Deen e Fitrat | Speaker: Shaykh Mufti Tauqeer
Topic: Islam And Culture
#DeeneFitrat #ShaykhMuftiTauqeer #ARYQtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Topic: Islam And Culture
#DeeneFitrat #ShaykhMuftiTauqeer #ARYQtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Asalaamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu, alhamdulillahi wabarakatuhu, wasalamu ala
00:18warahmatullahi wabarakatuhu, alhamdulillahi wabarakatuhu, alhamdulillahi wabarakatuhu,
00:26alhamdulillahi wabarakatuhu, alhamdulillahi wabarakatuhu, alhamdulillahi wabarakatuhu,
00:32alhamdulillahi wabarakatuhu, alhamdulillahi wabarakatuhu, alhamdulillahi wabarakatuhu,
00:38alhamdulillahi wabarakatuhu, alhamdulillahi wabarakatuhu, alhamdulillahi wabarakatuhu,
00:44agar toh culture ke jitne bhi usool hain, ya culture ke jitne bhi norms hain,
00:51agar toh wa Islam ke saath hum ahang hoon, unke saath in sync hoon,
00:57un Islam ke usoolon ki khilaf warzi na karein, toh yek bahut acha combination hain,
01:03kyun ke har culture different hain, Allah Ta'ala ne logon ko mukhlif qabail mein banaya,
01:08Allah Ta'ala ne logon ko different groups mein banaya, Pakistan wale Pakistan mein hain,
01:14uske andar kitne cultures hain, Sindhi hain, Balochi hain, Punjabi hain, Pathan hain,
01:22North wale log hain, tribal areas ke log hain, aap Pakistan se bahar jayiye,
01:29Malaysia walon ke ek culture hain, Indonesian ek culture hain, Chinese ek culture hain,
01:34European ek culture hain, toh ye saare different cultures hain,
01:38jo ke ek badi natural cheez hain, ek badi fitri cheez hain, Allah Ta'ala ne logon ko
01:42mukhlif zabano mein banaya, mukhlif rangon mein banaya,
01:47lekin jo main cheez hain, jo cheez in saare cultures ko usoolan control karne chahiye,
01:55wo hai deen-e-Islam, Islam ek set of principles ka naam hain,
01:59ek usoolon ke majmooey ka naam hain, ek zaabta-e-hayat ka naam hain,
02:04jo ke overlook karein in cultures ko, ye toh bahut behtreen cheez hain,
02:09kyunke ek insaan bahut natural rahta hain, hum log Arab nahin ho sakte hain,
02:13hum log Pakistani hain, jo Pakistan mein rahte hain, aur humara ek culture hain,
02:19Arab culture different hain, right, isi tariqa se sub-continental bar-e-sagheer mein
02:25jo baaki mubaalik hain, Bangladesh hain, India hain, unki apne-apne cultures hain,
02:29itne bade-bade mubaalik hain, bhalke bahut sab cultures hain unke,
02:33toh hum ek culture mein toh dhal hi nahi sakte, ye ghair fitri ho jayega,
02:39fitrat ye kehti hain, ke insaan jis rang ka, jis nasal ka, jis background ka hai,
02:45waise ka waise rahein, lekin Islam ke jo main usool hain,
02:50wo unko control karein, unko overlook karein, unko define karein.
02:55Masala tab aata hai, jab culture dominate kar jaata hai Islamic principles ko,
03:03aur aisa bahut hota hai, ke culture control kar raha hai,
03:08dini principles ko, bhalke aisa hota hai, ke dini principles ko log side par rag date hain,
03:14aur cultural principles ko log le lete hain.
03:18Nabi Karim A.S. ke zawane mein bhi bahut saare cultures hain,
03:22bahut saari cultural cheezain thi, bahut saari bachuguniyaan thi,
03:28bad omens jisko kahte hain, Islam ne aake un sab ko toda,
03:33isliye kyunke Islam ke principles ke khilaf thi,
03:38Islami aqeeda-e-tauhid ke khilaf thi,
03:42misaal ke taur pe, wo log safar ke andar shadi nahi karte the,
03:47jo Islami mahina hai, safar ka muharram ke baad aata hai,
03:51usme wo log shadi nahi karte the, wo usko manhoos mahina samajhte the,
03:55wo samajhte the ke iske andar koi bachuguni hai.
