Dars-e-Bukhari Shareef - Mufti Muhammad Akmal - 28 August 2024 - ARY Qtv

  • last month
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal

#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation

Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Bismillah-e-Rahman-e-Rahim. Allah-u-Tabarak-wa-Ta'ala-ka-Pakiza naam se aagaz karte hain jo bahut meherbaan
00:13nihayat-e-Rahim wala hain. Dars-e-Bukhari ka silsara jari usari hain aur pichle program
00:18mein humne kitab-ur-rahan ka baab khatam kiya tha aur aaj inshaAllah kitab-ul-e-eetq
00:24ka matlab hota hain aazaad karna. Muraad hain ghulamon ko aazaad karne ka baab. Pehle
00:34daur mein jab musulman hamla karte the to jo kuch dushmanon ka maal haath mein aata usme
00:40unki aurte bhi hoti the aur mard hazraat bhi hoti the jo kaidi bana liye jaate the aur
00:46phir wo jo aurte hoti the wo kanees kailati the aur mard ghulam kailati the. Unmein se
00:53bahut se aise hote the ke jab wo qabze mein a jaate phir wo kareeb rehte to Islam se mutasir
00:58hokar musulman ho jaye karte the. To wa musulman kanees aur musulman ghulam hote the. Aur wo
01:05mujahideen mein bhi takseem hote the. Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wasallam ko bhi hissa milta
01:10tha. Jaise aapne Khyber pe hamla kiya to Bibi Safiya radhiya Allah-u-taala anha wo qaid
01:17mein aayi. To pehle to hazraat-e-dehya kalbi radhiya Allah-u-taala anhu Sarkar ke paas
01:22aakar arz guzaar hui. Arz-u-Allah mujhe koi kanees de dene. Aapne firmaaye jo pasand
01:26aaye lelo. To unhone aap hi ko pasand kar liya. To kisi shahs ne phir aake Nabi-e-Karim
01:32sallallahu alaihi wasallam ki khidmat mein arz ki. Arz-u-Allah Bibi Safiya jo hai wo
01:36ek ala khandaan se, ala qabeelon se taalluk rakhti hain. Aur matab sahib-e-mansaf khandaan
01:43se hain to wo aap hi ke laayik hain. Behtar hai ke aap unko rakh lein. To rahmat-e-qaunain
01:48sallallahu alaihi wasallam ne hazraat-e-dehya kalbi ko bulaya ki aap unhe yahan pesh karein.
01:53Bibi Safiya ko aapne dekha. Aur phir aapne hazraat-e-dehya se firmaaya ki aap kisi aur
01:59kanees ko qabool kar lein. Phir aapne Bibi Safiya radhiya Allah-u-taala anha ko aazad
02:04kiya. Aur aapse nikah kiya. To iss se malum hua ki ye jo kaneese hoti thi ye baqaida
02:12matab qabze mein aati thi. Aur ye pehle daur mein hukum-e-sharaa yehi tha ki aqa apni kaneese
02:20se nikah ni kar sakta tha. Bighayr nikah ke jismani taalluk qaim kar sakta tha. Aur
02:25usse jo baccha peyda hota wo tayyib aur halal tha. Aur wo kaneese baad mein baccha peyda
02:30hone ke baad us bacche ki hizbat se umme walad kelati thi. To iss mein koi matab baaz
02:38luk taajub karte hai ki bighayr nikah ke. Arrey bhai ye nikah ka tasawur bhi to Allah-u-taala
02:43aur uska Rasool ne diya hai. Aadam alaihissalat-us-salaam ke zamane mein to Bibi Hawwa se hi jo bacche
02:48peyda hote the unke aapas mein nikah hua hai. Jab ke maa dekhen ek hai. Lekon us shariyat
02:53mein ye cheez jais thi ki Bibi Hawwa ke ek dafa bacche peyda hote. To tween hote the
02:58phir dobara peyda hote tween. Pehle ek ladka ladki phir ek ladka ladki. Jo ek hamal se
03:03peyda hote wo aapas mein bhai bhena hote the. Doosre hamal wale pehle walon ke liye ajnabi
03:08hote the. Aur inka aapas mein nikah hota tha. Ye bhi shariyat ka usool tha. Aaj agar shariyat
03:13ne hame nikah ka tasawur diya. Aaj agar shariyat hame kehti hai ke bhen ka bhai se nikah nahin
03:19hota to hamara zain isko qabul karta hai. Kyunke Allah-u-taala ne hukum ishaat farmaaya.
