• 2 months ago
Khudara Koi Dobarah 9 May Jaisay Waqeat Ki Ghalti Nah Kere, Governor Sindh
Transcript
00:00Audhu Billahi minash shaitanir rajim. Bismillahir Rahmanir Rahim.
00:12Yaha aayi hui tamaam hi khawatino hazrat, mere tamaam aziz dosto, council generals,
00:26lekin khaas taur pe, aaj main mehman-e-khususi nahi hu.
00:32Aaj is governor house mein, mehman-e-khususi hai, hamare shahdaon ki families.
00:43Aaj is governor house ki jo zeenat hai, wo hamare shahdaon ki family,
00:51unke waaldein, unke bachche, unki behne, beeviyan, sabhi log aaj ke is din,
01:02mere is governor house ke, is Pakistan ke, iske wajood ke mehman-e-khususi hai.
01:10Khawatino hazrat, aaj ka yeh program, us 14 August ke program ki tarah,
01:21koi celebration nahi hai.
01:24Aaj ka program, isliye eham hai, agar 6 September,
01:33jo ke aaj shahda ki yaad mein manaya ja raha hai,
01:39agar yeh 6 September nahi ho, toh ham 14 August ki celebration nahi kar sakte hai.
01:46Isliye aaj ke din ki ehamiyat, bahot eham hai.
01:52Main is shher ke saath, jo ke shahdaon ki family ke naam,
01:58main karna chahata ho,
02:00lagane aag jo aaye the aashiyana ko,
02:06lagane jo aag aaye the aashiyana ko,
02:11wo sholay apne lahun se bhuja liye tumne,
02:16bacha liya hai yatimi se, kitne bhoolon ko,
02:22bacha liya hai yatimi se, kitne bhoolon ko,
02:27suhaag kitni baharon ke rakh liye tumne,
02:32tumhe chaman ki fazaein salaam kehti hain,
02:37tumhe chaman ki fazaein salaam kehti hain,
02:42eh raah-e-haq ke shaheedon.
02:45Main yaum-e-difa ki is azeem jadd-o-jahd,
02:50jurrat, bahadri, aur watan ki hifazat ke liye,
02:55la zawaal qurbaaniya denewale shaheedon ko,
03:00aur unke lahibaikeen ko,
03:02apna, aur apne tamam chahane walon ka salaam pesh karta hoon.
03:08Mauziz khawateen-o-hazrat,
03:116 Sitambar ko,
03:13buzdil, dushman, gharoor, takabbur, aur ghaman ke saath,
03:19raat ki tariki mein hamla aawar hokar,
03:23hamari bahadur, afwaj,
03:26ki jawano ko,
03:28shaheed karne wale buzdilon ko,
03:32main Allah ki laanat dene ka,
03:35ek dil se,
03:38nazrana,
03:40un shaheedon ke naam karta hoon,
03:42ki jino ne, un buzdil karwaiyon ke saamne,
03:46sheesha pelai hui,
03:49aur seena zor taqat ke saath mukabla kiya,
03:53aur aakhri dam tak,
03:56apni jagah nahi chhodi.
03:58Main ye, aaj isliye keh raha hoon,
04:03ki itni hazaaron qurbaniyon ke baad,
04:07ye jo watan-e-azeez hamne hasil kiya hai,
04:12jiski hifazat,
04:15ham sabne milkar karni hai.
04:19Hum,
04:21apne shohdaon ko,
04:23aur unke lawahikeen ko kya jawab denge,
04:27jab ham 9 May jaise waqiat
04:31ranuma karte hain,
04:34un shaheedon ki yaadgaaron ko nuksaan pochate hain.
04:38Khudara,
04:40dubara koi,
04:42is watan me aisi ghalti na kare,
04:46kyuki aaj jab main is stage par aa raha tha,
04:50mujhe ek shaheed ke waaldein ne,
04:53kuch tasaaveer dikhayi,
04:56aur musse gila kiya,
04:59ki mere is shaheed bete ki tasveer aur tasaaveer bhaad di gayi,
05:05un yaadgaaron ko gira diya gaya.
05:11Hume aisaas hi nahi hai,
05:14aaj mere saamne,
05:17ye jo ek maa baithi hai,
05:21usne,
05:24apne bete ki kurbani,
05:28isliye di hai,
05:31ki hamare beton ka mustakbil samar sake.
