Ilim o Amal - Episode 13
Naimat e Iftar | Shan e Ramzan | ARY Qtv
#IlimoAmal #ShaneRamzan #aryqtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Naimat e Iftar | Shan e Ramzan | ARY Qtv
#IlimoAmal #ShaneRamzan #aryqtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Alhamdulillahi Rabbil Alameen, wal aqibatulil muttaqeen, wa salatu wa salamu ala Rasulil Nabiyul Kareem.
00:20Amma baad, fa a'udhu billahi minash shaitanir rajeem, Bismillahir Rahmanir Raheem.
00:27Innal laaha ma'as saabireen, sadaqallah maulana al azeem.
00:34Muazzaz-e-muhtasham nazareen-e-kiram, program Ilm-o-Amal ki tahad, aaj hamara mauzoo hai, sabar ki fazilat.
00:46Sabar ek aisa amal hai ki takleef paane par sabar karna, khamosh rehna, Allah ki raza samaj lena
01:01aur Allah ki raza samaj kar uske saas saath us sabar par Allah ka shukr bhi ada karte rehna.
01:12Tara-tara ki takleef-e-zulm-o-sitam, masaeb, hamesa se anbiya-e-kiram alaihim-us-salam par dhaaye gaye.
01:23Sahaba-e-kiram, Ahle Bait-e-Atahar alaihim-us-salam, taba'een, tab-e-taba'een, awliya, sulaha, fuqaha, ulama, shuhadaa
01:39Inki zindagi masaeb-o-alaam ki zindagi rahi, imtihanaat-o-azmaish ki zindagi rahi
01:47Balqe Quran-e-Majeed mein toh basharat ke liye sabireen ko hi mukhatab kiya gaya hai
01:54Wala nabluwannakum bishayyim minal khawfi wal ju'i wal naqsim minal amwali wal anfasi wal samarat
02:02Wabashshir-e-s-sabireen al-lazeena idhaa asabatuhum museebah, qaal-u-inna lillahi wa-innaa ilaihi raji'oon
02:14Firmaya hum aazmai se tum par rakhenge, aazmaenge, tara-tara ke masaeb, parashaniya, bimari ki surat mein, parashani ki surat mein, phallon ki kami, jaanon ki kami
02:35Yeh sab cheeze hongi, lekin firmaya, wabashshir-e-sabireen, basharat hai sabar karne walon ko
02:45Basharat kise kahte hain, achi khabar ko, khushi ki khabar ko basharat kaha jaata hai, neematon wali khabar ko basharat kaha jaata hai
02:56Kaha un logon ko basharat hai, jo sabir hain, aur unka wateera kya hai, unka amal kya hai, sabireen ke kaul-o-feel, aqwal-o-atwar, guftar-o-kirdar kya hai, qaal-u-inna lillahi wa-innaa ilaihi raji'oon
03:15Wo jab bhi ko maseebat aati hai, peecheh kya kai diya, iza asaabatuhum maseeba, in par jab bhi koi maseebat aati hai, jab bhi koi parashani aati hai
03:27To shikwa-e-alam inki zubaan par nahi hota, balke jumla-e-sabar inki zubaan par hota hai, jumla-e-shukar inki zubaan par hota hai, aur uske karam ke talib banke rahte hai
03:40Dekhiye, Quran-e-Majeed ke andar, kitni hume duayen talim irshad farmaye gaye, jo anbiyaan ki duayen hain, Abu-al-Bashar, Janab-e-Syedna Adam A.S.
03:55Kitni der sabar karte rahein, aur phir bhi shikwa-e-alam zubaan pe nahi hai, zubaan pe kya hai, Rabbana zalamna anfusana, wa illam taghfir lana, wa tarham lanaa koonanna minal khasireen
04:12Hazrat-e-Janab-e-Syedna Ibrahim A.S., Syedna Moosa A.S., Syedna Ismail A.S.