03:57Nabi Karim A.S. ne aake firmaaye, la safara, safar ke andar koi bachuguni nahi hain,
04:03baara ke baara mahine Allah ke mahine hain,
04:07aur baara mahino, misal kisi bhi mahine mein shadi kar sakte hain,
04:10kisi bhi taarikh mein shadi kar sakte hain,
04:12kisi taarikh mein, kisi mahine mein, koi bhi bachuguni nahi hain.
04:18balka Syeda Ayesha r.a. anna Ummul Momineen, wo firmaate hain,
04:22ke mera nikah bhi safar mein hua, meri rukhsati bhi safar mein hui,
04:28aur main toh ye chahti hoon ke meri khandaan ki saari ladkiyan jo hain,
04:33wo safar mein hi shadi karein, taaki ye jo bachuguni phehli hui hain,
04:37ye ek mis-understanding hain, mis-interpretation hain, ye khatam ki jayein.
04:43Allah ke mahine hain, ye toh ek tarah se shirk hain,
04:48ke insaan kisi mahine ko in-control samjhein,
04:53aur Allah subhanahu wa ta'ala, jo ke qadar-e-mutlaq hain,
04:57jo ke in-control hain, har cheez ko Allah ta'ala ki zaad control karti hain,
05:01usko hum side-line kartein is concept ko,
05:05aur kisi mahine ko samjhein, ke mahina bhi hasit-e-khud, uske andar koi bachuguni hain.
05:11Toh Nabi Karim A.S. ne usko toda,
05:15isi tariqah se, jo us samanah mein ghair Muslim the hain,
05:22unki jo practices thi, jo ke Islamic principles ke khilaf thi,
05:27Nabi Karim A.S. ne unko bhi toda,
05:30Das Muharram ka roza rakhte the, Nabi Karim A.S. ka mukarma mein, sahaba bhi rakhte the,
05:36uske baad Madina Munawara mein bhi aakar ye jari rahi pehle,
05:40thoda sa ikhtilafi baat hain, lekin ek raaye ke mutaabik,
05:43ek opinion ke mutaabik pehle ye farz tha,
05:46fir jam Ramadan-ul-Mubarak ke roze farz ho gaye,
05:48toh Das Muharram ka roza, jisko Ashura ka roza bhi kehte hain,
05:52usko ab wo nafal ho gaya.
05:56Nabi Karim A.S. ko milkul Madina Munawara ke is qiyam ke dauran,
06:01thodi arsi abaad ye pata chala ke,
06:04toh Yehudi hain wo bhi, Madina Munawara ke Yehudi,
06:07wo bhi Das Muharram ka roza rakhte hain,
06:09Nabi Karim A.S. ne poocha, wo kyu rakhte hain,
06:12toh bataaya gaya ke, Das Muharram ko Allah SWT ne Moosa A.S. ko Firaun se nijad di thi,
06:18toh isliye uske izhar-e-tashakkur ke taur pe Yehudi, Das Muharram ka roza rakhte hain,
06:23Nabi Karim A.S. ne pormaya, ke Moosa toh hum se zyada kareeb hain, unki banismat,
06:28toh hum roza jaari rakhenge, lekin unki mushabihat na ho jaye,
06:36unki resemblance na ho,
06:38hum iske saath ek aur roza ka bhi izafa karenge,
06:41yaani Das ke saath Nau Muharram ka roza bhi add karenge,
06:45sirf taake wo je culture kisi aur group ka, kisi aur deen ka bana hua tha,
06:53us culture ke andar kahin hum zam na ho jaye,
06:57kahin wo culture humare andar bhi na a jaye,
07:00Nabi Karim A.S. ne pormaya,
07:05ke jo kisi bhi qaum ki mushabihat ikhtiyar karta hai, wo unhi meise hain,
07:10ek Ummat-e-Muslima hain, aur baaki Ummate hain, baaki Qaume hain,
07:17Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam firmaare hain,
07:19man tashabbaha bi qaumin fahuwa minhum,
07:22agar kisi aur qaum ki, kisi aur culture ki, kisi aur group ki,
07:27mushabihat ikhtiyar karein, toh phir qiyamat ke deen unhi meise uthaya jayenge,
07:31ye toh bahut hi ek sakht wa'eed hain, ek warning hain, sort of right,