05:36Inone hamari auladon ke liye,
05:39aur unke mustakbil ke liye,
05:42apne jawan beton ki kurbaniya di hai.
05:46Main aapse sawal karta hu,
05:49kya ham is maa ka karz uthaar sakte hai?
05:53Jisne ye jaankar,
05:57usse ye pata tha,
06:00ke main jis apne pyare bete ko,
06:04tayyaar kar kar,
06:07saradon ki hifazat ke liye,
06:10ye jrehi ho,
06:11wo kisi na kisi din,
06:13shaheed ho sakta hai.
06:16Aaj jo log,
06:18meri is awaaz-e-pakistan ke liye,
06:21kuch baatein karte hai,
06:23main unse kehta ho,
06:25ke lao aisi maa,
06:27jo tumhare bete ke mustakbil ke liye,
06:31apne bete ki kurbani de de.
06:34Aaj meri wo behne,
06:38jo bewa ho gayi hai,
06:40main kehta ho un logon se,
06:43lao aisi behne,
06:45jino ne apna suhaag,
06:49shaheed karwa diya,
06:51tumhare suhaagon ko,
06:54aur unke mustakbil ko bachane ke liye.
06:57Toh mera ye maamna hai,
07:00ke mus samet koi bhi shaks,
07:04in waaldein ka,
07:06in behno ka,
07:08aur in bachon ka,
07:10karz ada kar hi nahi sakta.
07:13Baaki toh sab baatein hai.
07:16Hakikat sirf ye ek hai,
07:19ke hum in shaheedon ke,
07:21na waaldein ka karz utaar sakte hai,
07:24aur na shaheedon ka karz utaar sakte hai.
07:27Aur ye wo shaheed hai,
07:30jino ne,
07:33aur ye jo wo jawan,
07:35aaj sharadon pe,
07:37humare hifazate kar rahe hai,
07:41toh ye ek khubh sher,
07:43yahan likha bhi gaya hai,
07:45ke kisi ki himmat hai,
07:48humari parwaz mein laayi kameen.
07:52Kisi ki himmat hai,
07:55ke humari parwaz mein laayi kameen.
08:00Hum paron se nahi,
08:03hauslo se uda karte hain,
08:06toh jo log,
08:08jo jawan,
08:09hauslo se uda karte hain,
08:11Hum paron se nahi,
08:13hauslo se uda karte hain,
08:15toh jo log,
08:17jo jawan,
08:18hauslo se uda karte hain,
08:21unhe paron ki zarurat nahi hai.
08:25Ye Pakistan,
08:27watne aziz,
08:29watne az,
08:31hum sukoon aur aaraam ki zindagi basar karte hain,
08:35maan lein,
08:37ke uske peeche,
08:40in shaheedon ka...
08:41Har kadam hai,
08:43qaum ke difa ke liye.
08:47Har kadam hai,
08:49qaum ke difa ke liye.
08:52Ek afwaj-e-Pakistan hai,
08:55aur uske saath,
08:57aur uske awaam-e-Pakistan hai,
09:00mere un fauji bhaiyon ko,
09:03jo sarhadon pe mere jawan hai,
09:06aur mere shohda ki families,
09:08jo yahan baithi hain,
09:10main unko ye yaqeen dilana chahta hu,
09:13ki jo Pakistani hai,
09:15jo sach-e-Pakistani hai,
09:18jo Pakistan se,
09:20aur uski sarhadon se mahabbat karte hain,
09:23wo apni afwaj-e-Pakistan ke peeche,
09:26ki shana bashana khade hain,
09:29khade rahenge,
09:30aur inshallah rahenge.
09:32Mera ye maanna bhi hai,
09:35ke bahut saare,
09:37aise atwaar aate rahenge,
09:40jahan hume mayoosi bhi hogi,
09:44jahan hume,
09:48maashi bohranon ka saamna bhi hoga,
09:51lekin iska ye batlab hargiz nahi,
09:54ki ye mayoosi ke saaye,
09:56hamesha rahenge.
09:58Main aapko yaqeen dilata hu,
10:01ki aaj,
10:03jo sap-e-salaar afwaj-e-Pakistan ke sarbara hai,
10:08ye is qaum ki khush naseebi hai,
10:12ki wo sayyad bhi hai,
10:14aur wo haafiz-e-Quran bhi hai.
