• last month
Deen e Fitrat | Speaker: Shaykh Mufti Tauqeer

#DeeneFitrat #ShaykhMuftiTauqeer #ARYQtv

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Asalaamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu, alhamdulillahi wabarakatuhu, wa salamu ala
00:20Allahumma salli ala sayyidina wa nabiyyina Muhammad, wa ala aali sayyidina wa habibina
00:27Muhammad, wa barik wa sallim, wa la hawla wa la quwwata illa billahi lillahi l-alameen.
00:32Allahumma salli ala sayyidina wa nabiyyina Muhammad, wa ala aali sayyidina wa habibina
00:37Muhammad, wa barik wa sallim, wa la hawla wa la quwwata illa billahi lillahi l-alameen.
00:42Allahumma salli ala sayyidina wa nabiyyina Muhammad, wa ala aali sayyidina wa habibina
00:47Muhammad, wa barik wa sallim, wa la hawla wa la quwwata illa billahi lillahi l-alameen.
00:52InshaAllah Ramadhanul Mubarak ki amad amad hai, Ramadhanul Mubarak kisi waqt bhi shuru
01:00ho jayega, ho sakta hai ke aaj kal mein roza ho. Ramadhanul Mubarak Allah ta'ala ki
01:09bahut badi ni'mat hai. Allah ta'ala ne ek bahut humare upar karam kiya hai ki ye
01:16Mubarak maheena humko diya hai. Is maheena ka maqsad insaan ki rohani taraki hai.
01:24Insaan ke andar ek jisam hai aur insaan ke andar ek rooh hai. Rooh asal insaan hai.
01:31Is jisam ke andar Allah ta'ala ne maa ki peht ke andar, jab bacha chaar maheena
01:37rooh dali tab ye insaan bana. Ab ye zindagi hum guzaar rahe hain, rooh humari
01:43humari jisam ke andar hai. Ek din aayega ki Allah ta'ala is jisam se rooh ko nikaal
01:47lenge aur apne paas bula lenge aur insaan ka intikal ho jayega. Yani rooh
01:52muntakil ho jayegi ek aalam mein jisko aalam-e-barzakh kehte. Ye rooh kya hai
01:59Allah jaante hain. Lekin itna humko pada hai ki ye Allah ke amr se bani hai.
02:05Yas'aluna ka'an-e-rooh, kul-e-roohu min amri-Rabbi. Ye aapse rooh ke baarein
02:10me sawal karte hain, inko bata dijiye meri Habib sallallahu alaihi wa sallam
02:14ke rooh tumari Rab ka amr hai, hukam hai. Innama amruhu idha araada shai'an
02:22an yaqoola lahu kun, fa yakoon. Allah ka amr ye hai ki jab Allah ta'ala
02:26kisi cheez ka irada firmaate hai, to kehate hai kun, ho jao, fa yakoon
02:32aur wo ho jaati hai. Ye rooh Allah ke amr se bani hai, iska Allah ta'ala ke saath
02:38ek ta'aluk hai, ek rishta hai. Ye rooh Allah ka qurb mehsoos kar sakti hai,
02:46agar purdeh hata diya jaye, gunah ke purdeh hata diya jaye. Allah ta'ala
02:53ne ye Ramzanul Mubarak ka maheena humko diya hai, ta ke hum un gunahon ke
02:59purdeh ko hata diya. Aur ek firishta sift insan banke is maheena mein exercise
03:09karein, aise guzaanein jaise ki insan firishta sift hota hai. Aur gunahon se
03:15parhez karein. Aur is nooraniyat ko leke baaki agli 11 maheena guzaarein.
03:22Isliye Allah ta'ala ne Ramzanul Mubarak ka maheena humko diya hai. Allah ta'ala
03:28ne firmaaya, suratul Baqarah mein, ki ya ayyuhal lazeena aamanu, ay imaan walo,
03:34kutibu alaikumus siyam, tum par rooze farz kiye gaye hain. Kama kutibu alal ladheena
03:42min qablikum, jaise ki tum se pehle logon par farz kiye gaye the, la'allakum
03:49ta'ake tum taqwe wale ban jao. Ta'ake tum gunahon se parhez karne wale ban jao.
