Sarmaya e Aslaf | EP 82
Topic: Imam Shams Uddin Sakhavi RA
Speaker: Mufti Ahsen Naveed Niazi
To Watch All Episodes | https://bit.ly/47jbLHu
#SarmayaeAslaf #MuftiAhsenNaveedNiazi #ARYQtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Topic: Imam Shams Uddin Sakhavi RA
Speaker: Mufti Ahsen Naveed Niazi
To Watch All Episodes | https://bit.ly/47jbLHu
#SarmayaeAslaf #MuftiAhsenNaveedNiazi #ARYQtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Bismillah r-Rahman r-Rahim, Alhamdulillahi fil ardi wa s-samaa wa s-salatu wa s-salaamu
00:24ala karamil qurama wa ala alihi wa sahbihi wa la immati wal ulama, amma baad.
00:29Muazzaz nadreen wa saameen, aaj ek murtaba phir poem sarma-e-aslaaf lekar ham aapki khidmat
00:34mein hadir hain.
00:35Aaj hamara mauzoo-e-sukhan hai muhaddese-e-muhakkiq, muarrikhe-e-mudhakkiq, imam shams-ud-deen,
00:41abu-abdillah, abu-lkhair, muhammad bin abdur-rahman, sakhavi rahimahullah, mutawaffa 902 sanah-e-hijriya
00:50aur aapki baaz talifat.
00:53Imam sakhavi rahimullah ke kya kehne hain, bade-bade imma ne aapko kharaj-e-tahseen pesh
00:57kiya hai aur aapne bada asar chhoda hai apne muasher-e-par, apne society-e-par, apne zamane-pe-bi
01:04aur apne baad aane walon-pe-bi.
01:06Bil khusus hadees aur taarikh ke meydan mein toh aapka koi saani nahi.
01:11Hadees toh aisa aapka maqam martaba hai, aisa malaka hai ke bade-bade muhaddeseen ne baad
01:17mein yeh kaha wa bihi khutima ilm-ul-jarhi-wat-taadeel, ilm-e-jarho taadeel toh in par khatm ho gaya
01:24aur jab aapka visaal hua toh aapke baad-baad imma ne kaha wa maata baad-hu fann-ul-hadees,
01:31ilm-e-hadees, fann-e-hadees toh hai uski gehraiyon aur baarikiyon hain wo aapke saath rukhsat
01:36ho gayi, ab hume aisa mahir nadar nahi aata, toh aisa lagta hai ke aapke baad fann-e-hadees
01:41bhi aapke saath hi fauth ho gaya hai, itne bade-bade imma ne aapko in alfaaz mein yaad
01:48kiya hai, aapki maharat ko tasleem kiya hai, aapki baraat ko aur aapki fauqiyat ko unhone
01:53tasleem kiya hai, baraat aayin ke saath yeh hai, wo maharat ko kehte hain, baraat hamza
01:59ke saath jo lafz hai, wo toh bezaar hone ko aur ilan-e-baraat karne ko kaha jaata hai,
02:04baraat aayin ke saath yeh kaha jaata hai maharat ko, toh aapki baraat ko, yaani aapki
02:09fann-e-maharat ko tasleem kiya hai, choti ke imma ne, jo khud asateen-e-ilm-o-fanth
02:14hai, wo aapke saamne sar-e-tasleem kham karte the, aur aapki jo hadees daani hai, aur aapki
02:20jo taarikh daani hai, iski maharat ka loha sab ne hi maana hai baad mein.
02:25Toh imam Sakhavi Rahimullah ki kya baat hai, yahan aapko yeh bhi batate chalein ki imam
02:29Shafz-ud-din Sakhavi Rahimullah par ham Sarma-e-Aslaaf ki ek episode pehle bhi kar chuki hain,
02:35toh aap yun samajh lijiye, ke wo part one tha, aur yeh uska part two hai.
