• last year
Deen e Fitrat | Speaker: Shaykh Mufti Tauqeer

#DeeneFitrat #ShaykhMuftiTauqeer #ARYQtv

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00As-salamu alaykum wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa barakatuhu, wa salamu ala
00:19Ibadihilladheena Astafa Amma Ba'ad, Fa'udhu Billahi Minash Shaitanir Rajeem, Bismillahir
00:24Rahmanir Raheem, Allahumma Salli ala Sayyidina wa Nabiyyina Muhammad wa ala aali Sayyidina
00:29Muhammad wa barik wa salim, Subhanaka la ilmana illa ma'allamtana innaka anta al Ali wal Hakeem
00:37Ramadhanul Mubarak kabhi recently guzra hai, umeed hai ki hum sab logon ne Ramadhanul Mubarak
00:43se bharpoor fayda uthaya hoga aur jo Ramadhanul Mubarak ka maqsood tha taqwa ka husool, hum
00:52sab ko kisi na kisi darja mein Inshallah taqwa naseeb hua hoga, jis jis ne mehnat ki Ramadhanul
00:58Mubarak ki andar apni zaad ki upar mujhe yaqeen hai Inshallah ta'ala usko zarur fayda hua
01:04hoga. Humme apnaap ko yaad karana chahiye ek baat ki Ramadhanul Mubarak ek aisa mahina
01:11hai jo Allah ta'ala ne har mahine rakha hai. Uske baad ek din aata hai jisko hum Eid ka
01:16din kehte hain. A'da ya'udu ka Arabi zabaan mein matlab hota hai, koi cheez jo lot kar
01:21aaye, baar baar aaye. To Eid ka din, isliye Eid ka din hota hai kyunki wo har saal aata
01:27hai. Aur of course, wo aata hai Ramadhanul Mubarak ke baad. To chunki Eid har saal aati
01:34hai to Ramadhanul Mubarak har saal aata hai. Aur yeh Allah ta'ala ka bohot bada karam
01:38aur ihsaan hai humare upar ki Allah ta'ala ne hum sabko Ramadhanul Mubarak ka mahina
01:42diya hai. Isliye kyunki Ramadhanul Mubarak insaan ki ruhaniyat ke liye ek boost hai.
01:50Jis tarah hum log khaana khaate hain rozana. Lekin fir kabhi kabhi hum vitamins lete hain.
01:56Hum additional supplements lete hain. Isi tariqaise Ramadhanul Mubarak ek additional
02:02supplement hain. Ek spiritual boost hain. Humare liye zaruri hain, laazim hain ki humari
02:08ruhaniyat intact rahein. Uske liye laazim hain ki hume Ramadhanul Mubarak jaisa mahina
02:13aur iske baad aur bhi kuch ayam aayenge jo ki humari ruhaniyat ke liye laazim hain.
02:19Dhul Hijjah ka mahina hain. Uske andar jo pehle 10 din hain aur phir uske baad Muharram
02:26ka mahina, Rabiul Awwal aur uske baad Shaban, Ramadhan. Toh har thode dinon baad Allah
02:32Ta'ala hume kuch aise din dete hain jo humari ruhaniyat ke liye zaruri hote hain. Hume unse
02:38fayda bhi uthaana chahiye. Lekin sabse badkar jo main baad karna chahara hun wo ye hain
02:43ki wo jo unse fayda hota hain, usko hum maintain karein. Hum us spirituality ko maintain
02:49karein. Hum us ruhaniyat ko maintain karein. Wo jo taqwa hume naseeb hua tha hum usko
02:54maintain karein. Hum us taqwa ko khatam na hone deyin. Wo jo ruhaniyat hume mili thi
03:01usko hum kam na hone deyin. Yeh aise hi hain jaise hum log koi battery charge karte hain,
03:07hum phone charge karte hain. Aur phone ko charge karte hain ke baad hum misaal ke taur pe
03:12hum travel pe hain, hum log safar pe hain. Toh aur hume kahin pe charging station na
03:17mil raha ho. Toh hum try karte hain, koshish karte hain ki hum aise unnecessary applications
03:24use na karein, jo ke mere phone ki battery ko drain karte hain. Haan, agar charging station
03:30mil raha ho, toh phir hum istamaal kar lete hain apna phone bagayar, zyada fikar kiye
03:34hua hain. Lekin, agar hume charging station na mile, toh hum kehte hain ki aaj, angli
03:3924 ghante mein hume, hum charge nahin kar paayenge. Toh let's maintain it. Let's try
03:45to keep our battery charge, right? Apne battery ke charge ko maintain rakhne ki koshish karein.