03:55Parhezgari, taqwa, Allah se danna, yeh saari iske translations hoti hain, saari
03:59tarjume kiye jaate hain. Ta'ake tum Allah se danne wale ban jao. Ta'ake tum
04:03parhezgar ban jao. Asal mein ek hi baat hai, ki Allah ke dar se gunahon se
04:09parhez karne wale ban jao. Do baat hain. Ek baat to yeh, ki tum pe farz kiye
04:16gaye hain, jaise tum se pehle logon par farz kiye gaye the. Yaani har ek par
04:20farz kiye gaye hain. Iss se yeh pata chala, ki roozo ke bagayr insaniyat ki,
04:25roohaniyat ki taqmeel nahi ho sakte. Kyunki Allah ta'ala chahte hain, ki har
04:30banday ki roohaniyat ki taqmeel ho. Wo ta'aluk ma'Allah har banday ko naseeb
04:35ho. To us ta'aluk ma'Allah ko achieve karne ke liye, usko hasal karne ke liye
04:41rooze zaruri hain. Ek aur baat bhi samajh mein aati hai, ki koi azab nahi hain,
04:48koi saza nahi hain. Yeh to har ek ke upar aaye, tum pe bhi diye gaye. Asal mein
04:56to ek neemat hai Allah ki, ki Allah ta'ala ne yeh mahina tumko diya, taake tum
05:02Allah ta'ala se wo ta'aluk peyda karo. Taake tum taqwe wale ban jao. Taqwe
05:08ko samajhne ke liye zaruri hai, ki insaan gunah ko samjhen. Allah ta'ala ki
05:12nafarmani aur Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki nafarmani ko gunah
05:16kehte hain. Aur gunah ek zahir hai. Misal ke taur pe agar koi shaks aapko plate
05:26mein sao biscuit de, sao log baithe hain aur sao biscuit de aur kahe ki bahut
05:33hi mazidar biscuit hai. Ek biscuit jo hain uske andar zahir mila hua hai thoda
05:39sa. Lekin sirf ek hai 99 to itne behtreen hai. Pata nahi hai kaunsa wo ek hai.
05:44Lekin 99 log aap please aap enjoy karein, aap leechein, bahut mazae ka biscuit
05:49hai. Aisa aapne kabhi nahi khaaya hoga. Aapka ke khyaal hai ke koi ek shaks
05:54bhi, ek bhi biscuit uthaayega? Nahi. Isliye nahi, kyunke usko zahir ki ke
06:01baare mein pata hai, uske aisar ke baare mein pata hai, ke wo ek biscuit,
06:05jisme thoda sa zahir mila hua hai, agar wo mere hisse mein aa gaya, to meri
06:10maut waqe ho sakti hai. Insaan us biscuit ko khaana pasand nahi karega.
06:14Usko uthaana bhi pasand nahi karega. Jab ke bahut lazeez hai. Isi tariqah se
06:19gunah ek zahir hai. Jo insaan ki ruhaniyat ko maar deta hai. Ek ek gunah
06:26zahir hai. Aur gunahon se parheez, asal mein ruhani zahir se parheez hai.
06:33Allah ta'ala humko yeh bata rahe hain, baar baar bataaya, ke gunahon se
06:38bachho. Waza roo zahir al-ithme wa baatina hu. Ke zahiri baatini gunahon
06:44dono se bachho. Hai mere bando. Yeh tumhari ruhaniyat ko maar rahe hain.
06:49Jhoot mat bolo, gheebat mat karo, loon ka mazaak mat udao, nazron se koi
06:55behyaayi ki cheez mat dekho, behyaayi ki baatein mat karo, amarat mein
07:01khyarat na karo, namaz mat chhodo. Har tarah ki gunah se bachho. Har
07:06tarah se Allah ta'ala ki nafarmani aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi
07:10Wasallam ki nafarmani se bachho. Yeh Allah subhanahu wa ta'ala hum se
07:14chahate hain hamare hi fayde ke liye. Aur isliye Allah ta'ala ne ek maheena
07:18de diya. Ki dekho iske andar practice kar lo. Agar abhi tak tum gunahon se
07:22bachhne ki silahiyat tumharin andar peyda nahi hui hain, to ek maheena
07:26deta hu jiske andar main ek bahut hi conducive environment tumhe deta hu.
07:30Ek mauhol deta hu tumko. Us mauhol mein sabse pehli cheez to yeh hoti hain
07:35ke jo evil shayateen hain, jo circus shayateen hain, hadees-e-mubarakah
07:40mein aata hain unko qaid kar liya jaata hain. Shaitaan, shayateen hume
07:46gunahon pe ubhaarte hain. Acha yeh cheez bhi yaad rakni chahiye ke shaitaan
07:50hume gunahon pe majboor nahi karte hain. Shayateen hume gunahon pe ubhaarte
07:55hain. Waswasa daal sakta hain. Shaitaan bas. Karna ya na karna yeh to
08:00humare ikhtiyar mein hain. Isi pe to sawab-o-azab hain. Ki hum karte hain
08:05ke nahi karte hain. Phir andar ek cheez hain jo isko nafs kahte hain.
