• 4 months ago
कामना से सृष्टि भी, लय भी

Category

🗞
News
Transcript
00:00Namaskar, aaiye aaj aapko sunaate hain Rajasthan Patrika ke Pradhan Sampadak Dr. Gulab Kothari
00:08ka Sharir Hi Brahmand Shrinkhala me Patrikayan me Prakashit Aaleg, jiska shirshak hai, Kamna
00:14se Srishti bhi, Laya bhi. Har prani ardha narishwar hai. Dakshin bhaag Shiv tatha vambhaag
00:19shakti hai. Vrisha aur yosha hai. Bhog yoniyon me prani kuch alag se prayas nahin kar sakta.
00:25Manushya yoniyon me apne swaroop ko samajh sakta hai. Apne kamna ke swaroop ka vikas
00:30kar sakta hai, shakti hai. Vrisha me agneya tatmo ka aur yosha me saumya bhaavon ka vikas
00:36kiya jata hai. Kyuki istri bahar se saumya tatha bhitar agneya hai. Jabki purush bahar
00:41agneya, wa bhitar saumya hai. Is prakaar istri bhi purush hai tatha purush bhi istri hai.
00:47Punah saum ki agneya aahuti hi yagya kehlaati hai. Vambhaag ki dakshin bhaag me aahuti
00:53hoti jati hai. Vambhaag ke saare avyav aakaar evambhaar me dakshin bhaag ke avyavon se kam
00:59hote hai. Vamaang me rehne ke karan istri ko vama bhi kaha jata hai. Yeh vama swayam
01:04ke ardhang me agneya tatha saumya dono hai. Ek hi sharir ka dakshin bhaag agneya tatha
01:10vambhaag saumya hai. Yeh abhi ek daampatya bhaav banta hai. Dono ke madhya bhi yagya
01:15hota hai. Taaya bhaag shabd bhaag pradhan hai. Vambhaag arth bhaag pradhan hota hai.
01:20Inka sanchalan shwas prashwas se hota hai. Dahinai nasika ka shwas surya swar, ushn
01:26tatha baai nasika ka shwas chandra swar sheetal kehlaata hai. Inhi ke madhya agni saumatmak
01:32yagya chalta rhaita hai. Inko eeda pingala naadiya bhi kehte hai. Jab abhyas dwara dono
01:37ko roopkar madhya ki sushumna naadi ko chalu kiya jata hai, tab shwas prashwas ka utkarsh
01:42maante hai. Yehi se jeevan me sadhana ki shuruaat hoti hai. Sushumna ka shetra sheetalta
01:48ka shetra hai. Saum lok hai. Anant shanti me pravesh ka marg hai. Is dren bhav ka utkarsh
01:54hai. Istri hi prem ka marg prashast karte hai. Samarpan ka marg. Prem kaho ya bhakti.
01:59Ek hi baat hai. Yehi kaare sushumna ke madhyam se hota hai. Yehi dhyan avastha hai. Na vartman
02:05na bhavishya. Jaise patni leen hokar pati me sama jaati hai. Saum ka agni me sama jaana
02:11hi to yagya hai. Krishna kehte hai ki naasagra par dhyan karo. Rooh madhya par dhyan bhi
02:16sushumna ke bina sambhav nahi hai. Sheetalta ka yah prayog hi shuddh bhakti hai. Ushnata
02:21ki alpta hai. Ahankar ki alpta hai. Parmeshwaroopi purush me stren roop jeevatma ka samarpan hai.
02:28Jab pata tera laga to ab pata mera nahi. Yehi marm samajh aata hai. Praan adrishya, sookshma
02:35aur divya sansar hai. Jeevatma bhi sookshma jagat ka ang hai. Tampatya bhav bhi sharir
02:41ke madhyam se praanon ka ekikaran hi hai. Chunkhi istri ke praan pati ke praanon se
02:46yukta rahate hai. Atah pati hi uska devta hai. Samast gativijiyon ka kendra wahi hai. Uske
02:52mann mandir me moorti roop me pratishthit rahata hai. Istri ki sabhi aahootiyan wahi
02:57lagti hai. Sadhana kram me bhi yehi hota hai. Jaha brahm hi ek matra lakshya rahata hai.
03:02Jis yagya me arpan bhi brahm hai. Havi bhi brahm hai. Aur brahmroop karta ke dwara brahmroop
03:08agni me aahooti roop kriya bhi brahm hai. Aise yagya ko karne wale jis manushya ki brahm
03:14me hi karv samadhi ho gayi hai. Uske dwara prapt karne yogya phal bhi brahm hi hai.
