Deen e Fitrat | Speaker: Shaykh Mufti Tauqeer
Topic: Shaadi Aur Nikah
#DeeneFitrat #ShaykhMuftiTauqeer #ARYQtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Topic: Shaadi Aur Nikah
#DeeneFitrat #ShaykhMuftiTauqeer #ARYQtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00 As-salamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
00:07 Alhamdulillah wa kafa wa salamu ala ibadihi allatheena astafa amma ba'in.
00:14 Fa'udhu billahi minash shaitanir rajim.
00:17 Bismillahir rahmanir rahim.
00:19 Wa min ayatihi ankhalaqa lakum min anfusikum azbaajan li taskunu ilayha.
00:25 Wa ja'ala baynakum ma waddatum wa rahma.
00:30 Inna fi dhalika la ayaatin li qawmi yatafakkaroon.
00:34 Subhana rabbika rabbil 'izzati 'amma yasifoon.
00:38 Wa salamun 'ala al-mursaleena wa alhamdulillahi rabbil 'alameen.
00:42 Allahumma salli 'ala Sayyidina wa Nabiyina Muhammad wa 'ala aali Sayyidina Muhammad wa barik wa salim.
00:47 Aaj ki is episode mein ek bahut ehem mauzoo pe, ek bahut ehem topic pe main baat karna chahunga.
00:55 Aur wo hai shaadi se mutaalik.
00:59 Nikah, shaadi, ek insani zarurat hai.
01:04 Ek basic human instinct hai, ek basic human need hai.
01:09 Allah ta'ala ne insaan ko aise banaya hai ki jab wo balig hota hai, jab wo bada hota hai.
01:16 To iske andar ek zarurat mehsoos hoti hai ki uska ek partner ho.
01:22 Mard ke liye aurat, aurat ke liye mard.
01:25 Aur na sirf ki wo uski jo bunyadi zarurat hai, usko poora karne ke liye.
01:31 Balke iske saath saath ek saathi, ek zindagi ka saathi, ek dost, ek muhabbat karne wala shaks.
01:40 Jiske saath wo apni zindagi ki oonch neech share kar sake, apni khushiyan share kar sake, apni gham share kar sake.
01:47 Jog ek zindagi ka saath laga ho hai.
01:49 Ye shaadi ki basic requirements, basic zaruriyaat, basic needs hai.
01:54 Ye hamare maushray ka bahut bada issue hai.
01:58 Hum log jab chote the bilkul, to us waqt bhi ye issue hamare maushray me highlight kiya jaata tha.
02:06 TV's par is tarah ki serials dikhaya jaata the jiske andar is issue ko highlight kiya jaata tha.
02:12 Iska matlab hai ki us waqt me bhi ye issue utna hi bada tha jitna ke aaj hai.
02:19 Lekin bad kismati se itne saal guzar gaye, lekin is issue ko kisi ne solve karne ki koshish nahi ki.
02:25 Is issue ko solve karne ki zarurat hai, hamare maushray me shaadi ek burden ban chuka hai.
02:31 Shaadi ek bahut bada event ban chuka hai.
02:34 Shaadi ke liye saalon tayari ki jaati hai, balke kabhi kabhi toh aisa bhi hota hai ki abhi bachi ki pehdaish hoti hai
02:42 aur uske waleden uske shaadi ke baare me fikar karna shuru kar dete hai.
02:46 Aur uski wajah hamare maushray me jis tarah ki shaadiya hoti hai, wo hai.
02:52 Nabi Karim A.S. ne farhaya ki khairun nikahi aisa roohu.
02:58 Sunan Nabi Dawood ki riwayat hai ki sabse betreen nikah wo hai jo sabse aasaan ho.
03:05 Nikah ke andar aasaani barkat pehda karte hai.
03:10 Aur barkat wo aisa concept hai, jo ke bad kismati se ham log bhool chuke hain ki yeh kya concept hai.
03:18 Barkat ek aisi cheez hoti hai, jo agar kisi cheez ke andar aa jaye toh wo dilon me sukoon pehda karte hai sabse pehle.
03:26 Aur doosra, insaan ke paas resources kam bhi ho lekin uski zaruriyaat puri ho jati hai barkat se.