08:10Woh bhi insaan ko ghalat cheezon pe ubhaarta hain. Innal nafsa la ammaratun
08:15bissu illa ma rahima rabbi. Insaan ka nafs bhi insaan ko gunahon ki daawat
08:20deta hain. Sawaay wo nafs jis pe Allah ka rahm ho jaye. Allah ki tofeeq
08:27mil jaye. Lekin nafs ki bhi yeh aadat hain ke wo gunah pe ubhaarta hain agar
08:33uspe kaam na kiya jaye toh. Usko tame na kiya jaye toh. Uspe mehnet na ki
08:38jaye toh. Toh yeh shaitaan aur andar ka nafs yeh dono milkar insaan ko
08:43shaitani sift wala banana chahte hain. Aur Allah taala chahte hain ki hum
08:48firishton wali sift peyda karein. Allah se taaluk peyda karein. Gunahon
08:53ke pardon ko hata de gunahon ke jo humne pardon apne upar daale huye
08:57unko hata kar Allah se taaluk peyda karein. Sarkar shayateen ko kaid
09:02kar diya jaata hain. Aur nafs ki training aise hoti hain ke fajar ke
09:08waqt se lekar, yaani tuloo-e-fajar, jab fajar ka waqt start hota hain, us
09:12waqt se lekar maghrib tak, jab sooraj gharoob ho jaata hain, na khayen,
09:19na peehen, na hi shohor aur beevi aapas mein jansi khaahish ki takmeel
09:24karein. Yehi insaan ke nafs ki sabse zyada chahat hain. Khaana, peena,
09:30jansi khaahishat. Aap dekhiye duniya mein jitne bhi gunah ho rahe hain,
09:34jitne bhi sarkashi ho rahi hain, wo saari ki saari inhi teen cheezon ke
09:38peeche hain, ya isko bhi aur mila le toh do cheezon ke peeche hain.
09:42Pet aur genitals, pet aur sharam gaak ki jo khaahishat hain, uski peeche
09:47saari duniya sarkash bani hui hain. Maal kyun kamaate hain? Maal bhi
09:51isiliye kamaate hain, khayenge, peehenge. Aur ek aur cheez bhi hai,
09:54status, of course, hub-e-ja, status consciousness, wo bhi ek cheez hain.
09:59Toh yeh teen cheez hain, ya status consciousness, insaan ki ego,
10:03khaana, peena, aur sexual desires, jansi khaahishat. Iske peeche saari
10:08insaan shaitaan ban rahe hain. Allah ta'ala ne, is maheene ke andar
10:14hume exercise di ki, acha khaana, peena, aur jansi khaahish, is tuloo-e-fajr
10:19se lekar, ghuroob-e-shams tak, sooraj ke ghuroob hone tak nahi karna.
10:24Yeh insaan ki ek exercise hain. Iske alawa, guna bhi nahi karne.
10:32Yeh toh, roza hota hi nahi hain, akar insaan khaale, peele, aur jansi
10:38khaahish ki takmeel kar le, tuloo-e-fajr se lekar, sooraj ke ghuroob
10:42hone tak, lekin guna bhi nahi karne. Nabi Karim A.S. ta'ala targheeb
10:46di ki, dekho guna bhi nahi karne. Ek hadith-e-mubarakah, sunan-e-ibn
10:51Nabi Karim A.S. ta'ala targheeb di ki, roza-e-daar jab sota bhi hain,
10:55toh usko ibadat ka saam milta hai, yahan tak ke wo gheebat na karein.
10:59Jab tak ke wo gheebat na karein. SubhanAllah.
11:02Yani yeh agar gheebat karega, toh phir, insaan ka jo ajar hai, wo zaya ho jayega.
11:07Hadith-e-mubarakah mein aaya hai ki, insaan agar gunaah nahi chhodta,
11:12roza mein, toh Allah ta'ala ko uske roza ki zarurat nahi hain, usko
11:17bhoog-pyaaz ke sewa kuch bhi nahi milta. Raat insaan nafal padta hai,
11:21ibadat karta hai, taraweeh padta hai, lekin agar wo gunaah ko nahi chhodta,
11:25toh usko raat ko zyada jaagne ke sewa kuch hasal nahi hota.
11:29Roza ka ajar nahi milta. Ek hota hai roza ho jana,
11:33ek hota hai roza ka ajar milna. Yeh do mukhtalif cheezein hain.