07:37toh ye bahut aahim concept hain, ki hum deen-e-Islam ke principles ko,
07:43unke usoolo ko, samjhein, seekhein, aur unko humesha upar rakhein,
07:49kisi bhi cultural practice hain,
07:51humare mawashree ke andar pe tahasha cultural practices hain,
07:56aur unhase bohot saari cultural practices jo hain,
07:59wo deen-e-Islam se mutasadim hain, wo unse clash kar rahi hain,
08:03wo tawhid ke principle se kabhi clash karti hain, kabhi sunnat ke principle se clash karti hain,
08:13right, toh please is cheez ko hum log samjhein, is cheez ko seekhein,
08:19ki humare culture dominate na karein deen-e-Islam par,
08:22balke Islam dominate karein culture ke upar,
08:26Islam ke principles hum seekhein, aur uske mutabik hum apne cultures ko redefine karein,
08:32main ye nahin kehra hai ki culture bilkul khatam kar diya jaye,
08:35libaas sindiyon ka ek libaas hai, balochiyon ka ek libaas hai,
08:38Punjab me different libaas hai, Pathanon ka ek libaas hai,
08:44misaal ke taur pe, as long as Islamic principles ke tahaith hain,
08:48toh ye saare libaas theek hain,
08:50Islam ka principle kya hai,
08:52misaal deraun ek,
08:53Islam ka principle je hain,
08:55libaas ka maqsad je hain,
08:58aur zeenat ho, khubsoorti ho,
09:01toh agar misaal ka taur pe,
09:03koi aisa dress hai,
09:04jo ke skin tight hai,
09:06jiske andar,
09:07insaan ka,
09:09jo poora jisam hai,
09:10wo ayaan hai,
09:11toh phir toh satar nahin dhapa,
09:13isi tariqah se,
09:15agar see through dress hai,
09:17toh satar nahin dhapa,
09:18right,
09:19toh Islam ka principle je hain,
09:20ki satar dhapo,
09:21libaas ka maqsad je hain,
09:23aur of course,
09:24khubsoorat bhi lagey insaan,
09:25toh agar yeh do principles,
09:27poore hote hain,
09:28toh wo,
09:29kisi bhi culture ka dress ho,
09:31absolutely fine,
09:32bilkul theek hai,
09:33uske andar koi issue nahin hai,
09:34right,
09:35isi tariqah se,
09:36shadi biya ki rasmein,
09:37bohot saari rasmein,
09:39humare culture ke andar hai,
09:40lekin wo Islamic principles se,
09:41clash karte hain,
09:43Nabi Kareem A.S. ne firmaaya,
09:45ki khairun nikahi,
09:46aisuruhu ukama qaal,
09:48ki sabse betreen nikah hota hai,
09:49jo sabse aasaan hai,
09:51nikah mein aasaani peyda karo,
09:53balki ek hadith Mubarka mein aata hai,
09:55ki Nabi Kareem A.S. ne firmaaya,
09:57ki apne nikah masjid mein karo,
09:59in other words,
10:00simplicity ke saath karo,
10:01toh yeh usool hai,
10:03nikah ka Islamic principles je hai,
10:05aasaani,
10:07simplicity,
10:09aur baaki aur bhi hain,
10:10sirf ek do misaale di hain,
10:12ab agar kisi culture ke andar,
10:14agar shadi ki rasmein aisi hain,
10:17usmein chhe chhe functions hote hain,
10:19aur usmein dikhawa hota hai,
10:21aur jahez banaya jaata hai,
10:24ladki ka,
10:25aur pe ladki ka jahez,
10:26sari duniya ko dikhaya jaata hai,
10:27show off ho rahi hai,
10:29plus,
10:30ek bahot barah burden hai,
10:31ladki pe,
10:32ladki walon pe,
10:33kayi cultures mein aisa hota hai,
10:35ki ladke walon pe bojh hota hai,
10:36ulta wo,
10:37bahot zyada kharj karna,
10:39unko padta hai,
10:40waghara,
10:41toh yeh saare Islamic principles ke khilaf hain,
10:43Islamic principles shadi ke,
10:45mene ek do aapse zikar kiye,
10:47toh apne cultural practices ko,