02:40Toh us program mein jo guftagu ham kar chuke, aapke ahawaal bhi ham uske andar tafseel se
02:45bayan kar chuke hain, aur aapke asaat-e-zaa ka, talaam-e-zaa ka zikr bhi kar chuke hain,
02:49kayi kutub ka tazkira bhi kiya, toh liyaad ham wo baatein repeat nahin karenge, aaj
02:53ham kuch aur edhaafi baatein karenge, jo pichle episode mein nahin ki thi, aur aapki un kitabon
02:58ka taaruf kar aayenge, jo kitab mein, jinne ka zikr hamne pichle episode mein nahin kiya
03:02tha.
03:03Toh imam Sakhavi Rai Maula ki jahan tak baat hai unke ilm ki, unke fazl ki, toh imam Sakhavi
03:09Rai Maula ki kya baat, unki faqahat, unki, unka muhaddith-e-waqt hona, unka kamil muarrik
03:16hona, isko sabne tasleem kiya hai.
03:19Toh imam Shamsuddin Sakhavi Rai Maula ne asfaar bhi bhot kiya hai, chunke aapne bautse asaat-e-zaa
03:24se kasbe ilm kiya hai, bil khusus Hafiz ibn Hajar Asqalani Rai Maula ke, toh aap baut
03:29seyada saat rahe, jab tak Hafiz ibn Hajar Asqalani Rai Maula ka wisaal nahin hua, us
03:34waqt tak aapne bahar ka koi safar nahin kiya, yahan tak ke hajh bhi nahin kiya, hajh bhi
03:38unke intikaal ke baad kiya hai.
03:40Lekin jab Hafiz ibn Hajar Asqalani Rai Maula ka intikaal ho gaya, toh uske baad aapne bautse
03:45asfaar kiya hai, aapne assi se zayad shehroon ka safar kiya hai, ilm ki khaatir, bil khusus
03:51hadees ki khaatir.
03:52Toh yeh aapki jo travelling hai, jo aapki journey hai, ilm-e-hadees ki khaatir, husool-e-ilm
03:57ke liye, yeh khud apni misaal aap hai.
04:00Assi se zayad jagon ka, aapne khiton ka, aapne safar kiya hai, aur baaz jagon ke toh aapne
04:05ahwaal biyaan bhi kiya hai, jaise Makka-e-Mukarrama jab aap gaya hai, toh aapne likha Ar-Rihlat-ul-Makkiya,
04:11Halab jab gaya hai, toh aapne likha Ar-Rihlat-ul-Halabiya wa-Tarajimuha, aisi jab Sikandari aap gaya
04:16hai, toh uska aapne hawaal likha Ar-Rihlat-ul-Sikandariya ke naam se.
04:20Aisi aapne kitab tali formaayi hai, Al-Buldaniyat-ul-Aliyat, usme aapne assi un-ilaakon ka zikr kiya hai,
04:27jinme aapne safar kiya hai, hadees ki khaatir, aur unme se har ilaake ke kisi na kisi shaykh
04:33ka aapne koi, ya toh hadees zikr kiya hai, ya koi asar zikr kiya hai, ya koi qaul zikr
04:38kiya hai, ya koi shayr zikr kiya hai, apni sanat ke saath.
04:42Toh iska aapne ihtimam formaaya.
04:43Aur khud jo aapke shuyookh hain, khaali Misr mein aap kehte hain ki aapne 4-100 shuyookh
04:48se istifada kiya hai, sirf Misr ke andar.
04:51Aur overall aapne jo istifada kiya hai, toh 12-100 se zayad wo shuyookh hain, jin se aapne
04:57istifada kiya hai, jin se aapne hadees hasil kiya hain.
05:00Toh Hafiz Ghawi Rai Mualla ki, jo hume maharat-e-hadees nazar aati hai, jo aapke andar hume ilmi
05:06kamal nazar aata hai, iski back pe ek baat yeh bhi nazar aati hai, ek factor uska yeh
05:11bhi hai, ek aamil yeh bhi hai, ki aapne us waqt ke jo choti ke muhaddeseen the unse
05:15aapne istifada kiya, unse aapne hadees jamaa ki, aur badi aapne safar kiya hai, aur isi
05:20liye aapko ar-ruhla tul muhaqqik kaha jaata hai.
05:23Ruhla ka matlab hota hai, main yurhalu ilaih ki, jiski taraf safar karke jaya jaye.