03:23Wahi Rabb-e-kareem apni kanees se bighayr nikah ke jismane taaluk qaim karne ki ijazat
03:30deta hai. Toh phir ismein taajub kaunsi bhaat hai ki ye kaise hogaya bighayr nikah ke.
03:34Toh isliye nikah ka tasawur bhi Allah-u-taala ke taraf se hai. Aur bighayr nikah jismane
03:39taaluk qaim karne ki ijazat bhi Allah-u-taala ke taraf se hai. Lekin wo azaad auraton ke
03:44liye hai. Ke unse bighayr nikah ke jismane taaluk qaim nahin kar sakte. Warna zina
03:48hoga. Unse nikahi karna hoga. Aur kanees se istara muamla kiya jaa sakta hai. Ye kanees
03:55se ghulam hote the ye mukhtalif hote the ke baaz toh aise hote the ke jinn ko sirf mutlaqan
04:02mamluk ghulam hote the. Baaz aise hote the ki jinn se muaida hota tha ki agar tum hum
04:07itna itna paisa kama kar dedo toh hum tumhe aazaad kar denge. Ise mukatab ghulam kehte
04:12hain. Aur isi tarah ye hota tha ki baaz wakat ek ghulam mein do do aadmi sharik ho jate the.
04:19Jaise do aadmi paisa milaayen, ek ghulam kharid leyen. Toh yoon kaha jata tha ki nisf
04:24iska hai aur nisf iska hai. Aur ab ghulam ek din iski khidmat karta tha, agle din doosre
04:29ki khidmat karta tha yoon. Ab agar inme se ek aadmi apne hisse ko aazaad kar deta ki
04:35main apne ghulam ko aazaad kiya, toh aada ghulam goya ke aazaad hota tha. Aada phir
04:40wo doosre sharik ke qabze mein keh lata tha. Jiski tafseel aage aayeg. Inshallah hum zikr
04:46karenge. Toh ye shuru mein toh aisa hota raha. Aur phir jab se musulman ghulam hai toh wo
04:52bichara aqa ke khidmat bhi karta tha. Usse Allah ka haq bhi ada karna tha. Toh Rahmat
04:57e Qaunayn sallallahu wasallam iss ghulami ki zindagi ko in ghulamon ke liye pasand nahin
05:03farmate the. Ek insaan aazaad peyda hua hai usko aazaad de rehna chahiye. Lihaza Rahmat
05:08e Qaunayn sallallahu wasallam ne bakasrat ghulam aazaad karne ki fazeeliyatin zikr
05:13farmayin. Jisse logon ko targheeb mili. Aur bakasrat ghulam kharid kar aazaad karne
05:19ki aadat padi. Ya phir ghulam agar pehle se qabze mein hain toh jawab-e-sufiqat me
05:24aazaad kiya. Iss tariqah se ye aista aista ghulami ka tasawur khatam kar diya gaya.
05:29Toh abhi aisa nahin hai ki doobara ghulami ya kaneezon ka daur nahin aasakta. Aasakta
05:34hai. Lekin abhi main uspe kalam nahin karna chahata hu. Ki ghar zaruri baatein hain ye
05:39ki jee aapne hamla kiya kisi daar ul harab par wahan par johein wo urtein qabze mein
05:44aagayin toh sharai kaneez ban gayin. Lekin ab shayad ye possible nahin hoga. Aur hamara
05:48mazhab-e-islam isko like nahin karta hai ki doobara ye ghulami ka daur aaye. Lihaza
05:53yehi dekhein aapke ek waqt aaya ki kahin par bhi ek bhi ghulam baqi nahin tha. Ye mere
05:58aqas wallallahu alaihi wasallam ki behtreen insani hamdardi ki nisaal hai jo kahin par
06:04nahin milegi. Ki apne sahaba ko targheeb de de kar aapne ghulamon ko aazaad karwaya.