04:21Ziba-e-Ismaili, kis kadar sabar hai, baap ka bhi aur bete ka bhi, aur agar isi sabar ki daastaan ko hum, Huzoor rahmat-e-kaunain S.A.W. ki hayat-e-tayyiba ki taraf leke aayen,
04:38to Allah-o-Akbar, Sihab-e-Ikram beyan farmate hain, ki meri Akah S.A.W. ko patthar maare gaye, lahw-o-luhaan kiya gaya, Huzoor ki yeh Allah-o-Akbar,
04:54aur agar isi sabar ko karb-o-bala ke saath dekhte hain,
05:22to aap dekhiye, ki Imam-e-Aali-Muqaam Kusht-e-Teghe-Raza, Imam-e-Hussain A.S. kis kadar wo Karbala ka regastaan aur regudar,
05:36wo Khaana-e-Waada-e-Rasool ki Shehzadiyan, wo Khaana-e-Waada-e-Rasool ki nanay aur masoom phool, aur Imam-e-Aali-Muqaam A.S. sabar ka koh-e-garaan bankar,
05:54sabar-e-ma'allah aur sabar-e-ilallah bankar, in kaifiyaat mein rehkar, Shehzada-e-Ali-Akbar-o-Shehzada-e-Ali-Asghar jaise nanay jaane apne Rab ke Huzoor pesh karke, aur phir apni jaan-jaan-e-afari ki supurdh karke,
06:15Zubaan par phir bhi Subhan-e-Rabbi-y-al-Aala ki kaifiyat hai, toh jaan-jaan-e-afari ki supurdh ki hai, kisi amr ka koi shikwa-e-alam nahi hai.
06:26Aur iske baad wo khandaan-e-Mustafa jab wapas jalwa-gar hote hain, toh shikwa-e-alam na toh karb-o-bala se lekar Madinat-un-Noor ke safar mein nazar aata hai, na Madinat-un-Noor mein nazar aata hai, aur sabar ki is daastaan ko koi faramosh nahi kar sakta.
06:53Aaj hamara sabar kya hai? Do din bukhaar hai toh kya sabar hai? Chaar din aazmaayis hai toh kya sabar hai? Tang-dasti hai? Toh hum tara-tara ki cheezein apni zubaan pe shikwa-e-alam bana kar le aate hain.
07:12Aur sabar ki kaifiyat par jo log hain, unka haal aur kaif yeh hota hai, ki khuda ka salaam unko beja jaata hai.
07:21Mere aur aap ke kareem aaka Huzoor Sayyid-e-Aalam Sallallahu-Alaihi-Wa-Alaihi-Wa-Sallam jalwa-feroz hain.
07:28Jibraeel-e-Ameen Tahir-e-Qudsi alaihi-Salaam haazir-e-khidmat hue.
07:34Ya Rasool-Allah maazaak-e-kaajal wale, main Abu-Bakr Siddiq ke liye Rab ka salaam lekar aaya hu.
07:41Aur Ya Rasool-Allah in se poochiye, ki in ke daanton ke dard ka haal kya hai?
07:46Jab Jibraeel-e-Ameen chale gaye, to rukh-e-Wadduha Siddiq-e-Akbar ki taraf hua.
07:53Ey Abu-Bakr, Allah Rabb-ul-Izzat ne tujhe salaam beja hai, itna inaam firmaaya hai tujh par.
08:01Aur saath poochha hai, ki dard ka haal kya hai?
08:05Abu-Bakr yeh daanton ke dard ki kya kaifiyat hai?
08:08Yeh kya wajah hai?
08:09Siddiq-e-Akbar ne arz ke, Ya Rasool-Allah maazaak-e-kaajal wale, wadduha ke mukhde wale,
08:17yaaseen ke sehre wale, alam nishrah ke seene wale, pyaar-e-kareem aaka 12-13 saal se daanton me dard rehta hai.
08:26To mere aaka ko thoda jalal aaya, firmaaya maine tumhari nigaahon ke saamne,
08:31jabir ke murda bachon ko zinda nahi kiya, maine tumhari nazron ke saamne,
08:35darakhton ko ishaara firmaaya, wo jane okhedte huye meri taraf nahi bade hai,
08:41maine tumhari nazron ke saamne, chaand ke do tukde kar diye tumhe nazar nahi aa raha tha,
08:47to kya tune mujhe yeh bataye hi nahi?
08:51Kurbaan jaun, ab aashik-e-zaar dekhiye,
08:54muhabbat karne wali zubaan dekhiye,
08:57ishq karne wale seene ki baat suniye,
09:00aur unke imtehaan dekhiye, aur sabar ka johe amal dekhiye,
09:05arj karte hain, ya Rasool Allah, yeh dard deta kaun hai?