10:49Islam ke principles ke under laya jaye,
10:52shadiya ki jaye,
10:54ki unke indar simplicity aaye,
10:56aise shadi ki jaye,
10:58ki uske indar dikhawa na ho,
11:00aasaniya ho,
11:01ladke walon ke liye bhi,
11:02ladki walon ke liye bhi,
11:04right,
11:05kayi cultures hote hain,
11:07wah ladki se poocha hi nahi jaata,
11:09shadi se pehle,
11:11ab yeh toh Islamic principles ke bilkul khilaf hain,
11:14wo kehte ji humare culture mein aisa hi hota hai,
11:17toh mere bhai,
11:19aapki culture mein agar aisa ho raha hai,
11:21toh ghalat ho raha hai,
11:22kyunke deen kahta hai,
11:24ke ladki se ijazat zaruri hain,
11:26shadi ke liye,
11:27balke baqaida,
11:29humari fiqah ke andar,
11:31is cheez ke baare mein tafseelat hain,
11:32details hain,
11:33ke agar ek ladki hai,
11:34jo pehle se shadi shuda hai,
11:36yaani uski talaq ho gayi thi,
11:38ya bewa ho gayi thi,
11:39toh ab uski ijazat kaise leni hai,
11:41aur agar kisi ladki ki pehli tafa shadi ho rahi hai,
11:44toh uski ijazat kaise leni hai,
11:45baqaida itni details hain,
11:47itni tafseelat hain,
11:49toh ladki ki ijazat zaruri hain,
11:51balke jitne bhi nikah padhane wale log hain,
11:54unko chahiye,
11:55ki us waqt tak nikah na padhane,
11:57jab tak do gawa na le le,
12:00jinnon ne ladki se ijazat li ho,
12:03ke is ladke ke saath wo razamand hai,
12:06shadi karne ke liye,
12:08itne haq mehar ke saath,
12:09jab tak koi do log gawa hi na de,
12:12us waqt tak,
12:13us waqt tak,
12:14nikah khamko chahiye,
12:15ke wo ladki ka nikah na padhaye,
12:17toh agar kisi culture ke andar aisa hai,
12:20ke wo ladki ke ijazat nahi nijati,
12:22wo kehte ji,
12:23wale culture me aisa hi hota hai,
12:24toh ye ghalat baat hai,
12:25ye deen-e-Islam ke khilaf baat hai,
12:27toh is culture ko khatam karna chahiye,
12:32shadi ke baad,
12:34kabhi kabhi,
12:35aisa hota hai ke,
12:37culture me aisa hai,
12:39ke jo ladka aur ladki hain,
12:41jo ab shohor aur biwi hain,
12:43wo tohno aapas mein,
12:45koi time spend karhi nahi sakte,
12:48aisa culture ko jaanta hoon,
12:50ek culture aisa hai,
12:52jis ke andar,
12:54ek man's side hai,
12:56ek women's side hai,
12:57ek mardaan khana hai,
12:58ek zanaan khana hai,
13:00aur saara din mardaan khana me rahte hain,
13:02saara din aurte zanaan khana me rahte hain,
13:05aisa culture hai,
13:06ke shohor aur biwi,
13:07saara din mulaqat hi nahi hoti hain,
13:10sirf raat ko sohne ke liye,
13:12kamre mein mulaqat hoti hain,
13:13nahi khana saath kha sakte hain,
13:15nahi saath uth baith sakte hain,
13:17nahi mashwara kar sakte hain,
13:18nahi baad kar sakte hain,
13:20ye toh din-e-Islam ke principles ke,
13:22bilkul manafi hain,
13:24din-e-Islam mein,
13:25shohor aur biwi ka toh,
13:26itna important rishta hai,
13:28wo min aayaatihi,
13:29an khalaqa lakum,
13:30min anfusikum azwaaj,
13:31alli taskoonu ilaiha,
13:33wo ja'ala wainakum,
13:34ma waddatum wa rahma,
13:36sukoon ke liye,
13:37shadi hoti hain,
13:38muhabbat hain,
13:39friendship hain,
13:40bonding hain,
13:41rahmat hain,
13:42Nabi Karim A.S.
13:43apni biwiyon se ruzaana,
13:45unki dekhbaal karte the,
13:48unka khyaal karte the,
13:49unse poochte the,
13:50unko safar pe lekar jate the,
13:52unse mashwara karte the,
13:54un Seyida Khadija R.A.