06:09Jo maaldaar sahaba thi unko targheeb di sarkar ne ki aap khareedin ghulamon ko aur aazaad
06:15karein. Khususan musulman ghulamon ko tha ki ek aazaadana zindagi guzarein. Toh ye
06:20thoda sa mera ta'ruf arz kiya. Ab zara aatein hain hadithon ki taraf. Babu ma ja'a fil
06:25itki wafadlihi. Ghulam ko aazaad karne aur uski fazilat mein jo hadithin warid hui hain
06:32aayein hain unka bab. Hadith number hai 2517. Aur hadrat-e-Ali bin Hussain isse riwayat
06:43karte hain. Hadhrat-e-Ali bin Hussain, Imam Zain-ul-Aabideen radiyallahu ta'ala anhu.
06:48Wo kahte hain ki Mursi Hadrat-e-Abu Huraira radiyallahu ta'ala anhu ne kaha ki Nabi-e-Karim
06:53sallallahu alaihi wa sallam ne ishaad farmaya. Jis shahs ne bhi kisi musulman mard ko aazaad
07:00kiya. Yani ghulam ko. Toh Allah ta'ala uske har uzv ke badle mein uska ek uzv dozakh
07:08se aazaad kar dega. Yani agar aada ghulam aazaad kiya hai, apna hissa muaf kar diya
07:13toh aada aazaad ho jayega. Agar poora ghulam aazaad kiya hai toh Allah ta'ala ish shahs
07:18ko jahannam ki aag se aazaadi ata farmayega. Toh Sa'eed bin Marjana, ye Hadhrat-e-Imam
07:25Zain-ul-Aabideen se riwayat kar rahe the. Ye kahte hain ki phir maine inko Hadhrat-e-Ali
07:30bin Hussain ke paas lekar gaya aur inke saamne wo hadith bayan ki. Toh Hadhrat-e-Ali bin
07:36Hussain, yani Imam Zain-ul-Aabideen ne apne is ghulam ki tarah rukh kiya. Jiske iwaz
07:41Abdullah bin Jafar das hazaar dirham ya ek hazaar dinar de rahe the. Fir unhone usko
07:49aazaad kar diya. Yani Imam Zain-ul-Aabideen ko offer hui thi ki wo ghulam bahut achha
07:54tha, farmabardaar tha aur mahir tha, bahut se salaiyate thi. Toh offer hui ki ye ghulam
08:01das hazaar dirham mein de de. Yani chandi ke sikon mein. Ya ek hazaar sunay ke sikke
08:06le le. Jisko dinar gaha jaata tha. Toh abhi aapne irada nahi kiya tha beshne ka ki ye
08:11hadith aapke saamne aayi. Nabi-e-Karim ne ishaad farma diya ki jisne poore ghulam ko
08:16aazaad kar diya. Allah usko jahannam ke aag se aazaad kar diya. Toh foran apne us ghulam
08:21ko aazaad kar diya. Dekhin ye humare akabireen ka tariqah tha. Hum apne akabireen se izhaar
08:27e muhabbat zaroor karte hain. Lekin maadrat ke saad hum unke tariqah pe chalne ke liye
08:32tayyaar nahi hain. Jab Allah ta'ala ke rah mein paisa kharj karne ke baari aati hain
08:36toh humare haath tang ho jaate hain. Agar ghalati se jeb se paanso ko note nikalta hain
08:41toh hum dubara haath daalte hain ki shayad sauka nikal aaye, pachas ka, bees ka, das
08:45ka main toh dhund raha tha. Paanso kaan se nikal aaya? Bahut zyada aaye ye. Allah ke
08:49rah mein dete hui bahut bada note lakta hain. Lekin hum khaane peene pe chale jaayen.
08:54Dast dast azaar, bees bees azaar ki ek martaba mein khaalete hain. Hum online delivery mangaate
09:00hain apne ghar pe khaane peene ki kitna kharj karte hain. Shopping mein dekh lijiye. Aise
09:05dikhawe ke liye baad waqat doston ko khila dete hain baith kar. Apne decoration ke liye
09:09ghar ki, apne aap ko samwarne ke liye kitna kharj karte hain. Ya dikhawe ke liye baad
09:13waqat kharj kar dete hain ki koi dekh raha hain toh jee alania zyada de diya warna nahin.