11:37Toh agar insaan khaaye piye nahi aur jinsi khaishaat ki takmeel na kare,
11:41toh loo-e-fajr se ghurub-e-aftab tak, roza toh ho jayega.
11:45Lekin agar usme gunaah karega, toh roza ka ajar nahi milega.
11:49Toh yeh ek exercise hai, ek nafs ki exercise hai.
11:52Sarkh-e-shayateen kaid kar diye gaye.
11:54Toh Allah ta'ala ne ek poora environment diya aur sab ko diya.
11:58Yeh nafal roza mein kya hota hai?
12:01Ke koi rakh raha hai, koi nahi rakh raha hai.
12:04Toh insaan ke liye mushkil hoti hai cheezein.
12:07Jamaat ki namaz aasaan hai, infiraadi namaz se.
12:11Kyunki jab saare padh rahe hote hain, toh insaan ka dil bhi unke saath synchronize ho jaata hai.
12:16Insaan ko namaz padhne ka jee chahta hai, kyunki saari jamaat padh rahe hain.
12:22Infiraadi mushkil hoti hai, abhi padhta ho, abhi padhta ho, abhi padhta ho,
12:26toh usme insaan ko susti ho jaati hai.
12:28Aapko pata hai ki itne baje, ek baje namaz hai, toh ek baje mujhko masjid pohosna hai,
12:33ek hi baje pohosna hai.
12:34Aur sab ke saath namaz padhte hain, aasaan hota hai.
12:36Isi tariqah se Ramazanul Mubarak ek mahina saare musulman roza rakhe hain.
12:40Illa yeh ke koi mareez ho, koi bimaar ho, ya phir koi safar mein ho,
12:47toh uske liye rukhsat hai, uske liye choice hai rakhna chahta hai,
12:49toh rakhe nahin rakhna chahta hai, toh na rakhe.
12:51Although targheeb is jis ki hai, ki agar rakh sake toh rakh le.
12:54Lekin saare jab rakh rahe hain, toh ek environment bhi hai.
12:58Ek ruhani mauhol hai.
13:01Insaan ki ruhani tarakki hoti hai, is Ramazanul Mubarak mein, is mahine mein.
13:08Insaan farshta sift banta hai.
13:11Farshte khaate peete nahin hai, farshte shaadi nahin karte hain.
13:15Although insaan khaate peeta bhi hai, insaan nikah bhi karte hai.
13:18Lekin chunki farshte masoom hote hain, wo guna nahin karte hain,
13:22toh Allah ta'ala training karwa rahe hain, ke guna bhi mat karo mere bando.
13:26Mere se taalluk peyda karo, mere kareeb ho jao.
13:30Isi liye toh ab suratul baqarah mein jahan aap dekhte hain,
13:36ki Allah subhanahu wa ta'ala ne rozo ki baat ki,
13:40ikdum se darmiyan mein, ini rozo ki ayaat ke darmiyan,
13:44wa idha sa'alaka ibaadi anni fa inni kareeb.
13:48Toh mere bande aap se sawal karte hain mere baare mein,
13:52main toh bohot kareeb hoon.
13:55ujeebu da'abat al da'i idha da'an
13:58jab mera banda mujh se dua karte hain, toh main iski dua kabool karte hain.
14:02Allah ta'ala ne ikdum apni qurbat ki baat ki,
14:06roza, rozo ke andar dua'ein, dua'on ka ihtimaam,
14:10Quran ki tilawat, shahro Ramadan alladhi unzila fihil Quran.
14:14Ramazan ka mehena wo hai, jisme Quran ko naazal kiya gaya.
14:18Quran do stages mein naazal hua,
14:22ekho kahtein inzaal, ekho kahtein tanzeel.
14:24Loh-e-mahfooz se asmaan-e-duniya par poora ka poora Quran utara gaya
14:28aur phir waha se Nabi Kareem alaihis salatu was salam ke qalb mubarak par
14:32Allah ta'ala ne Quran ko aista aista 23 saal ke muddat mein naazal kiya.
14:38Toh Quran loh-e-mahfooz se asmaan-e-duniya mein Ramazan-ul-mubarak mein hi utara gaya.
14:45Quran ka ik khaas ta'aluk hain,
14:49is mubarak mehena se, isye liye Quran ki tilawat karna,
14:53Quran se dil lagana, Quran Allah ka kalam hain, Allah ka kalam hain.
14:58Allah ke kalam ki tilawat ki jaati hain, suni jaati hain, tarawih mein suni jaati hain.