03:20Brahmarpanam brahm havir brahmagnau brahmana hutam. Brahmaiva tena gantavyam brahm karma
03:27samadhina geeta 4.24. Is prakaat jab sabhi karma ek me hi samahit ho jate hai. Tab yehi
03:34karma ki poondata hai. Shareer ke bheetar kitne prakaar ke yagya chalte hai atwa kiye jate
03:39hai. Isme aatma yagya karta hai. Geeta me krishna is praan yagya ko samjhate hue kehte
03:44hai ki yogi jan parmatva roop agni me aatma ko aahoot karte hai. Ishwar ke saath ekakaar
03:50ho jate hai. Samast indriyon ko sayam roop agni me havan karte hai. Samast vishiyon ko
03:56indriya roop agni me havan karte hai. Indriyon ki kriyaon tatha praanon ki kriyaon ko gyan
04:01se dite aatma sayam yog roop agni me havan kiya karte hai. Kai purush tapasya roop yog
04:08roop swadhyay roop gyan yagya kiya karte hai. Apaan vayu ka praan vayu me atwa praan vayu
04:14ka apaan vayu me havan karte hai. Praan apaan ki gati ko rook kar praanon ko praanon me havan
04:20kiya karte hai. Is prakaar shareer ke bheetar bhi agni somaatmak yagya nirantar chalta
04:25rehta hai. Shwas prashwas hi strain kaamana ka janak bhi hai. Atta hai yeh jeevan ka sabse
04:31mehtupun yagya bhi hai. Chunki hamare teen sharir hai. Atta hai shwas prashwas ke bhi
04:36teen istar hote hai. Ek istar hamare sthool shwas prashwas ka hai. Jisse ham praanayam
04:42karte hai. Doosra istar soochm shwas prashwas ka hai. Isme indra praan gati roop hai aur
04:48vishnu praan aagati roop hai. Is kriya se hridayasya brahm ki pratishtha bani rehti
04:53hai. Ek anya shwas prashwas ki prakriya karan sharir se judi hai. Isme brahmrandra se surya
05:00praan sharir me pravesh karte hai. Parthiv praan bhi sharir me pravesh karte hai. Inse
05:05karan sharir ka sanchaalan hota hai. Sookshmo praan para prakrati se jude rehte hai. Hamare
05:11poorva karmo ke phalo ke anusaar hi hamare mann me ichha paida hoti hai. Ichha hi istri
05:17roop me patni hai. Wahi karm phal bhogni ke liye prejit karte hai. Yeh tathya ispasht
05:22hi hai ki vyakti bheetar jeev roop akela hi jeeta hai. Brahm akela hi hai. Wahe swayam
05:28hi apni patni ban kar srishti rachnata kaaliya karta hai. Uska karm hi akarm hai aur akarm
05:34hi karm hai. Brahm ka udghosh hai ki main ajanma hote hue bhi apni prakrati ko adheen
05:40ke apni yoga maya se prakrati hota hu geeta 4.6. Man kamana yukta hokar praan ko prerit
05:47karta hai. Is man ke kendra me hriday hai. Man jab hridayast brahm se ek aakaar hona
05:52chahata hai tab praanon ka sanchaalan karta hai. Vaak parinaam ko kehte hai. Vaak aur
05:57brahm ka sampark sutra praan se hi hota hai. Praanon ko kamana ki prerit karte hai. Yehi
06:05istri ki bhoomika hai. Uske man ki drid kamana brahm ke man ko bhi praanon se jodti hai.
06:10Geeta me krishna kehte hai sarva dvarani sayamya manu hridhi nirudhya cha murdhya dhayat manah
06:19praanam asthito yog dharanam om ityekaksharam brahma vyaharan mam anusmaran yah prayati
06:27tyajan deham sayati paramam gatim 8.12, 8.13 geeta. Indriya nigraha karke man ko hriday
06:35me tatha praan ko mastishk me isthapit karke brahm ka chintan karta hua sharir ka tyag
06:42karta hai. Vah parangati ko prapt karta hai. Jis kamana ne brahm ko srishti ke liye prerit
06:48kiya. Istri roop dharan karke brahm ka vistal kiya. Usi kamana dwara jeev punah apne brahm
06:54me lean ho jata hai. Ab na kamana, na istri, na srishti. Punah brahm advai roop ho gaya.

Recommended