10:17Aur mera ye maanna hai,
10:19ki jo haafiz-e-Quran hota hai,
10:22usse Quran ka wo mafoom pata hai,
10:26ki kis tarah
10:28apni qaum ki hifazat ki jaati hai,
10:31kis tarah
10:33qaum ko agar wo mushkil me fasi ho,
10:36to usse nikaala jaata hai.
10:38Isi liye aaj,
10:40is afwaj-e-Pakistan ke sarbara,
10:43hamare mulk ke Wazir-e-Azam,
10:46Muhammad Mian Muhammad Shahbaz Shareef sahab ke saath milke,
10:51is Pakistan ko maashi bahuraan se nikaal rahe hain,
10:56jiski ek misaal
10:58SIFC ka is mulk me qayam hai,
11:02aur hamare Army Chief ka
11:05uski sarbarahi karna,
11:07uski dekhbhal karna,
11:09aur mukhtalif mamalik ke sarbaraan ko Pakistan
11:13bula ke
11:15is mulk ke maashi halaat ko baithar karna hai.
11:18Jiski misaal,
11:20China ke Wazir-e-Azam ka Pakistan aana,
11:23Malaysia ke Wazir-e-Azam ka Pakistan aana,
11:27aur Saudia, UAE, aur baaki hamare Khaliji mamalik,
11:32Kuwait, Oman, Bahrain,
11:34aur Muscat aur Saudi Arab ke investors ka Pakistan me aakar
11:38investment karna,
11:40is baat ki daleel hai.
11:42Is liye,
11:44qaumon me jo utaar chadao aate hain,
11:47uski hame parwa nahi karni.
11:49Kyuki hamari parwaaz
11:51aur uska maqsad
11:53hamare saamne hai,
11:55aur ye wo aaj ka din hai.
11:57Jo ham,
11:59Karachi se lekar Gilgil-Baldistan tak,
12:02aaj poori qaum ne,
12:046 September ko
12:06manaakar,
12:07aqeedat se,
12:09hamari shuhda ki yaad me,
12:11poore din,
12:13main dekh raha hu,
12:14ke Karachi se Gilgil-Baldistan tak aur Khyber tak,
12:17poora din,
12:19har jagaon par,
12:20hamari shuhda ki yaad me,
12:23takareeb ka inekat kiya ja raha hai.
12:26Main yeh samajhta hu,
12:30ki hame,
12:33apni qaum ke in beton ko,
12:36jino ne shahadate di hain,
12:38unhe,
12:39haraj-e-tehseen pesh karna chahiye.
12:42Kyuki main yeh samajhta hu,
12:44ki unki hayaat,
12:46zameenon ki nahi,
12:48safeenon ke naam hai,
12:50jo mulk-e-baaniyon ki hifazat ke liye,
12:54samandari-taufani lehron se zyada,
12:58dushman ke dil me,
13:00apni haibat ka dar kaim kiye hua hai.
13:04Aaj,
13:05yeh masboot afwaj-e-Pakistan,
13:08ke jawan,
13:10apni haibat,
13:12aur apne dar ka,
13:14raha manway hua hai.
13:16Isi liye,
13:17dushman taqaton ke,
13:19nafrat-angez-beaniye ko,
13:23humne hamesha,
13:25mootod jawab de ke bheja hai,
13:28sewaye ek baar ke jisme,
13:30chai pila ke bheja hai.
13:38Aaj ke din,
13:40in maaon ko bhi main salaam pesh karna chahata hu,
13:44jo qaum ki hifazat ke liye,
13:47apne bachon ki shahadatein,
13:51aur unko us shahadat ke safar par,
13:55khushi-khushi rawana kirti hai.
13:58Itna bada dil kisi maa ka nahi hai.