09:10Mere aaka ne firmaaya, Allah, to Siddiq-e-Akbar arj karte hain,
09:15ki ya Rasool Allah, fir ek mehboob ki, ek yaar ki, doosre yaar se shikayat kaise karta?
09:23Allah-o-Akbar, Iqbal ne kya kaha?
09:27Ki khudi ko kar, mulaan ditna ke har takdeer se pehle,
09:31khuda bande se khud pooche, bataa teri raza kya hai?
09:35Aur ek mukaam pe kaha, tu bacha bacha ke na rakhi se,
09:38tera aaina hai wo aaina,
09:41ki shikasta ho to aaziz tar, hai nigaah-e-aaina saaz mein.
09:46Kaha sabar ki kaifiyat yeh hai,
09:49ki shikayat tak nahi ki, aur kis habeeb ki baarga mein,
09:52ki jahan shab-o-roz guzarte hain,
09:55jis mehboob ki baarga mein, din raad uthna baithna hai,
09:59us mehboob ki baarga mein bhi shikayat tak nahi ki,
10:02aur us pe sabar par sabar kar rahe hain,
10:05sabar karne ke baad inaam kya hai,
10:08ki Rab ka salaam aata hai, aur yeh hi to hai wo,
10:11wabashiris sabireen, basharat hain sabar karne walon ko,
10:15aur jo sabar karte hain Allah ke naam par,
10:18unki haal aur kaifiyat kya hai,
10:21innallaha ma sabireen,
10:24Allah firmata beshak, main sabar karne walon ke saath hoon,
10:28yeh baat maamooli nahi hai,
10:31sabar karne walon ke saath hoon,
10:34innallaha ma al-musalleen nahi kaha,
10:38innallaha ma al-sa'aimeen nahi kaha,
10:42samjayi ki sabar karne wale,
10:45dukhon par raazi rahe jaane wale,
10:49hamaare Qibla-e-Aalam,
10:51Tajdaar-e-Sahoochak Shareef,
10:54hamaare Shajra-e-Tayyaba ke andar taaleem maujood hain,
10:57hamaare Shuyookh mese ek Sheikh,
11:00Sheikh-e-Aala Hazrat Khwaja Muhammad Naqeebullah Shah,
11:04rahmatullah-e-taal-alaih,
11:06aapki taaleemat mein yeh taaleem shamil hain,
11:09kul awliya, asfiya, azkiya, atkiya ki taaleemat mein yeh taaleem shamil hain,
11:14aur hamaare Shajra-e-Tayyaba mein,
11:17hamaara jo nisaab hai,
11:19hamaara jo taaleemi nisaab hai,
11:21silsala-e-aliya,
11:23qadriya, chishtiya, suhrawardiya, naqshbandiya ka,
11:26Sahoochak Shareef se,
11:27humein jo peegam milta hai,
11:29usmein ek badi khubsoorat line nazar aati hai,
11:32wo kya hai,
11:34ke mere haq mein jo ho marzi,
11:36main ho razi ba raza,
11:38marziye maula hama ula razina bil qaza,
11:42aur Allah ki marzi pe razi rehne ke baad,
11:45saad dua bhi hai,
11:47kaha sabar ke saad dua bhi na chhodna,
11:49tere haq mein kya kamee hain mujh gada ke waaste,
11:53khalaq-e-aalam ne,
11:55karam nawazi pe humein,
11:57ye inamaat firmaaye,
11:59aur sabar karne walon ko firmaaya,
12:01main tumhare saath hoon,
12:03ab Allah jin ke saath ho,
12:05aur Allah khud firmaade,
12:07main tumhare saath hoon,
12:09aaj hum dosti ka ilan karte firte hain,