15:03Isse bhi ik khaas rooh ko Allah ta'ala ke saath ta'aluk pehda hota hai.
15:08Is shandaar mehena ka hum istiqbaal karte hain,
15:11marhama Ramadan, Allah ka shukar bhi ada karte hain,
15:15ki Allah ta'ala ne itni mubarak ne'mat humko ata ki hain,
15:19ki humein har saal Ramazan-ul-mubarak dete hain.
15:23Aur jab insaan us tariqah se rooza rakta hain, jaise ki rakna chahiye,
15:28toh Allah ta'ala ek Eid ka din dete hain, khushi ka din.
15:32Khushi kis cheez ki hain?
15:34Main al-mirj-e-Allah ka qurb mil gaya.
15:36Isse badkar khushi kya ho sakti hain?
15:39Isye liye Nabi Karim A.S. na firmaaya,
15:41rooza-e-daar ke liye do maukey hotey hain khushi ke.
15:44Ek inda fitri hi, ya toh isko agar iftaar se maana liya jaye,
15:49ki jab rooza khulne ka waqt aata hain,
15:51toh insaan ko khushi hoti hain,
15:52sara din khaya, piya nahi, iftaar ka waqt aa gaya.
15:55Ya isse Eid-ul-fitr ka maana bhi liya jaa sakta hain.
15:58Lekin doosra wa inda liqaa-e-Rabbi hi,
16:01ki jab banda, jab Allah se mulaqaat karega,
16:05rooza-e-daar ko bohot khushi hogi.
16:08Kyun? Isliye kyun ki usne is maheene me Allah ka qurb paaya,
16:11Allah ki muhabbat paayi.
16:13Aur zahiri baat hai, jab kisi se muhabbat hoti hain,
16:16aur jab apne mahboob se mulaqaat hoti hain,
16:20toh isse badkar insaan ke liye khushi ka kya mauka ho sakta hain.
16:23Toh humein chahiye ki is maheene me,
16:25Allah taala ka qurb hasil karni ki koshish karein,
16:28gunaahon se pakki tauba karein, sachi tauba karein.
16:31Paise rooza rakhein, jaise ki rooza rakhne ka haq hain,
16:35apne aap ko dedicate karein,
16:38ibadat ke liye, tilawat ke liye,
16:40apne kaamon ko abhi se nimtaan lein,
16:43woh kaam jo pehle ho sakte hain,
16:45taake tarawih ka ihtimam karein,
16:48ibadat ka ihtimam karein,
16:50gunaahon se ishtinaab karein,
16:52Allah taala hum sab ke rooza ko aasaan bhi karein,
16:55aur Allah taala isko unko kabool bhi karein.
16:57In shaa Allah taala k chhudi se break letein,
16:59aur break ke baad hazir hotein,
17:01aapke sawalon ke jawabat ke saath,
17:03aap apne sawalat email karte rahi hain,
17:05deenfitrat at arydigital.tv
17:08Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu
17:10Welcome back, break ke baad
17:12aapke sawalon ke saath hazir hain,
17:14aaj ke sawalat jo hain,
17:16hum rooza ke masayil tak mehdood rakhenge In shaa Allah,
17:21ek bahut walatul aam cheez hain,
17:24aam ghalati log karte hain rooza se mutaalik,
17:27aur wo ye hain ke jab,
17:30Ramadan ul Mubarak mein,
17:32Fajr ki azaan ho rahi hoti hain,
17:34toh log khaate peete hain,
17:37Dekhin Quran mein,
17:39Allah ta'ala ne jahan rooza ke baarame tazkira kiya,
17:42rooza ke masayil bataye,
17:44toh Allah subhanahu wa ta'ala ne firmaaya,
17:46ke raat mein tum khao pee sakte ho,
17:49aur firmaaya,
17:50wakulu wa sharabu hatta yata bayyan lakumul khaytul abyadu
17:54minal khaytul aswadi minal fajr,
17:56thumma atimmu siyama ilal laeen,
17:59ke tum raat ko khao peeo,
18:00yahan tak ke suboo ki safayd dhaari,
18:03siya dhaari se mumtaaz hokar,
18:05tum par waze na ho jaye,
18:07uske baat raat aane tak,
18:09roozae poore karo,
18:11ufuk par,
18:12horizon par,
18:14raat ko andhera hota hain,
18:16aur do tarah ki fajr hoti hain,
18:18ek,
18:19isko fajrul mustateel bhi khaate hain,
18:21al fajrul kazib bhi khaate hain,