03:33 Kai dafa, insaan ke paas maal toh baut hota hai, dekin maal ke andar barkat nahi hoti hai.
03:39 Aur jab maal ke andar barkat nahi hoti hai toh uski wajah se yeh shaks maaldaan hone ke baawajoot dil ki bechehni ka shikar hota hai.
03:46 Uske dil me sukoon nahi hota hai, wo har waqt parishan phirta hai.
03:50 Bade ghar hain, ghaaniya hain, kaam karne wale log hain, bade businesses hain.
03:55 Lekin, dil me sukoon nahi hain.
03:57 Aur uski wajah, ek wajah yeh hoti hai ke peh barkat hi hai.
04:01 Toh barkat aise cheez hai jis ko Allah ta'ala se maangna bhi chahiye.
04:06 Aur har wo avenue dhoondne ki koshish karni chahiye jis se barkatin aaye.
04:11 Aur shadi mein barkat, Rabi Karim A.S.F. formaaya jo maine abhi hadith-e-mubarak ka maine aapko quote ki,
04:18 ke shadi ke andar barkat uski aasani ke saath aati hai.
04:23 Jis ke andar koi financial burden na ho, aasan sa nikah ho.
04:28 Hamare deen ke andar nikah, do mard gawaahon, do baalig mardon ki maujoodgi mein, unki gawahi ke saath ijaab aur kabool ka naam hai.
04:39 Yeh nikah hai.
04:41 Radki ka wali ho, jo ladki se ijaazat le, aur ladka ho, aur do gawaahon. Un do gawaahon ki maujoodgi mein,
04:55 agar ijaab kabool ho jaye, radki ka wali aur ladke ke darmiyan, toh isko nikah kehte hai.
05:02 As simple as that.
05:03 Kitna aasan hai hamare maushree ke andar nikah karna.
05:06 Lekin jaise maine kaha ke itna bada ek burden bana liya gaya hai, itne issues create kar liya gaya hai,
05:14 ek nikah karne par crore rupay serve kiya jaate hain, bade bade functions hota hai,
05:22 balki ek function nahi hota hai, kai kai functions hota hai, 6, 6, 7, 7, 8, 8, 9 functions hota hai,
05:28 paisa paani ki tarah bahaya jaata hai.
05:31 Kuch log kahte hain ki jee humaar paas baad maal hai, toh hum kyu na karein.
05:36 Dekhe sabse pehli baat, toh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne agar betreen nikah ki definition aasaan nikah banaya hai,
05:45 toh humein Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki baat maan ni chahiyein, number 1.
05:50 Number 2, ki agar kisi ke paas maal hai bhi toh, toh wo maal bahut jagah pe kharch ho sakta hai, bahut saar masarif ho sakte hain.
05:59 Agar koi ye argument de ke nahi humein yahaan pe kharch karne ke baawajood, hum baot saare masarif, achche masarif pe kharch karte hain,
06:07 toh iska jawab ye hai ke dekhe, agar har banda isi tarah ki shadi karega, jaise ki humare maushale mein ho rahi hain,
06:15 kai kai functions, baot saara paisa, toh ek norm set ho jayega.
06:20 Aur wo log, jinn ke paas maal nahi hai, aur badkismati se unke andar wo jazba bhi nahi hai, wo himmat bhi nahi hai, wo taakat bhi nahi hai,
06:30 jiski base ki upar wo apne usoolon pe khade ho jayein, wo kehen ki theek hai mer paas maal nahi hai toh nahi hai,
06:37 aur main baot simplicity ke saath nikah karna chahata hoon, aise baot kam log hote hain.
06:44 Ek aisa peer pressure create kar diya jata hai, ke har banda itne itne functions kar raha hai, har banda itne zyada maal kharch kar raha hai shadion pe,
06:53 toh unko hota hai, ke shayad shadi aise hi hoi nahi sakti, agar humne aise shadi na ki, toh log kya kahenge?
06:59 Unke andar itni strength nahi hai, ke log jo kehte rahein, kehte rahein humein aise hi kya barwa, humein paas nahi hai maal toh nahi hai maal,
07:07 unke andar itni taakat nahi hai, itni himmat nahi hai.