03:51Hume bhi, ab ye jo charging station hain, kuch dino baad milega. Ab Zulhijja mein aake
03:5610 din milege. 2 mehne ka gap hain. Hume koshish karni hain ki us rohaniyat ki battery
04:02ko drain na hone de, usko charge rakhein. Toh usko charge rakhne ka tariqa kya hain?
04:07Usko charge rakhne ka tariqa, Allah ta'ala ka istihzaar hain. Sabse pehle, ki Allah ta'ala
04:12hume yaad rahein. Har waqt Allah subhanahu wa ta'ala ki hume yaad rahein. Dekhin,
04:17jo cheez, isko, iska charge khatam karni ki koshish karti hain, wo do cheez hain. Ek
04:22humare nafs ki apni khaishaat, aur doosar shaitaan. Shaitaan ko Allah ta'ala ne qaid
04:27kiya hua tha, jo baaghi shayateen the, unko Allah ta'ala ne Ramzaanul Mubarak mein qaid
04:31kiya hua tha. Wo bahar aa jaate hain. Plus, humare nafs ki khaishaat ko Allah ta'ala
04:37ne qadre control kiya hua tha, halal cheezon se roh ke, ab wo cheez wapas aa jaate hain.
04:43Toh nafs ki khaishaat aur shaitaan, in dono ki wajah se humare rohani battery discharge
04:49hoti hain, ya drain out hoti hain. Kyun ki hum log aise kaamon mein padh jaate hain,
04:53jo ki Allah ta'ala ko mansoor nahin hain. Allah ko napasand hain, jin se Allah ta'ala
04:58ne mana firma hain. Toh in short, har guna, har Allah ta'ala ki nafirmani, har Nabi
05:04Kareem A.S. ki nafirmani, ye cheez humare rohani battery ko drain out karti hain, uska
05:11charge khatam karti hain. Toh Allah ta'ala ki yaad rakhein, jab bhi humare nafs ke
05:16andar se koi taqaza pehda ho, jab bhi shaitaan hume koshish karke wasfasah daale aur hume
05:23aise burri khayalah dil mein daale ke ye ghalat kaam karlo, ya wo ghalat kaam karlo, Allah
05:29ta'ala ki yaad hume in dono cheezon se bekaabu deki Inshallah. Shaitaan wasfasah daalega,
05:38toh hum Allah ta'ala ko yaad karenge, Allah ta'ala ne bhi Quran mein ke dar firmaaya
05:41ke jab bhi shaitaan tumhe koi wasfasah daale, fasta'id milna, toh Allah ta'ala ki fana
05:46talab kar liya karo. Hum kaheen, a'oodhu billahi minash shaitaanir rajim, ya Allah
05:50ye shaitaani wasawas mujhe aa rahe hain, Allah please aap isse mujhe mehfooz kar lije.
