• 3 months ago
Faqeer bana Ameer Hindi kahani

Category

ЁЯШ╣
Fun
Transcript
00:00In Sonpur, there used to live a beggar named Ramesh, who used to beg on the footpath and
00:18survive.
00:19He used to sleep on the footpath at night.
00:24Ek shaam bheek maangne ke dauran, ek suit boot pehne seth ji usse dikhe.
00:33Usne socha, Yeh bhekti bahut ameer lagta hai.
00:37Isse bheek maangne par, yeh mujhe jaroor acche paise dega.
00:43Bah, uss seth se bheek maangne laga.
00:47Seth ji, kuch de do.
00:49Sobha se bhukha hu.
00:51Bikhaari ko dekh kar uss seth ne kaha, tum hamesa maangte hi ho, kya kabhi kisi ko kuch
00:58dete bhi ho?
01:00Bikhaari bola, sahab, mai to bhikhaari hu, hamesa logon se maangta hi rehta hu, meri
01:07itni aukaat kaha ki kisi ko kuch de sakon.
01:11Jab kisi ko kuch de nahi sakte, toh tumhe maangne ka koi haq bhi nahi hai.
01:17Mai ek vaipaari hu aur lehnden mein hi vishwas rakhta hu.
01:22Agar tumhare paas mujhe kuch dene ko ho, tabhi mai tumhe badle mein kuch de sakta hu.
01:29Aisa kehke seth ji wahan se chale gaye.
01:32Idhar seth ke dwara kahi gayi, baat uss bhikhaari ke dil mein utar gayi.
01:36Wah sochne laga.
01:39Saayad mujhe bheek mein adhek paisa isliye nahi milta, kyunki main uske badle mein kisi
01:46ko kuch de nahi paata hu.
01:49Lekin, mai to bhikhaari hu, kisi ko kuch dene laayik bhi nahi hu.
01:57Bahot sochne ke baad bhikhaari ne nirnay kiya,
02:00Jo bhi mujhe bheek dega, mai uske badle mein uss bhekti ko kuch jaroor dunga.
02:08Lekin, mai bheek ke badle mein dusro ko kya de sakta hu?
02:13Is baat ko sochte huye din bhar guzra, lekin usse apne prashna ka koi uttar nahi mila.
02:20Dusre din jab waha footpath pe baitha hua tha, tabhi uski nazar kuch phoolon par padi,
02:25jo aas paas ke paudhon par khil rahe the.
02:28Usne socha,
02:29Kyu na mai logon ko bheek ke badle mein kuch phool de diya karu?
02:36Aisa sochke, usne waha se kuch phool tod liye.
02:42Ab jab bhi koi usse bheek deta,
02:44To uske badle mein waha bheek dene wale ko kuch phool de deta.
02:51Un phoolon ko log hush hokar apne paas rakh lete the.
02:56Ab bheekhaari roz phool todta,
02:58Aur bheek ke badle mein un phoolon ko logon mein baat deta tha.
03:04Kuch hi dino mein usne mehsoos kiya,
03:08Ab mujhe bahut adheek log bheek dene lage hai,
03:12Lekin jab phool baatte baatte khatam ho jate,
03:16To bheek bhi nahi milti.
03:18Ab roz aisa hi chalta raha,
03:20Ek din jab waha bheek maang raha tha,
03:22To usne dekha,
03:24Ye to wahi seth hai,
03:26Jiski wajah se mujhe bheek ke badle phool dene ki prerana mili thi.
03:32Waha turant us bheakti ke paas pahoj gaya,
03:35Aur bheek maangte huye bola,
03:37Aaj mere paas aapko dene ke liye kuch phool hai,
03:41Aap mujhe bheek dijiye,
03:43Badle mein main aapko kuch phool dunga.
03:47Seth ne usse bheek ke roop mein kuch paise de diye,
03:51Aur bheekhaari ne kuch phool usse de diye.
03:53Seth ne bola,
03:55Wah! Kya baat hai,
03:59Aaj tum bhi meri tarah ek vaipaari ban gaye ho.
04:03Aisa kehkar waha seth chala gaya,
04:06Lekin waha baar baar us seth ke dwara kahi gayi baat ke baare mein sochne laga.
04:11Usse lagne laga ki,
04:13Saayad ab mere haath mein safhalta ki ek chaab hi lag gayi hai,
04:19Jiske dwara main apne jeevan ko badal sakta hu.
04:23Waha utsahit hokar,
04:25Tez aawaz mein upar aasman ki aur dekh kar bola,
04:28Main bheekhaari nahi hoon,
04:30Main toh ek vaipaari hoon,
04:32Main bhi us seth jaisa ban sakta hoon,
04:35Main bhi ameer ban sakta hoon.
04:38Logon ne usse dekha toh socha ki,
04:40Saayad yeh bheekhaari paagal ho gaya hai.
04:44Agle din se waha bheekhaari us station par phir kabhi nahi dikha.
04:49Ek varsh baad,
04:51Ek hi train se do vyakti,
04:53Suit, boot pehne huye yatra kar rahe the.
04:56Dono ne ek doosre ko dekha,
04:58Toh unmein se ek ne kaha,
05:00Kya aapne mujhe pehchaana?
05:03Nahi toh, saayad hum log pehli baar mil rahe hain.
05:07Seth ji, ap yaad kijiye,
05:10Hum pehli baar nahi,
05:12Balki teesri baar mil rahe hain.
05:15Mujhe yaad nahi aa raha,
05:17Waise hum pehli do baar kab mile the?
05:22Main wahi bheekhaari hoon,
05:24Jisko aapne pehli mulaqaat mein,
05:27Prakriti ka neyam bataya tha,
05:29Jiske anusaar,
05:31Humein tabhi kuch milta hai,
05:33Jab hum kuch dete hain.
05:35Len den ka yeh neyam,
05:37Vaastav mein kaam karta hai.
05:39Maine yeh bahut achchi tarah mahsoos kiya hai.
05:43Lekin main khud ko hamisa bheekhaari hi samasta raha.
05:47Iss se upar utkar maine kabhi socha hi nahi tha.
05:51Jab aapse meri doosri mulaqaat hui,
05:54Tab aapne mujhe bataya,
05:56Ki main ek vaipaari ban chuka hoon.
06:00Ab main samajh chuka tha,
06:02Ki main vaastav mein ek bheekhaari nahi,
06:05Balki vaipaari ban chuka hoon.
06:07Nateeja yeh nikla,
06:09Ki aaj main bholo ka ek bahut bada vaipaari hoon,
06:13Aur issi vaipaar ke kaam se doosre sahar jaa raha hoon.
06:19Dosto, iss kahaani se humein yeh sikh milti hai,
06:22Ki humein hamisha bada aur positive sochna chahiye.

Recommended