Durood Un Par Salam Un Par | Rabi ul Awal Special 2024
Speaker: Allama Shahzad Mujaddidi
#aryqtv #Rabiulawal #DuroodUnParSalamUnPar
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Speaker: Allama Shahzad Mujaddidi
#aryqtv #Rabiulawal #DuroodUnParSalamUnPar
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Bismillahir Rahmanir Raheem, Mustafa jaanir rahmat bilakon salaam, shama'i bazme hidayat
00:14bilakon salaam.
00:15Nazreen-e-mukarram, program hai, durood unpar, salaam unpar.
00:19Aur ARYQ TV ke zahir ehtamaam, Nabi-e-Rahmat Imam-ul-Anbiya-e-wal-Mursaleen ala-e-Tahiyyat-u-wa-Tasleem
00:29ki baargaah mein hadiya-e-aqeedat-u-muhabbat pesh karne ka ek waseela, durood sharif aur
00:37Haq-e-Karim alaihissalat-u-salaam ka zikr-e-paak, aapki madhuh-sanaa.
00:42Madhuh-sanaa ke silsile mein, ek toh manzoom andaz hai naat ka, qaseed-e-ka aur ek baqaida
00:54salaam ka ki rawayat bhi, durood-e-paak ke saath judi hui hai Huzoor alaihissalat-u-salaam
01:01kyunke hukm yaih hai ki yaa yuhaal-lazeena banu sallu alaihi wa sallimu tasleema, aai
01:07imaan walo, mere mahboob alaihissalat-u-salaam ki baargaah mein salaat-u-salaam dono ka hadiya
01:13behjo.
01:14Lihaza jab aayat-e-utri thi toh sahaba-e-kiraam alaih-e-muridwaan ne arz kiya tha, ki yaa
01:19rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallim kaifa nusalli alaika fee salaat-e-naa, hum apni namaz-o-mein
01:25aapar kaise durood bhejein, salaat, toh Huzoor alaihissalat-u-salaam ne durood-e-Ibrahimi
01:30thaleem firmaaya, Allahumma salli alaa Muhammad wa alaa al-Muhammad kama sallita, alaa Ibrahima
01:37wa alaa al-Ibrahima innaka hameed-un-majeed, poora durood jo hum namaz mein padhte hain
01:43iske saath salaam hain, jo wo namaz mein hi hum padh rahein, at-tahiyyat-u-lillahi-wa-s-salawaat-u-wa-tayyibaat-as-salaam-u-alaika-ayyuhun-nabiyu-wa-rahmatullahi-wa-barakaat-u-lillahi-wa-salaam-u-alaika-ayyuhun-nabiyu-wa-rahmatullahi-wa-barakaat-u-lillahi-wa-salaam-u-alaika-ayyuhun-nabiyu-wa-rahmatullahi-wa-barakaat-u-lillahi-wa-salaam-u-alaika-ayyuhun-nabiyu-wa-rahmatullahi-wa-barakaat-u-lillahi-wa-s
02:13jo makbooliyat aur mahboobiyat naseeb hui hai, wo kisi aur kalam ke hisse mein nahi aayi,
02:20goya isko urdu ka qaseeda-e-burdah samajh lijiye. Baaz ahl-e-ilm ne isko urdu ka qaseeda-e-burdah
