Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal
Watch All the Episodes of Dars e Bukhari | https://www.youtube.com/playlist?list=PLQ74MR5_8XifqqMqj-CSEsTT2kgVuPG2D
#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation
Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://bit.ly/aryqtv
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Watch All the Episodes of Dars e Bukhari | https://www.youtube.com/playlist?list=PLQ74MR5_8XifqqMqj-CSEsTT2kgVuPG2D
#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation
Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://bit.ly/aryqtv
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Bismillahir Rahmanir Rahim, Allah ta'barak wa ta'ala ke pakiza naam se aagaz karte hain
00:26Dars-e-Bukhari ka silsila 2597 number hadith-e-pak tak pohcha tha, Hazrat-e-Abu-Humayd-as-Sa'id-e-Radhi-Allah-o-Ta'ala-anhu
00:39iske raabi hain, bayan karte hain ki sarkar ne, ek qabeela ke ek shahs ko sadaqat ki wasooli ke liye aamil bana kar bheja
00:47jab wo maal lekar aaye toh unhone kush maal toh diya, kaha ye aap logon ke liye aur ye mera
00:53aur iski wajah ye bataye ki ye toh mujhe jab mai gaya toh mujhe batore tohfa diya gaya tha, toh ye mai rakhunga
00:58toh Rahmat-e-Qaunayn sallallahu alaihi wa sallam ispar naraz hui aur firmaaya ki koi apne waleed ya waleeda ki ghar mein kyon nahin bait gaya
01:04fir dekhta usko tohfe milte, yani tohfe toh tumhe isi wajah se mile ke aamil banaya gaya tha
01:09toh lihaaza ye tumhara haq nahin hoga, balke ye yahan dene honge, baith-ul-maal mein jama karane honge
01:16iske baad Rahmat-e-Qaunayn sallallahu alaihi wa sallam ne ishaad firmaaya ki jo shakhs, qiyamat ke din wo shakhs us cheez ko
01:23yani koi bhi cheez agar le lega istara najaiz, toh qiyamat ke din apne gale mein latka kar usko laayega
01:28jaanwar bhi honge, usmein digar cheeze mein honge, aur fir aapne Allah ta'ala ki bargah mein arz ki
01:33ya Rabb-e-Karim kya maine tabligh kar di hai, ya Rabb-e-Karim kya maine tabligh kar di hai, teen dafa aapne baat kahi
01:40toh yeh hum aapko samjha rahe the ki achitara yaad rakhe hain ki agar koi kisi ko zimmedaari deta hai
01:45ki aapko kuch wasool karke laana hai, usmein se, na usmein se rakh sakta hai, bighar ijazat, yeh bhi amanat mein khiyanat hogi
01:52aur isi tariqat se tahaif wa gharah milein, toh bhi nahin le sakte hain, wo laakar udar hi jama karane honge
02:00agar us maal mein se rakhega, toh lazım baat hai toh amanat mein khiyanat hai
02:04aur agar tohfe tahaif lega, toh isliye Sarkar ne mana farmaya, ki agar aap tohfe tahaif lene koi ijazat dedhi jaati
02:11toh har ek paakiza fitrat ka nahi hota hai, wo jaata aur agar koi shafs kehega, masyaal ke taur pe zakat wasool karni hai
02:18toh kehega, yaar thoda kam poori lik de, thoda tohfa le, aur bas cheating kar le
02:24aaj kal dekhen aisi ho raha hai, tax ke masayil dekh lein, digar muaamlaat ke masayil, offices mein jaakar
02:30toh aaj thokha saamne se rishwat nahi maange jaati, hum khud thoda bhot karke yun de kehte hai, yaar kar do bas mera kaam kar do
02:37toh jab is tarah ki surat-e-haal hua, hum khud bata hai, agar tohfe lene ki ijazat dedhi jaayi
02:42toh fir insaan jo sharai haqook hain, unmein kotaahi ka murtakib hona shuru ho jaayega
02:48aur apne zaati mafadaat par deeni mafadaat ko qurbaan kar dega, isliye Nabiye Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne mana farmaya
02:56toh lihaaza kisi ko bhi aisi ko zimmedaari di jaayi, ki wo company ke kaam se gaya hai, digar muaamlaat kiya hai