07:10 Toh wo peer pressure mein aakar, chahate hain ke humare bhi aise functions ho,
07:17 taake log kahen ke dekho isne bhi kitni achi shadi ki, aur iske liye phir wo karze lete hain,
07:24 wo ek financial burden mein aajaate hain, wo ek financial crisis mein chale jaate hain,
07:29 wo ek shadi karne ki wajah se, shayad baot saalon ke liye, agar saari zindagi ke liye nahi,
07:35 toh baot saalon ke liye parishani mein chale jaate hain, phir wo ek ek paisa jod kar kisi tariqe se wo karze wapas karte hain,
07:43 aur hairat ki baat yeh hai, ke jitne naraz hona hota, wo bhi bhi naraz hota hai.
07:49 Logo ko toh ab kabhi bhi khush nahi kar sakte hain, kisi na kisi ne, koi na koi comment de dena hai,
07:54 toh wo comments bhi lete hain, criticism bhi lete hain, apne aapko musibat mein bhi daalte hain,
08:00 lekin agar hamare maushre ke andar ye cheez aam ho jaye, ke hum saari shadiya aasaan kar de,
08:08 hum eejab, kabool, offer, acceptance, kuch logon ki maujood ki ke andar,
08:13 ek bauti simple event ke andar, ek simple environment ke andar kar le,
08:18 toh har shaks ko hoga ke dekho shadiya toh aise hoti hain, har bande ke liye shadi karna aasaan ho jayega,
08:25 hum baut logon ke liye aasaani peyda kar denge, khas toh pe un logon ke liye, jaise mein ars kiya,
08:31 ke jin ke andar internal strength itni nahi hai, andar itni daakat nahi hai,
08:36 ke wo kisi ki parwaan na karte hue, apni financial limitations ko dekhte hue nikah karein.
08:45 Hum kitna aasaan kar denge, kitni bachiyon ki shadiya hamari wajah se ho jayenge,
08:51 ke agar hum apni shadiyon ko aasaan kar den. Log kahenge dekho inke paas maal tha,
08:56 lekin kitni simplicity ke saar shadi ki hai, toh iska madla bhi simplicity ke saar shadi ho sakti hai,
09:01 ek trend set karne ki baat hai. Agar hum trend setters ho jayenge,
09:06 hadees-e-mubarakah ki roshni mein, jo banda kisi bhi nek kaam ko,
09:11 achhe kaam ka trend set karta hai, uski iptaza karta hai, usko shuru karta hai,
09:16 uski dekha dekhi, jitne bhi log wo achha kaam karte hai,
09:21 is bande ko, is trend setter ko, har us shaks ki neki ka sawab bhi pohoshta hai,
09:26 jo kisi ki dekha dekhi kaam karenge. Aur ulta bhi hota hai,
09:30 agar kisi shaks ne koi bura trend set kar diya, aur logon ne iski dekha dekhi,
09:36 wo bura kaam karna shuru kar diya, toh wo saare logon ki burai ka jo azab hai,
09:44 ya guna hai, wo is shaks ko bhi pohoshta hai, jo ke trend set karta hai.
09:48 Main hadees ka mafoom biyaag kar rahe hoon.
09:50 Toh agar hum achha trend set kar denge, logon ke liye aasaniya paida kar denge,
09:54 toh sab logon ki aasaniyo ka ajar hume bhi milega.
09:59 Is cheez karne ki hai, is ki zarurat hai, hume chahiye ki hum is trend ko set karein.
10:07 Hume chahiye ki hum apni shadiyon ke andar aasaniya paida karein.
10:12 Logon ke liye khair sochhein, logon ka bhala sochhein, make sure karein ki humaari
10:19 bahut limited functions hoon, balke ideally toh yeh hai ki,
10:24 jaise maine arz kiya ki bahut simple sa nikah hoon, aur uske baad ek waleema hoon.
10:29 Aur waleema bhi har banda apni jeb dekh kar karein, koi banda kisi ke pressure mein na aaye,
10:36 waleema mein logon ko khana khilana sunnat hai, uske andar koi limitation nahi hai,
10:41 usme koi shak nahi hai ki agar aapke paas paisa hai, aur aapke rishtedar bhi zyada hai,
10:48 dost ahbab hai, toh jitne logon ko Allah ki khater aap khana khilayenge, toh uske ajar milega.