14:01Kal mujhe,
14:03documentary dikhayi,
14:05hamare Zuheir Naseer bhai ne,
14:08jo ke Badar Expo ke,
14:10honor hai,
14:12ruh-e-rawa hai,
14:14mujhe nazar abhi aa nahi rahe,
14:16Zuheir bhai kaha hai,
14:18aaj ye jo stage,
14:20jo ke paanch din ki mehnaz se tayyaar kiya gaya hai,
14:24raat din,
14:26subah paanch-paanch baje tak,
14:30Zuheir bhai aur main,
14:32yahan baithe hua the,
14:34aur hum ek doosre se poosh rahe the,
14:37ke is stage ko banane ki khaas waja kya hai,
14:41toh mujhe Zuheir bhai ne kaha,
14:44ki bahot stage banaye hai,
14:47aur aapne bhi bahot banwaye hai,
14:49lekin is stage ko banane me jasba hai,
14:53kyunki ye,
14:55un shaheedon ki families ko kharaje tehseen pesh karne ke liye banwaya gaya hai,
15:01isse hum ne,
15:03gold foil, gold plated,
15:08jo aap arches dekh rahe hain,
15:10iske darmiyan me lagwayi,
15:13ye plain white paint se bhi ho sakta tha,
15:17lekin hum ne gold foil lagwa ke,
15:19gold plated karke,
15:21ye peghaam diya hai,
15:23dushman taqaton ko,
15:25ki hum apne shaheedon ko,
15:27is tarah kharaje tehseen pesh karte hai,
15:29jo bhi kadam aur ikdaam uthao,
15:32toh samajh kar uthana,
15:34yaha aise maaye baithi hain,
15:37aaj sobha jab main Malir Cantt mein,
15:42chahuda ki yaadgaar par phool chadha raha tha,
15:47mujhe core commander sahab ne bataya,
15:51ki main aapko ek aise maa se bhi milata hoon,
15:53aur is jaisi bahot saari maaye hain,
15:57jab maine uss maa se khitab kiya, baat ki,
16:00toh usne kaha ki mera ek beta shaheed ho gaya hai,
16:04aur jis unit mein wo beta shaheed hua,
16:08maine apna doosra beta bhi ussi unit mein barti kiya hai,
16:12ussi unit mein kaam kar raha hai,
16:14apne mulk ki khidmat kar raha hai,
16:18toh maine jab unko salaam pesh kiya,
16:20toh unhone kaha beta,
16:23agar doosra beta bhi shaheed ho gaya,
16:26toh mera teesra beta bhi hai,
16:28mere teen bete hai,
16:30aur wo is vatan par kurbaan hai,
16:34toh main un dushman takaton ko yeh batana chahata hoon,
16:37ki maili aankh na uthana,
16:41is vatan mein aisi maaon ne apne sapoot
16:44peyda kiye hain,
16:46jo ek ke baad ek hi ghar mein,
16:49teen teen shahadatein dene ke liye tayyaar hai,
16:54toh,
16:55soch samajh ke,
16:58main apni shahadon par,
17:01maujood sipahiyon ko bhi aaj salaam pesh karna chahata,
17:07ki wo apne ghar ke aaraam ko chhod kar,
17:12chal chalati dhoob,
17:15kathan raston,
17:18aisi aisi postings par,
17:21jahan aap aur main,
17:23ek din, ek ghanta,
17:26tassabur nahi kar sakte,
17:29khade hone ka,
17:31mahino,
17:33wo sipahi,
17:34aapki aur meri,
17:36aur mere bachon ki,
17:38aur aapke bachon ki salaamti ke liye,
17:42waha khada hokar,
17:43naukri kar raha hai,
17:46chahe wo shaheed ho raha hai,
17:47ya ghazi hai,
17:48lekin salaam hai us sipahi ko,
17:51jo,
17:55apne ghar ko,
17:56apne bachon ko chhod kar,
18:00hamare liye,
18:02apni zindagi ko waf karke baitha hai,
18:06main us maa ko bhi salaam karna chahata hoon,
18:10jab maine documentary,
18:11kal mujhe zuhair naseer bhai ne dikhayi,
18:14mujhe nahi pata abhi wo chalayenge isko,
18:16main chahunga ke chalayen,
18:18usme ek maa,
18:19rote hua keh rahi thi,
18:21apne shaheed bete ko,
18:23ke mere khaab mein aake mujhe keh do,
18:25ke chup ho jaye,
18:27rona chhod do,
18:28to main chhod doongi,
18:30warna main,
18:31saari zindagi uske liye,