12:11aur agar mahboob kaide ki ye mera hain,
12:13is par nazareen-e-kiraam,
12:15sabar chunke,
12:17zoroz marra ki hamari zaroorat hain,
12:19aur sabar karne wala,
12:20kabhi ye mat samjhe,
12:22ke main khamosh ho gaya,
12:24to main haar gaya hoon,
12:26meri baat khatam ho gaye hai,
12:28aap sabar karke dekhen,
12:30sabireen mein shamil ho jaye,
12:32choti choti takleefon par,
12:34dukh, dard hain,
12:36masaail hain,
12:38parishaniyan hain,
12:40girelu maamlaat hain,
12:42kaarobar ke hain,
12:44tajarat ke hain,
12:46in par aap sabar karke dekhen,
12:48aur sabar karne wala,
12:50ko inamaat ki haalat aur kaifi,
12:52ham to shot daal dete hain,
12:54ham to janaab,
12:56jo hai,
12:58wo ilan karte phirte hain,
13:00mar gaye,
13:02dukh a gaye,
13:04takleefin a gaye,
13:06parishaniyan a gaye,
13:08rizq tang ho gaya,
13:10kaarobar band ho gaya,
13:12beshmar cheezein hamari zubaan par hain,
13:14lekin jo asfiyaat kiya hain,
13:16wo zubaan par shikwa-e-alam nahi naate hain,
13:18talaatum kheez maujo mein,
13:20wo gabraaya nahi karte hain,
13:24nabi ke naam lewa gham mein,
13:26gabraaya nahi karte hain,
13:28to isliye parishaniyon ke andar,
13:30dukhon par,
13:32parishaniyon par,
13:34aazmaayis par,
13:36sabar karna,
13:38aur momineen ke liye aazmaayis hain,
13:40dukh jo hain na,
13:42momineen ke liye azaab nahi hain,
13:44Koran ka faisla hain,
13:45ye aazmaayis hain,
13:47hadith-e-mubarakah forma hai,
13:49bimaari bhi tumhare gunahon ko mitati hain,
13:51bukhaar hain,
13:53sardard hain,
13:55dukh hain,
13:57takaleef hain,
13:59hamare kitne auliy-e-Allah asfiyaat kiya,
14:01jo sar-sar-raat takaleef mein guzaarte,
14:03aur apne Rab ko yaad karte rahte hain,
14:06aur jis din takaleef na ho,
14:08to kehte hain,
14:10aye khudaan-e-mujhe yaad nahi kiya,
14:12aye khudaan-e-mujhe yaad nahi kiya,
14:13ye aflaas jo hain,
14:15ghurbat jo hain,
14:17ye momineen ke liye ye bhi aazmaayis hain,
14:19hadith-e-mubarakah,
14:21ad-duniya,
14:23sijnul momin,
14:25wa jannatul kaafir,
14:27momin ke liye to qaid khaana hain,
14:29kaafir ke liye jannat hain,
14:31to isliye nazreen-e-kiraam,
14:33khawateen-o-hazraat,
14:35ye baat badi toj-o-talb hain,
14:37to isliye nazreen-e-kiraam,
14:39khawateen-o-hazraat,
14:41ye baat badi toj-o-talb hain,
14:43to isliye nazreen-e-kiraam,
14:45hum ye samajhte hain,
14:47ke humare halaat theek nahi hain,
14:49Allah hum se naraaz hain,
14:51hume ye pareshani aagai,
14:53Allah hum se naraaz hain,
14:55humare paas ko thikaar,
14:57bank balance, jaydaad nahi hain,
14:59Allah hum se naraaz hain,
15:01to Allah ke naraaz hone,
15:03ya razi hone,
15:05in cheezon par koi hasiyat nahi rakta.