05:55Aur jab nafs ka taqaza andar se pehda hoga, jab shayad andar se nafs cheekhega koi ghalat
06:01kaam karne ko, koi ghalat baat bolne ko, koi burri alfas ke istimal karne ko, koi
06:06agreebat karne ko, jhoot bolne ko, ya koi burri cheez dekhne ko, ghalat cheez dekhne
06:11ko, ghalat cheez sunne ko, koi ghalat kaam karne ko, toh usko bhi Allah ki yaad se insaan
06:18suppress karein. Insaan yaad karein ke aakhirat hain, usse pehle maut hain, kabar hain, aakhirat
06:26hain, maut pe kis tarah ke farshtein humko lene aayenge, ye sari depend karta hai ki
06:32zindagi kaisi guzri hain. Kabar kaisi banegi, wo jannat ka ek baag banegi, Allah na karein,
06:38jahannum ka ek gara banegi, wo depend karta hai ki hum zindagi mein aamaal kaise karte
06:44hain. Qiyamat ke din ek meezan hain, ek tarazu hain, jis pe nek aur burre aamaal rakhe jaayenge
06:50aur jis taraf palra jhuk jaayega, us taraf faisla ho jaayega.
06:54pamma manthaqulat mawazi nuhu fahuwa fee aishatir raadiya
06:59jis ke nek aamaal ka palra bhaari ho jaayega, toh wo manpasand zindagi mein hoga aish karega
07:03pamma mankhaffat mawazi nuhu faumuhu haaviya
07:07aur jis ke neki ka palra halka ho jaayega, toh uska thikaana haaviya hain
07:11wa maa adraaka maa hiya, Allah taala pooshte hain, ki tumhe pata hain
07:15ke ye kya hain, naarun haamiya, wo bhadakti hui aage, maazallah
07:19aamaal rakhe jaayenge, ye burra aamaal hain, ye achha aamaal hain
07:23agar main burre aamaal karunga, toh mujhe aakhirat yaad aani chahiye
07:27mein kis tariqah se us neki ka palra ko bhaari kar paunga
07:31phir naama aamaal diya jaayega
07:35Allah taala firmaatein, ki har bande ko naama aamaal milega
07:39aur kaha jaayega, ikra kitaabak, apni kitaab ko khud pado, ye tumhare hisaab ke liya
07:43aaj hi kaafi hain, aur jino ne burre aamaal kiya hunge
07:47zyada kiya hunge, wo padeyenge aur parishaan ho jaayenge
07:51wo dar jaayenge, wo kaayenge maa lihaadil kitaab
07:56la yughadiru sagheeratan wala kabeeratan illa ahsaaha
08:00ye kaisi kitaab hain, na iske, koi choti badi cheez isse bachi nahi hain
08:04wa wajadu maa amilu haadira, aur jo unhone amal kiya hunge
08:08Allah taala firmaatein, ki us kitaab ke andar wo haazir paayenge
08:12waha pe likha hua hoga, aur Allah taala firmaatein ki
08:16tumhare Rabb kisi bhi zulm nahi karega, tumhare apne aamaal hain ye
08:20insaan yaad kar raha hai, isi ko to yaad kahte hain
08:24Allah taala ki yaad karna sirf kuch tasbihat ko poora karne ka naam nahi hain
08:30Allah taala ki asal yaad ye hain, ki jab andar se nafs bhadkaaye
08:34shaitaan war ghalaaye, to us waqt Allah taala ki yaad aaye
08:38isko Allah taala ki yaad kahte hain
08:42humari bad kismati hain, apni kamzori bhi main samajhta hu
08:46mein haseet-e-ummat, hum sabki hi
08:50kisi darje mein ye kamzori hain, ki hum log jo
08:54jisko hum Allah ki yaad samajhte hain, yaani wo tasbihat, wo azkaar
08:58usme bhi kayi Allah taala ki yaad hoti nahi hain, istizaar nahi hota hain uske andar
09:02aap dekhiye ki namaz ke baad jo azkaar hain
09:06teen azkaar hain, subhanallah, alhamdulillah, allahu akbar
09:10aur phir jo uska completion hai, wa la ilaha illallah
