• 3 months ago
This lecture is about getting bait.
Kashif Mag.

Category

📚
Learning
Transcript
00:00Auzubillahi minash shaitanir rajeem. Bismillahir rahmanir raheem.
00:06Allahumaduhu wa nassalli ala rasoolihil kareem.
00:11Intihai qabal-e-itraam saameen-o-hazreen.
00:15Mujhse achche logo. Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
00:19Wa alaikumussalam wa rahmatullahi wa barakatuhu.
00:22Mujhpe ek sawal kiya gaya tha ki yeh piri muridi kya cheez hai?
00:27Uske jawab mein aaj main khuch beyan karna chahata hun.
00:31Pehli toh baat yeh hai ki ismein mujhe ek hawala dene padega
00:35Maula Nadhoon ki masnavi se.
00:38Pehle bhi kayi dabha diya jaa chuka hai, dekhin iske liye bahut zaruri hai.
00:42Wo likhte hain ki ek charwaha tha, wo bakriyan charata tha.
00:47Aur wo, ek din aisa hua,
00:52Usne dekha ki ek sher ka baccha raaste mein baitha hua hai.
00:57Us charwaha ne usko bhi saath le liya.
01:02Aur phir wo je sher ka baccha tha,
01:05Uski parvrish, uski tarbiyat, uski har shay bakriyon ke saath shuru ho gayi.
01:13Aur jab bhi koi sher amla karta tha, us bakriyon ke rewad pe,
01:18Toh wo jo sher tha, sher ka baccha jo tha, wo saabse pehle bhaagda tha.
01:24Ek din ek bahut akalman sher ne jab yeh dekha,
01:28Amla karte, usne kaha ki yeh baat toh samajh mein aati hai ki bakriyan bhaagdi hai,
01:33Sher se, dekhin yeh sher ko bhaag raha hai.
01:36Us chawan ho chuka tha, uske takriban kaddo kaamat uski kisam ka ho gaya tha sab.
01:40Usne kaha bakriyon ko chhodo, sher ko pahad ho.
01:43Sher ne sher ko pahad liya.
01:46Usne poocha, bhi baat suno, tum kaun ho?
01:51Toh sher ne jawab de, ji main bakri hoon.
01:54Usne kaha, nahin tum bakri nahin hoon.
01:56Uske baad usne kaha, au main tumhe leke jaata hoon,
01:59Ek chashme pe, main dikhaata hoon,
02:01Ke main aur tum ek hai, amara aks ek jaisa hoga.
02:07Raastein baate karta raha, toh wo jo bakri ka baccha tha,
02:11Toh wo jo sher tha, sher ka baccha,
02:14Wo mein mein karke baatein kare,
02:18Wo ke, tum sher ho toh baat bakriyon ki tarah kyu karte hoon.
02:22Usne kaha, jaab baat yeh hai,
02:23Jab meri paravirish bakriyon ke saath hui,
02:25Maine doodh bakriyon ke piya,
02:27Maine mahal aur sobat wo uthai,
02:31Toh maine wohi kuch karna hai na.
02:33Usne kaha, theek hai.
02:34Wo jaake, usne chashme pe, apna uska aks dikhaya,
02:38Usne kaha, dekho dono hum ek hai.
02:41Usne kaha, haan, bilkul theek hai.
02:43Bilkul theek hai.
02:44Phir wo min min karna, usne kaha, min min kyu karte hoon.
02:47Us bade sher ne, jo aqalman sher tha,
02:51Uske kaan mein, sher ki dhaad maari,
02:55Ke hamaari zabaan yeh hai,
02:57Toh usne bhi dhaad maari,
03:00Aur wo dono, jangal ki tarah nikal gaye.
03:03Toh asal mein yeh jo mahaula ban chuka hai,
03:06Ismein hum, wo jo,
03:09Huzoor ke saath ahad tha sahaba ka,
03:12Uske baad jo ahad aage chalta raha,
03:15Usko bhool jug gaye, bilkul.