05:29Toh aap waqih aise the ke doordaraaz se log aapke paas safar karke aate the, ilm haasil
05:33karne ke liye, aap se istifada karne ke liye.
05:36Toh yun aapko ar-ruhla tul muhaqqik kehte hain.
05:38Aur waise isko jaha hai woh rahaal bhi aapko kaha jaata hai, ki aap waqih rahaal the,
05:43yaani bahut zyada safar karne wale the, bahut zyada aapne safar bhi kiya hadees ke liye.
05:48Toh Imam Shamsuddin Sakhawi Rai Mualla ne jo asatiza se ilm haasil kiya hai, toh un
05:52asatiza ka bhi tak 1200 se zayad asatiza hain.
05:55Aur aapne khud fir ek jaha hai, woh kitab bhi taalib firmahi hai, jiska aapne naam rakha
06:00hain, Al-Imtinaan Beshuyuqi Muhammad bin Abdir Rahman, uska naam aapne yeh rakha hain.
06:06Ek naam uska yeh hai, aur ek doosa naam bhi aapne uska rakha tha, Bugiatur Rawi Amman
06:11Akhada Anhus Sakhawi.
06:13Yeh do naam aapne uska rakhi ho, usme aapne tazkira kiya hai, apne asatiza ka, apne mashayikh
06:18ka, apne shuyuq ka, jinse aapne mukhtalif ahadees liye hain.
06:21Iske laab aapka sabt bhi moshoor hai.
06:24Aur Hafidh ibn Yaris Qilani Rai Mualla se jo aapka taaluk tha, bada kareebi taaluk tha,
06:28aur Hafidh aapne badi shafqat karte the, aur apne talaba mein aapko sabse zyada nabi,
06:33sabse zyada samaydaar kahte the.
06:34Aur wo kahte the ke agar mujhe yeh meri bahut zyada taarif aur tausif karte hain logon ke
06:39saamne, toh isliye mai inki taarif zyada nahi karta, ki log samjhenge ki yeh inki taarif
06:44kar rahe hain, isliye yeh inki taarif kar rahe hain.
06:47Warna, yeh banda mujhe aisa lagta hai ki yeh mujhe se bhi aage badega, mere silsele ko
06:52aage leke chalega, aur mujhe se bhi aage badega.
06:55Is tarah ke ishaar-e-haafidh ibn-e-Hazrat Qilani Rai Mualla ne farmaye.
07:00Aur baaz log aapko baaki aapke baaz shagird toh aapka naam unhar rakha hua tha Ibn-e-Hajar.
07:04Baaz shagird aapko aapke asal naam ki wajah aapke ustaad Haafidh Ibn-e-Hajar Qilani Rai
07:08Mualla ke naam se yaad karte the Ibn-e-Hajar, ki yaani yeh apne ilmi kamaal mein Haafidh
07:13Ibn-e-Hajar Qilani ki tarah hain, aur isi tarah unke saamne niyaazmand bhi the.