03:02toh wo tohfe naa le, isse badgumaniya pehda hoti hain, aur farz kar lein tohfe mile toh company pe laakar pesh kare
03:08ki yeh mujhe taaif diye gaye hain, agar aap kehte hain toh main rakta hun, warna jisse aap faisla farma hain
03:12yeh hai diyana daarana ikdaam, aur yeh hi hona chahiye, isi tariqah se baaz madaris hote hain
03:18ki jo hire karte hain logon ko, ki aap hamari taraf se jaakar chanda jama karein
03:24toh yeh aamil fi zakat ke hi takriban hukum mein hote hain, ki yeh jaakar baaz oqat toh masajid mein jaakar
03:30ailaan karte hain, ki main fula madarsi ke taraf se aaya hun, letter hota hai inke paas wo shahar ke kisi
03:35bade mufti sahab ka, ki bhi haan yeh NOC, jisse bhi bhi no objection, ki haan theek hai yeh aadmi sahi hai
03:41valid jagah se aaya hai, toh aap madad kar sakte hain, toh isi tariqah se wo chanda jama karte hain
03:46yohi baahar ke mulko mein channel pe time le lete hain, aur kisi badi shahsiyat ko saamne bitha dete hain
03:52unko bhi paisa diya jaata hai, baaz oqat, zururi nahi hai ki har ek leta ho, lekin offer hoti hai
03:57ki aap bas hamari saath baed jayein, aur hum apni idara ke liye chanda karenge, online wo maangte rehte hain
04:01wo aate rehte hain account mein paisa, phir usme se jisne baed kar targibat de thi, usko bhi paisa milta hai
04:08jo aalim sahib ya koi peer sahab baithe hote hain, unko bhi baaz oqat hadiyatan tofatan diya jaate hain
04:15to ye jo is kisam ke log hain, ek to asal chanda mein se nahi le sakte hain, lenge to amanat mein khiyanat ke murtakib honge
04:24aur ismein ye hargis na kahen, ki misaal ke taur par, agar ye ijara karna chahiye iske upar
04:30ki bhaiya aap ye laayenge, to hum aapko itna paisa denge, aapne time nikaala, mehnat ki, uska itni ujrat
04:38aur ye bhi possible hai ki aap yun taye kar lein, ki jitna lekar aayenge, uska 1%, 2%, 5% aapka hoga
04:46isme agarche abhi ujrat malum nahi hai, ki kitna chanda hoga, uska 5% kitna banega, rakam abhi zain mein nahi hai
04:53lekin iski gunjaeesh hai, ye baad mein aa jayega saamne, ki kul kitna hua tha, uska 5% kitne rakam bani
05:00to chunki shuru mein agar jahalat hai bhi, ghaire malum hai, ilm nahi hai, lekin aakhir mein bharat malum ho jayega
05:06to is cheez jagde ki taraf lekar nahi jaati, jisko sharih istilah mein mufdi, mufdi ilal munazaah kahte hain
05:12ki jagde ki taraf le jane wali surat, wo nahi hai, to isliye iski gunjaeesh niklegi
05:17to ye aapne kar liya, to ab wo uski ka mustaheek hai, to baad log aisa hote hain ki kahte hain ki
05:22yaar bahut hi kam mujhe de rahe hala ke meri itni wajahat hai, main itna khufsurat bolta hun
05:27main itna achhe dalail deta hun, itne saari mere paas hadeesin, aayatin main bayan karta hun
05:32log itna saari chanda de dete hain, main na hota, itna chanda na hota, aur mujhe kitna de rahe hain, 2%
05:38to phir baad okaad to mushir beechare aise nikamme kisam ki hote hain, kehte hain, aa tumhara to 10% tak tumhara banta hai haq
05:45to maar lo, tay 2% hua, 10% side me karke la ke bata diya ki bhi itna hai, uspe 2% le liya, baaki 8% pehli nikaal liya tha
05:55yaad rakhein ye haram aur gunah-e-kabira hai, aur ye amanat mein khayanat hai
06:00isi ke baare mein sarkar firma rahein ki jo koi maal lega gale mein latka kar laayega, meydan-e-mahashar mein pata chalega
06:07isi ki nazeer ek ijaara bhi hota hai, yaad rakhein, misaal ke taur pe koi bahuti skills rakta hai, bahuti maahir hai
06:13lekin jab wo CEO agra lekar gaya, interview diya, isko umeed thi ki meri tankha 1 lakh huni chahiye, lekin 40,000 rak di
