Vada Pav, Mumbai ka iconic snack, sirf ek sasti chaat nahi hai — yeh hai ek epic story ka hissa! 🎬 Kya aap jaante hain ki is batata vada aur pav ka romantic rishta kaise shuru hua? 🤔 Se leke, kaise Mumbai ke workers ne is snack ko apni 'superpower' banaya, sab kuch iss video mein! 💥 Aaj hum aapko dikhayenge ki Vada Pav ke piche ka asli Bollywood-style drama, political twist, aur working-class ki struggle kaise is snack ko bana gaya ek superhero ke roop mein. 😎 Kya aapne apni life mein kabhi Vada Pav se juda koi emotional ya funny story share ki hai? 🤭 Apni kahani humein comments mein batayein!
Category
🏖
TravelTranscript
00:00Snacks ka Maseeya, yaani Superman. Lekin kya vada pav sirf isiliye mashoor hai kyunki
00:15yeh affordable hai? Ji nahi, affordability vada pav ki kahi sari superpowers me se ek
00:21hai, jide aaj main iss video me reveal karne wala. Aur aap aur hum baat karenge hamare
00:26superhero ke bhi superhero, yaani Bala sahab Thakre ke vada pav par revolutionary stand
00:32ki. Nazariya ki khao gali mein aapka swagat hai,
00:35main hu Ashish Atre, apni seat ki peti baan lijiye kyunki hum nikalne wale hain vada pav
00:40ki emotional adventurous journey par. Vada pav banta hai do basic components se,
00:50batata vada aur pav. Aapko hairani hogi jaankar ki yeh batata yaani aloo aur pav india
00:56mein portuguese lekar aaye the. Even hamari mirchi bhi west coast ke through aaye the.
01:00Aap bhale hi palan poshan portuguese bhaiyon ne kiya ho,
01:03lekin inki prem kahaani ko asli rang roop mein anjaam Hindustan mein hi aakar mila.
01:08British colonial era mein Bombay ka major industrialization hua. Hazaro ki taadad me
01:13workers mills aur factories mein kaam karne lage. Jiske chalte 1900s mein,
01:18in industries ke saamne chhute chhute stalls ya eateries banne lage.
01:22Batata ko ek saath jod kar tel mein fry karna, bechna 1920s ke dauran shuru hua,
01:27taaki itne saare logon ki bhook fatafat mitai jaa se.
01:31Aap kisi stall par batata vada milta tha, toh kisi doosre stall par pav. Bas fir kya tha?
01:35Dono ka nayan matakka shuru aur yeh flirting ek aad maina nahi, takreban 40 saal chali hai.
01:41In pyaar karne walon ko ek kiya Ashok Vaidya ji ne saal 1967 mein.
01:46Dada station ke bahar ek chota sa stall lagane wale Ashok sahab ne,
01:50ek din pav ko beech mein se kaata, chutney waghera se puchkara aur usme batata vada ko virajmaan kar diya.
01:56Aur dekhte hi dekhte poori Mumbai mein yeh love story mashhoor ho gayi.
02:00Aap toh jaante hi hain ki epic love story mein bharpoor political tadka hota hai.
02:041970s mein, Mumbai street food and restaurant industry mein Udupi vendors ka kabza tha.
02:10Working class, jismein se kayi saare migrants bhi tha.
02:13Idli, sambhar, dosa waghera, breakfast, lunch aur even dinner mein khaya karte tha.
02:17Aur aisa bhi nahi tha ki aur zyada options the.
02:19Bala sahab Thakre ko vada pav behat pasand aaya.
02:22Aur unhone Marathas ko encourage kiya to open as many eateries, stalls and restaurants
02:28tha ki yeh easy to make and tasty Maharashtrian snack sab tak pauch se ke.
02:33Shiv Sena ne financially aur politically bhi logon ki madad ki tha ki wo vada pav stalls khol seke.
02:39And after that, there is no looking back for vada pav.
02:42Mujhe yeh badi annoying baat lagti hai ki hum log vada pav ki poori identity ko uski affordability tak simit kar dete hain.
02:53Haan, I agree ki is mehndai ke daur mein vada pav bada sasta milta hai in just the range of 10-20 rupees.