07:17Aur jab Haafidh Ibn-e-Hajar Qilani Rai Mualla ke paas aap padh rahe the, toh ek kitab
07:22ki Imam Tabarani ki Al-Mojam-us-Sagheer, uska jo nusqa Haafidh Ibn-e-Hajar Qilani Rai
07:26Mualla ke paas tha, kayi jagon pe huroof mite hue the, toh aapne bakaida doosre shahir
07:30jo hai wo khat likke wahaan ki ek muhaddith se wo kitab sirf isliye mangwai ki is kitab
07:34se Haafidh Sakhawi ko aap padhahain. Sirf unko padhahane ke liye, ek akele talib ilm
07:38ko padhahane ke liye aapne itna ihtimam kiya. Isse Haafidh Sakhawi Rai Mualla ki azamat
07:43ka bhi padhah chalta hai. Haafidh Ibn-e-Hajar Qilani Rai Mualla ki shafqat ka bhi padhah
07:47chalta hai. Aur yeh bhi padhah chalta hai ke asadiza ko talamiza ke saath kis tarah
07:51shafqat se peshana chahiye aur unki ilmi muawawanat dil-o-jaan se karni chahiye. Aur
07:55ilm phailane mein, ilm ki tarbeej-o-ishaat mein kisi kism ke bukhl se kaam nahi lena
07:59chahiye. Toh Haafidh Sakhawi Rai Mualla ne jo kitabin taalib firmai hain. Haafidh
08:04Sakhawi Rai Mualla ki kitabin jo aapne taalib firmai hain, takreeban dhai soh se zahid
08:08kitabin aapne taalib firmai hain. Kuch kitabin chhapi hui hain, kuch kitabin taahal
08:12maqtoot hain, aur kuch kitabin mafkood hain. Kuch kitabon ka tazkira humne pichle
08:16program mein kar diya tha, aaj hum un kutub ka tazkira karte hain, jinka humne
08:20pichle program mein zikr nahi kiya tha. Toh Haafidh Shamsuddin Sakhawi Rai Mualla
08:24ki yeh kitab hume nazabat hain. Haafidh Shamsuddin Sakhawi Rai Mualla ki yeh
08:28kitab hume nazabati hain. Fathul Mughis bisharhi alfiyatul hadith ke naam se.
08:32Badi hi shandaar kitab hain. Usool-e-hadees par behtreen kitab hain.
08:36Haafidh Iraqi Rai Mualla, jo Haafidh Ibn-e-Hijar Asqalani Rai Mualla ke bhi ustaad
08:40hain, unhone ek alfiyah likha tha, alfiyatul hadith ke naam se.
08:44Hadith ke baare mein unhone usool-e-hadees beyan kiye the, ashaar ki surat mein,
08:48manzoom. Alfiyah kaha jaata hai, hadhaar ashaar par mushtamil risale ko.
08:52Alfiyah kaha jaata hai, hadhaar ashaar par mushtamil risale ko.
08:56Mushtamil risale ko. Mukhtalif funoon ke andar, mukhtalif aima
09:00ne, talaba ki ahsani ke liye, mukhtalif ashaar tarteeb diye,
09:04mukhtalif manzoome likha hain. Aur chunke wo hadhaar ashaar par
09:08mabni hote the, isliye naam rakha jaata tha alfiyah. Lekin baad mein ye
09:12istilaah hi ban gayi, manzoome ke liye alfiyah, to janein jo bhi tabeel manzooma
09:16hoga, usse alfiyah kaha jaata tha. As it is, uske andar hadhaar hi.
09:20Exact figure jo hai, ke bas hadhaar hi hon, ya ye zaroori nahin.
09:24Hadhaar se kam ashaar hon, ya hadhaar se zaheed ashaar hon, bas phir ye
09:28alam ke taur par istimaal hone laga, istilaahan jaye, wo alfiyah.
09:32Ke jo bhi tabeel manzooma hai, usko alfiyah kahe ke tabir kiya jaata tha.
09:36To mukhtalif funoon me, mukhtalif aima ne, alfiyah likhe hain.
09:40Nahaf ke andar bhi alfiyah maujood hain. Aur hadees ke andar, usool-e-hadees
09:44me bhi alfiyah maujood hain. Seerat me bhi alfiyah maujood hain.
09:48To sabse zyada jo mushoor alfiyah hua hai, hadees ke fun me, usool-e-hadees me,
09:52alfiyah likha hai. Lekin sabse zyada mushoor hua hai Hafiz Iraqi Rahimullah ka.
09:56Hafiz Ibn-e-Hijar Asqalani Rahimullah ke ustad, unka alfiyat-ul-hadees mushoor hai.
10:00Aur usalfiyah ki bohose ulamaan ne sharhain likhi hain. Khud Hafiz Iraqi ne bhi
10:04uski sharah tehrir formaayi hai. Allama Suti ne bhi tehrir formaayi. Aur bhi baaz
10:08imma ne tehrir formaayi. Aur wo bhi chhappi hai. Hafiz Shamsuddin Sakhaabi Rahimullah
10:12ne bhi us alfiyat-ul-hadees ki sharah likhi hai. Aur behtreen sharah likhi hai.