06:20isne kaha chalo theek hai, yes, aur job nahi hai to ye kar le, lekin ab ye kahta hai ki yaar main koi 40,000 ke banda koi hun
06:27main to lakh ka hun, ab kya karna hai, to ye kaam chori, ya koi chori, yahan se occupant utha liya, koi aur chiz utha liya
06:34agar kisi dukaan pe bitha diya hai, jahaan par paise lenden karna hai, hisaab kitab karna hai, usme gocha maar liya
06:41ki ye to mera haq hai, yaad rakhein jab aap ek rakam par raazi ho gaye the, usse ek rupee bhi zyada nahi le sakte
06:47chahe aap kitne hi baat salahiyat kyun na hoon, ye haram aur gunah-e-kabira hai, ye amanat mein khayanat hai
06:52ye, ye hoga, meydan-e-mahashar mein phir wohi tankha salary galay mein latki hogi, aur rishwat khor aadmi
06:58ye khayin maaroof hoga, aur aakhirat mein gareeft ho jayegi, hisa hargis-hargis na karein
07:03chander takon ke liye, jitna aap kamalenge, kab tak khaalenge, aur ye jo haram ka hota na, aise hi nikal jaata hai
07:09yun aata hai, yun nikal jaata hai, isme barakat rakhi nahi hai Allah taala ne, isliye hisa hargis na karein
07:14to chunache, sarkar ne ishaat farmaaya, jo koi is kisam ka rishwat wala maal le lega
07:19aur ye maine pehle aap, pishle program mein kai misalein aapko, tofe ke zimne mein di thi
07:25ke aaj kal bahut zyada ye chal raha hai, ye tawaam jo rishwate hoti hain, najaiz paisa liya hota hai
07:31ye aakhirat mein, bada wabal-e-jaan ban jayega, aur aar-paar ka muamla hoga wahaan par
07:37log, paseene mein dubkiyaan khaare honge, rang-faqh honge, mujrim kaamp rahe honge, bade-bade mujrim
07:42jin ke aapne naam suniya, don hai yahan ke, wo bichare meydan-e-mahashar mein, ek bheegi billi bane khare honge
07:48jo dutyon se zyada haqarat hogi unki, jo yahan par, ek phone call ke upar kisi ko larzaa dete hain
07:54wahaan par, wahi, jisko larzaaya tha, wo ghareeb, zaeef, kamzor, bilkul mafluq-ul-haal
08:01in ke saamne akartawa jaara hoga, aur inke dar itni himmat nahi hogi, ko usko ghur kar dekh le
08:06to yahan ka taqatwar, jo najaiz tariqat se taqatwar hai, hashar mein intihai kamzor hoga
08:14aur isi tarah, yahan par, agar khayanat kar li, baad-o-qaad, life bohot achi guzar jaati hai
08:18paisa loot liya, yahan se maar liya, wahaan se maar liya, lekin akharat to bohoti sakht hai aapke liye
08:25isi tarah, koi hukumati ohda mil gaya, aur paisa nikaal liya, to logon ke tax kha gaye, fulaan cheez ho gayi
08:34meydan-e-mahashar mein yeh hoga, jo nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ne bayan farmaya
08:39isliye khudara duniya ko chhod de, kab tak rehenge duniya ke andar, isme jitna bade mansab par honge
08:46jitna maal zyada hoga, utna hi zyada insaan aazmaish mubtala ho jata hai, duniya mein bhi aap dekh le
08:53aur akharat mein bhi mukhtalif jihad se aazmaishin hongi, lihaaza aisa hargiz nahi karna chahiye
08:59aur nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ne aakhir mein, jo alfas kahe, jo zahir kar rahe hain
09:05ki aapne Allah ko apne amal par ghawah banaya, toh yeh aap kar sakte hain, yeh sunnat hain nabi-e-karim ki
09:11ki aap namaz padein toh aap ghawah bana lein, ki Allah ta'ala ghawah ho jaa, maine namaz ada kar le
09:15hala ke wo pehli ghawah hai, usko maloom hai, lekin yeh chalo sunnat ki adai ki niyaz se kabhi kabar kar liya karein
09:22agli baab ki taraf aate hain, baab qaim kiya hai, baabun idha wahaba, hibatan awu'ada, thumma mata
09:30qabla an tausila ilaih, jab koi shahs kisi se hiba karne ka waada karein, yaani waada kar le ki