09:14wa ahdahu la sharika la, wa huwa ala kulli shay'in qadeer ke saath hain
09:18to 100 ho jaate hain, 33, 33, 34, ya phir 33, 33, 33
09:22aur phir ek wo
09:26kitne log aise hain, jinko ye bhi nahi maloom
09:30ki subhanallah ka matlab kya hain, alhamdulillah ka matlab kya hain, allahu akbar
09:34ka matlab kya hain, ab aap sochiye ki hum sirf
09:38tasbih phir rahe hain, haato pe ya tasbih ke daanon par, lekin
09:42agar istis ko maloom hi nahi hain ki hum keh kya rahe hain, ti kaisa zikr hua
09:46agar hume, uska matlab aata bhi hain
09:50lekin hume agar Allah taala ki yaad nahi hain, subhanallah, subhanallah, subhanallah
09:54alhamdulillah, hum pata hi nahi hai, bol kya rahe hain, ti kaisa zikr hua
09:58to asal mein, Allah taala ki yaad rahe na
10:02istarike se, ki insaan ko jab nafs
10:06aur shaitaan bhadkaaye, ya warghalaaye, to Allah taala ki
10:10yaad aa jaye, aur insaan un gunahon se bach jaye
10:15ye hai asal Allah ki yaad, ye jo baaki tasbihaat hain
10:19ye insaan ko us mode mein rakhne ke liye hain, ki har waqt
10:23Allah ki yaad rahe hain, namaaz insaan padhta hain, namaaz khud se Allah taala ki yaad hain
10:27waqim-e-salaat-a-ali-zikri, Allah taala firmaatein
10:31namaaz kaim karo, meri yaad ke liye hain, namaaz asal mein Allah subhanahu wa taala
10:35ki yaad ke liye, ek tool hain, ek ibadat hain
10:39lekin Allah taala ki yaad ko maintain rakhne ke liye
10:43wehsiyat-e-khud zikr hain, wehsiyat-e-khud ek yaad hain, aur Allah taala ki
10:47har waqt yaad mein help karta hain, pur uske baad jo tasbihaat
10:51hain jaise humne zikr kiya, wo bhi Allah taala ki yaad
10:55ko har waqt dil mein rakhne ke liye Allah taala ne diye hain, aur isi tarah ki
10:59baaki askaar, sobh-o-shaam ki askaar
11:03mukhtalif aukaad ki askaar, ghar se nikalne ka zikr, ghar mein daakhil hone ka
11:07masjid mein jaane ka, masjid mein se nikalne ka, baathroom jaane ka
11:11baathroom se nikalne ka, safar bejaane ka, wapas aane ka
11:15waghara, waghara, waghara hain jitne askaar hain, dua bhi hain
11:19of course, lekin Allah taala ko ek khas
11:23jab aukaad hote hain, khas mubaake hote hain, usmein Allah taala ko yaad
11:27karne ka bahane bhi hain, lekin in sabse
11:31achieve kya hota hain, achieve yi hota hain ki insaan ko har waqt Allah ki yaad aajaati hain
11:35yahi Allah taala ki demand hain
11:39kina yadkuruna Allaha qiyaman wa qaoodan wa ala junoobihim
11:43ki ulul albaab jo akalman log hain unki taarih
11:47piyaan karte hu, Allah subhanahu wa taala ne firmaaya ki wo log hain jo Allah ko
11:51yaad karte hain, khade, baithe aur lete hue
11:55teen hi positions mein ek insaan hota hain
11:59ya khada hota hain, ya baitha hota hain, ya leta hota hain, to Allah taala
12:03chahate hain ki khade, baithe, lete, har waqt Allah ko yaad karo, lekin yi kaise mumkin
12:07hain, yi usi waqt mumkin hain jab insaan
12:11apne aap ko uz mood ke andar lekar jaye, uske liye jaise mene arz kiya
12:15ki namaz pe hum log meinat karein, namaz ke baad
12:19ki askar ko istihzaar ke saath padein, subhanallah, alhamdulillah
12:23Allahu Akbar, baaki musnoon askar ki
12:27ki pawandi karein, usko bhi istihzaar ke saath, randomly nahi