10:16Usul-e-hadees ne ka haq adaa kar diya hai. Behtreen kitab hai.
10:20Fath-ul-mugheeth bhi sharhi alfiyat-ul-hadees ki naam se. Chhappi hua hai.
10:24Humari maze ki zeenat hai. Shandaar kitab. Pher iske baada humein aapki ek kitab
10:28nazar aati hai. Al-ghaya fi sharhil hidayah fi ilm-e-riwayah. Ye bhi ek
10:32manzooma ki sharah hai. Ye manzooma likhaat Allama Muhammad Ibn-ul-Jazari Rahimullah
10:36ne. Unhone al-hidayah fi ilm-e-riwayah ke naam se usool-e-hadees par ek manzooma
10:40ki farhaaya. Uski aapne sharah tehrir farhaayi hai. Ye sharah-e-aapki
10:44Al-ghaya fi sharhil hidayah fi ilm-e-riwayah. Ye bhi apni misaal aap hai.
10:48Umda sharah-e-aapki. Aur is manzooma ki bhi sharah hai. Baaz aur aimaa ne bhi likhi
10:52hai. Lekin Hafiz Sakhaabi Rahimullah ka apna ek naam hai. Aur aapka khaas
10:56ek zauk-e-hadees ka to aapka paaya biland hai. Aur aapki sharah ka paaya bhi biland
11:00hai. Pher iske baada humein kitab nazar aati hai. Aapki durood sharif ke baare
11:04al-qaul-ul-badee fi-s-salati al-al-habeeb-e-shafie. Huzoor jaane-e-aala wa-alaihi-saat-o-salaam
11:10par durood sharif bhejne ke baare mein, durood sharif ke fadail ke baare mein, durood
11:14sharif ke awqaat ke baare mein, durood sharif ke mukhtalif ahkaam, durood sharif
11:18ke baare mein mukhtalif masail. Yani goya ke durood sharif ke baare mein ye kitab
11:22ek encyclopedia hai. Durood sharif ke baare mein jitni bhi baatein ho saktee
11:26hain, ki jaa saktee hain, jab sualaat hain, pooshe jaate hain, unke baare mein
11:30umda kaam aapne ye firmaaya hai. Behtreen kitab hain aapki ye, al-qaul-ul-badee
11:34fi-s-salati al-al-habeeb-e-shafie. Aur ye bhi mukhtalif maqtabaat ne shaay ki
11:40hai, aur mukhtalif logon ne ispar kaam bhi kiya hai. Lekin Sheikh Muhammad Awwama
11:44ki tahqiq ke saath, jo nuska iska chhapa hai maare yaad mein, wohi ye maare mez ki
11:47zeenat hai. Ye behtreen nuska hai iska, sabse umda tabaat iski ye hai, jo Sheikh
11:51Awwama ne kiya hai. Pir iske baada mein aapki ye kitab nazar aati hai, Medina-e-Munawwara
11:55ki tariqh ke baare mein, at-tuhfat-ul-lateefa fi-taarikh-il-Madinat-e-Sharifa. Ye bhi maare
12:01mez ki zeenat hai. Medina-e-Munawwara mein jo log paida hua, ya Medina-e-Munawwara mein
12:06safar karke gaye, jitne bhi mashaheer hain, jo personalities hain, jo shaksiyaat hain,
12:11unke baare mein aapne ye kitab tehrir firmaaya hai. Ye umda kitab. At-tuhfat-ul-lateefa
12:15fi-taarikh-il-Madinat-e-Sharifa ke naam se. Shaandaar. Aur ye aapne uss bagar likhi
12:19thi jab aap Medina-e-Munawwara mein tehrir hui the, Medina-e-Munawwara mein aap muqeem