18:33aansu bahati rahungi,
18:34aur isse yaad karti rahungi,
18:37wo maa,
18:38jo khaab mein intizaar kar rahi hai,
18:41apne us shaheed bete ka,
18:44ke wo aake usse chup kara de,
18:47ek aur maa yeh keh rahi hai,
18:50ke har waqt main chhat ki taraf dekhti hoon,
18:53ki wo wahi se mujhe awaaz diya karta tha,
18:57aaj tak mere kaano mein wo awaaz gonch rahi hai,
19:03yeh wo maa hai,
19:05aaj main ek,
19:07teen saal ke bacche se bhi mila,
19:10aaj main us bacche se bhi mila,
19:12jo apne baap ki shahadat ke,
19:14shahadat ke,
19:15chhe mahine baad peyda hua hai,
19:18main us teen saal ke bacche se bhi mila,
19:22jisne apne baap ko bada hote nahi dekh ra,
19:27uski bewa,
19:29aansu bha rahi hai,
19:32aur main aaj us maa se bhi mila,
19:34jisne unnis so payseht mein apna shohar,
19:38shaheed karwaya,
19:39aur aaj din tak,
19:41doosri dubara shahadi nahi,
19:44aaj hi main soba in sab mao aur behno se mil kar aaya hai,
19:48isliye main kehta hu ke aaj ka yeh program,
19:52bahot apsurda dil ke saad,
19:54main kar raha hu,
19:56yeh khushi ka time nahi hai,
19:58lekin khudara,
20:00aur khuda ke waste,
20:01main apne un,
20:03bhaiyon se bhi mukhatib hona chahata hu,
20:06jo bairuni taqat ke,
20:09nafrat anges,
20:11beaniye ko jo wo bech rahe hai,
20:13is mulk ke naujawano ko,
20:15aur wo kuch kharidaar bhi hai,
20:17is mulk mein,
20:19jo khareed lete hai,
20:21aur masoom,
20:22naujawan,
20:23bhai,
20:24behno aur beto ko,
20:25is Pakistan ke liye,
20:27is afwaje Pakistan ke liye,
20:29aur hamari establishment ke liye,
20:31nafrat anges beaniya,
20:33social media pe daalte hai,
20:35jo daalne se pehle,
20:37khudara,
20:38kisi ek shaheed ki family se jaa ke mil lo,
20:41mera yeh maana hai,
20:43ke saari zindagi,
20:45apni afwaje Pakistan ko salam pesh karte rahoge,
20:49iska karz hum nahi utaar sakte,
20:52yeh karz hum nahi utaar sakte,
20:55humein maan lena chahiye,
20:57baaki toh sab baate hai,
20:59koi isko qayal karta hai,
21:01koi usko qayal karta hai,
21:03baatein sabhi kar lete hai,
21:05koi kahega ki yeh siyasat mein na aaye,
21:07koi kahega yeh kaarobar mein na aaye,
21:09yeh sab beaniya,
21:11pehda kiya hua hai,
21:13banaya hua hai,
21:15aaj mazboot afwaje Pakistan,
21:17aaj mazboot air force,
21:19aur mazboot pak navy,
21:23jiski wajah se,
21:25aur sirf uski wajah se,
21:31aaj humari saradon ki hifazat kar rahe hain,
21:35aur hum ek tweet kar dete hain,
21:37hum ek social media pe
21:39post daal dete hain,
21:41bagayr soche aur samje,
21:43khudara, is baat se toba karein,
21:45is beaniya se peeche hatein,
21:47yeh kaise mumkin hai,
21:49jo maa apni aulad ko,
21:51tumhari aulad ki wajah se,
21:53kurbaan kar rahi hai,
21:55tumhari bachon ke mustakbil ki wajah se,
21:57apne bete ko shaheed karne,
21:59jaan kar,
22:01pata hone ke bawajood,
22:03bhej rahi hai,
22:05is vatan pe kurbaan kar rahi hai,
22:07hum kaise pakistani hai,
22:09jo apni un shaheedon ki
22:11families ka dil dukha rahe hain,
22:13wo kaunse log the,
22:15jino ne 9 mai ko,
22:17apne shaheedon ki
22:19yaadgaaron ko jalaya,
22:21aur giraya,
22:23wo humme se nahi hai,
22:25hume to apne shaheedon ko
22:27salaam karna chahiye,
22:29haan yeh aur baat hai,
22:31ke hum yeh nahi kar rahe,
22:33mujhe bhi bahot saare log kahte hain,
22:35lekin mera yeh maana hai,
22:37aur mera yeh yaqeen,