10:53 Isme koi shak nahi hai ki khana khilana logon ko waleema mein, iska ajar milta hai.
10:59 Lekin please show off ke liye mat keejiye.
11:02 Isliye mat keejiye ke log dekhenge, oh mera kitna shahaddar waleema tha,
11:06 kitne log tha, kitne bade hall ke andar maine khana khilaya, kitne bade hotel ke andar khana khilaya,
11:12 kitne bade restaurant ke andar khana khilaya.
11:14 Please, logon ko dikhaway ki khater mat keejiye.
11:17 Allah ko razi karne ke liye logon ko khana khilayiye, aur uske andar agar niyat khalis hogi toh ajar milega,
11:24 lekin usme bhi bilkul show off na ho, jitni jeb hai jaise maine arz kiya,
11:30 utna insaan kharj kare, utne logon ko khana khilaye.
11:33 Inshallah ta'ala agar hum in cheezon ko aasaan karna shuru kar denge,
11:38 inshallah shadiyan aam ho jayenge.
11:40 Khas ta'ala jaise maine arz kiya, jo betiyon ke waleden hai,
11:45 unko apni betiyon ki shadi ki fikar nahi hoge.
11:48 Aur isi context main bahut aaham baat,
11:51 ye please, ye jo jahez ki burai hai, isko khatam karne ki koshish karein.
12:00 Khas ta'al pe humare nau jamaal ladke, jo wo shadi karein,
12:04 to make sure karein, ke jis ladki se wo shadi karein, usse jahez ka mutalpa na karein.
12:09 Make sure karein, ke wo jahez na lekar aayein.
12:12 Agar uske waleden kuch dena bhi chahein, toh bahut pyaar, mohabbat se,
12:17 unse keh de ke wo bachi, apni zarurat ka saamaan, jo apne zaati kapde hain,
12:23 zaati uska saamaan hai, zaati uska zewar hai, wo zarur lekar aayein.
12:27 Lekin please, iske ilawa kuch na lekar aayein.
12:30 Ladka kahe ki ye meri zimmedaari hai,
12:32 ke main is ladki ki saari zaruriyat poori karoong, ghar mein jis cheez ki zarurat hai, wo main poori karoong.
12:39 Agar humare nau jawaal bachche, jinn ke andar bahut himmat hai, aur bahut ghairat hai,
12:44 aur bahut Allah ki taraf se unke andar morals hai, mashallah, aaj kal ke nau jawaal bachchon ke andar.
12:51 Agar wo is cheez ko bhi make sure karenge, ke wo jahez na le, toh Inshallah ta'ala,
12:58 jo ladki ke wale dain hai, unke aapar koi burden nahi padega.
13:02 Aur wo jo bachi ke pyaada hota hi, wale dain ke sar mein, ek concern shuru ho jata hai.
13:08 Unko ek worry shuru ho jati hai, ek soch shuru ho jati hai,
13:12 ke acha bachi ki shaadi karni hai, aaj ke 20 saal baad, 22 saal baad,
13:17 aur doosri beti pyaada ho jaye, teesri beti pyaada ho jaye, toh wo wale bichara itna depressed ho jata hai.
13:23 Aur uski wajah ye nahi hai, ke beti khudana khasta usko boori lag rahi hai.
13:28 Usko un bachiyon ke future ki fikar hai, ke unki shaadi kaise karunga.
13:33 Isliye, kyunki shaadi ek itna mushkil amal bana diya gaya hai.
13:37 Toh Inshallah ta'ala, agar hum log in sab principles ke upar amal karenge,
13:41 hum sochenge logon ke baare mein, hum jahez ki is burai ko khatam karenge,
13:46 shaadiyon ka asaan banayenge, uske andar apni resources ko soch samajh ke istimal karenge,
13:55 ek trend set karenge, Inshallah wa'l-aziz mujhe umeed hai Allah se,
14:00 ke bahut khair phailegi, bahut khair phailegi.
14:03 Dekhiye jahan pe shaadi aam ho jati hai, wahan pe fahashi kam ho jati hai.
14:11 Aur jahan shaadi ka rewaj kam ho jati hai, shaadiyon mushkil ban jati hai,
14:17 wahan pe immodesty, fahashi aam ho jati hai.
