19 august ta kandhi aur garak chamak ke saath baarish ka imkaan,
09:54agle teen roz mein Karachi mein moonsaladhar baarish aur boondabandi ho sakti hai.
10:00Karachi WPP rehraba Dr. Asim ki ahalya, Dr. Samreen ki gaadi par Aurangi town bhi firing,
10:06Dr. Samreen mehfooz rahi, SSP West kehte hain, Dr. Samreen Girls College ki takreer mein shirkat ke baad
10:11wapas jaa rahi thi, qaamla street crime ka nahi, rehkikaat kar rahe hain.
10:18Islamabad High Court ne Azhar Mashwani ke bhaiyon ki waziyabi ke liye daair darkhas par tehreeri hukum
10:23naama jari kar diya. Secretary Dakhla, Secretary Diffa, IG Islamabad aur DGFIA ko
10:29tauheen-e-adalat ka show cause notice. Hukum naame mein kaha gaya, fareeqain 15 august ko
10:34zaati haisiyat mein adalat mein pesh hoon aur bataayen ke unke kharaf kyun tauheen-e-adalat
10:39ki kaarrawayi shuru na ki jaye. Assistant Attorney General, Law Officer, Wizarat-e-Diffa
10:44aur Law Officer, Islamabad Police pesh hoey. Teenon ne yaksan jawab diya ke unhe maghreeyon
10:49ke hawale se il nahi. Fareeqain ne aisa koi suboot nahi diya jisse zahir ho maghreeyon
10:53ki waziyabi ki koshish ki gayi. Baadi unnazar mein yeh adalati ahkamat ki sarihan khilaf farzi hai.

Recommended