09:37main tumhe tohfa doonga, fir us cheez ke wasool hone se pehle wo faut ho jayein. Ispar hadith
09:44laaye hain 2598, aur iske raavi hain hadrat-e-jabir radiya Allah-u-ta'ala anhu, wo bayan kar rahe the
09:54ke mujh se Nabi-e-Karim sallallahu-wa-sallam ne teen baar firmaaya, ki agar Bahrain ka maal aaya, toh
10:01main tumhe itna doonga, inni sarkaar ne waada firmaaya ki wahan se maal-e-ghanimat kuch bhi aaya,
10:07toh fir main tumhe itna-itna maal de doonga, fir Bahrain ka maal nahin aaya, hatta ki Nabi-e-Karim
10:13sallallahu-wa-sallam ki wafaat ho gayi, fir hadrat-e-Abu-Bakr Siddiq radiya Allah-u-ta'ala anhu ne
10:19eik ailaan karne wale ko bheja, ki wo ye ailaan kar de, ki jis se Nabi-e-Karim sallallahu-wa-sallam
10:26ne koi waada kiya ho, ya jis ka Nabi-e-Karim sallallahu-wa-sallam par koi qarz ho, toh
10:33wa hamare paas aaye, chunachay main unke paas chala gaya, pas main unse kaha ki Nabi-e-Karim
10:39sallallahu-wa-sallam ne unse waada kiya tha, ki Bahrain ka maal aayega, toh itna-itna doonga,
10:44toh Siddiq-e-Akbar radiya Allah-u-ta'ala anhu ne mujhe teen martaba apne dono haath
10:50bhar-bhar ke maal diya, toh dekhein isse pata hi chala ki agar koi bada waada kar jata hai
10:56aur bachon ko pata hai warathaak ho, ki usne usse waada kiya tha, ho sake toh usse waada
11:01ko poora karein, garchi yeh farz, yeh wajib nahi hota, yaad rakhein, agar marhoom ne
11:06wasiyat nahi ki thi, toh isko poora karna, koi dena wajib nahi hai, toh baaz log kehtein
11:11bhi aapke badon ne kaha tha, hum tumhe itna-itna de denge, toh agar waqi kaha tha, aapko pata
11:16hai, toh de dena achha hota hai, lekin agar aapne nahi diya, toh koi masalah nahi hai
11:22aur ek hota hai, baqaida wasiyat kar jata hai aadmi, ki bhi mai mar jaun, toh fulaan rishta
11:27daar ko, fulaan deeni idaare ko, fulaan masjid mein itna paisa de dena, toh yeh wasiyat
11:32poori karna toh wajib hota hai, hoti hai, jab ke najaiz cheez ki na ho, najaiz kaam
11:37ki na ho, misal ke taur pe, maadallah, summa maadallah, koi mara, aur fars kar lein, ki
11:42marte bhi kaha, ki bhi yeh mere, mai wasiyat karta hu, ki fulaan sharab khaane mein itna
11:46paisa de dena, fulaan juay ke adde mein itna paisa de dena, toh yeh toh ahmakana qism ki
11:51wasiyat hai, aur isko poora na karna wajib hai, isliye mai barha apne programs mein arz
11:57karta hu, ki aapke koi waalid, waalda, koi bhi rishta daar fauth hone lage hain, dada,
12:02dadi, nana, nani, bade, kabhi wasiyat karte hain, sabse pehle usko likh lein, taake bhool
12:07na jaayen, aur phir pehle kisi achhe mufti sahib se, jo musnad mufti sahib hain, unse
12:12mashwara karein, ki bhai yeh wasiyat karke chale gaye hain, kya sharai lihaas se usko
12:16poora kiya jaa sakta hai, agar wo kahen yes, toh phir poora karenge, ab agar wo maali wasiyat
12:21hai, toh yaad rakhein, one third mein jaari hogi, yaani maal ke teen hisse kar lein,
12:26teesre hisse se wasiyat poori karenge, agar wasiyat poori karne mein poora maal kharch
12:30ho gaya, toh poora one third kharch kar denge, aur agar kuch bach gaya, toh baqi bachawa
12:35warasa ke liye hoga, yaani baqi maal mein jo two third tha usme mila kar phir warasat
12:40takseem karenge. Lekin jab mayyad fauth hoti hain, sabse pehle uske tarke mein se tajheez
12:45wo takfeen hoti hain, kafan dafan ghusl waghara ka intizam, phir second jo hai agar uspe
12:50qarza ho, toh wo qarza waghara da kiya jaata hain, phir teesri cheez agar usne wasiyat
12:54ki thi, toh wasiyat poori ki jaati hain, iske baad phir warasa ka haq banta hai.