14:21 Aur fahashi, immodesty ek aisi burai hai, jiski wajah se Allah ta'ala ki naraz ki aati hai.
14:27 Azab aata hai, Allah ta'ala hum sab ko mehfooz rakhein.
14:31 Inshallah ta'ala, hum aapke sawaal lenge break ke baad, ek choti se break letein,
14:38 aapne sawaalat email bhi kar sakte hain, deenefitrat@arydigital.tv par.
14:43 Assalamu alaikum wa rahmatullah wa barakatuhu, welcome back, break ke baad,
14:47 aapke sawaalon ke saath haazir hai, aap apne sawaalat email karte rahe sakte hain,
14:52 deenefitrat@arydigital.tv par.
14:55 Kuch sawaalat aayi hua hain, to unke jawaabat deta hu.
14:59 Ek sawaal aaya hai, ke jab azaan ho rahi ho, to uss time hum kya padh sakte hain?
15:07 Dekhe azaan ka jawab dena masnoon hai, azaan ka jawab wohi kalimat hai, jo ke azaan ke hai.
15:15 Misaal ka taur pe, Allahu Akbar, Allahu Akbar, jab mu'azzin kaye,
15:19 to uska jawab Allahu Akbar, Allahu Akbar hai.
15:22 Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar, wohi jawab hai.
15:26 Shadu Allah ilaha illa Allah ka jawab, shadu Allah ilaha illa Allah hai,
15:29 shadu anna Muhammadur Rasoolullah ka jawab, shadu anna Muhammadur Rasoolullah hai.
15:33 Sawaay iske, ke jab hayya ala sala, hayya ala fala kaha jaye,
15:39 to uska jawab, la hawla wa la quwwata illa billah hai, la hawla wa la quwwata illa billah.
15:44 To azaan ka jawab dena chahiye, aur azaan jab ho jaye,
15:50 to fir ek masnoon dua hai, Allahumma Rabba haadhi da'awati taamma wa s-sanaati al-qa'ima
15:56 aati Muhammadanil waseelata wal-fadila wa ba'athu maqamun mahmudanil lazee wa'atta.
16:02 Yeh azaan ka jawab hai aur iske bahut fazail aaye hai hadees-e-mubarakah mein,
16:08 ke Nabi Karim (AS) ne firmaaye hai, ke main is shafaat karunga.
16:12 Ya to hum intizaan karte rahein, ke mu'azzin ek kalma kahein, aur fir main uske baad jawab do.
16:21 Aur ek tariqa kaar yeh bhi ho sakta hai, ke aap saari azaan ka jawab akatha de de.
16:26 Yeh bhi mumkin hai.
16:28 Ke aapko pata hai ke yeh azaan hogi, kai dafa hote hain, kuch mu'azzin bahut der lagate hain.
16:33 Main ek dafa Turki mein tha, to Turki mein mu'azzin kamas kam 5 minute mein azaan dera tha.
16:39 Ab aap yeh to nahi karenge ke 5 minute ke liye bilkul kuch bhi na karen.
16:44 To yeh ho sakta hai, yeh bhi possible hai, ke hum saari azaan ka jawab akatha de de,
16:50 bajaye iske ke hum ek kalme ka intizaar karen.
16:53 Uske baad azaan ke baad wali dua maang kar, aur fir apne kaam kaat mein mashkool ho jaye.
16:58 Yeh kar sakte hain.
17:00 Toosa sawal ino ne kiya hai, ka farz namaz mein pehli rakat mein kaun se surat padein.
17:07 Dekhein, namaz ke andar poora Quran pada jaa sakta hai.
17:12 Quran-e-Mu'abba, Quran-e-Majeed ki koi bhi surat, koi bhi ayaat pada jaa sakti hain.
17:18 Uske andar thodi tafseel ho jati hai, lekin kamas kam teen ayaat, teen choti ayaat,
17:26 ya uske equivalent, uske barabar koi, ek badi ayat yeh hum pad sakte hain.
17:31 Aur koi surat bhi ho sakti hai, sabse choti surat surah Kausar hai,
17:35 surat-ul-ikhlas choti surat hai, surat-ul-asr choti surat hai.
17:39 Inmise koi bhi surat padee jaa sakti hai, lekin kamas kam teen choti ayaat,
17:44 ya uske barabar, uske equivalent, ek badi ayat.