13:56se jo taaluk,
13:58Nabi Karim S.A.W. ka tha,
14:00ek bonding ka,
14:01ek muhabbat ka,
14:02ek pyaar ka,
14:03ek dosti ka,
14:06yeh hain,
14:07din-e-Islam ke andar nikah,
14:09agar amara culture koi aisa hain,
14:10jiske andar yeh shadi ki,
14:12jo basic Islamic principles hain,
14:16wo sabotage ho rahe hain,
14:17agar unko khatam kiya jaa rahe hain,
14:20toh phir aise culture ko khatam karne ki zaroorat hain,
14:22main sirf misaale de raha hoon,
14:24bache ki pedayash,
14:26uske andar amare ajeeb cultures hain,
14:29ladki bache ki pedayash ke waqt,
14:31apne shohar se door hoti hain,
14:34jab ki yeh hi toh waqt hota hain,
14:36jahan shohar apne beevi ke saath khada ho,
14:39uski iss mushkil waqt mein,
14:41bache ki pedayash ek bahut mushkil marhal hain,
14:43us waqt shohar apne beevi ke saath khada ho,
14:46uska haath bataaye,
14:49uska khyaal kare,
14:51usko emotionally support kare,
14:53usko psychologically support kare,
14:55usko morally support kare,
14:57har tarah se usko support kare,
14:58financial support kare,
15:01bacha us mart ka bhi hain,
15:03balke nasab toh ussi se chalega,
15:06aur woh shohar jo hai,
15:07is waqt agar side pe ho jaye,
15:10aur ladki jo hai,
15:11beevi uski jo hai,
15:12apne maabab ke ghar chali jaye,
15:13aur phir mahine baad,
15:15do mahine baad aaye,
15:17jab ki wo kaam khaanch karne ke kaabil ho gayi hain,
15:20toh yeh bilkul munasab nahi hain,
15:22toh please,
15:23iss cheez ko samjhen,
15:25ke culture achi baat hain,
15:28as long as principles of Islam ke andar ho,
15:31Islami usoolon ke tehd wo kaam karein,
15:35agar culture jo hai,
15:37wo Islam ke usoolon ke upar aa gaya,
15:39aur usko nazar andaaz kar diya gaya,
15:42toh yeh bilkul munasab nahi hain,
15:43sunnat yeh hain,
15:44ke aise culture ko khatam kiya jaye,
15:47aur Islam ki usool unko saamne laaya jaye,
15:50Allah kare ki yeh baat hum logon ko samjhen mein a jaaye,
15:53kyunki yeh baat strong principle hain,
15:55Allah ta'ala mujhe bhi aur aapko bhi samjheni ki tohfiq ata,
15:57firma hai,
15:58ek choti se break lete hain,
15:59inshaAllah,
16:00aur break ke baad aapke sawalon ke saath hazir hote hain,
16:02aap apne sawalat email kar sakte hain,
16:04deenefitratatarydigital.tv par,
16:07Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu,
16:09welcome back,
16:10break ke baad aapke sawalon ke saath hazir hain,
16:12aap apne sawalat email karte rahiye,
16:14deenefitratatarydigital.tv par,
16:18ek sawal jo bahut aam hai,
16:20log bahut karte hain,
16:22yeh wo log ka sawal hai,
16:23jo bahut concerned hain,
16:25fikarmand hain,
16:27apni namazon ke baare mein,
16:29Allah ta'ala ne Quran ke andar,
16:31surat al-mu'minoon ke bilkul shuru mein,
16:34firma hai,
16:35ba'da a'udhu billahi minash shaitanir rajim,
16:37bismillahir rahmanir rahim,
16:39qad aflahal mu'minoon,
16:40allazeena hum fee salatihim khashi'oon,
16:43ke kamyab hoga eemaan wale,
16:45aur uske baad ek poori list hai,
16:47ke kaun se eemaan wale kamyab hue,
16:49yaani eemaan base line hai,
16:51bunyad hai,
16:52aur uske baad,
16:53agar in eemaan walon ke andar,
16:56yeh, yeh, yeh, yeh khususiyat hongi,
16:59toh yeh combination,
17:00yeh jo package hai,
17:01yeh kamyab ho gaye,
17:03aur usmein sabse pehli quality,
17:05sabse pehli khususiyat,
17:06Allah ta'ala ne eemaan walon ki,
17:08kamyab hone wale eemaan walon ki,
17:11yeh bataayi,
17:12ke jinki,
17:13jo apni namazon mein khushu rakte hain,
17:16jinki namazon mein khushu hota hai,
17:18khushu,
17:20ek labz hai,
17:22arabi zabaan ke andar,
17:24aur ek aur labz hai,
17:26jisko khudu kahte hain,
17:27urdu mein khuzu,
17:29right,
17:30khushu aur khuzu,