09:17Ye hare ke surat-e-haal nahin hain. Lekin ye bimariyan humare indar bohoz zyada hain.
09:21Lekin jab Allah ta'ala ki baarga mein kharj karne ki baari aate toh thodi se. Tuition
09:25centre mein ek bacha jaaye ya ghar pe tutor aake padhaaye, O levels, A levels padhaaye
09:30toh kis qadar bhaari tankhaein dete hain unko ujrat di jaate hain. Lekin agar ek qari sahab
09:36ghar pe aate hain deen padhaane ke liye toh paanch so hazaar, der hazaar usme bhi das
09:41baatein unko suna dete hain. Ki aap late aaye the, fulaan ye hua tha, fulaan ye hua tha,
09:47ye deen itna hamari nigaahon mein basahir maamuli aur haqeer ho gaya hain. Ki hum uske
09:53liye kharj karne ke liye umumi taur par tayyar nahin. Lekin zara apne aqabreen ko dekhiye.
09:59Ye hain hamare aqabreen, aahle baite athaar ka dil bada dil dekhiye. Ki unhone aisa ghulam
10:06jiske das hazaar dirham us daur mein mil rahe hoon. Aaj kal ke samad liye je ki aap das
10:11laak rupee fars kar lein. Ki ek cheez ke das laak rupee mil rahe hoon toh aadmi kahega
10:15mufti mein azaad karne se betar hai. Mufti mein azaad hoga isse betar nahin ke das laak
10:18mein hasil kar loon. Lekin nahin. Aakhirat ki badi fikr thi. Toh ek toh Allah ke raah
10:23mein kharj karna, doosra fikr-e-aakhirat. Aap ye dekhiyein ki humein fikr-e-aakhirat
10:28khatam ho gayi hai. Zikr ke aitbaar se dekhiyein, bilkul bhi nahin hain. Sara din ham apne
10:33ghar mein dekh lein, office mein dekh lein, har jagah. Kabhi maut ka zikr aata hai?
10:38Azaabat-e-qabr ka, qabristan ka, meydan-e-mahshar mein Allah ta'ala ki bargah mein
10:43hisaab-o-kitab dene ka, jannat koi mauzoo bane, jahannam mauzoo bane. No. Ye musalmaan
10:49ke ghar mein aapas mein baatcheet karne ke aitbaar se bilkul ajnabi mauzoo hain.
10:55Koi agar ghar mein baat chhed bhi le toh hum kehte hain, bhai kya mautmuyat ki baatein
10:59kar rahe hain, yaar chhodo. Chhe chhe ghante humari majlis-o-maafil rahti hai,
11:03lekin usme aakhirat ka zikr nahi hota. Woh siyasat par baatein hain, doston ke saath
11:08khel koot ki baatein, yeh ho raha hai, woh ho raha hai, yeh gathering ke humare nataaij
11:12hain. Isi tariqah se jab duniya ke liye kharjh karne ki baari aati hai, jaise bhi arz kiya
11:16toh riya kaariye dikhawe ke liye, crore-o-rupe kharjh kar lein. Lekin jab Allah ta'ala ki
11:21bargah mein, Allah ki rahme dene ki baari aaye, toh haath tang ho jaate hain. Isi tariqah
11:26se agar hum apne aapko sambarna chahein toh bahut kharjh karte hain, lekin masajid banane
11:31ke liye, madaris banane ke liye, paisa humari jeb se nahi nikalta hai. Isi tariqah se agar
11:38kisi ki fadr ki namaz qaza ho jaye, toh daant khile rahenge, arh-e-arh nikal gayi, naashta
11:44karenge, datke, koi gham nahi, koi fikar nahi. Lekin isi aadmi ka paanch aazaar ka noot
11:49gum jaye, aap dekhein chaar din tak iska ghami khatam nahi hoga. Kitna sabhoo nikal
11:54aayega, parishan haal, log poochne pe majboor ho jayenge, yaar khairiyat toh hai, balki
11:59wo aisa mooh bana lega, yateem sa, ke taake log mujh se poochin ke, bhai kya hua, phir
12:03main apni daastane gham sunaunga, yaar wo salary gir gayi, yaar mobile chhin gaya, yaar
12:08mobile chura ke, motorcycle meri gunpoint pe chhin li, itna gham. Toh yeh main aapko
12:14samjhana chaar hoon, yeh gham bura nahi hain. Mera bhi mobile chhinega, meri gaadi chhinegi,
12:18fars kar lein toh mujhe, waqti sadma toh mujhe bhi hoga, iska inkar nahi hain. Lekin
12:22main toh yeh taqabool pesh kar raha hoon, ke aakhirat ka nukhsan ho, koi parwa nahi,
12:27itna maamuli sa, bilkul maamuli, koi dukh nahi. Inne dukh bhi nahi hain, bilkul dukh
12:33nahi. Ramadan ke roodat chud jayein, Quran-e-Paq sara saal tilawat na karein, hadith-e-na
12:39padein, namaz-e-qaza karein, khususan Fajr ki namaz koi koi maah se nahi mil rahi hain,
12:44koi gham nahi. Thodasa paisa ghum ho jaye, toh phir dekhiye ke hazrat ka haal kya hoga.