17:48 For example, misaal ke taur pe, ayat-ul-kursi, ek badi ayat hai, ek hi ayat hai,
17:52 lekin wo badi hai aur teen choti ayat ke barabar hai,
17:56 toh ek sirf ayat-ul-kursi bhi pad sakte hain.
17:59 Lekin Quran bhi se kahin se bhi kuch bhi pad sakte hain.
18:03 Quran, kitab-e-hidayat bhi hai, usko pad kar, usko samajhna bhi chahiye
18:09 aur apni zindagi mein amal bhi karna chahiye.
18:12 Aur iske alawa Quran namaz mein padne ke liye bhi hai.
18:15 "Faqra omaa tayassara minal Quran"
18:17 Allah ta'ala ne farmaya, ki namaz mein aap padne, jo bhi Quran mein se aasaan ho,
18:22 toh kuch bhi padha jaa sakta hai.
18:24 Uske liye koi particular surat nahi hai,
18:26 ke pehli mein, pehli rakat mein ye surat padni hai,
18:29 aur doosri mein ye surat padni hai, aisa nahi hai.
18:32 Iske baad ek sawal hai, zakat se mutaalik kisi sahab ne sawal kiya hai,
18:37 ke kya haqeeqi bhai ki bewa ko zakat di jaa sakti hai?
18:42 Bilkul di jaa sakti hai, balke bhai ko bhi di jaa sakti hai,
18:46 bhen ko bhi di jaa sakti hai,
18:48 agar wo sahib-e-nisaab na ho,
18:51 us zakat ko dene ki tafseelat hai,
18:54 unko sahib-e-nisaab na ho,
18:57 aur sahib-e-nisaab cho hai, please aap apne local ulama se pata kar le,
19:01 kyunke nisaab, ruzana ke itibar se tabdeel hota hai.
19:05 Asal mein, 612 gram chandi,
19:09 ya takreeban 87.5 grams of gold,
19:17 takreeban 87 grams of gold,
19:19 aur 612 grams of chandi, ye nisaab hai.
19:24 Aur isme se jo kam hai, wo nisaab hai,
19:26 aur aaj kal chandi ki keemat, sonay se kam hai,
19:30 to isliye, chandi ke itibar se nisaab hota hai,
19:33 jo ke saare 612 gram, takreeban 612.5 grams silver, ye nisaab hai.
19:41 Agar isse kam unke paas,
19:44 sona, chandi, cash sab mila kar,
19:47 iski value se kam hai, aur jaise mene arz kiya ki ye values to roz change hoti hai.
19:52 To yaa to aap khud pata kar le, yaa phir local ulama se pata kar le,
19:56 ke aaj ki nisaab kitna hai,
19:59 agar aap mashallah, aaj kal to google ka zamana hai, internet ka zamana hai,
20:03 aap search kar sakte hain ke aaj ki 612 gram chandi ki keemat kitni hai takreeban.
20:09 To wo nisaab hai, agar insaab ke paas nisaab se kam amount hai,
20:14 iske laawa unke paas koi aise luxuries bhi nahi hai,
20:18 jo is nisaab se kik barabar hoon.
20:21 Misaal ka taur pe koi plot nahi hai,
20:23 koi extra ghar nahi hai,
20:26 waghara waghara, jinko hum luxuries kehte hain,
20:29 kuch to necessities hoti hain, zaruriyaad hoti hain,
20:32 aur kuch luxuries hoti hain.
20:35 Agar luxuries cho hai, wo bhi inke paas is nisaab se kam hai,
20:41 to insaab ko zakat di jaa sakti hai,
20:44 wo bhai bhen bhi ho sakti hain, aur bhai ki bibi bhi ho sakti hain.
20:50 Jinko zakat nahi de sakte hain, wo apne usool aur apne furu hai,
20:54 yaani mere waleden, mere waleden ke waleden,
20:57 mera beta, meri beti, unke bachche,
21:00 inko zakat nahi de jaa sakti hain,
21:02 aur iske laawa shohar bibi ko zakat nahi de sakta,
21:05 aur bibi shohar ko zakat nahi de sakti.
21:07 Apne rishtadaro mein bas inhi ko zakat nahi de jaa sakti,
21:11 inke laawa sab ko zakat de jaa sakti hain.