12:31ghaflat ke saath nahi, duaon ka bohot ihtimam kiya jaye
12:35Allah taala se manga jaye, inshaAllah taala in tips ke zariye se
12:39insaan ko aista aista wo kaifiyat nasib hoti hain
12:43ki insaan ko har waqt Allah ki yaad nasib hoti hain, aur jab har waqt
12:47Allah taala ki yaad nasib hoti hain, to jab shaitaan aur nafs insaan ko
12:51bhadkata hain, to insaan ko duniya, kabar, aakhirat
12:55jannat, jahannum, yeh sab cheezein yaad aati hain
12:59aur insaan apne aap ko rokne mein kisi darje tak kamyab hota hain
13:03aur jab insaan guraa nahi karta, Allah taala ki nafarmani nahi karta
13:07to uski jo rohani battery hain, wo itti jaldi
13:11discharge nahi hoti hain, kuch cheezein hoti hain jo mahal se
13:15insaan ki waisi discharge honi shuru hoti hain, mahal theek nahi hain
13:19aapke ird gird mein log ghalatiyan kar rahe hain, unko jab
13:23insaan ke darmian jaata hain, to wo insaan ki rohani battery ko effect to
13:27karti karti hain, lekin wo jo ek sudden drop aata hain, wo insaan
13:31khud ghalati karne se aata hain, aur agar kabhi bhi
13:35hasiyat-e-insaan ghalati ho jaye, nazar kisi ghalat cheeze pe padh jaye
13:39moose zabaan se koi ghalat cheeze nikal jaye, to fooran
13:43uske upar ek patch lagaya jaye, fooran isko roka jaye
13:47as opposed to ke pilkul drain out ho jaye, fooran
13:51ekdum se uske upar ek patch lagaye, usko roke, uske upar ek band bande
13:55aur wo band tauba ka band hai, fooran istighfar ki kaifiyat me
13:59jala jaye, ukho, istighfarullah, wo se jhoot nikal gaya
14:03istighfarullah, moose kisi ki gheebat ho gayi, istighfarullah, mere se koi
14:07bad kalami ho gayi, koi bura lafz nikal gaya, istighfarullah, meri aankhon se
14:11koi ghalat cheeze dekhi gayi, istighfarullah, mene kisi ke baare mein ghalat baat sun li
14:15istighfarullah, mere se kisi ki tehkeer ho gayi, kisi kam
14:19mazaak udaya gaya, fooran ek band baan liya jaye
14:23fooran tauba ka band baan a jaye, aur inshaAllah ta'ala agar is tarteeb ke
14:27ghalat rahenge, toh insaan ki ruhaniyat mazboot rahegi, ek ta'alub wa Allah
14:31hoga, ek minan-e-qalb ki kaifiyat hogi, dil mein sukoon hoga
14:35inshaAllah duniya mein bhi fayda, qabar bhi inshaAllah jannat banegi
14:39aakhirat me bhi inshaAllah ta'ala, hisaab kitab pe khair hogi
14:43inshaAllah Allah ta'ala ki taraf se jannat ke faisle hongi, Allah ki rahmat se
14:47ye ek post Ramadan karne ki cheeze hain, poora saal
14:51karne ki cheeze hain, sari umar karne ki cheeze hain, Allah ta'ala sabse pehle to
14:55tohfeeq deyin, aap sab logon ko bhi Allah ta'ala tohfeeq ata formaayin
14:59inshaAllah ek choti se break lenge, aur break ke baad aapke sawalon ke saath
15:03dubara hazar honge, agar aapke koi sawalat hain toh aap
15:07email bhi kar saktein, email hain tinefitrat
15:11at arydigital.tv, miltein ek choti se break ke baad
15:15Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu, welcome back, break ke baad aapke
15:19sawalon ke saath hazar hain, kisi ne sawal kiya, kisi khatoon ne
15:23sawal kiya hain ki, main duaa karti hun, aur duaa kabool
15:27nahi hoti, toh main na umeed ho jati hun kabhi kabhi