18:23jhooti suboo,
18:24wo,
18:25asmaan pe upar ek,
18:27roshni aati hain,
18:29wo,
18:30suboo sadiq nahi hain,
18:31wo fajr nahi hain,
18:32uske baat,
18:33ufuk par,
18:34horizon par,
18:35across the horizon,
18:36ufuk ke saath saath,
18:38ek,
18:39roshni namoodaar hoti hain,
18:40yeh hai tuloo e fajr,
18:42yaani wo ek safayd dhaari ki tarah,
18:45toh Allah ta'ala firma rahe hain,
18:46yeh safayd dhaari,
18:47jab,
18:48siya dhaari,
18:49yaani wo jo bilkul,
18:51darkness thi,
18:52andhera tha,
18:53usse jab mumtaaz ho jaye tumhe,
18:54toh yeh fajr shuru ho gaya,
18:56ab khaana peena ban,
18:58aur ab,
18:59saara din nahi khaoge,
19:00nahi peeoge,
19:01tum aatim musayyama ilal layl,
19:03raat tak amna roza poora karna hain,
19:05aur raat hoti hain,
19:06jab sooraj guroob ho jaata hain,
19:09sooraj doob jaata hain,
19:11fajr ki azaan,
19:13jab tuloo e fajr ho jaati hain,
19:16uske baat di jaati hain,
19:17ek dafaa,
19:18Sayyidina Bilal radhiya Allah ta'ala anhu,
19:20ne ghalati se,
19:22fajr ki azaan,
19:24tuloo e fajr se pehle de di,
19:27Nabi Karim A.S.W. ne unko firmaya,
19:30ki sab logon ko jaake batao,
19:32ki mere se ghalati ho gayi,
19:34maine pehle azaan de di,
19:37isliye kyunke,
19:38ghalati se,
19:40agar kisi ne namaz padli,
19:42Sayyidina Bilal radhiya Allah ta'ala anhu ki azaan sunke,
19:45to zahiri baat hai,
19:46ki baqt shuru hone se pehle namaz nahi hoti,
19:48to Nabi Karim A.S.W. ne firmaya,
19:52to logon ko batao,
19:53ki mere se ghalati ho gayi hain,
19:55fajr ki azaan de jaati hain,
19:57tuloo e fajr ke baad,
19:59aur muazzin jo hain,
20:02ho sakta hai,
20:03koi ek minute baad de,
20:05koi foran de de,
20:06koi paanch minute baad de,
20:07koi teen minute baad de,
20:08azaan ka maqsad,
20:10logon ko namaz ke liye bulana hota hai,
20:12ki namaz,
20:15masjid mein,
20:18itne minute ke baad ho jaayegi,
20:20umooman,
20:21azaan ke panna minute baad hoti hain,
20:23kabhi bees minute baad hoti hain,
20:25kuch jagon pe,
20:26kahin jagon pe,
20:27pachis minute ke baad hoti hain,
20:28kain maqsad azaan ka yeh hota hai,
20:30logon ko namaz ke liye bulaya jaaye,
20:34haan, Ramzan-e-Mubarak mein,
20:35shuru mein hi de di jaati hain,
20:36kyunki log sehri ke liye uthe hote hain,
20:38sehri khaane ke liye uthe hote hain,
20:39toh log jaag rahe hote hain,
20:40toh jaisi namaz ka baqt shuru hota hai,
20:43tuloo e fajr hoti hain,
20:44toh azaan de di jaati hain,
20:45ki foran aankhe,
20:46abhi namaz padne,
20:47aisa na ho ke,
20:48derd se padne,
20:49toh log so jaye,
20:50aur aisa na ho ke,
20:51unki namaz jamaat ki,
20:59aur jaisi mene arz kiya,
21:00koi ek minute baad deta hai,
21:01kisi masjid mein do minute baad hoti hai,
21:03kisi masjid mein teen minute baad hoti hai,
21:05toh azaan ke waqt mein,
21:07khaate peete rehna,
21:08yeh toh tuloo e fajr ke baad,
21:09azaan ho rahi hai,
21:10aur agar hum khai peenge,
21:11toh Allah ta'ala toh yeh firma rahi hai,
21:13tuloo e fajr ke waqt,
21:14roza shuru,
21:15uske baad,
21:16khaana peena mana hai,
21:18agar koi khai peega,
21:20tuloo e fajr ke baad,
21:21toh uska roza nahi hoga,
21:24ek bahut ghalat-ul-aam cheez hai,
21:26wo ek hadees-e-mubarakah hai,
21:27jisko misinterpret kiya hai,
21:29jisko samajhne mein,
21:30kuch logon se ghalati ho gayi hai,
21:34middle east mein,