17:31jistra murdu mein kahte hain,
17:32yeh dono interchangeably used hote hain,
17:36ek ka matlab hota hai,
17:38ke insaan ka zahir,
17:39wo bilkul humble ho,
17:42nazrein chuki hui ho,
17:44jisim ke aaza jo hai,
17:46wo uske andar aadzi ho,
17:48aur ek dil ki kaifiyat ka naam hai,
17:51dil jo hai,
17:52wo Allah ta'ala ke huzoor chuka hua ho,
17:54uske andar ek aaw ho,
17:57Allah ta'ala ke ek aaw ki kaifiyat ho,
18:02to yeh khushu aur khuzu,
18:03sawal yeh log karte hain,
18:05che meri namazon ke andar khushu nahi hai,
18:09balke sawal ek aur bhi hota hai,
18:11log kahte hain,
18:12ke namazon mein bahot khayalat aate hain,
18:15jaise hi main namaz padhne lagta hu,
18:18ya lagti hu,
18:19ekdham se khayalat ki bharmaar ho jaate hain,
18:22infact kush log yeh bhi sawal karte hain,
18:24ke bahot bure bure khayalat aate hain,
18:27kahte hain,
18:28mein sajda karte hu,
18:30to mujhe itne behooda khayalat aate hain,
18:33ke Allah ki pana,
18:35phir isi pe log yeh bhi kahte hain,
18:39ke aisi namaz ka phir kya fayda hua,
18:41aur ajeeb ajeeb se comments bhi dete hain,
18:45yeh saare mein sawalat ko sort of summarize kar raha hoon,
18:49unko combine kar raha hoon,
18:51unko akatha karke,
18:52uska khulasa biyaan kar raha hoon,
18:54dekhein,
18:55namaz farz hain,
18:57namaz farz hain,
19:00namaz chhodna gunah-e-kabira hain,
19:03humare deen ke andar sabse eham cheez,
19:06aqeedah ke baad,
19:07imaan ke baad,
19:08wo namaz hain,
19:11sabse pehla sawal,
19:13qiyamat ke din,
19:14namaz ke baare mein hoga,
19:15jo namaz,
19:16ek bhi,
19:17jaante,
19:18booshte,
19:19chhod deta hain,
19:20jaante,
19:21booshte,
19:22toh wo,
19:23ek bahut gunah-e-kabira hain,
19:24balke ek,
19:25hadees ke maffoom ke mutaabik,
19:27yeh toh,
19:28ek,
19:29aisa hi hain,
19:30jaise kufr kiya usne,
19:31toh,
19:32namazon ki pabandi lazim hain,
19:35sabse pehli baad,
19:37jaisi bhi namaz padi,
19:39jaisi bhi namaz padi jaye,
19:41namaz pade,
19:43yeh jo,
19:44shaitaan hamare dil ke andar daalta hai na,
19:46ki aisi namazon ka kya faida hai,
19:48dekhe faida ham baad ki baad karenge,
19:51pehli baad ham yeh baad karte hain,
19:53ki kya ham namaz padte hain,
19:54ka nahi padte hain,
19:55namaz padna lazim hain,
19:57haan,
19:58yeh aur baad hain,
19:59ki jo log namaz padte hain,
20:01uske baad,
20:02us namaz ke andar khushu hona lazim hain,
20:05yeh jo sawalat hain,
20:07khayalat bohot aate hain,
20:08aur iski wajah se parishan hain,
20:10to yeh ek achi fikar hain,
20:13lekin,
20:15yeh,
20:16imaan ki nishani hain,
20:18ki yeh fikar laahik ho gayi hain,
20:20khud sahaba nabi kareem alaihi salatu was salam ke paas tashreef laayen,
20:24aur unhone kaha ki,
20:25ya Rasool Allah,
20:26hamare,
20:27hume aise aise khayalat aate hain,
20:30ki hum unko zabaan pe laayi nahi sakte hain,
20:32yaani,
20:33bekhtiyari khayalat,
20:34hum,
20:35yeh cheez basant karte hain,
20:36ki hum jalkar koila ho jayein,
20:38bajaye iske ki hum unkhayalat ko apni zabaan pe lekar hain,
20:41bohot parishan,
20:42aur yeh hi to imani fikar hoti hain,
20:45yeh hi to imaan ki nishani hoti hain,
20:49ki insaan fikar band ho jayein,
20:51aur nabi kareem alaihi salatu was salam ne yeh hi firmaaya,
20:53kya aise hi hain,
20:54yaani tum baaki parishan ho,
20:55apne khayalat se,
20:56bekhtiyari khayalat se,
20:57humne ka,
20:58jee ya Rasool Allah,
20:59firmaaye,
21:00yeh to sari imaan ki nishani hain,
21:02agar imaan na hota,
21:04to tum kabhi parishan na hote,
21:06apne khayalat se,
21:07to yeh jo khayalat aa rahi hain,
21:09namazo mein,
21:10aur log parishan hain,
21:11yeh to aapko mubarak ho,
21:13ki aap parishan hain,
21:15lekin,