02:27kaha hai. Yeh bhi salaam jab likha gaya, pesh kiya gaya, hidayah-e-bakshish, jo ala
02:33hazrat imam-e-ahl-e-sunnat, maulana Shah Ahmad Riza Fazal-e-Barelvi rahmatullah-e-ta'ala
02:39ka deewan hai, shairi ka. Usme yeh poora salaam maujood hai. Aur Bar-e-Sagheer Pak-o-Hind
02:46mein yeh riwayat rahi hai, ke juma ki namaz ke baad aur mahafil ke ikhtitam par kade
02:53hokar dast basta, Bargah-e-Risalat-e-Ma'af Sallallahu-Ta'ala-Ali-Sallam mein isi salaam
03:00ke ashaar, bator-e-Adi-e-Aqeedat aur bator-e-Durood-o-Salaam pesh kiya jaate hain. Kyuki manzoom
03:07andaaz hai. Arabi ke andar bhi manzoom salaam ka, manzoom durood ka ik silsila aur ik riwayat
03:14arabi adabiyat mein rahi hai. Farsi ke andar bhi hai. Urdu zabaan ke andar bhi salaam bohot
03:21likhe gaye hain. Pir ya nabi salaam-o-alaika, ya rasool salaam-o-alaika, ya habib salaam-o-alaika,
03:27salawatullah-e-ta'ala, salawatullah-e-alaika, yeh. Lekin jab yeh salaam likha gaya aur
03:34huzoor-alaih-e-salaatu-salaam ki baargaah mein makbool tahera. Uske baad pir Arab-o-Ajam
03:39ki qaid bhi uth gaye hai. Baarha huzoor-alaih-e-salaam ki baargaah mein bhi. Aapki jaali-mubarak
03:45par bhi khade hoon to zere lab gayi ahl-e-muhabbat. Yeh hadiya aur yeh zamzama-e-ishq-o-masti
03:53yeh padh rahe hote hain. Mustafa jaan-e-rahmat pe laakon salaam. Wo zaate paak-e-Mustafa
04:00sallallahu-alaihi-wa-sallam jo jaan-e-rahmat hain. Shama-e-bazm-e-hidayat pe laakon salaam.
04:06Jo qainat-e-hidayat ki shamm-e-rooshan hain. Roshdo hidayat ka faiz jis shamma se phootta
04:15hai, jis ke wujood se phootta hai. Yaha se shuru kiya. Aap dekhiye agar likhne wala aur
04:24hadiya-e-aqeedat pesh karne wala shaks chair sahib-e-ilm-o-fazl bhi ho, Quran-o-Sunnat
04:31pe uski gahri nazar ho aur seerat-o-shamail ke maakhiz-o-masadir tak uski rasai bhi ghayr-maamooli
04:40had tak ho aur ishq-e-Habib ke muhamle mein bhi wo miraj pe faiz ho. Adab ke hawala se
04:51bhi, adab-e-bargah se bhi aashna ho. To phir kitna farq aata hai aur kitni difference aata
04:59hai, jis ko ahl-e-ilm kahte hain kalaam-ul-imam-e-imam-ul-kalaam. Agar kisi imam ka kalaam ho, jis
05:05imam Busiri rahimahullah, unka kalaam dekhen to wo bhi kalaam-o-ka imam hain. Aur ye urdu
05:12mein dekhen, to salaam-e-razaa jo hai, ye bhi hume imam-ul-kalaam nazar aata hai.