12:22the, toh bahi hain aapne kitab tehrir firmaaya. Shuru aapne Seerat-e-Nabawiya se kiya hai,
12:26Sayyiduna Rasool-ul-Alaihi-Salaam se aur aapke mutalikaat ke biyaan se. Uske baad pe
12:30aapne, jo hazaraat, mashaheer, jo shaksiyaat, Medina-e-Munawwara gaye hain, unke baare mein
12:34aapne, jo Medina-e-Munawwara mein paida hua hain wo, ya jo Medina-e-Munawwara mein gaye
12:39hain, unke baare mein aapne kitab tehrir firmaaya. Umda zakhira hai, Medina-e-Munawwara
12:43ki taarikh ke waale se aur Medina-e-Munawwara mein jo log gaye hain unke hawaale se. Pira
12:47mein aapki ye kitab nazaraati hai, Al-eilaan bittawbeekh li man zammat taarikh ke naam
12:53se. Ye bhi bada aapka umda kaam hai, taarikh ke baare mein. Chunka aapka jo bunyadi meydan
12:58hai, wo pehla toh hadees hai aur doosra meydan aapka taarikh hai. Aapki zyada shurat bhi
13:03hadees mein aur uske baad taarikh mein. Toh taarikh ke waale se ye aapne umda kaam
13:08hai, Al-eilaan bittawbeekh li man zammat taarikh. Kuch maktabon hain is naam se shayay
13:12ki hai aur kuch maktabon hain shayay ki hai, Al-eilaan bittawbeekh li man zammat ahalat
13:17taarikh ke naam se. Baazne ahalat taarikh ka hai aur baazne li man zammat taarikh ki
13:21hai. Baaral dono hi naam durst hain, maana dono mein koh khaas farq nahin padta. Aur
13:25ye Hafiz Sakhaabi ka behtreen kaam hai. Shayay shudha hai, maari mez ki zeenat hai. Pira
13:30mein aapki ye kitab nazar aati hai, Ad-dawul laami' li ahalil qarnit taaseh ki naam se.
13:35Badi shandaar kitab aapki nami sadi hijri ke jo mashaheer hain unke baare mein aapne
13:40ye taarikh likhi hai. Ad-dawul laami' li ahalil qarnit taaseh. Nami sadi hijri ke baare
13:45mein. Aur ye itni shandaar kitab hai, ek bade muhaddis ne kaha tha, jo khud jin ka taarikh
13:50mein bhi apna paaya baland hai. Unhone kaha tha, ki agar Hafiz Sakhaabi Ra'i Maula ki
13:54aur koi kitab na hoti sewa is ek kitab Ad-dawul laami' ke. Lakaana aazama daleel ala imaamati.
14:00To bhi ye unki imaamat par unke maahir hone par sabse badi daleel yehi kitab hoti. Yani
14:05ye itni shandaar kitab hai, itni umda kitab wo aapne taali farmahi hai. Nami sadi hijri
14:10ke mashaheer ke ahwaal jaanne ke liye behtreen kitab hai. Ad-dawul laami' li ahalil qarnit
14:16taaseh. Pira iske bade mein aapki ye kitab nazar aati hai, Irshadul ghawi bal isaadul
14:21taalib wal raawi lil ilaam bhi tarjmatin Sakhaabi ke naam se. Ye aapki autobiography
14:26hai, khud navisht hai. Baal log ghalat taur par khud nosht kehte rehte hain, baaz kehte
14:30hain noshta e deewaar, to durst labd hota hai navisht. Aur isi se hai navishta e deewaar.