15:31aur phir, main unke alfas quote karna hun, ke mujhe
15:35ek naaraazgi si bhi ho jati hain
15:39toh dekhein, humein ye cheeze
15:43pe imaan hona chahiye, ke Allah ta'ala apne bandon se bohot
15:47mohabbat karte hain, Allah ta'ala al hakeem hain
15:51Allah ta'ala ki har baad mein hikmat hain, Allah ta'ala al aleem hain
15:55Allah ta'ala ke paas sab ilm hain, har cheez ka ilm hain
15:59Allah ta'ala ar raheem hain, ar rahman hain
16:03rahmat ki jitni bhi khususiyat hain
16:07uski intensity keh lein, uski
16:11uski vastness keh lein, wo sab Allah ta'ala ke paas hain
16:15Allah ta'ala al adl bhi hain, zulm bhi nahi karte hain
16:19toh Allah ta'ala pe ye imaan hona, ye yaqeen hona
16:23ye bohot, ye toh har musalmaan ke liye zaruri hain
16:27ye hi toh imaan hain, ye hi toh tawheed hain
16:31ke Allah ta'ala ki jitne bhi sifati naam hain
16:35unpe kaamil imaan hona, ye toh imaan ka taqaza hain
16:39toh jib Allah ta'ala zulm nahi karte, Allah ta'ala
16:43mohabbat karte hain, Allah ta'ala maaf karte hain, Allah ta'ala ke paas
16:47hikmat hain, Allah ta'ala ke paas ilm hain, toh pe mera har
16:51kaam Allah ta'ala ki hikmat aur Allah ta'ala ki ilm aur Allah ta'ala ki
16:55mohabbat ke saath ho raha hain, ye hi toh takdeer par imaan hain
16:59takdeer par imaan kya hota hain, takdeer par
17:03ek toh imaan ye hain ki ye iski paidais ho gayi, iska intikal ho gaya
17:07toh qaddar Allah, jis tarah Allah ne
17:11chahan, jis tarah Allah ta'ala ne usko
17:15uska andaze, main apne andaze mein kiya kaam, toh humara imaan
17:19isko par theek hain, lekin takdeer par imaan ye bhi toh hain, ke maine
17:23dua ki aur kabhi wo dua
17:27be ayni hi kabool ho gayi, aise hi kabool ho gayi, jaise ke maine maangi
17:31tak toh koi masla hi nahi hain, lekin kabhi kabhi wo dua
17:35waise kabool nahi hoyi, jaise ke maine maangi, balke uske
17:39ilawa koi cheez mil gayi, toh ye bhi dua ki kabooliyat hain
17:43lekin dua maangi aur wo kabool hoyi nahi
17:47wo na mujhe wo mila, na us jaisi koi cheez mili
17:51toh yehi toh takdeer par imaan hain ki
17:55main Allah ki raza mein razi, ye takdeer par imaan
17:59ke main Allah ki raza mein razi, kyun ke wo cheez
18:03jo maine maangi, wo mere liye duniya aur akhirat ke liye achi nahi thi
18:07Allah ta'ala ki ilm ke mutaabik
18:11Allah ta'ala ki hikmat me, wo cheez mere liye duniya aur akhirat me
18:15achi nahi thi, isi liye toh meri wo dua kabool nahi hoyi
18:19lekin yaad rakhiye, ki ye dua zaya nahi jaati hain
18:23jo Allah ta'ala apni hikmat aur apni ilm aur apni iraade se
18:27duniya mein ata nahi karte, kyun ke Allah ta'ala ko pata hai ke wo mere liye achi nahi hain
18:31ye dua zaya nahi hoti hain, ye dua ka ajar
18:35Inshallah, qiyamat ke din insaan ko milega
18:39Zaya toh kisi surat mein nahi jaati hain
18:43Dua toh ibadat hi toh hain
18:47Ibadat ka maghaz hain
18:51toh jab dua ibadat hain, khud se ibadat hain
18:55toh koi bhi ibadat, jab insaan Allah ke liye karta hai
18:59toh uska ajar toh akhirat mein milta hain
19:03toh jab dua maangi aur dua ayn ibadat hain
19:07toh ismein Allah ki raza hain
19:11Allah ta'ala ki hikmat, Allah ta'ala ne hikmat ke tehad