22:39aur yeh mera aitmaad hai,
22:41apni is afwaje Pakistan par,
22:43humari forces par,
22:45ke wo apni jaano ka
22:47nazrana deti hain,
22:49haliya Balochistan waqia
22:51aapke saamne hai,
22:53kya yeh taasur nahi diya gaya,
22:55ke Balochon ne
22:57Punjabiyon ko maara hai,
22:59aur mera yeh kahna hai,
23:01aur maana hai,
23:03aur puri kaum ka maana hai,
23:05ke koi Baloch bhai,
23:07apne kisi Punjabi bhai ko na maarega,
23:09na maar sakta hai,
23:11kya Karachi mein,
23:13Chehlam se pehle,
23:15yeh byaaniya nahi diya gaya,
23:17ke Shia Sunni
23:19fasaat kara diya jaye,
23:21to yeh kaise ruka,
23:23yeh kaise nahi hua,
23:25isse kisne roka,
23:27isse rokne wale,
23:29wohi Afwaj-e-Pakistan
23:31ke sipahi hai,
23:33hamari establishment
23:35ke sipahi hai,
23:37jo ke iss mulk ko,
23:39uski wakaar,
23:41uski bakaar,
23:43uski izzat,
23:45uski salamati ke liye,
23:47din raat kaam karte hain,
23:49to mera yeh maana hai,
23:51aur aap sab ko yeh kahna hai,
23:53ke humein,
23:55humein karni hai,
23:57humne iss 6 September se,
23:59apne inn shaheedon ke
24:01waldein ko,
24:03tofa dena hai,
24:05Pakistan ko manazil ki taraf le jane ke liye,
24:07aur mera yeh maana hai,
24:09ke yeh hum kar sakte hain,
24:11yeh sab ho sakta hai,
24:13koi,
24:15waja nahi hai,
24:17ke Pakistan taraki na kar sake,
24:19yeh kaise mumkin hai,
24:21ke jis mulk mein,
24:23saboot hon jo shahadat de den,
24:25unke hote hue,
24:27hum taraki nahi kar sakte,
24:29yeh namumkin baat hai,
24:31aur isse hum mumkin karke dikhaenge,
24:33ke Pakistan taraki karega,
24:35Inshallah,
24:37aur hum duniya mein,
24:39apne iss kaum ka,
24:41apne iss watan ka,
24:43naam bada karenge,
24:45humne Pakistan banne se lekar,
24:47aaj tak,
24:49kitni shahadate di,
24:51kurbaniyon aur shahadaton se yeh watan hasil kiya,
24:53pir humare
24:55siyasat daano ne,
24:57main aaj,
24:59muhtarma shaheed
25:01benazir bhutto sahiba ka bhi zikr karna
25:03chahata hoon,
25:05unhone bhi Pakistan ke liye shahadat di,
25:07main yahan par,
25:09miya muhammad
25:11nawaz sharif sahab ka bhi zikr
25:13karna chahata hoon,
25:15ke unhone duniya ke dabao ke
25:17bawajood,
25:19maake karke Pakistan ka naam
25:21sar aur fakhar se buland kiya hai,
25:23main
25:25aaj,
25:27ek aise shaks ka bhi naam
25:29lena chahata hoon,
25:31jiska naam Arshad Nadeem hai,
25:33jisne
25:35Pakistan ka naam
25:37duniya mein gold medal jeet ki,
25:39roshan kiya,
25:41lekin hume
25:43in sari,
25:45apni tarakkiyon mein,
25:47humein shaheedon ko nahi
25:49bhoolna hai,
25:51yeh wo gyaara shaheed,
25:53jinhone nishane Haidar hasil kiya,
25:55aur uske baad,
25:57jo shaheedon ki line hai,
25:59un tamaam shahadaon ko,
26:01unki families ko,
26:03humne nahi bhoolna,
26:05aur yehi wo strength hai,
26:07yehi wo taqat hai,
26:09jo humein aage badhaegi,
26:11aur hum aage Inshallah taala,
26:13badhenge,
26:15humne military secretary ko,
26:17aur humare principal secretary,
26:19abdo sahab ko,
26:21yeh hidayat ki hai,
26:23ki humare Karachi ke,
26:25ek colonel kashif,
26:27jinhone shahadat di,
26:29unki family yahan maujood hai,
26:31main is governor house ke andar,
26:33colonel kashif ke naam se,
26:35us shaheed ke naam se,
26:37yaadgaar banane ka ailaan kar raha hoon,
26:39aur is governor house me,
26:41colonel kashif shaheed ke naam se,
26:43yaadgaar Inshallah taala,

Recommended