02:59Lekin hamara nazariya kehta hai ki working class sirf paise bachane ke liye vada pav nahi khati.
03:04Balki waqt bachane ke liye bhi vada pav khati.
03:07Pehli baat ki apna vada pav doesn't need any cutlery aur crockery.
03:11Aur doosri ki it can be taken on the go.
03:13Chahe aap local train mein safar kar rahe ho ya office mein, you can have it anywhere chand minto mein.
03:19Aur isi hairat ange super power ke chalte vada pav hum sab ke dilo zabaan par raaj karta hai.
03:25Aur sirf yeh hi nahi, vada pav had se zyada customisable hai.
03:29Chutney, sauce ke saath, chai ke saath, aap kha sakte hain.
03:33Kayi log halka misal ya bhajji bhi bhi saath mein prefer karte hain.
03:36Apna favourite combination batayiye, comment section mein.
03:39And we will feature you on our Instagram handle.
03:47Vada pav ne Mumbai ko kayi mushkil waqton se nikala hai.
03:50Aur khud kayi rukavate paar ki.
03:521970s se 2000 tak, kabhi strikes ke chalte to kabhi modern machine ke aajane se,
03:57kayi industry stub ho gayi.
03:59Tab inhi mill workers, jo kisi waqt vada pav ke prime consumers the,
04:03vada pav ke zariye unhe rozgaar ka rasta mil.
04:06In logon ne apne khud ke stall shuru kiye, aur apne parivaar ka peth pala.
04:10Struggle, hustle aur vada pav ka purana rishta hai.
04:13Isi rishte mein naam aata hai Satish Gupta ji ka.
04:16Jo aaj bhi school jaate bachon ko vada pav sirf 5 rupe mein dite hain.
04:20Unhone zindagi mein kayi utaachadav dekhe hain.
04:22And he strongly believes ki jo mushkil din, unke bachon ne unke guteve dekhe hain,
04:27wo kisi aur bachon ko dekhne na pade.
04:29Agar aap science ke aas paas rehte hain, to go meet him.
04:32And treat yourself with a big hearted generous vada pav.
04:36Where to have the best vada pav?
04:38Ab social media ke zamane mein, cultural exchange ke zamane mein, vada pav har jaga mili jaayega.
04:44Lekin asli maza to Mumbai ke vada pav mein hi aata hai.
04:47To agar aap Mumbai ja rahe hain, to kisi Mumbai kar dost ko phone milaiye,
04:51aur unka favourite vada pav spot unse poochiye.
04:54Maamla ye hai ki Mumbai ke har area mein, ek locally appreciated vada pav stall aapko mil jaayega.
05:00Aur khaas baat ye hai, ki har vada pav wale ki kadhai aapko garam milegi.
05:04Matlab, taza taza, garma garam.
05:06Fir bhi aap insist kar rahe hain, to main kuch apne favourite spots aapko bata deta hoon,
05:10in no particular competitive order.
05:12We at Nazaria wants to know them.
05:14So please, please share your humorous, emotional stories niche comment section mein.
05:18And I promise, we will make the part 2 video of that.
05:22We at Nazaria wants to know them.
05:24So please, please share your humorous, emotional stories niche comment section mein.
05:26And I promise, we will make the part 2 video of that.
05:28We at Nazaria wants to know them.
05:30So please, please share your humorous, emotional stories niche comment section mein.
05:32And I promise, we will make the part 2 video of that.
05:34We at Nazaria wants to know them.
05:36So please, please share your humorous, emotional stories niche comment section mein.
05:38And I promise, we will make the part 2 video of that.
05:40And I promise, we will make the part 2 video of that.
05:42Agar aapko ye video aur mera Ashish Atre ka Nazaria pasand aaya ho,
05:44to please iss video ko like, share aur subscribe zarur kijega.
05:46to please iss video ko like, share aur subscribe zarur kijega.
05:48Facebook aur Instagram par bhi apne follow ka masala chidke.
05:50Facebook aur Instagram par bhi apne follow ka masala chidke.
05:52Main milunga apni agli video mein.
05:54Tab tak ke liye khush rahein, mast rahein, masaledaar rahein.
05:56Alvida.