15:07Allah ka razi aur naraaz hona is baat par hain,
15:09ke kya hume tofeeq-e-sajda hain,
15:11kya hume tofeeq-e-bandagi hain,
15:13kya hume tofeeq-e-zubaan par jumla-e-shukr hain,
15:15agar ye sab cheezein hain,
15:17hum saleheen,
15:19mukarrabeen bandon ke saath
15:21apne shab-o-roz guzaar rahein hain,
15:23agar ye cheezein hain,
15:25to fir dekhiye,
15:27ke Allah hum par razi hain,
15:29agar ye nahi hain,
15:31to fir Allah hum par razi nahi hain,
15:33aur takleef-e-Allah deta hai,
15:35isliye ke main apne banday ko dekhoon,
15:37ke mera banda,
15:39mera diye huye,
15:40ye takdeer hain na,
15:42bukhar hain,
15:44sardard hain,
15:46pareshani hain,
15:48ye sab cheezein takdeer mein shamil hain,
15:50maal ki kami hain,
15:52olaad ki kami hain,
15:54tara-tara ke masaail hain,
15:56ye sab cheezein,
15:58aazmaayis hain,
16:00ab Allah firmaat hain,
16:02main dekhtoon mera banda,
16:04mera imtehaan par khush hain,
16:06ye bhi mera diya hua hain,
16:08to mahboob ki toh har sheh nahi hain,
16:10ye nahi neemat hain,
16:12mahboob jo bhi ataah firmaay,
16:14Bismillah,
16:16ghulam ki kya pasand aur na pasandi hain,
16:18ghulam ka kya naam hain,
16:20bas jo maalik firmaatein,
16:22wo hi behtar hain,
16:24to firmaatein jo log,
16:26dukhon mein sabar karne wale hain,
16:28aur is par sabse badi misaal,
16:30mere aur aam ke kareema ka,
16:32un ajad logon mein rahein,
16:34wo makke wale,
16:36wo kuffaar,
16:38wo quraish,
16:40jo mere aaka se bhi waqif nahi hain,
16:42jo mere aaka ko subh aur shaam,
16:44takleefin dena,
16:46apna mashgala samajhte hain,
16:48lekin mere aaka har dukh,
16:50har takleef bardaasht karne ke baad,
16:52sabar ki is kaifiyat aur manzal par hain,
16:55ki nazareen kabhi ghaur toh karein,
16:58ki jab shehzada-e-rasool,
17:00imam-e-ali-muqam,
17:02imam-e-hussain alaihis salam ki,
17:04wiladat-e-ba-saadat hoti hain,
17:06saath hi khabr-e-shahadat bhi milti hain,
17:07lekin mere aaka,
17:09hussain ko dekh bhi rahe hain,
17:11sabar bhi kar rahe hain,
17:13maul-e-ali-k shir-e-khuda,
17:15hussain ko dekh bhi rahe hain,
17:17sabar bhi kar rahe hain,
17:19sayyida-e-kainat,
17:21hussain ko dekh bhi rahe hain,
17:23sabar bhi kar rahe hain,
17:25ittaqu firasat-al-mu'min,
17:27fa-innahu yanzur-o-bi-noor-illah,
17:29mu'min ki firasat se bacho,
17:31yeh Allah ke noor se dekhta hain,
17:33agar saand-e-chaudas-o-saad baad,
17:35ek Allah ka wali hain,
17:37wo apne noor-e-baseerat se kisi ke
17:39qalb-o-kaalib ke haal ko jaan sakta hain,
17:42to sayyida-e-kainat ko malom nahin
17:44mere shahadat-e-ki jo hai,
17:46wo shahadat hogi,
17:48huzoor-alaihi-salaatu-wa-salaam ko
17:50jibraeel-e-ameen ne aakar bata diya,
17:52aur wo matti bhi peshkar di gayi,
17:54aur mere aaka ne wo de bhi di,
17:56sabalne ke di,
17:58aur bata bhi diya,
18:00lekin iske ba-wajood,
18:02huzoor-alaihi-salaatu-wa-salaam agar yeh arz karein,
18:04ke ya Allah,
18:05mera beta shaheed na kiya jaye,
18:07to yaqeenan aisa ho sakta hai,
18:09lekin mere aaka ne,
18:11is yeh nahi ka,
18:13Allah ki raza par razi rahe,
18:15aur apni zindagi ko sabar ka khoogar bana liya,
18:17isliye nazareen-e-kiraam,
18:19aaj mere aur aap ke diye bhi laazim hai,
18:21ke hum,
18:23roz marra ke maamulaat,
18:25apni aaili,
18:27niji zindagi mein,
18:29sabar ko apna shaahar banayein,
18:31aur yeh maah-e-ramazan-e-mubarak,
18:33jo ke hai sabar ka maina,
18:35to yeh in tamam cheezon ko mahd-e-nazar rakte hui,
18:37sabar ko apna shaahar banayeyin,
18:39aur apni zindagi mein sabar ko dhaliyein,
18:41aur humesha sabar par kaar bhand rahiyein,
18:44Allah Rabbul Izet humein,
18:46aushpe humeshi ki rakhnein,
18:48aur mustahid reinein ki tofiq ataaf humayein,
18:50kal tak ke liye,
18:52ijazah dijiye,
18:53Allah Hafiz.