12:59Toh isliye agar koi wasiyat kar gaye the toh phir toh poori karne chahiye, lekin aisi
13:03bas keh diya tha ke bhi, kisi se waada kar liya tha, achha main tumhe abhi kuch doonga,
13:08misaal ke taur par, meri BC khul gayi tumhe main de doonga, apne zindagi mein kisi ho
13:13kaha, lekin dene sake fauth ho gaye, toh ye toh wasiyat nahi hai na, wo toh kisi se aisi
13:17waada kiya tha, ab wo aake batata hai bhi tumhare dada jaan ne waada kiya tha ke mujhe
13:20BC khulegi itna denge, toh aap dena chahen toh theek hai, nahi dena chahen toh isme
13:25guna ka pehloo nahi hota. Toh yeh Sarkar ne shahad faramaya, toh iska tab yeh hua,
13:32ke agar koi istara ki se waada karta hai, usko poora karna afzal hota hai, Siddiq
13:37Akbar radiya Allah ta'ala anhu ka rahmat-e-kaunain sallallahu wa sallam ke liya ailaan karna
13:42ke kisi ka qarza ho, ya kisi se Sarkar ne koi waada wa gharab farmaya ho, toh wo aakar
13:47humse le jaye, toh yeh bhot achhi baat hai, aapne dekha hoga kabhi jab murde ko dafna
13:53dete hai, toh kabhi is tariqah ko ikhtiyar karte hai, bhai kisi ka koi qarza ho, toh
13:57humse aakar le le. Haala ke yeh qabristan ke andar istara ki awaaz lagana toh matawajeeb
14:02o ghareeb hai, yeh khud sochiye, ke wahaan koi yeh kahega, haan mera qarza hai, haath
14:06utha ke aujayega foran paas. Toh wahaan kha ma kha hai, aisi yeh humne ek rasam bana
14:10li hai, ke wahaan par kehne ka koi fayda nahi hai, haan aap aayen ghar pe, jo log
14:14zishtadaar jama hai, unke saamne aakar kahein, ki bhai maare wali sahab faudh ho gaye
14:19hum, agar kisi ka koi qarza wa ghara ho, toh humse baad mein aakar baat kar le. Dafnaane
14:24ke foran baat, kisi ka koi qarza wa ghara hai, toh bata de, wahaan kaun bataega. Toh
14:29yeh hamaare hain baad waqat, is kisam ki cheezon ko, aur phir in ke peeche dalil nahi pooshte
14:34ke kya hai, kyun kar rahein hum, bas dekha tha, fulaan fulaan fulaan usmein, toh usko
14:38foran apne maamulat ka hissa bana liya, aur yeh nahi dekha ke sharai taqaza kya hai,
14:44isi wajah se hamaare deen ki asal shakal toh taqreeban khatam ho gayi hai, taqreeban khatam
14:49ho gayi hai, asal shakal pe ab deen nahi hai, hamaare banaiwi cheezin itni guz gayi hai
14:54uske andar, ki humne asle deen ko toh bahut peeche kar diya, hamaare khandani rawaaj dekh
14:59le, rusoom dekh le, shadi biya ki jitni takribat dekh le, hamaare aapas ke lendain ke maamulat
15:05dekh le, unmein shariat ka kitna hissa hai, kahan kahan zahir hoti hai, bahuti kam aapko
15:11nadar aayenge, hala ke aamara mazhab kaamil tarin mazhab hai, har cheez ki mukamal talimat
15:16de raha hai, lekin nahi, toh baharaal, achha hai, ki agar aap rishtedaron ko kai deyen,
15:22ab ismein yeh zimranik baat aagey toh bata deta hun, ki agar koi daawa karta hai, ki
15:27tumhare walis sahab ne qarz liya tha, toh aapko haq hasil hai, ke uska proof maange,
15:32ki proof le karao, proof kya hoga, jaise aaj kal video hai, yeh evidence chal sakta hai,
15:38audio hai, jismein aapko yaqeen hai, ke walis sahab ki hi awaze ko software se nahi banali
15:43gayi, aur isi tariqah se koi documents waqara hai, ki baqaida agreement usne dikhaya,