21:16ab is parishani pe karna kya hain,
21:18parishani pe yeh karna hain,
21:21sabse pehle dua karni hain,
21:23Allah taala se dua ka ihtimam karein,
21:26ki ya Allah,
21:27yeh shaitani khayalat se,
21:28hamari nijad de de,
21:29hum parishan hain,
21:31ek dua Allah taala ne Quran ke indar sikhayi,
21:34suratul kahaf ke indar,
21:36jo ashaab e kahaf the,
21:38unhone ek dua maangi,
21:40Rabbana hab lana min ladunka rahma,
21:42wa hayyi ilana min amrina rashada,
21:45Rabbana hab lana min ladunka rahma,
21:48wa hayyi ilana min amrina rashada,
21:51ki ya Allah,
21:52hume apni taraf se,
21:53rahmat-e-naazal firma dijiye,
21:55hamari umoor mein durstgi peyda kar dijiye,
21:58hamari halat theek kar dijiye,
22:00yeh dua ka ihtimam karna chahiye,
22:04number 1,
22:05dua ka ihtimam karein,
22:06number 2,
22:07ki yeh,
22:08Nabi Kareem A.S. ne firmaya ke,
22:11ihsaan yeh hain,
22:12an ta'bud Allah ka,
22:13anna ka tara hu,
22:14fa illam takun tara hu,
22:15fa innahu ya raak,
22:17ki tum ibadat Allah ki aise karo,
22:18jaise ki tum Allah ko dekh rahe ho,
22:20aur agar Allah ko nahi dekh rahe ho,
22:22to jaano,
22:23jaan lo ke wo,
22:24tumhe dekh rahe hain,
22:26to,
22:27jab Allahu Akbar kahein,
22:29Allahu Akbar,
22:30haath uthaayin,
22:31Allahu Akbar,
22:32yeh duniya se bezaari ka ailaan hain,
22:34Allahu Akbar,
22:35maine sab cheez se bezaari ka ailaan kiya,
22:37aur Allah ki taraf,
22:38maine mutawajjah hua,
22:41ek,
22:42iss niyat kar lein,
22:43ki Allah mujhe dekh rahein,
22:45Allah mujhe dekh rahein,
22:47pere halat se waqif hain,
22:49meri soch se waqif hain,
22:50meri niyat se waqif hain,
22:52iss cheez ko istihzaar kar lein,
22:54aur suratul fatiha,
22:57ko extraordinarily,
23:00istihzaar se padhne ki koshaj karein,
23:02baaki saari namaz bhi,
23:04lekin ek khaas tawajjah hu,
23:06shuru mein,
23:07kyunki suratul fatiha shuru mein hi hain,
23:09aur wo ek dua hain,
23:11iyaa ka naabudu,
23:12wa iyaa ka nastaeen pe jab pohche,
23:14to tauheed ki kaifiyat dil mein lane ki koshaj karein,
23:17Allah sirf Aap ki ibadat karte hain,
23:19aur sirf Aap se madad maagte hain,
23:21aur phir,
23:22ihde nas siratil mustaqeem,
23:23Allah,
23:24seeda raaste ki hidayet de deeche,
23:26iss dua ko pe haseetil dua manga karein,
23:29naa ki birkul,
23:30ek,
23:32casual tariqah se,
23:33bas,
23:34padh diya,
23:35aisa nahi karein,
23:37aur jaise maine kaa ki,
23:38ek,
23:39koshaj karein,
23:40iss kaifiyat ko dil mein jamaane ki,
23:42Allah taala mujhe dekh rahein,
23:45aur,
23:46rugoo, sujood,
23:47uski tasbeehat,
23:48subhana rabbi,
23:49al azeem,
23:50subhana rabbi,
23:51al aala,
23:52paak hai mera rab,
23:53jo azeem hai,
23:54jo aala hai,
23:56sajda karein,
23:57zameen pe maatha tekein,
23:59Allah ke saamne maine sajda kiya,
24:02mujhe pata hai,
24:03ki jin ko khayalat aate hain,
24:05unke liye yeh bahut mushkil hoga shuru mein,
24:08lekin dua ka ihtimaam,
24:10aur iss jeez ka istihzaar,
24:11koshish,
24:12yeh hamara kaam hai,
24:14baaki,
24:15Allah taala,
24:16kabool karne wale hain,
24:18agar yeh in cheezon ka ihtimaam karenge,
24:21toh humein Allah se umeed hain,
24:22ki Allah taala kabool karenge,
24:24aur in shaa Allah,
24:26waqt ke saad saad,
24:28aapki namazon ke andar behtri aayegi,
24:30dekhein,
24:31khayalat aana,
24:32aur khayalat,
24:34ki bharmaar hona,
24:35iss cheez ki dalalat karta hai,
24:37number 1,
24:38ki shaitaan ko yeh sabse buri cheez lagti hai,
24:42issi liye,
24:43namaz mein sabse zyada khayalat daalta hai,
24:46iss se pata chalta hai,
24:47ki shaitaan ko sabse zyada buri cheez lagti hai,
24:49aur number 2,
24:50iss se yeh bhi pata chalta hai,
24:52ki yeh sabse buri cheez hai,
24:54right?