21:35khaleeji mubaalik mein,
21:37aur bhi bahut saare duniya ke mubaalik mein,
21:39maine cheez dekhi hai,
21:40ke jab calendar banta hai,
21:42ramazan-ul-mubarakah,
21:44toh ek tuloo e fajr ka time hai,
21:46yaani jab roza shuru ho raha hai,
21:48aur baaki namazon ke aukat hai,
21:49usmein maghrib ka bhi waqt hai,
21:51usmein ek cheez wo add karte hain,
21:52usko unhone likha hota hai,
21:54ki yeh imsaak ka waqt hai,
21:56imsaak ka matlab hota hai,
21:58rukh jaana,
22:00wo umooman,
22:02tuloo e fajr se
22:0410 minute pehle ka waqt hota hai,
22:06unhone wo time daal kar,
22:08apne calendars ke andar,
22:10is cheez ki targheeb diye hai,
22:12ke dekho,
22:14tuloo e fajr se 10 minute pehle hi,
22:16khaana peena rok do,
22:18aisa na ho ki ghalati se,
22:20tum khaate peete,
22:21fajr ka waqt shuru ho jaye,
22:23aur tum us time ke andar daakhil ho jaye,
22:25aisa na ho jaye kahin,
22:27to itni ihtiyaat ki jaati hai,
22:29kayi mubaalik ke andar,
22:31khaliji mubaalik ke andar,
22:33khaas taur pe jaise menin arz kiya,
22:35ki menin note kiya,
22:37aur baaki mubaalik me bhi mene dekha hai,
22:39South Africa me mene dekha hai,
22:41England me mene dekha hai,
22:43ke waha pe wo ek imsaak ka waqt dete hain,
22:45jo ke tuloo e fajr se
22:47takreeban 10 minute pehle ka waqt hota hai,
22:49fajr ki azaan ke waqt khaa pee rahe hoon,
22:51main dubara repeat karta hoon,
22:53taake baat pakkee ho jaye,
22:55zihin nasheen ho jaye,
22:57ki fajr ki azaan tuloo e fajr ke baad hoti hai,
22:59aur Allah ta'ala yeh firma rahe hain,
23:01ki roza shuru ho jata hai,
23:03tuloo e fajr ke saath hi,
23:05aur maghrib tak jaari rahta hai,
23:07isi tariqah se, agar isko opposite dekhein,
23:09ki agar koi maghrib ke waqt se,
23:115 minute pehle khaa lein,
23:13to uska roza nahi hoga,
23:15kyon ke roza ka waqt tabhi jaari hai,
23:17to uska roza se shuru hoga,
23:19maghrib tak jaari rahega,
23:21please is ghalati ko mat keejiye,
23:23insaan ka roza nahi hota,
23:25kuch log kehtein ki,
23:27jee oh aapne mujhe bataya,
23:29lekin main to pichle 50 saath se aise roza rakh raha hoon,
23:33pehli baat to mujhe,
23:35is cheez ki bhi samajh nahi aati,
23:37ki insaan ko kya nafsiyati boost milta hai,
23:39ki insaan ne aakhri second tak khaana hai,
23:41balke jab fajr ki azaan ho rahi hai,
23:43tabhi khaana hai,
23:45agar hum 5 minute,
23:4710 minute pehle rok denge,
23:49to tabhi inshaAllah
23:51na pyaas lagegi, na bhook lagegi,
23:53roza aaraam se ho jayega inshaAllah,
23:55to yeh kya nafsiyati,
23:57psychological,
23:59insaan ko boost milta hai,
24:01ki insaan ko aakhri second tak hi khaana hai,
24:03balke main to aapko targheeb deta hoon,
24:05ke
24:07duloo e fajr se,
24:0910 hi nahi, 15 minute pehle rok dejiye,
24:11aur uske baat brush kijiye,
24:13ek aur masalah hai ki
24:15brush main generally log
24:17toothpaste istamal karte hai,
24:19toothpaste ka andar zaika hota hai,
24:21roza ke andar,
24:23kisi cheez ka zaika
24:25chakhana bhi
24:27disliked hai, makrooh hai,
24:29to isliye
24:31toothpaste mat kijiye roza ke dauran,
24:33duloo e fajr ke baad
24:35toothpaste mat kijiye,
24:37toothpaste kijiye, dekin
24:39duloo e fajr se pehle,
24:41to 15 minute pehle
24:43rok dejiye,
24:45toothpaste kijiye,
24:47by the way, agar toothpaste
24:49insaan ke halak mein daakhil ho gayi,
24:51duloo e fajr ke baad,
