Sahih Bukhari Hadees No. 584 590 595 596 | Hadees Nabvi in Urdu | Shan E Quran world

  • 2 days ago
Quran surat Hadees subscribe like share please
Transcript
00:00Hazrat Abu Huraira radiallahu ta'ala anhu se riwayat hai ki Nabi Kareem sallallahu alaihi wa sallam ne
00:08do tarah ki khareed o farooqat aur do tarah ki libaas aur do waqtom ki namaz se mana farmaya
00:15aapne namaz-e-fajr ke baad sooraj nikalne tak aur namaz-e-asr ke baad ghuroob hone tak namaz padhne se mana farmaya
00:24aur kapdo mein ishtamaal samaa jaani ek kapda apne upar istarha lapet lena ke sharmgaah khul jaye
00:32aur ihtabaa jaani ek kapde mein got markar baithne se mana farmaya
00:38aur khareed o farooqat mein aapne munabidaa aur mulamisaa se mana farmaya
00:43Sahih Bukhari Hadith No. 584
00:48Abdul Wahid bin Aiman ne bayan kiya kaha ke mujh se mere baap Aiman ne hadith bayan ki
00:55ke unhone Aisha radiallahu ta'ala anha se suna
00:58aapne farmaya ki khuda ki qasam jisne Rasoolallah sallallahu alaihi wa sallam ko apne yahaan bula liya
01:05aapne asr ke baad ki do rakat ko kabhi tarq nahi farmaya
01:10yahaan tak ke aap Allah paak se jaamile aur aap ko wafaat se pehle namaz padhne mein badi dushwari peshaati thi
01:18fir aksar aap baith kar namaz ada farmaya karte the
01:22agarchan Nabi Kareem sallallahu alaihi wa sallam unhe poori pabandi ke saath padhte the
01:28lekin is khauf se ke kahin sahaba bhi padhne lage aur istarha ummat ko giraanbari ho
01:34unhe aap masjid mein nahi padhte the
01:38sahih Bukhari hadith no. 590
01:45Hussain bin Abdul Rahman ne Abdullah bin Abi Qatada se unhone apne baap se kaha
01:51hum Khyber se lot kar Nabi Kareem sallallahu alaihi wa sallam ke saath raat mein safar kar rahe the
01:57kisi ne kaha ki Huzoor sallallahu alaihi wa sallam aap ab padao daal dete to behtar hota
02:04aapne farmaya ki mujhe dar hai kahin namaz ke waqt bhi sote na reh jao
02:10ispar Hazrat Bilal bole ki mai aap sab logon ko jaga dunga
02:15to naacha sab log let gaye aur Hazrat Bilal ne bhi apne peet Kajawa se laga li
02:21aur unki bhi aankh lag gayi
02:23aur jab Nabi Kareem baidar hue to sooraj ke upar ka hissa nikal chuka tha
02:28aapne farmaya Bilal tu ne kya kaha tha
02:32wo bole aaj jaisi neen mujhe kabhi nahi aayi
02:35fir Rasool-e-Kareem sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya
02:38ki Allah ta'ala tumhari arwaah ko jab chahta hai qabz kar leta hai
02:43aur jis waqt chahta hai wapas kar deta hai
02:46Ae Bilal uth aur azaan de
02:49fir aapne wudhu kiya aur jab sooraj buland hokar roshan ho gaya
02:53to aap khade hue aur namaz padhai
02:56Sahih Bukhari Hadith no. 595
03:03Jabir bin Abdullah radiallahu ta'ala anhu se riwaya the
03:06ki Hazrat Umar bin Khattab radiallahu ta'ala anhu
03:09Ghazwa-e-Khandaq ke mauqe par
03:11ek martaba sooraj ghuroob hone ke baad aaye
03:14aur wo kuffaar-e-Quraish ko bura bhala kah rahe the
03:18aur aapne kaha ki
03:19Ae Allah ki Rasool sallallahu alaihi wa sallam
03:22sooraj ghuroob ho gaya
03:24aur namaz-e-Asr padhna mere liye mumkin nahi hosaka
03:27ispar Rasool-e-Kareem sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya
03:31ke namaz maine bhi nahi padhi
03:33fir hum wadi-e-Bathan me gaye
03:35aur aapne waha namaz ke liye wudhu kiya
03:38humne bhi wudhu banaya
03:40us waqt sooraj doob chuka tha
03:42pehle aapne Asr padhai
03:44uske baad maghrib ki namaz padhi
03:46Sahih Bukhari Hadith no. 596

Recommended