05:18Mustafa jaan-e-rahmat pe laakon salaam, shama-e-bazm-e-hidayat pe laakon salaam. Huzoor
05:24alaihis salaam ki bargah mein salaam pesh kar rahe hain. Lekin saad saad ahsaas hai,
05:28ke yahan durood bhi chahiye. Durood aur salaam dono pesh karne hain, lehaza zara
05:35ahtamaam-o-iltizaam dekhiye. Mein aaj khususi tawajjo dilana chahta hu, is salaam se
05:41wabasta jo ahle mohabbat hain, jo padhne wale hain aur jo sunne wale hain. Kaisa
05:47ahtamaam hai aur kaisa iltizaam hai? Salaam aur durood ko kaise joda hua hai? Hum ghareebon
05:54ke aaka pe behad durood, hum fakiron ki sarwat pe laakon salaam. Acha, behad durood, laakon
06:03salaam, ab khaahish mohabbat badh rahi hai, talab badh rahi hai, kaifiyat aur jazbo
06:08masti ka ghalba ho raha hai. To ab ek aashik-e-zaar-ummati chahta yeh hai, yeh Allah Hazrat
06:14nahi firmaaya hai, karun tere naam pe jaan fida, na bas ek jaan do jahan fida, do jahan
06:21se bhi nahi jee bhara, karun kya karoodon jahan nahi. Fir ek kaifiyat, ek lamha aur
06:26ek aalam, yeh bhi aajaata hai banday par, jo saalike raah-e-maarifat hai aur jo raah-e-ishka
06:35musaafir hai. Khud ko bebas paata hai, aajis paata hai. Yani jo pesh karna chahta hai,
06:44jo izhaar-e-mohabbat karna chahta hai, uske liye zaraa-e aur wasaail mayassar nahi hote
06:51to laayumkin-us-sanaau, kamaa kaana haq-uhu, baad-az-khudaa bazurg-tu-i-kissa, mukhtasar
06:57ki manzil pe aajaata hai banda. Jisse bade-bade ahle-haal, ahle-mohabbat ne, mukhtalif zaman
07:04mein, arabi mein, farsi mein izhaar kiya hai. To aala hazrat imam-e-ahle sunnat rahmatullahi
07:10ta'ala laahi ki bhi yehi kaifiyat. Fir kahtein unke maula ke unpar karoodon durood, Allah
07:17hu, Allah hu musalli ala Sayyidina Muhammad. Unke maula ke unpar karoodon durood, unke
07:24ashaab-o-itrat pe laakon salaam. Yeh bhi chunke hisa hai. Rabb-ul-alameen ne to farmaya mere
07:31habib pe salaat-o-salaam bhejo. Lekin jab sahaba ne poocha, to aaka kareem alaih salaat-o-salaam
07:36ne farmaya, saad meri aal ko bhi shamil karoon. Allah hu musalli ala Muhammad wa ala aal-e-Muhammad.
07:42Hiyaaza, unke ashaab-o-itrat pe laakon salaam. Unke saad jude huye hain, wo ahle-baait hoon,
07:49wo sahaba-e-kiraam hoon. Aur aakhir mein phir jab unki mutaabiyat mein aajaate hain, to phir
07:55to as-salaam-o-alaihna bhi hota hai. Hum par bhi salaam. Is riwayat ko bhi zinda rakha
08:01salaam-e-razaam-e-aala hazrat ne, ke jo durood ke mutaabiyat mein aanewali ummat hai, unko
08:08bhi usme shamil kar liya. Shah ki saari ummat pe laakon salaam. Ek mera hi rahmat pe daawa
08:13nahi. Shah ki saari ummat pe laakon salaam. Is par bhi ahle-ilm ne likha hai ki jab aaka
08:19kareem alaihissalaat-o-salaam par durood-o-salaam bhejte hain, aur phir ahle-baait par, sahaba-e-kiraam
08:24par, phir jitne bhi unke mutaabiyeen hain, un par, to phir aap isme is gunaagaar ummat
08:32ko bhi shamil kar sakte hain. Un par bhi salaam bheja jaate hain. To yeh riwayat aapko salaam-e-razaa
08:38ke andar bhi nazar aati hai. Unke ashaab-o-itrat pe laakon salaam aur uske baad, Shah ki saari
08:45ummat pe laakon salaam. Subhanallah. Aaka kareem alaihissalaat-o-salaam ki hi asalme
08:50khushnoodi ke liye saara hai, kyunke Huzoor alaihissalaat-o-salaam apni ummat se be intiha
08:56muhabbat-o-shafqat farmate hain. Harisun alaikum bil mu'mineena rauf-ur-raheem ki shaan se.
