• vor 7 Jahren
❗INGREDIENTS❗

For bread:

️Neem garam pani 100ml
️Cheeni (Sugar) 1 tbs
️Instant yeast 1tbsp
️Maida (All-purpose flour) 750gm
️Namak (Salt) 1 tsp
️(Buttermilk) 300ml
️Makhan (Butter melted ) 60gm
️Egg 1
️Egg white 1

For chicken:

️Chicken 600gm
️Chaat masala 1 tsp
️Lehsan adrak (ginger garlic) 1tbsp
️Lemon juice 2 tbs
️Garam masala powder 1/2 tsp
️Namak (Salt) 1 tsp or to taste
️Lal mirch (Red chili) crushed 1 tsp or to taste
️Red chili (Lal mirch powder)1/2tsp
️Oil 2tbsp

For sauce:

️Mustard paste 2tbsp
️Mayonnaise 4tbsp
️Honey 1 tbs

Prepare Sandwich:

️Bread loaf
️Cooked chicken
️Cheese slices
️Iceberg
️Kheera (Cucumber) sliced
️Tamatar (Tomato) sliced
️Shimla mirch (Capsicum)
️Pyaz (Onion)
️Chilli sauce
️Honey mustard sauce

Method for dough:

️Neem garam pani mein cheeni aur instant yeast,namak,anday ki safaydi or 1 anda,makhan aur buttermilk shamil karein aur ache tarhan mix ker lein.

️Bowl mein maida shamil karain aur 8-10 minutes kliya ghond lein.

️Dhak dein aur 1 hour kliya rakh dein.

️Haathon ko makhan sa grease karein aur dough ko melted makhan sa 4-5 minutes kliya ache tarhan ghond lein.

️Maida chirak dein aur dough ko cutter ki madad sa cut ker lein aur small smooth buns bana lein (makes 7).

️ Baking pan per butter pepper rakhain aur dough ka buns ko rakh dein.

️Dhak dein aur 1 hour kliya rakh dein.

️Buns per brush ki madad sa pani or zerdi ka mixture laga lein oregano our garlic powder ka mixture chirak dain.

️Preheated oven mein 200 C per 15 minutes kliya bake ker lein.

️Baking ka bad buns per butter laga lein aur dhak ker 15 minutes kliya rakh dein.

For Chicken Topping:

️Bowl mein chicken, adrak ,lehsan,tamam masala our oil dal ker ache tarhan mix ker lein.

️Ab chulha on karein aur marinate chicken dal ker 2 say 3 min kay liyay cook karain.

️Dhak dein aur 5 minutes kliya paka lein phir tez ancch per sukh janay tak paka lein & side per rakh dein.

Honey Mustard Sauce:

️Bowl mein,mustard paste,mayonnaise aur honey dal ker ache tarhan mix ker lein.

Prepare Sandwich:

️Bread load ko bech mein sa cut ker lein,cooked chicken,cheese slice,ice berg,kheera,tamatar,shimla mirch,pyaz,chilli sauce,honey mustard sauce dal ker fold karein & butter paper mein warp ker ka serve karein.

Empfohlen