15:48tahreeri, jismein eyewitnesses ke signs bhi hain, sign bhi hain, aur walis sahab ne muahida
15:53kiya hua tha, ki haan itna paisa dena hai, ya gawa hun, ki baqaida do gawa, aqil balig,
15:59musulman, aur nek parizgar aadmi gawa dena, inko aadil kaha jaata hai, ki haan aapke walis
16:04sahab ne, humare saamne inse liye the, phir toh qarza da karna hoga, lekin agar saamne
16:09wala proof pesh karne se aajiz aajaata hai, toh phir agar aap dena chahein, theek hai
16:14aapki marzi hai, aur mana karna chahein, toh aapki aakharat mein koi grief nahi hai,
16:19lekin maine hi aksar dekha hai, ki is qadar logon ke khoon safayad ho gaye hain, ki aakar
16:26wo kehte hain humare toh qarza liya hua hai, aur baad mein jab tahkikat hoti hain, toh
16:31se chala khud jhood bol rahe hain, khud baad oqat ikraar kar lete hain, nadamat hoti hain
16:36zameer ka bojh, ki haan humne toh aise hi keh diya tha, aur unke paas koi baqaida proof
16:41bhi nahi hoti, yaani koi aise hi mazbood baat bhi nahi hoti, bas wo falan jagah main bethe
16:45the, wahan toh kabhi walis sahab gaye nahi, lekin wo jhood bol kar, taake wo bache emotional
16:50ho rahe hote hain, dil dukh rahe hote hain, aur ye bhi aise jumle bhi kahte hain nazar
16:54aayenge, theek hai bhai tum nahi doge, hum maidaan-e-mahashar mein khud le lege unse,
16:58taake ye emotionally blackmailing hai, zawardas kusam ki, toh agar baharaal rishtadari ye
17:03samashte hain, ki yaar ye waqeet se ne diya hoga, toh jaan chhuda de, de de, koi masalah
17:07nahi hain, agar gharat lega, toh maidaan-e-mahashar ke andar, ye zalil, ruswa hoga, aur aap ko
17:13aur aap ke walet, jo bhi jinn ke baare mein isne daawa kiya hai, iski neekiyan sari aap
17:18logon ko di jaayenge, hisaab poora hogaya theek, agar nahi hua, toh aap ke gunah nikaal
17:23kar, iske naam-e-maal mein daale jaayenge, aap fars kahlein agar ye apne gunahon ke
17:27ras-e-jahannam mein jaata, toh 40 saal jalta, dekin aap ye gunah daal diya gaye, itne zyada
17:33hogaya, ab 40,000 saal jalega, toh gaya jahannam mein, toh isliye khudara, aise koi
17:38agar bhai-behna mein samaat farma rahe hain hun, jino ne jhood bolke istara karze ka
17:43hai, aur rakam wasool karli, saamne walon ko emotionally blackmail karke, ye aapne
17:48jahannam ke angaare liye hain, ye saap aur bichun hain, wapas karein, aur isme bilkul
17:54sharab maasus na karein, ab denge toh bolenge tumne jhood bola, humaari toh izzat kharaab
17:58ho jayegi, izzat hai aapki, ye aapne jhood bolke liya, aap apne aapko bhai-izzat samajhte
18:02hain, ye nahi, humein patni, izzat ka kya humne mayar banaaya wa, chor uchakka bhi
18:07keh raha hai ki meri izzat kharaab ho jayegi, aapne chori kiye hai ye, khiyanat kiye,
18:11toh apne nafs ko zillat par pesh karein, aur jaakar kahen ki humne ghalat kaha tha,
18:15ye apna pesa wapas lein, aaj jaan chhuda lein, warna baidan-e-maashar mein faz gaye, aur
18:20jho aise napaak iraade bana kar baite hain, tauba kar lein, kaan pakad kar, aisa hargiz
18:24na kijege, Allah ta'ala samajh ke taufiq ata farmaye, ameen, wa akhru da'awahum,
18:29alhamdulillahi rabbil alameen.
18:41Alhamdulillah.