24:53agar taste karna makrooh hai,
24:55agar andar daakhil ho gayi to roza toot jayega,
24:57roza kisi bhi cheez ke khaane peene se
24:59toot jayata hai, kuch bhi ho,
25:01wo paper khaana ho,
25:03nail biting ho,
25:05insaan naakul chubata hai,
25:07kuch logon ki aadat hoti hai,
25:09paper log chuba lete hai,
25:11kisi bhi cheez ke khaane peene se
25:13roza toot jayata hai,
25:15uske baare bhi inshaAllah tafseel hum
25:17aane wale duron mein karte rahenge,
25:19inshaAllah ul aziz,
25:21agar toothpaste galati se bhi
25:23halak ke neeche chale gayi,
25:25to roza toot jayata hai,
25:27to taste karna bhi makrooh hai,
25:29to please toothpaste 15 minute pehle kar lijiye,
25:31uske baad tahajud ki 2-4 rakat pad lijiye,
25:33dua bangiye,
25:35Allah ta'ala ne taufeeq de diye sehri pe utne ki,
25:37to ye to kabuliyat e dua ka waqt hai,
25:39to please
25:41dua mangiye,
25:43tahajud padhiye,
25:45aadat banale hum log tahajud padhne ki Ramzan ul Mubarak ke andar,
25:4730 din hai humare paath,
25:49inshaAllah aadat pakki ho sakti hai,
25:51to please
25:53apne roza ko kharab na karein,
25:55last but not the least,
25:57jaise tahajud
25:59mein dua mangni chahiye,
26:01isi tariqah se
26:03iftaar ke waqt,
26:05roza kholne se bilkul pehle,
26:07ye bhi kabuliyat e dua ka waqt hai,
26:09isi waqt bhi
26:11waqt please zaya mat kijiye,
26:13isi waqt sare log
26:15haath uthayein,
26:17Allah ta'ala se dua mangiye,
26:19humne sara din
26:21ek tarah se Allah ta'ala ke liye mazdoori kiye,
26:23aur Nabi Karim A.S.
26:25na firmaaya ki mazdoor ka pasina
26:27khushk hone se pehle uski mazdoori ata karo,
26:29to humne bhi to
26:31mazdoori kiye ek tarah ki,
26:33to Allah ta'ala se haath uthayein,
26:35Allah ta'ala se mange, jo
26:37mang raha hai mange, duniya bhi mange,
26:39aakhirat bhi mange, Allah ka qurb
26:41aur Allah ki muhabbat bhi mange,
26:43Nabi Karim A.S. ki muhabbat bhi mange,
26:45gunaahon se bachne ki tofeeq bhi mange,
26:47neekiyon ki tofeeq bhi mange,
26:49khatma bil khair
26:51ki dua bhi mange, apne liye bhi mange,
26:53apne aziz-e-kaarib, apne mulk,
26:55ummat ke liye bhi mange,
26:57ye waqt kabuliyat e dua ka hai,
26:59sare gharwale table pe
27:01behtein iftaar ke liye,
27:03to sabko tarqeeb dijiye,
27:05shohar bhi mange,
27:07bibi bhi mange,
27:09bache bhi mange, waldein bhi mange,
27:11olaad bhi mange, sab log haath uthayein,
27:13Allah ko kitna pyaar aayega,
27:15is poore khaandaan pe,
27:17sare khaandaan wale
27:19is waqt apne haath utha ki
27:21Allah se, Allah ki qurb ki bheek mange,
27:23to ye waqt bhi zayaabat kijiye,
27:25jo bhi iftaar ke liye samaan hai,
27:27usko thodi der pehle
27:29roktein,
27:31das min pehle roktein,
27:33table pe sare log milkar rakhein,
27:35haath utha ke Allah taala se,
27:37dua mange, roza iftaar karein,
27:39maghrib ki namaz,
27:41mard jamaat me jaake padein,
27:43Allah taala hum sabko is Ramzaanul Mubarak me
27:45khoob apna qurb ata karein,
27:47aisa Ramzaanul Mubarak guzaarne ki tofeeq
27:49ata formaayin,
27:51jisse Allah razi ho jayein,
27:53mere liye bhi dua kijiye ka,
27:55is Ramzaanul Mubarak me bhi,
27:57silsila ko jaari rakhein,
27:59ab se dua ki darkhaazat hai,
28:01wa akhrur da'awana anil hamdulillahi rabbil alameen,
28:03assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu.

Recommended