12:50Toh yeh surat-e-haal hain ki hamme apne aqabreen se zara seekhna chahiye, ke ghulam hain, agar
12:56ghulam hi rakhte, usse shakal mein beshte nahi, toh khidmat karega, fayda hain, beshdein,
13:01toh nafah hasil hoga, dono cheezein chhoddein, sirf Allah ke liye usko azad kiya, aur apni
13:07fikr-e-aakhirat ke liye. Mujhe zara bataiye, kya inn nufus-e-khudsiya ko haqiqatan koi
13:14jahannam ka khawf hona chahiye. Jo sahab-e-ikram hain the, waqi sahabi, jo ahl-e-bait-e-athaar
13:21the, yeh toh nabi-e-karim ke sohbat yaafta the. Lekin iske ba wajud, raghbat-e-aakhirat
13:27ka mu'amala, khawf-e-khuda ka mu'amala dekhiye, ki jahan yeh hadith suni, ki agar ghulam azad
13:33karoge, jahannam se azadi mil jayegi, toh ab inko kya ummit thi, kya maadallah, thumma
13:39maadallah koi, inki zindagi aisi thi, ke uspe tawajjo karke jahannam ka khawf hota,
13:44nahi. Yeh haqiqatan fikr-e-aakhirat thi. Yeh wo, inko warasat hasil hui thi, jo nabi-e-karim
13:51sallallahu sallam ko Allah ta'ala ne nimat ata farmayi, uski warasat thi. Ke sarkar,
13:55ba wajud sayyud-al-awwaleen wa-l-aakhireen hone ke, sahabah ke saath jahannam se azadi
14:00ki, dua manga karte the, ki Allah hume panah manga karte the, ki Allah ta'ala hume jahannam
14:05se azadi rak, hume panah ata farma. Aur bahut sari duayen, aur khawf zada rehte the mere
14:10aqas sallallahu sallam, yehi sahabah-e-karam ka tariq raha. Hum unke maanne wale kis ravish
14:15pe chal raha, hume ghor karna chahiye. Toh isliye hume bhi, hadrat ke tariqah pe chalte
14:20hue, ab ghulamon ka daur toh nahi raha, lekin chalein kabhi kabar, apne aapko aazmaayen.