19:15apni iraade se, apni khud se, apni ibadat se
19:19toh ismein Allah ki raza hain
19:23toh ismein Allah ki raza hain
19:27toh ismein Allah ki raza hain
19:31toh ismein Allah ki raza hain
19:35apni iraade se, apni khudrat se, apni hikmat se, apni ilm se
19:39humein nahi di, ismein khairi hoti hain
19:43iski misaal aisi hai, ki hum jo aure bacche hote hain, chote chote bacche
19:47wo kabhi kabhi waldein se koi aisi cheez ka taqaza karte hain, aisi cheez demand karte hain
19:51jo unke liye achi nahi hoti hain, aur iske liye wo zid karte hain
19:55lekin waldein ko pata hain ki wo cheez unke liye achi nahi hain
19:59aur wo bacche ko nahi dete hain, baccha zid karega, kabhi kabhi baccha
20:03mayoosa ho jata hain ki mujhe nahi mili, naraz bhi ho jata hain
20:07mujhe kyu nahi mili, root jata hain
20:11hum bhi chote se bacche ki tarah hain Allah taala ke saamne
20:15jis tarah waldein ko pata hain, ki ye cheez bacche ke liye achi nahi hain
20:19Allah taala ko pata hain, ki ye cheez mere liye achi nahi hain
20:23isliye Allah taala wo cheez nahi dete hain, balki kabhi kabhi toh
20:27insaan ko zindagi ke andar ihsaas hota hain is cheez ka
20:31koi cheez maine maangi thi, bahot shiddat se maangi thi, wo cheez nahi mili
20:35ho sakta hain ki main mayoos ho gaya hoon, lekin
20:3910 saal ke baad, 15 saal ke baad, when I reflect back
20:43jab main peeche dekhta hoon ki zindagi mein, aur main dekhta hoon ki
20:47accha hi hua ki wo cheez nahi mili, kyunki mujhe cho cheez mili
20:51aur jis raaste mein main chal pada, agar wo cheez mil jati
20:55jo ke main maang raha tha, toh jitni taraki main is raaste mein ki hai
20:59us raaste mein toh shayad utni taraki mujhe nazar hi nahi aati
21:03us waqt mere chote pan ke hisaab se, meri choti soch ke itiwaar se
21:07jo main cheez, jisko main dekh raha tha, jiska main khaab dekh raha tha
21:13jisko main vision kar raha tha, wo cheez us waqt mujhe badi lag rahi thi
21:17aaj 10-15 saal ke baad, wo cheez mujhe choti lag rahi hai, aur Allah taala
21:21ne jis raaste mein mujhe chalaya, us raaste mein mujhe bahot badi badi cheeze mili
21:25jo ke us raaste mein milti nahi, toh insaan kabhi kabhi khud ihsaas karta
21:29hai zindagi ke andar, ke yeh toh acha hi hua, toh please Allah se duaa karein
21:35aur yaqeen ke saath karein, aur Allah taala pe tawakkul karke,
21:41Allah pe itiwaar karke, Allah se mohabbat karke, khair ki duaa mange
21:47mil jayein, bahut achi baat hai, us pe Allah ka shukar ada karein
21:51agar nahi milein, toh please mayoos mat hoyein, please mayoos mat hoyein
21:55please mayoos mat hoyein, inshaa Allah uske andar koi na koi khair chupi hui thi
22:01Allah taala hum sabko naik banayein, Allah subhanahu wa taala hum sabko
22:05aisa banayein, jis se Allah taala razi ho jayein, inshaa Allah taala
22:09agal hafte aapke saath phir program mein haziri hogi, us waqt tak aap
22:15apne aur sawalat bhi email kar sakte hain, dinefitrat at airwayedigital.tv
22:20par, us waqt tak hijazat dijiye doa mein yaad rakhiyein
22:23wassalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu
22:26wa akhrur da'awana wa nilhamdulillahi rabbil alameen

Recommended