14:35Khud navisht ka matlab hota hai khud likhna. Autobiography, jisse English mein kaha jaate
14:40hai. To aapne khud apne sawane hayat beyan ki hai. Kuch ahwaala aapne apne Ad-dawul
14:45laami' ke andar beyan ki hai. Kuch ahwaala aapne apne Ad-tuhfatul lateefa mein beyan
14:49ki hai. Kuch ahwaala aapne Al-jawahir wa'l-durar fi tarjmati Shaikh-e-Islam ibn-e-Hajar jo
14:54aapne apne ustaad ke baare mein kitab likhi thi. Unke shagirdon ka jaha dekar ki hai,
14:57wahan bhi apne kuch ahwaala beyan ki hai. Aur ye poori kitab aapne apne sawane hayat
15:02par khud likhi hai. Irshadul ghawi bal isaadul taalib wal raawi lil ilaami bhi tarjmatin
15:08Sakhaabi ke naam se. Shandaar kitab hai. Pehle chhapi hui nahi thi, abhi ye chhap gayi
15:12hai. Humari maze ki zeenat hai. Umda kitab hai ismein. Bade aapne ilmi nukaat beyan
15:17firmai hain. Phir iske baad humein aapki ye kitab nazraati hai. Juz-u-tahreer-il-jawab
15:21an-mas'alati darb-e-dawab ki naam se. Jaanwaron pe zulm se mana karna, jaanwaron
15:27ko zad-o-kob nahi karna, jaanwaron ko nahi marna chahiye. Aur agar jaanwaron ko kisi
15:32ne taadeeb ki, toh kitni taadeeb kar sakte hain. Kis had tak ijaad hai aur kis had tak
15:37ijaad nahi hai. Is hawaale se hi aapne ek sawal ka jawab taalib firmai hai tha. Aur
15:42isko aapne dalayal ke saath mudayyan firmai hain. Bada umda hai. Juz-u-tahreer-il-jawab
15:46an-mas'alati darb-e-dawab. Jaanwaron ko marne ke hawaale se jo sawal pucha gaya uske
15:52baar mein aapne jawab diya. Aur apne mauzoo par ye bhi ye achi kitab hai. Phir humein
15:56aapki ye kitab nazraati hai. Badi umda kitab hai. Ek niraale wo chhute mauzoo par hai.
16:00Aap se ek sawal pucha gaya. Kitab ka naam hai. Al-jawab anilladhi indabata allatakun
16:04hulwan fatustarata. Asal mein ye ek Arabi ki kahawat mashoor hai. Latakun hulwan fatustarata
16:10wala murwan fatu'a kiya. Ki na to itne meethe bano ke nigal liye jao. Aur na itne kadve
16:16bano ke thook diye jao. Humare hain bhi mashoor hai makhoole ke taur par. Aap se isko baar
16:21mein sawal pucha gaya ki ye hadees hai ya kahawat hai. To aapne iske baar mein phir ye risala
16:26talif firmai. Aur aapne isme ye tehqeek pesh firmai ki ye hadees nahi hai. Ye kahawat
16:31hai. Lekin phir aapne is kahawat ka durst hona biyaan kiya. Ki ye kahawat apni jagah
16:35bilkul durst hai. Aapne phir ayaat pesh kiye, ahadees pesh kiye, qawal-e-ahemmah pesh
16:40kiye, aasaar pesh kiye. Aur bataya ki itidal ki kitni ahamiyat hai. Aur ifrat-ut-tafreet
16:45dono ghalat hai. Ghuloo se bachne ka hukam hai. Aur itidal ke baare mein kya kya ahkaam
16:50humare deen ke andar hai. To bada hi umda aur nirala hai. Aur uchoot hai. Aur humare
16:54mawasheri ko bhi iski bohot zyada zarurat hai. Is hawale se kitab laike mutala hai.
16:58Umda kitab hai. Aljawab anilladhi indabata allatakun hulwan fatustarata. Phir iske waada
17:04mein aapki yeh kitab nazarati hai. Al ajawabatul murdiya fee ma suila sakhavi anhu minal ahadees-e-nabawiya
17:10ke naam se. Is kitab mein aapne wo jo aapse sualaat puche gaye mukhtalif ahadees ke baare
17:16mein. Un ke baare mein aapne jawab diye hain teen juldon mein. Humari mez ki zinat hai.
17:20Badi shandaar kitab hai. Isko ek tarah se fatawa-e-hadeesiya bhi kaha jaa sakta hai.