03:17Aur hum, is mahaul, is soobat ki wajah se,
03:22Wo musalman nahi rahe,
03:24Jo humein huna chahiye tha.
03:26Hum sher nahi rahe.
03:28Nihaza, is kaam ke liye, baaz log meydan mein aaye,
03:32Unhonein sher banana chaha log ko.
03:36Unmein bade bade naam hai,
03:37Piran-e-pir, maabub-e-subhani,
03:40Data Ganj Baksh Ali Hajweri,
03:42Yeh baad badi hastiyan hain,
03:44Unhonein baad bakriyon ko sher banaya.
03:47Aab Pir-e-mureedi ka jo asal maqsad yeh tha,
03:51Ke insaan ko,
03:53Insaan bana diya jaye.
03:55Wo jo,
03:56Inna sharrid-dawab-e-indallah,
03:59Sumul bukm-ul-lazee laa yaaqaloon,
04:02Jo is maqam mein, is manzil mein paun chuke the,
04:05Ki zinda, wo,
04:08Laashe samajh rahein, yaa,
04:10Jaanwar, jaanwar samajh rahein,
04:12Wo banaya.
04:14Aur laqad khalaqnal insaana fi aasin-e-taqweem ki,
04:18Manzil ko bhool gaye.
04:20Uske liye log meydan mein aaye,
04:22Unhonein kaam kiya,
04:23Ke inko manzil dikhai,
04:25Tumhari manzil yeh hai,
04:27Tum bakri nahi ho, tum sher ho.
04:31Aur uske liye,
04:33Yeh silsile ikhtiyar kiye,
04:35Jisko aap bait kahte hain,
04:37Aur jisko ek islahi silsala,
04:40Islahi tariqa sanjha jaata hai,
04:43Ab jo bhi bait ho rahi hai,
04:45Wo islahi taaluk hai,
04:47Peer aur mureed ka.
04:49Chuke,
04:50Asal mein humare murshid jo hain,
04:52Wo Allah ta'ala hai,
04:54Aur uske baad,
04:55Muhammad Rasulullah ﷺ.
04:57Allah ta'ala batin mein hain,
04:59Huzoor zahir mein hain.
05:01Hum musulman,
05:03Andhi taqleed,
05:04Unki karenge.
05:06Uske ilawa,
05:07Kisi pe blind faith nahi ho sakta,
05:09Jo Allah Rasul ka hota hai.
05:11Nihasa,
05:12Aage jo buzurgaan-e-deen hain,
05:13Unhonein silsile ko istire chalaya,
05:15Ke bait-e-tauba leke,
05:17Unko ussi taraf leke jaate the,
05:20Jo Allah Rasul ka pegham tha.
05:22Apni taraf se ko baad,
05:24Usmein add nahi karte the,
05:26Koi jama nahi karte the,
05:28Aur apni taraf se,
05:29Usko deya tariqah istimaal nahi karte the.
05:31Ab jo peeri-mureedi ke concept hai,
05:34Woh ek aur rang mein dhal chuka hai.
05:37Peer ustaad hai,
05:38Mureed shagird hai.
05:40Agar koi shag samajhta hai,
05:42Ke main bohos zyada gunaagaar ho gaya hun,
05:45Aur agar uska koi zameer jaag jaata hai,
05:48To kisi nek aadmi se,
05:50Islahi ta'aluk qaim kar le,
05:53Ye is waqt ki bait hai.
05:56Mureed to hum sirf Allah aur Rasul ke hain.
05:58Lekin baqi sab log ke aath pe jo aahd kiya jaara hai,
06:02Woh tajdeed-e-aahd hai,
06:04Aur bait-e-taubah hai.
06:06Jaise haath badal rahein,
06:09Magar baat nahi badal rahi.
06:12Aur baat kya thi?
06:14La ilaha illallah wa muhammadur Rasulullah.
06:17Baat kya thi?
06:18Paanch namazein,
06:20Tees roozein,
06:22Hajj aur zakat.
06:24Baat to yehi thi,
06:25Wohi baat aage jaari.