09:02Jiski gawahi khud Allah Rabbul Izzat Jalla Majduhu ne dee. Nihaza salaam-e-rizaa ke,
09:08subhanallah, salaam-e-rizaa ke kya kya mahasin aur khubiyan bayan ki jayein. Bohot saari
09:13muhabbat ne, shaar-e-heen ne, ulama ne likha hai. Iski shuroo, hawashi. Lekin kuch ishaar
09:21mein jo bohoti tawajjo talab hain, inki taraf aaj is program ki barkat se aapki tawajjo
09:28mabzool karwata hun, ki kya adaay hain, kya andaaz hain. Darood-o-salaam bhejte bhejte
09:34saath hi, Urdu mein, sarapa nigari jo hai, naati adab ka ye bhi ek hisa rahi hai. Hulia
09:40sharif. Aur Punjabi ke andar bhi aapko iski misale milti hain, Farsi ke andar bhi, duniyan
09:46ki aur zamanon mein bhi, Arabi mein. Shamail-e-Tirmazi se ye silsala jab shuroo hua, Imam-e-Tirmazi
09:52Abu Isa Muhammad bin Isa Tirmazi rahimahullah ta'ala ne, jab Shamail Sharif, Shamail-e-Tirmazi
09:59ke naam se, Shamail-ul-Muhammadiyah, Tirmazi Sharif ka hisa banaya, to wahan se phir ye
10:04ek rawayat chali hai, ki Aaka Kareem-e-Salaam ki jo adaayin hain, shaklo Shamail hain,
10:09Husn-e-Yusuf, Dam-e-Isa, Yad-e-Baizaadari, Aanch-e-Khooba, Hamaadar-andat-o-Tanhaadari.
10:16Nihaza, yeh rawayat bhi phir janaab sahaba se hoti, taabayeen se hoti, Ummat mein aayi
10:21hai. Aala Hazrat ne kamal yeh kiya hai, ki salaam to bhej hi rahe the, saath saath
10:26mahboob ka sarapa bhi bayan kar diya. Uski zara chand jhalkiyan dekhiyein ki, Aaka
10:32Kareem-e-Salaam ki jo maang mubarak hai sar mein, sar ke baalo mein jo maang mubarak
10:41hai, uspe dekhiyein salaam kaise bheja hai aur tashbeek kaise di hai, laylat-ul-qadr
10:47mein matla-il-fajr haq, ha ha, laylat-ul-qadr mein matla-il-fajr haq, maang ki istiqamat
10:57pe laakon salaam, jo sar-e-Aqdas mein, baalo ke darmian mein maang mubarak hai Aap Sallallahu
11:05Alaihi Wasallam ki, uspar bhi salaam bheja hai. Kya diqat-e-nazar hai, kya baariqi hai,
11:11ek aashik-e-saadiq ki, ek muhib ki, sach-e-muhib ki, aur Aaka Kareem-e-Salaam ki, zaat-e-paak
11:20se, aur Mahboob ke wujood ki, ek-ek uzv ke saath, jo izhaar-e-muhabbat hai, uski bhi
11:27saath-saath aapko misaal, salaam-e-rizaa mein milti hai, phir Huzoor-e-Islaam ki reeshe
11:32mubarak ka zikr kiya, chehra mubarak par, daadi mubarak ka zikr kiya hai, khat ki
11:37gird-e-dahan, wo dilara phaban, sabza-e-nahar-e-rahmat pe laakon salaam, subhanallah, subhanallah,
11:45kya, kya tashbihat hai, goya baarg-e-ilahi se barahiraas-e-ilqa-o-ilhaam ho raha tha,
11:50ki yoon mere Mahboob-e-Kareem-e-Islaam ka salapa manzoom beyaan karna hai, aur phir Huzoor-e-Islaam
11:57ke luwab-e-paak par kaise salaam bhejte hai, jisse khaari-kuin, sheera-e-jaam bane, jisse
12:05khaari-kuin, yeh bhi mustaqil ek rawayat thi, ke kuin jab khaari paani ke hote the, aur
12:11karve paani ke hote the, to sahaba Huzoor-e-Islaam se arz kiya karte the, aur Aka-e-Kareem-e-Islaam