17:24Ki hadees se mutalik ek bade muhaddis ke fatawa. Phir iske waada mein aapki yeh kitab nazarati
17:29hai. Aur is kitab ka wo naam hai Al mutakallimoon phir rijaal. Nuqaad muhaddeseen ke baare mein
17:36aapne kalam firmaaya 210 nuqaad muhaddeseen ka bataya, critics ka bataya jo hadees ke
17:41choti ke nuqaat the, critics the, jar-o-taadil ke mahir-e-fan jo ahimma the. Un ke baare
17:47mein Al mutakallimoon phir rijaal. Bunaadi taur par yeh fasal wo aapki Fatul Mughis
17:52ke andar hai. Fatul Mughis se wahan se aur Al ilan bith taubikh. In do kitabon mein aapne
17:58ek fasal qaim firmaayi thi. Usi ko alag se risaale ki surat dekhe isko shaay kiya gaya
18:02hai. Shaikh Abdul Fattah Abu Ghuddah ne apni tahqiq kisa shaay kiya hai. Arba-u-rasail
18:06fi-ulumil hadees ke naam se. Bada hi umda kaam hai aapka. Phir iske waada mein jo hai
18:10wo aapke kuch khatm nazarati hai. Khatm ek istila hai. Khatm ki jama khutum bhi aati
18:15hai, khutam bhi aati hai. Ke koi bada muhaddis ya koi bada fakir, koi bada aalim koi kitab
18:20kisi ko padhata tha. Uska dars deta tha. Kitab jab khatm hoti thi toh ek majlis qaim
18:25ki jaati thi. Aur us majlis ke andar bade bade log aate the sharik hote the. Toh wahaan
18:29par usme phir wo muhaddis ya wo fakir ya wo imam jo hai. Wo ilmi nukaat aur fawait
18:35biyaan kiya karta tha. Lateef nukaat biyaan hote the uske baare mein. Kitab ke manhaj
18:39ke baare mein. Kitab musannef ke ahwal ke baare mein. Usse kaha jata tha istilaam-e-khatm.
18:44Ziaatar muhaddisin ne yeh kaam kiya hai. Toh Hafiz Shamsuddin Sikhawi Rai Maula ne
18:48takreeban tera khatm likhiyein mukhtalif kitabon ki hadees aur seerat ki milaakar. Toh jo
18:53kutub-e-sitta in sab pe bhi aapne khatm likhiyein. Jo kutub-e-sitta ke jo khatm hain unka zikr
18:57mein ikhtisaran kar deta hun. Aapne Sai Bukhari ke baare mein jo khatm likhiyein wo hai
19:01umdatul qari wa saame fi khatm-e-sahih-il-jaame ke naam se. Phir Sai Muslim ke baare mein
19:05aapne khatm likhiyein guniyat-ul-muhtaj fi khatm-e-sahih-e-muslim-ibn-il-hajjaj ke naam
19:10se. Phir Sunan-e-Abi Dawood ke baare mein khatm likhiyein bazul-ul-mujood fi khatm-e-sunan-e-Abi
19:13Dawood ke naam se. Nasai ke baare mein do khatm hain. Ek khatm hain aapka al-qaul-ul-muhtabar
19:18fi khatm-e-nasaih-e-riwayat-e-ibn-il-ahmar. Doosra hain bugiyat-ul-raagib-ul-mutamanni
19:22fi khatm-e-nasaih-e-riwayat-e-ibn-il-sunni ke naam se. Yeh chaar kitabon ke khatm chhapa
19:26matboon hain. Aur Trimzi ke baare mein jo khatm hain aapne likha hain. Al-lafz-ul-naaf-e-fi
19:30khatmi kitab-e-Trimzi al-jaami ke naam se. Wo makhtoot hain. Taahaal matboon hain. Chhapa
19:34nahin hain. Lekin uska makhtoota maujood hain. Daar-ul-kutub-il-misriya mein. Sunan-e-Ibn-e-Majah
19:37ke baare mein jo aapne khatm likha hain. Ujaalat-ul-darura wal-hajjaj. Inda khatm-e-Sunan-e-Ibn-e-Majah.
19:41Uske baare mein koi mustanad maalumat muyassar nahin hain. Wo taahaal mafkood hain. Missing
19:46hain. Lost hain. Allah Tawba wa Ta'ala Hafiz Shamsuddin Sikhawi Rahimullah ke darajat ko
19:50aur baland formaaye. Humme aapke fooz-o-barakaat se hazza-wa-afirata formaaye. Wa aakhir-u-daab
19:55aana. Al-hamdu lillahi Rabb-il-alameen.
20:11Al-hamdu lillahi Rabb-il-alameen.