06:27Usko kis tare adaa karna hai,
06:29Usko kaise karna hai,
06:31Uski roo ko samajhna hai,
06:33Ki roo iski kya hai,
06:35Isi ko roohaniyat kahte hain.
06:37Ki namaz ki asal rooh kya hai,
06:40Yehi roohaniyat hai,
06:42Yehi tariqat hai,
06:43Ki usko samajhna,
06:45Ki Allah ke aage sajda kiya,
06:46Namaz padli,
06:47Jaisi bhi padli,
06:48Woh qabool firma sakta hai,
06:50Isme koi shak nahi.
06:52Lekin,
06:53Khaloose niyyat ke saath jab padhi jaayegi,
06:56To uska maqam aur hoga.
06:58Jaisi hadees baag mein hai,
07:00Ki jab tum,
07:02Allah ki baargaah mein khadhe hote ho,
07:04To mehsoos karo,
07:05Ki tum Allah ko dekh rahe ho.
07:07Aur agar aisa nahi,
07:09To Allah yaqeenan tumhe dekh rahe ho.
07:12Ab is baat mein yeh baat,
07:15Saamne aa jaati hai,
07:17Ke us namaz ki rooh kya hai,
07:20Us namaz ki rooh yeh hai,
07:23Ke Allah ko mehsoos karna,
07:26Ke mein dekh raho.
07:28Warna is baat pe puri namaz guzarna,
07:31Ke woh mujhe dekh rahe hai.
07:34Yeh rooh hai namaz ki.
07:36To yehi roohaniyat hai.
07:38Us namaz,
07:39Jo zaari namaz hai,
07:40Jo bahut zaruri hai,
07:42Jo bahut aham hai,
07:43Jiske baad aadmi musulmani nahi rahta,
07:45Us ko rooh mein dhalna roohaniyat hai.
07:47Aur fir,
07:48Yeh jo namaz hai,
07:50Yeh Allah ka hukam hai,
07:51Rasulullah salallahu alaihi wa sallam ki aankhon ki thandak hai.
07:54Aur agar,
07:55Koi bhi,
07:56Shaks kisi ke haath pe,
07:58Ehad karta hai,
08:00Islaah ke liye,
08:02Aur woh shaks agar namaz nahi padta,
08:05Woh shaks Allah wa Rasul ke ahkaam ka paband nahi hai,
08:09To yeh Islam nahi hai.
08:11Kyunke jis shaks ke haath pe,
08:14Aaj bhi,
08:15Islaahi taaluk qaim kiya jaayega,
08:18Uska shariyat ka paband hona,
08:22Bahut zaruri hai.
08:24Aur asal yeh silsala hai,
08:28Jum guzaarish kar rahun,
08:29Peeri mureedi ka,
08:31Dua karna kisi ka kaam hai,
08:33Aap mere liye kar sakte hain,
08:34Main aap ke liye kar sakta hun,
08:36Dekin islaah aur cheez hoti hai,
08:38Yeh islaahi taaluk hai,
08:40Ab isko sirat duaon ke,
08:43Ek usme dhal diya gaya,
08:45Dua, dua,
08:46Dua bilkul theek hai,
08:47Dua karani chahiye,
08:48Dekin yeh asal ahad nahi hai,
08:51Asal ahad hai ki main islaah karunga,
08:53Main Allah Rasool ke ahkaam ki pabandi karunga,
08:57Aur wo shaks jis ke haath pe,
08:59Yeh haath kiya jata hai,
09:00Wo pabandi karwata hai,
09:02Uski zimmadaari hai,
09:03Taake wo,
09:05Jo ahad ila ila illa Muhammad Rasulullah ka,
09:09Jo yaum-e-alast ki baat hai,
09:12Wo aakhir tak jaari rahe,
09:16Allah ta'ala se dua kahin,
09:18Allah ta'ala mujheera aapka tawfiq de,
09:20Maini jo baate ki hum in pe amal kar sakay,
09:23Sallallahu ta'ala ala khairi qalqi,
09:25Muhammadin wali wa sahabi ajmain,
09:27bi rahmatika ya arhamat.

Recommended