12:17aise kuin abhi bhi maujood hai, jahan aapne apna luwab-e-dahan-e-aqdas dala, aur wo jo
12:23kuin tha meetha paani ho gaya, meetha ho gaya uska paani, jisse khaari-kuin, sheera-e-jaam
12:29bane, us zulaal-e-halawat pe laakon salaam, mustafa jaan-e-rahmat pe laakon salaam, shama-e-bazm-e-hidayat
12:37pe laakon salaam, aur phir kahte hain ki, al-gharaz unki har-har adaa par durood, durood
12:43bhejte jaate hain, salaam bhejte jaate hain, aur goya talab aur badti jaate hain, al-gharaz
12:51unki har-har adaa par durood, aur unki har khu-u-khasalat pe laakon salaam, durood aur
12:57salaam ka iltizaam jo hai, wo ismein bohot kaamil-e-tawajoo hai, jaga-jaga, lihaaza salaam
13:03mein jab hum ashaar padein, toh iska khayal rakhna chahiye, ki wo ashaar muntakhab kiye
13:07jayein, jismein durood aur salaam dono jama hoon, ek misre mein durood ho, doosre mein
13:12salaam ho, taake jaam-e-iyat naseeb ho jaye, durood aur salaam padne wale ko, salaam-e-riza
13:19padne wale ko, aur ye sahib-e-kalaam jo hain, unki taraf se khas ihtamaam hai, aur iski
13:25taraf tawajoo humari rehni chahiye, aur aakhir mein, jab salaam mukammal hota hai, aur
13:31aala Hazrat Imam-e-Ali-Sunnat, Huzoor-e-Salaatu-Salaam ki baargaah mein, aapki adaon par, aapke
13:38andaaz-e-guftagu, aapka kalaam, aapke luwaab-e-paag, hatta ke naakhun mubarak jo hain, uspe bhi
13:44ek shair, aeed-e-bushkil kushai ke chamke hilaal, naakhunon ki isharat pe laakon salaam, subhan
13:50Allah, naakhunon ko hilaal se tashmeedi hai, chaand, jab pehla tulu hota hai shuru mein,
13:56mahine ki shuru mein, toh wo hilaal hota hai, baarig, aur naakhunon ke saath uski tashmeed
14:02hoti hai, usko rakha hai, aakhir mein kehte hain, kash mahshar mein jab unki aamad ho,
14:06hashir ke din, jab mere aaka maqam-e-mahmood pe faiz ho, aur aapki jalwa gari ho, toh bejye
14:13sab unki shaukat pe, laakon salaam, muj se khidmat ke qudsi kahen haan riza, mustafa
14:22jaan-e-rahmat pe laakon salaam, toh mujhe Huzoor-e-Islaam ki baarga ho, majma-e-hashr
14:28ho, aur malaika-e-kiram jo hain, us maifil mein, Huzoor-e-Islaam ki baarga mein haazir
14:33farishte jo hain, wo mujhe bula ke, awaaz de ke kahen, haan riza, padhiye mustafa jaan-e-rahmat
14:41pe laakon salaam, yahin wohi shuru matleh ka jo, pehla misrah hai, usse phir makteh me
14:47hain, aur wahan takmeel hui hai, is kaifiyat ki, ke hum aaye yahan, tumhare liye, aur
14:55uthe bhi wahan, tumhare liye, yeh ek jaam-e-tareen package hai, durood-e-salaam ka, salaam-e-riza
15:01jo Aal-e-Hazrat ne likha hai, agar isko samajh ke saath, shauur ke saath padha jaye, toh
15:06badi barakaat, aur badi rohani kaifiyat naseeb hoti, naazneen-e-girami qadr, Allah Rabb-ul-Aalameen
15:12durood-e-salaam ki barkat-on-se hamein hamesha muattar, munawwar, aur mustaneed dhakke,
15:18wa aakhiru da'awana anilhamdu lillahi Rabb-il-Aalameen