24:57istaeeno bhi sabri wa sala,
24:58Allah taala firmaatein ke,
25:00sabar aur namaz ke zariye se,
25:02meri madad talab karo,
25:04wa innaha la kabeeratun illa alil khaasheeen,
25:06namaz badi bhaari cheez hai,
25:08sabahin un logon ke liye,
25:10kin ke andar khushu hain,
25:11alladeena yadunnoona,
25:12annahum mulaqullahi,
25:13wa annahum ilaihi rajioon,
25:15jinn ko yeh guman hain,
25:18unhein pata hain,
25:19ki unko Allah se malakat karni hain,
25:23to,
25:24namaz ke zariye,
25:25inshaAllah,
25:26Allah taala ki madad talab karein,
25:28yaani namaz,
25:29padne ke liye hi,
25:31namaz achi karne ke liye hi,
25:32namaz hi se Allah ki madad talab karein,
25:35dua karein,
25:36iss istehzaar ko,
25:37iss guman ko,
25:38zihin mein rakhein,
25:39jaise maine kaa,
25:40ki hum Allah taala mujhe dekh rahein,
25:42aur inshaAllah,
25:43namaz,
25:44waqt ke saath saath,
25:45behtar ho jayegi,
25:46uske baad,
25:47hum waise hi istighfar kartein,
25:48salam pherte hi,
25:49masnoon tariqah hain,
25:50Allahu Akbar,
25:51Astaghfirullah,
25:52Astaghfirullah,
25:53Astaghfirullah,
25:54Allah maaf kar dijiye,
25:55hum aapki makhrid talab kartein,
25:56iss kotaayi pe,
25:57iss kami pe,
25:58jo humne namaz mein ki,
26:00inshaAllah,
26:01Allah taala kabool karenge,
26:02namaz chhodiye nahin,
26:03yeh bilkul bhi mat kijiye,
26:05ke kahen ke iss namaz ka kya fayda,
26:07iss namaz ka fayda hain,
26:09lekin,
26:10haan,
26:11agar koi fikar nahin kar raha,
26:13agar koi apni namaz jo khushu peyda karne ki,
26:15fikar nahin kar raha,
26:16uske jo khyaalat aarein,
26:17uski fikar nahin kar raha,
26:18to yeh lamhaay fikriya hain,
26:20ki aap fikar kyu nahin kar rahein,
26:21hum fikar kyu nahin kar rahein,
26:23yeh lamhaay fikriya hain,
26:24please apni namazon ko behtar,
26:25hum sab banayen,
26:26inshaAllah taala,
26:27Allah taala,
26:28humareen namazon ko achha bhi karen,
26:29aur iske zariye se,
26:30humareen madad bhi karen,
26:32aur Allah taala,
26:33wo jo namaz ka maqsood hain,
26:34innas salaata tanha,
26:35aynil fahshaayi wal munkar,
26:37ke namaz behiyaayi,
26:38aur bore kaamon se rokhti hain,
26:40inshaAllah,
26:42aap dekhiyega,
26:43humari zindagi se,
26:44behiyaayi aur bore kaam,
26:46sab nikal jayenge,
26:47inshaAllah ul azeez,
26:49namaz ki fikar karein,
26:51please,
26:53uski hifazat karein,
26:55paanch waqt ki namaz,
26:56apne waqt pe padein,
26:57please,
26:58Allah taala,
26:59hum sab ko tofeeqataan firmaayin,
27:00apne sawalat email karte rahiye,
27:01deenefitrat at arydigital.tv par,
27:03inshaAllah,
27:04angli hafte aap se phir mulaqat hogi,
27:06wa akhrur da'awana,
27:07anil hamdulillahi rabbil alameen,
27:08assalamu alaikum,
27:09warahmatullahi wabarakatuh.