21:14 Kisi ne poocha hai, mehre fatmi kitna hai,
21:18 kyunki kai dafa log kehte hain,
21:21 kyunki kai dafa log kehte hain,
21:24 pehli baat to is concept ko samirna chahiye,
21:27 mehre fatmi wo mahar hai,
21:29 jo nabi karim alaihi salatu was salam ne apni pyari beti
21:32 syeda fatima radhi allah ta'ala anha ke liye mukarrar kiya tha,
21:35 jab unki syeda ali radhi allah ta'ala anhu se nikah hua tha.
21:40 Wo takreeban us waqt ke zamane ke 480 dirham the,
21:47 aur wo dirham jo the wo silver coins hote the, chandi ke sikhe,
21:51 uski equivalent migdaar takreeban 1470 gram chandi bati hai,
21:56 1470 gram chandi takreeban.
21:59 To 1470 gram chandi ki jo bhi equivalent amount hogi wazaar mein,
22:05 wo mehre fatmi hai.
22:07 Aaj kal takreeban andaze ke mataabik,
22:11 1470 gram chandi 3,20,000 rupee ke kareeb bati hai,
22:15 shayad aaj kal jab ki yeh mein record kar aara hu,
22:18 yeh takreeban itni banti hai.
22:20 Lekin jab bhi koi mehre fatmi ko set karna chahe,
22:25 to 1470 grams silver ke itibar se dekh le ke,
22:30 kitni market value hai,
22:32 aur phir agar wo mehre fatmi dena chahta hai,
22:35 to yeh uski equivalent amount woh mehre fatmi banegi.
22:40 Kahi tafan maine dekha hai logon ko mehre fatmi rakhna chahate hai,
22:45 lekin chuke unko pata nahi hai, ignorance hai,
22:48 unko ilm nahi hai,
22:50 to bahut hi thodi si amount,
22:52 50 rupee, 100 rupee,
22:54 balke bahut pehle ki baat hai,
22:56 maine ek shadi mein dekha,
22:58 woh 32 rupee 8 hana unhone mehre fatmi keh ke likh bhi.
23:03 Yeh to la ilmi ki baat hai, aur kuch bhi nahi hai.
23:06 32 rupee 8 hana ho sakta hai aaj se 80 saal, 70 saal pehle,
23:10 1470 gram chahadi ki amount itni ho,
23:14 lekin yeh to akal mein aane wali baat bhi nahi hai,
23:18 ki yeh amount hamesha toh nahi rehti hai,
23:20 chahadi ki keemat bdhti hai,
23:22 right, uske alawa,
23:24 uske alawa devaluation hoti hai currency ki,
23:29 to in sab cheezon ko zain mein rakhna chahiye.
23:31 To jis waqt mehre fatmi koi set karna chahe,
23:35 to woh 1470 gram chahadi ki equivalent value dekh lein bazaar mein kitni hai,
23:40 aur phir uske mutaapik ko set kar sakta hai.
23:42 Although, mehre fatmi rakhna laazim nahi hai,
23:46 lekin agar koi sunnat samajh kar karna chahe,
23:49 to yeh bahut achi baat hai,
23:51 inshaAllah usko sunnat pe amal karne ka ajar milega.
23:55 Lekin phir wohi baat chahum mein pehle bhi arz kar raha tha,
23:58 please make sure karen ke show off na ho,
24:00 logon ko dikhane ke liye kuch na karen,
24:03 sirf Allah ki raza ki khaate sunnat pe amal karen,
24:06 inshaAllah ta'ala isme ajar milega.
24:09 Allah ta'ala hum sab ko shariat aur sunnat wali zindagi guzarni ki tofeeq ataaf harma hai.
24:14 Aap apne sawalat email karte rahiye,
24:17 deenfitrat@arydigital.tv par,
24:20 inshaAllah ta'ala agli hafte aap logon se phir mulaqat hogi.
24:24 Need wa'aum mein yaad rakhiye ga.
24:26 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,
24:29 wa akhru da'awana anil hamdu lillahi rabbil 'aalameen.
24:32 Ameen.
24:33 [end]
24:36 [end]
24:39 [end]
24:42 [end]
24:45 [BLANK_AUDIO]