14:26Aur koi apni mahboob shayah Allah ki rahme de de, kisi ko gift de de, kisi ghareeb ki
14:31madad karein. Khususan safaid poosh afraad jo aapke hain, apni zarurat ko qurban karke
14:36unki madad karein. Sirf is umeed par, ki Allah ta'ala akhirat pe mujhe iska behtreen ajar
14:41ata farmaayega, toh inshaAllah bahut kuch milega. Agle baab ki taraf aate hain, baabun ayyur
14:50riqa bi-aghdal. Kaun se ghulam ko aazad karne mein zyada fazilat hai. 2518 number hadith
14:59e paak hai, aur hadrat-e-abu-ghar radhi-Allah-o-ta'ala anhu iske raavi hain. Woh bayan karte hain
15:07ki maine nabi-e-karim sallallahu sallam se sual gaya ki kaunsa nek-e-amal sabse afzal
15:12hai. Rahmat-e-kaunain sallallahu sallam ne farmaaya Allah par imaan lana aur uske rahme
15:18jihad karna. Maine pucha aur kaunse ghulam ko aazad karna sabse afzal hai. Aapne farmaaya
15:25jiski qeemat sabse zyada ho, aur jo iske maalikon ke nazdik sabse zyada nafees ho, shakal surat
15:33ke aitabar se, itaat ke aitabar se, bahut se ghulam bahut se kaamon mein maharat rakte
15:38the, roti banane mein maahir hain, jaanwar paalne mein maahir hain, taameer karne ke
15:43maahir hote the, bahut sare ghulam ban jaate the. Is aitabar se sabse zyada maalikaan ke
15:50nazdik achha ho. Maine pucha ke agar main ye naik na kaam na kar sukoon to, aapne farmaaya
15:56ke phir kisi faqeer ki madad karo ya kisi behunar ki madad karo. Dono iske tarajim
16:03ho sakte hain, jo hadees ke andar lafz maujood hain, kisi faqeer ki madad karo ya kisi behunar
16:10ki madad karo. Maine pucha ke agar main ye na kar sukoon to, aapne farmaaya logon ko
16:15sharr aur burai se door rakho. Pas beshak ye bhi sadqa hai, iske saath apne nafs par
16:22sadqa karo. To dekhe isme chand cheezein hain, ek to hazrat-e-abu-zar radiyallahu ta'ala
16:28anhu ka ye kehna, ke maine sarkar se ye questions ki ye, ye zahir karta hai, ke sahaba-e-karam
16:33aile-e-muridwan ilm-e-izaafe ke liye hamawaqt koshan rehte the, aur Allah unpe hazarha
16:39rahmat-e-barkat-e nazil farmaaye, ke unhone pucha, sarkar ne jawab diya, yaha par wo
16:44cheezein naqal ho gayi, aur qayamat tak log usse istifada karte rahenge, aur in fazilaton
16:49se hume bhi hisa milega. Doosi baat ye ki unki fikr-e-akharat zahir hui. Unhone duniya
16:55ke baare mein swaal nahi kiya ki, ya Rasulullah mujhe bataayin duniyawi tarakki kaise hogi,
16:59properties kaise banengi, main maal-e-lihaat se kaise tarakki karunga. Nain, halak agar
17:04wo ye question karte, to isme bhi koi riza-e-ilahi poshida hoti, duniya ki mahabbat to unke
17:09quloob mein nahi thi. Lekin hum ye dekhte hain ki wo hama waqt, akharat ki fikr karte
17:13the, ki zyada se zyada, zyade rah kaise ikhatta kiya jaa sakta hai. Jaise aap agar mahsoos
17:19na farmaaye, to mein guzaarish karun, ki agar teen saal ke liye koi shagh Dubai-e-Sharjah
17:24jaye, aur uska teen saal ka visa ho, pir cancel ho jayega, usko wapas aana hoga, to
17:29gharwale bhi usko chalte weh nasiyat karenge, ki beta dekho time zaya mat karna, kabhi
17:33doston mein alag jao, ye to tumhari jawb, iske labah part time karna. Jitna teen saal
17:38mein jama kar sakte ho kar lo, achha hai ghar ban jayega, ghaadi aa jayegi, tumhari
17:42shadi ho jayegi, do chote bhai bhi hain, behan bhi, unki padhaai ke masleh, fir unki
17:46shadiyon ke, ye teen saal zaya na karna. Ye talqinaat hoti hain hamari, balki agar
17:51na bhi gharwale karenge, to hamara zehn kaam karta hai, ki yaar main do duty karne
17:55padhe, chahe teen, main iss waqt ko zaya nahi karunga. Aur aise shahs ko samajdaar
17:59kaha jata hai, aur agar aisa koi na kare, time zaya kare, to hum kehte hain, tum bade
18:03bewaqoof o time ko zaya kar diya. Lekin yehi muaamla jib aakhirat ke liye dekha jata
18:07hai, to aise chusti nazar nahi aati, ghaur karna chahiye kyun. Allah ta'ala hamme
18:12samajhne ki tawfiqata farmai. Ameen. Wa aakhiru da'awana anil hamdu lillahi
18:17abbil aalameen.

Recommended